Nisaab - Deeniyat

Transcription

Nisaab - Deeniyat
Nisaab
Syllabus
Zaroori wa ahem kitaabon ya ilmi mazaameen ki ek khaas miqdaar, jis se talibe
ilm ek muddat mein achhi shalaahiyat paida kar ke khaas kaam ke liye tayyaar ho
jata hai, is ko nisaab kehte hain.
Har ek taaleemi idara (madrasa, school, college) mein padhne waale bachchon
ke liye nisaab hota hai.
Nisaabe taaleem ke zariye chaaha jaane wala hadaf (Target) haasil kiya ja
sakta hai.
Nisaab hone se talaba ko bhi maaloom hota hai ke hamein kis saal mein kya
padhna hai.
Nisaab hone se nisaab ki tay ki huwi miqdaar padha kar talaba mein jaroori
taaleemi liyaaqat wa salaahiyat paida karne mein sahoolat hoti hai.
Jin idaaron mein nisaab nahi hota wahaan bachche lambe waqt mein bhi bahot
saari jaroori cheezein seekhne se mahroom reh jate hain.
Taalibe ilm nisaab ke zariye bahot saari cheezein sahoolat ke saath kam waqt
mein hasil kar leta hai.
Nisaab ki wajah se taaleem wa tarbiyat ki ek mut'ayyan miqdaar ustaaz,
waalidain aur sarparaston ke saamne hoti hai, jiski wajah se ustaaz ko padhaane
mein aur waalidain ko nigraani mein sahoolat hoti hai.
31. Deeniyat Nisaab
A. Deeniyat Nisaab kaise bana?
1
Hindustaan ke mukhtalif ilaaqon ka daura aur un mein jaari makaatib ka jaaiza
lene ke baad nisaab ki zaroorat mehsoos ki gayi.
2
Hindustaan aur baahar ke mulkon ke mukhtalif nisaab ko jama kiya gaya aur
unka mutaala karke unke tarz wa tareeqe se faaida uthaaya gaya.
3
Hindustaan ke mash’hoor wa maaroof Deeni idaaron se faarig ulama-e-kiraam
ki ek jamaat ne is nisaab ko tayyaar kiya hai, is liye musannif ka naam nahein
likha gaya hai.
4
Akaabir ki kitaabon masalan Nooraani qaaida, Behishti zewar, Taaleem-ulIslaam, Deeni taaleem ka risaala wagaira se mawaad liya gaya hai.
5
Madaaris (Deeniyat ke center) ke zimmedaaron se mut’addad majlison mein
nisaab se mut’alliq mashware kiye gaye.
6
Nisaab tayyaar hone ke baad akaabir ki khidmat mein pesh kiya gaya aur unke
mashwaron ke mutaabiq tabdeeli ki gayi.
7
Makaatib mein chand saal nisaab jaari karne ke baad padhaane waale asaatiza
se mashwara liya gaya aur unke tajarbaat ki roshni mein nisaab ko mazeed
behtar aur mufeed banaane ki koshish ki gayi.
8
Kitaab ki isha’at “Ahem charitable Trust” se huwai hai, yeh ek rifaai idara hai.
B. Bachchon ke liye Deeniyat Nisaab
Bachchon ki taaleemi umar (jo umooman 5 saal se 20 saal tak hoti hai) tak school aur
college ki taaleem ke saath saath ilme deen seekhaane ke liye 15 saal ka nisaab
banaaya gaya hai, jise 3 hisson mein taqseem kiya gaya hai :
(1) 5 saala ibtidaai (primary) nisaab, bachchon aur bachchiyon ke liye banaaya gaya hai.
(2) 5 saala saanwi (secondary) nisaab, ladkon aur ladkiyon ke liye alag alag banaaya
gaya hai.
(3) 5 saala izaafi (advance) nisaab, naujawaan ladkon aur ladkiyon ke liye alag alag
banaaya gaya hai.
C. Deeniyat nisaab ki khusoosiyaat
Sirf 1 ghante ka nisaab
1
Rozaana ek ghante ki tarteeb par banaaya gaya hai, jis ke zariye talaba apni asri
taaleem ke saath saath rozaana kuch na kuch deeni taaleem aasaani se haasil
kar sakte hain.
2
School, Tuition aur deegar masroofiyaat ki waja se bachchon ke paas waqt kam
rehta hai.
3
Nisaab ke liye ek se sawa ghante ka waqt muqarrar kiya gaya hai, taake tamaam
bachche sahoolat ke saath deeni taaleem haasil karne ke liye aa sakein.
Mo'tabar wa mustanad (Authentic) Mawaad
1
Is nisaab ko mustanad banaane ke liye is ke mawaad ke saath in ka hawaala
mo'tabar kitaabon se daala gaya hai.
Ikhtilaaf i baaton se parhez
