Transliteration App

Transcription

Transliteration App
HIFAAZAT
Qur'an aur Huzoor
ki
Duaaon ke zariye
INDEX
1-Shaitaan se hifaazat ki dua
2-Kisi bhi cheez ke shar se hifaazat
ki dua
3-Nazare bad ka ilaaj
4-Kisi se khatre ya khauf ke waqt
ki dua
5-Imaan par saabit qadmi ki dua
6-Gam wa pareshaani door karne
ke liye
9-Beemaari (Nazare bad wagaira)
se hifaazat ki dua
10-4 Cheezon se bachne ki dua
11-Jaadu se hifaazat ka nuskha
12-Museebaton se najaat haasil
karne ka nabawi nuskha
13-Har qism ki aafiyat ka nabawi nuskha
14-Badan ki salaamati ki dua
15-Nuqsaan se bachne ki dua
16-Tamaam zarooraton ka hal
17-Shaitaan ke asraat se
hifaazat aur bhi kai fawaaid
18-Aaseb aur saher wagaira se
hifaazat ka Nabawi nuskha
19- Sageera gunaahon se maafi ki dua
20-Har Farz namaaz ke baad Padhein
21-Manzil
22-Nuqsaan se hifaazat
(Istikhaare ki Dua)
1 - Shaitaan se hifaazat ki dua
Subah ke waqt padhein
Aoozu billaahis samee’il aleemi minash
shaitaanir rajeem.
[Amalul Yaum Wallaila Libni Sinni : 49, Anas Bin Maalik
]
Tarjama : Main shaitaan mardood se Allah
ki panaah mein aata hoon, jo sunne waala
aur jaanne waala hai.
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
ne
farmaaya : Jo shakhs subah ke waqt yeh
dua padhega, to shaam tak shaitaan ke
shar se mehfooz ho jaayega.
1
2 - Kisi bhi cheez ke shar se
hifaazat ki dua
Aoozu bikalimaatil laahit taammaati
min sharri maa khalaq.
[Muslim : 7053, Khaula Binte Hakeem
]
Tarjama : Main Allah Ta'ala ke mukammal
kalimaat ki panaah mein aata hoon
tamaam makhlooq ke shar se.
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
ne
farmaaya : Jo shakhs kisi bhi jagah par
qayaam kare phir yeh dua padhe to jab tak
wahaan thhehra rahega koi cheez us ko
nuqsaan nahin pohnchaayegi.
2
3 - Nazare bad ka ilaaj
Allaahumma azhib harraha wa bardaha
wa wasabaha.
[Amalul Yaum Wallaila Nasai: 1033, Aamir Bin Rabee'ah
]
Tarjama : Aye Allah! Nazare bad ki garmi
aur us ki thhandak aur us ki takleef ko door
farma.
Fazeelat / Hadees : Ek shakhs ko nazar
lag gayi thi to Aap
ne us ke seene par
haath rakh kar yeh dua farmaai.
3
4 - Kisi se khatre ya khauf
ke waqt ki dua
Allaahumma inna naj’aluka fee
nuhoorihim wa naoozubika min
shuroorihim.
[Abu Daawood: 1537, Abdullaah Bin Abi Bardah
]
Tarjama : Aye Allah! Ham (apni hifaazat ke
liye) aap ko un dushmanon ke muqaable
mein pesh karte hain aur un ki buraai se
panaah chaahte hain.
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
jab
kisi se khatra mehsoos karte, to yeh dua
farmaate.
4
5 - Imaan par saabit qadmi ki dua
Ya muqallibal quloobi sabbit qalbi alaa
deenika.
[Tirmizi : 2140, Anas
]
Tarjama : Aye dilon ko pherne waale! Mera
dil apne Deen par jama de.
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
kasrat se yeh dua padha karte the.
5
6 - Gam wa pareshaani
door karne ke liye
Yaa hayyu yaa qayyoom Birhamatika
astageesu.
[Sunanut Tirmizi : 3524, Anas Bin Maalik
]
Tarjama : Aye hamesha zinda rehne waale,
sab ko thaamne waale ! Main teri rahmat ki
ummeed ke saath tujh se faryaad karta
hoon.
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
ko jab
koi gam ya pareshaani laahiq hoti to yeh
kaha karte.
6
Subah wa Sham 7 martaba padhein
Allahumma ajirnee minannaar
[Abu Daaood : 5079]
Tarjama : Aye Allah! mujhe jahannam se
najaat ata farmaaiye.