1
Deeniyat nisaab mein mawaad musbat andaaz mein pesh kiya gaya hai,
ikhtilaafi baaton se parhez kiya gaya hai.
Khubsoorat colorful kitaab
1
Har saal ki kitaab ke sare waraq (cover page) ka rang alag alag rakha gaya hai,
taake pehchaan ne mein aasaani ho aur Kitaab ke 5 buniyaadi anaaween ke liye bhi alag
alag rang ka intikhaab kiya gaya hai aur mazmoon ki shanaakht ke liye safhaat ke
kinaare par gehre rang ke nishaanaat (Tag) lagaaye gaye hain, is tarah kitaab rangeen
aur bachchon ke liye dilchasp bani hai.
Aasaan zabaan wa umar ke munaasib mawaad
1
Bachchon ki umar aur un ki zehni satah ke lihaaz se mawaad aur zabaan ka
intikhaab kiya gaya hai.
2
Mazaameen aasaan andaaz mein diye gaye hain.
3
Shariat ka lihaaz rakhte huwe bachchon ki dichaspi ke liye tasweerein bhi di
gayi hain.
Mulki aur gair mulki zabaanon me tarjama
1
Urdu
English
Urdu English
Transliteration
Arabic
Hindi
Gujarati
Tamil
Asaami
Malayalam
Bangla
Telugu
Manipuri
Deeni taaleem haasil karne mein zabaan rukaawat na bane aur ziyaada se
ziyaada log nisaab se faaida uthaayein, isi maqsad se nisaab ka mukhtalif
zabaanon mein tarjama kiya gaya hai. Jaise english, hindi, gujarati, malayalam,
tamil, telugu, manipuri, aasaami, bangla, sawaahili, arabic, brail wagaira.
Kitaab ke ibtidaai saf haat mein 6 baatein pesh ki
gayi hain
1
Pesh lafz : Ilme deen ki ehmiyat wa fazeelat aur ummate muslima ki zimmedaari
bataayi gayi hain.
2
Nisaab ka ta'aruf :Jis se nisaab ke anaaween aur mazaameen ki waaqifiyat hogi.
3
Nisaab ki khusoosiyaat : Ta'aruf ke baad nisaab ki khusoosiyaat di gayi hain, us
se insha Allah nisaab ki umda tarteeb ka andaaza hoga.
4
Nisaab padhaane ka tareeqa : Nisaab ko nizaam ke saath murattab kiya gaya
hai, jis ke bagair nisaab ka khaatir khwaah faaida nahein ho sakta, isi garaz se
padhaane ka tareeqa bhi diya gaya hai, jis se nisaab ko makaatib mein jaari
karne mein madad milegi.
5
6
Ijmaali naqsha : Is se makaatib ke zimmedaaraan aur waalidain ko maaloom
hoga ke 5 saal mein bachcha kya padhne waala hai.
Maheena waar mazaameen aur fehrist : Is se har maheene ka target aur saal
bhar padhaaye jaane waale mazaameen ka tafseeli ilm hoga. Maheena waar
mazaameen ke baad kitaab mein padhaaye jaane waale mazaameen ki fehrist
safa number ke saath di gayi hai.
32. 5 saala ibtidaai (primary) nisaab
Ibtidaai nisaab mein naazira-e-qur'an
mukammal karne ke saath saath deen ki
bahot hi buniyaadi baatein sikhaayi gayi
hain.
5 Buniyaadi an aaween aur 14 zeli
mazaameen Bachchon ke liye 5 Saala
primar y course me in 5 bun iyaadi
ana aween aur un ke tahat 14 zeli
mazaameen diye gaye hain.
Hamd aur Naat
Nisaab mein har saal ibtidaaiyya ke tahat
chhoti aur aasaan ek hamd aur ek naat di
gayi hai. 5 saal mein 5 hamd aur 5 naatein
di gayi hain.
Qur'an ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
No.1 Nooraani Qaaida : Qur'ane kareem ko
sahi aur tajweed se padhne ke liye nooraani
qaaida ko kitaab mein shaamil kiya gaya
hai, nooraani qaaida ek saal aur 8 maah
mein mukammal hoga, aur naazira-equr'an 3 saal aur 2 maah mein mukammal
hoga.
No. 2 Hifze Surah : Qur'ane kareem ki
soorton ko yaad kraane ke liye Hifze surah
ka mazmoon rakha gaya hai. Is liye ke
namaaz mein qur'ane kareem sahi padhna
farz hai. Is tarah 5 saal mein 21 soortein
zabaani ho jaayegi.
Hadees ke tahat 2 Zeli mazaameen hain :
No.3 Dua wa sunnat : Rozaana pesh aane
waale aamaal ki masnoon duaaein aur
sunnatein di gayi hain aur khaas khaas
mauqon par kahe jaane waale masnoon
kalimaat bhi shaamile nisaab kiye gaye
hain, is tarah bachche 5 saal mein 38
aamaal ki duaaein aur 13 aamaal ki
sunnatein seekh leinge.
No.4 Hifze Hadees : 40 Hadeesein
yaad karne par Huzoor r ne jannat ki
bashaarat di hai, is liye 5 saal mein chhoti
aur aasaan 40 ahaadees di gayi hain,
taake har bachcha un ko yaad kar ke us
fazeelat ko haasil karle.
Aqaaid wa Masaail ke tahat 4 Zeli
mazaameen hain :
No.5 Aqaaid : 5 saal mein Aqaaid ke tahat
islaam ke 5 kalime aur imaane mufassal
mein aayi huwi baatein sawaal wa jawaab
ke andaaz mein di gayi hain.
No.6 Namaaz : 5 saal mein wuzu aur namaaz
sikhaane ke saath saath mukammal namaaz aur
us ki duaaein, mazeed 6 namaazon; witr, juma,
musaafir aur beemaar ki namaaz ke padhne
padhaane ka tareeqa aur un ki amali mashq bhi
di gayi hain.
No.7 Asma-e-Husna : Allah ta'ala ke sifaati
naamon mein zabardast taaseer hai, un ko yaad
karne par jannat ki bashaarat di gayi hai, isi liye 5
saal mein Allah ta'ala ke 99 Sifaati naam diye
gaye hain.
No.8 Masaail : Zindagi ko shareeat ke mutaabiq
guzaarne ke liye Masaail ka jaanna bahot
zaroori hai. Masaail ke zariye amal ka sahi aur
galat hona maaloom hota hai. Chunaanche 5
saal mein namaaz aur tahaarat ke zaroori
Masaail jaise Gusl, wuzu, namaaz ke fraaiz aur
waajibaat wagaira ke saath saath zakaat roza
aur haj ka mukhtasar ta'aruf diya gaya hai.
Islaami tarbiyat ke tahat 4 Zeli mazaameen hain :
No.9 Islaami maaloomaat : is ke tahat islaami
sakhsiyaat aur islaami maqaamaat wagaira se
mutaalliq 110 sawaalaat wa jawaabaat diye
gaye hain.
No. 10 Bayaan wa Dua : Deen ki baatein logon
tak pahonchaane ke liye har ek bayaan aur Allah
Ta'ala se maangne ki aadat daalne ke liye
bayaan ke baad ek qur'ani dua di gayi hai. Is
tarah bachcha 5 saal mein 5 bayaan aur 5
qur'ani duaaein seekh lega.
No. 11 Seerat : 5 saal mein Huzoor r aur
Khulafa-e-raashideen; Hazrat Abu bakr, Hazrat
Umar, Hazrat Usmaan aur Hazrat Ali RZ ki
seerat bachchon ke andaaz mein di gayi hai.
No.12 Aasaan deen : 5 Saal mein deen ke
Mash'hoor 5 Sho'be Imaaniyaat, ibaadaat,
muaamlaat, muaasharat aur akhlaaqiyaat par
aasaan andaaz mein 40 asbaaq diye gaye hain.
Zabaan ke tahat 2 Zeli mazaameen hain :
No.13 Arabi : 5 saal mein ginti rozaana
istemaal hone waali cheezon ke naam,
islaami maheenon aur dinon ke naam aur
jism ke aaza ke naam diye gaye hain.
No. 14 Urdu : Hamaare akaabir ki aksar
kitaabein urdu zabaan mein hain, un se
bharpoor faaida uthaane ke liye urdu zabaan
ka seekhna zaroori hai. 5 saal mein
mukammal Urdu padhna likhna sikhaaya
jaaye ga.
5 Saala Secondary Course
Yeh nisaab padhne waale talaba wa taalibaat ki umr taqreeban 11, 12 saal hogi,
chunaanche is nisaab mein un ki umar ke etibaar se aainda pesh aane waali zaroori
baatein di gayi hain, jaise tahaarat, namaaz, roza, namaaze janaaza wagaira ke
ahkaam.
Yeh nisaab ladko aur ladkiyon ke liye alag alag tayyaar kiya gaya hai, jisme ladko aur
ladkiyon ki zaroorat ke lihaaz se chand mazaameen mein farq kiya gaya hai; jaise darse
hadees, Masaail wa namaaz, seerat wa aasaan deen ke tarbiyati asbaaq.
5 Buniyaadi anaaween aur 12 zeli mazaameen
5 saala Secondary Course mein 5 Buniyaadi
anaaween aur un ke tahat 12 zeli mazaameen
diye gaye hain.
Hamd wa naat
5 saal mein 5 hamd aur 5 naatein di gayi hain.
Qur'an ke tahat 3 Zeli mazaameen hain
No.1 Tadweer ma' ilme tajweed : 5 saal mein
sura-e-hujuraat se sura-e-mursalaat tak
tamaam sooratein tajweed ki mukammal riaayat
aur qawaaid ke ijra ke saath di gayi hai.
No.2 Hifze Surah : 10 sooratein : sura-e-burooj
se sura-e-lail tak aur sura-e-alaq wa sura-ebayyina di gayi hai.
No.3 Darse Qur'an : Sura-e-faatiha aur 30th
paara aakhri paao ki 18 sooraton ka lafzi wa
muhaawari tarjama aur mukhtasar paigaam diya
gaya hain.
Hadees ke tahat 2 Zeli mazaameen hain
No. 4 Aadaab wa duaaein : 5 Saal mein 26
duaaein ma' fazaail aur 12 aadaab diye gaye
hain.
No.5 Dars-e-Hadees : Imaaniyaat aur ibaadaat
se mutaalliq Huzoor r ke 25 irshaadaat ka lafzi
wa muhaawari tarjama aur mukhtasar tashreeh
di gayi hai.
Aqaaid wa Masaail ke tahat 3 zeli mazaameen
hain
No. 6 Aqaaid : Islaam ke buniyaadi Aqaaid ko
mazeed wazaahat ke saath 5 saal mein diya
gaya hai.
No.7 Masaail : Islaam ke buniyaadi arkaan
(Namaaz, roza, zakaat aur Haj) ke tamaam
zaroori masaail ke saath zindagi ke mukhtalif
haalaat aur daur mein pesh aane waale deegar
ahem masaail diye gaye hain.
No.8 Namaaz : Mukhtalif auqaat mein Huzoor r
se saabit 8 namaazein, un ke fazaail aur un ke
padhne ka tareeqa diya gaya hai.
Islaami tarbiyat ke tahat 2 Zeli mazaameen hain
No.9 Seerat : Hamaare Nabi r ki seerat ke 25
t a r b i ya t i m az a am e e n a u r k h u l a f a a - e raashideen, azwaaje mutah’haraat, sahaaba-e-
kiraam, sahaabiyaat RZ ki zindagi ke haalaat
un ke deeni, hukoomati, samaaji aur tamadduni
kaarnaame 5 saal mein diye gaye hain.
No.10 Aasaan deen : Deen ke mash'hoor 5
sho'bon par mushtamil mukhtalif anaaween se
tarbiyati asbaaq diye gaye hain.
Zabaan ke tahat 2 Zeli mazaameen hain
No.11 Arabi : 5 saal mein ba-qaaida arabi
zabaan ibtidaa se likhna padhna sikhaaya
jaayega.
No.12 Urdu : Ambiya alihimus salaam ke
waaqiaat aur likhne ki mashq di gayi hai.
5 Saala Advance Course
Yeh nisaab padhne waale talaba wa taalibaat
ki umar taqreeban 15 se 16 saal hogi,
chunaanche is nisaab mein un ki umar ke
etibaar se mazeed zaroori aur ahem baatein
di gayi hain.
Talaba ki asri taaleem umooman umar ke is
hisse mein jaari rehti hain, lihaaza asri
taaleem ke saath saath deeni taaleem se
waabastagi rahe aur us ka mauqa mile, is
garaz se nisaab ko itni taweel muddat tak
phailaaya gaya hai, is tarah ummeed hai ke
maktab mein padhne wale talaba Qur'an wa
Hadees ke uloom, Aqaaid wa Masaail ke
zakheere, tarbiyat ke baab mein islaami
hidaayaat aur arabic zabaan ka achha
khaasa ilm haasil kar leinge, phir agar woh
ma'ash ka (yaani rozi kamaane ke liye) rukh
karta hai to yeh taaleem un ke liye mufeed
saabit hongi.
Yeh nisaab ladko aur ladkiyon ke liye alag
alag tayyaar kiya gaya hai, jis mein ladko aur
ladkiyon ki zaroorat ke lihaaz se chand
mazaameen mein farq kiya gaya hai; jaise
darse qur'an, darse hadees, masaail, seerat
wa aasaan deen ke tarbiyati asbaaq.
5 buniyaadi anaaween aur 9 zeli mazaameen
5 Saalaa Advanc Course mein 5 buniyaadi
anaaween aur un ke tahat 9 zeli mazaameen
diye gaye hain.
Qur'an ke tahat 2 zeli mazaameen hain
(1) Uloomul Qur'an : Aam fahem zabaan mein,
usoole tafseer, kutube tafseer wa mufassireen
ka ta'aruf aur kutube tafseer ki khusoosiyaat di
gayein hain.
No.2 Darse Qur'an : Sura-e-qadar se Sura-efajar tak qur'ane kareem ki 9 sooraton aur
aayatul kursi ka lafzi wa muhaawari tarjama,
soorat ka mukhtasar mafhoom, shaane nuzool
aur us ka paigaam aam fahem zabaan mein
diya gaya hai, neez Sura-e-Ankaboot, Sura-eBaqra, Sura-e-yunus, Sura-e-kahaf, Sura-eibrahim aur Sura-e-aale imran ki chand aayaat
ke ahem mazaameen diye gaye hain.
Hadees ke tahat 2 zeli mazaameen :
(3) Aadaab wa Duaaein : 34 aamaal ki duaaein
aur 12 aadaab ke zariye zindagi ke mukhtalif
sho'bon ke baare mein Aap r ki hayaate
mubaaraka se rehnumaai ki gayi hain.
(4) Darse Hadees : 10 mustadallaat
imaame Abu hanifa u aur Imaaniyaat
wa ibaadaat ke deegar ahem 6 riwaayaat ka
dars, neez sunnate nabwi aur jadeed
science ke 4 asbaaq ke zariye ummat
ke naujawaanon ko yeh baat bataayi gayi
hai ke yeh deen deene fitrat hai, neez
hadees, kutube hadees wa muhaddiseene
izaam ka aam fahem zabaan mein ta'aruf
diya gaya hai.
Aqaaid wa Masaail ke tahat 2 zeli
mazaameen hain
(5) Aqaaid : Tauheed, Risaalat aur aakhirat
ka aqli suboot mukaalme aur mazaameen
ke andaaz mein diya gaya hai, neez deegar
ahem aur zaroori islaami aqaaid, usoole
arba'a: qur'an, hadees, ijma, qayaas ka
ta'aruf aur qayaamat ki badi badi alaamaat
bayaan ki gayi hain.
(6) Masaail : Fiqah aur us ki buniyaad ka
ta'aruf, muaamlaat aur tijaarat ke ahkaam
aur halaal wa haraam ke baare mein
masaail jaise : sood, juwa, bima,
incurrence, bank se jaari hone waale cards
wagaira aur Huzoor r se saabit 5
namaazon jaise : Salaatut tasbeeh,
namaaze istisqa aur namaaze kusoof
wagaira ke padhne ka tareeqa diya gaya
hain.
Islaami Tarbiyat ke tahat 2 zeli mazaameen diye
gaye hain
(7) Seerat wa Taareekh : Huzoor r ki zindagi ke
mukhtalif goshon aur sifaat par 10 asbaaq, seerat
ki ahem aur mufeed kitaabon ki taraf rehnumaai,
neez naamwar taaba'een, akaabir, auliya aur
maazi qareeb ke ulama-e-haq mein se 35 ke
haalaat pesh kiye gaye hain aur islaami taareekh
se khilaafate raashida, khilaafate banu umayya,
khilaafate abbaasiya aur khilaafate usmaaniya ka
mukhtasar ta'aruf, khusoosiyaat aur urooj wa
zawaal aur un ke asbaab diye gaye hain.
(8) Aasaan Deen : Muaamalaat, muaasharat
aur akhlaaqiyaat par 46 asbaaq qur'an wa
hadees ki roshni mein diye gaye hain, neez
islaam ka siyaasi wa ma'ashi nizaam,
rusoomaat ki islaah ke liye mazaameen diye
gaye hain.
Zabaan ke tahat ek zeli mazmoon hai :
9) Arabic : Fe'le maazi wa muzaare se akheer
tak mukhtalif af'aal ki mashq, neez mukhtalif
jumlon, mazaameen aur mukaalmon ke
andaaz mein intihaai sahal andaaz mein arbi
zabaan ki mashq karaayi gayi hai.
33. 2 Saalaa Mardon ka nisaab
Mardon ke liye 2 saalaa nisaab tayyaar kiya gaya hai.
5 buniyaadi anaaween ke tahat 10 zeli mazaameen
Mardon ke 2 Saalaa nisaab mein 5 buniyaadi anaaween ke tehat 10 zeli mazaameen
hain :
Qur'an ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(1) Nooraani Qaaida/ Naazira-e-Qur'an (2) Hifze Surah.
Hadees ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(3) Dua wa Sunnat (4) Hifze Hadees
Aqaaid wa Masaail ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(5) Aqaaid (6) Masaail
Islami Tarbiyat ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(7) Seerat (8) Aasaan Deen
Zabaan ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(9) Arabic (10) Urdu
3 Saalaa Aurton ka nisaab
Aurton ke liye 3 saalaa nisaab tayyaar kiya gaya hai.
5 buniyaadi anaaween ke tahat 10 zeli mazaameen
Aurton ke 3 Saalaa nisaab mein 5 buniyaadi anaaween ke tehat 10 zeli mazaameen
hain :
Qur'an ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(1) Nooraani Qaaida/ Naazira-e-Qur'an (2) Hifze Surah.
Hadees ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(3) Dua wa Sunnat (4) Hifze Hadees
Aqaaid wa Masaail ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(5) Aqaaid (6) Masaail
Islami Tarbiyat ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(7) Seerat (8) Aasaan Deen
Zabaan ke tahat 2 zeli mazaameen hain :
(9) Arabic (10) Urdu

Similar documents

Leh Jeet Gya Maama! Phir se aya Obama! \(^_^)

Leh Jeet Gya Maama! Phir se aya Obama! \(^_^) ment me president ke role ki baat tou hoi but Rs5M or Akbar Bugti saab ke launde ne apne Zardari saab pe kisi ne ekk ungli nai khaaye 1.5M rupee :O In sabbb logon ko jo uthai :O ;) SC said ke essa ...

More information

Nigraani - Deeniyat

Nigraani - Deeniyat aabaad ho gaye the, jo ilme Deen se naawaaqif the, aur is se badh kar woh ilme Deen seekhne ki fikr bhi nahin kar rahe the aur na hi woh padhe likhe qabeele waale un par koi tawajjoh de rahe the, R...

More information

Tareeqa-e-taaleem

Tareeqa-e-taaleem Doosre paanch maheenon waale mazaameen padhaate waqt daur ke dinon mein pehle paanch maheenon waale mazaameen ka bhi daur karaate rahein. Masalan Dua-o-Sunnat ka daur Hifz-e-Hadees ke saath, Aqaaid...

More information

(Musalmaanon) Tum woh behtareen ummat ho jo logon

(Musalmaanon) Tum woh behtareen ummat ho jo logon har fikar mand shakhs ho sakta hai, jo maktab ko munazzam karne ke liye tayyaar ho, aise shakhs ko maktab ka maqaami zimmedaar bhi kehte hain.Kisi bhi nizaam ko chalaane ke liye ek zimmedaar ka hon...

More information