Fazeelat : Muslim bin Haaris Tameemi
farmaate hain ke Rasoolullah
ne un ke
saath sar goshi farmaayi aur farmaaya ke
jab tum magrib ki namaaz se faarig ho jaao
to 7 martaba yeh dua padho, agar tum yeh
dua padh loge aur usi raat mein tumhaari
wafaat ho jaaye, to tumhaare liye jahannam
se khalaasi likh di jaayegi, aur jab tum fajr ki
namaaz padh lo, to ye dua padh liye karo,
agar tum aisa kar lete ho, aur us din tumhaara intiqaal ho jaata hai, to tumaare liye
jahannam se chhutkaara likh diya jaayega.
7
8 - Dunya wa Aakhirat ki aafiyat
ke liye sab se behtareen dua
Allaahumma inni as’alukal aafiyata
wal muaafaat fiddunya wal aakhirah
Tarjama : Aye Allah mein aap se dunya wa
aakhirat ki aafiyat talab karta hoon.
Fazeelat : Ek shakhs ne Huzoor
ki
khidmat mein aakar arz kiya ke aye Allah
ke Rasool ! sab se behtar dua kaun si hai.
Aap
ne darje baala dua maangne ki
talqeen farmaayi, doosre din bhi us ne
aakar yahi sawaal kiya. Aap
ne use
yahi dua bataayi, jab teesre din aakar us
ne yahi sawaal kiya, to Aap
ne yahi
dua bataayi aur farmaaya : jab tumhein
dunya wa aakhirat ki aafiyat mil gayi to tum
kaamiyaab ho gaye.
8
9 - Beemaari (Nazare bad wagaira)
se hifaazat ki dua
Bismillaahi arqeeka min kulli shai’in
yu’zeeka min sharri kulli nafsin aw aini
haasidin, Allahu yashfeeka bismillaahi
arqeeka.
[Muslim : 5829, Abu Sa'eed
]
Tarjama : Main Allah ka naam le kar tujh
par dam karta hoon, har us cheez se
bachane ke liye jo tujhe takleef deti hai
aur har nafs ke shar se aur har haasid ki
aankh ke shar se. Allah tujhe shifa de,
9
Allah ka naam le kar main tujh par dam
karta hoon.
Fazeelat / Hadees : Hazrat Jibraeel
Nabi ke paas aaye aur arz kiya : Aye
Muhammed ! Aap beemaar hain ? Aap
ne farmaaya : Ji haan, to Jibraeel
ne yeh dua di.
10
10 - 4 Cheezon se bachne ki dua
Allahumma inni aoozubika min qalbil
laa yakhsha’u wa min duaail
laa yusma’u wa min nafsil laa tashba’u
wa min ilmil laa yanfa’u, aoozubika
min haaulaail arba.
[Tirmizi: 3482, Abdullah bin Amr
11
]
Tarjama : Aye Allah! Main na darne waale
dil, qubool na hone waali dua, sair na hone
waale nafs aur nafa na pohnchaane waale
ilm se teri panaah chaahta hoon, Aye
Allah! Main in 4 cheezon se teri panaah
leta hoon.
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
dua farmaate the.
12
yeh
11 - Jaadu se hifaazat ka nuskha
Aoozu biwajhillaahil azeemil lazi laisa
shaiun a’zama minhu wa bikalimaatil
laahit taammaatil laati laa
yujaawizuhunna barrunw walaa
faajirunw wa bi’asmaail laahil husna
kulliha maa alimtu minha wama lam
a’lam min sharri maa khalaqa wa
bara’a wa zara’a.
[Muatta Imaam Maalik : 3502, Ka'ab Ahbaar
13
]
Tarjama : Main Allah ki us azeem zaat ki
panaah maangta hoon ke jis se koi cheez
badi nahin hai, aur (panaah maangta
hoon) Allah ke un kalimaat ki jin se aage
nahin badhta hai koi nek aur koi bura
shakhs, aur (panaah maangta hoon) Allah
ke tamaam naamon ki jo mujhe maaloom
hai aur jo mujhe maaloom nahin hai, un
tamaam cheezon ki buraai se jo us ne
paida ki aur thheek banaai aur phelaai.
Fazeelat / Hadees : Hazrat Ka'ab Ahbaar
farmaate hain ke agar mein yeh dua
na padhta to yahood jaadu ke zor se
mujhe gadha bana dete.
14
12 - Museebaton se najaat haasil
karne ka nabawi nuskha
Subah wa shaam padhein.
15
Allaahumma anta rabbi laa ilaaha
illa anta alaika tawakkaltu wa anta
rabbul arshil azeem. Maa shaa’allaahu
kaana wa maa lam yasha’ lam yakun
wa laa haula walaa quwwata illaa
billaahil aliyyil azeem. A’lamu annal
laaha alaa kulli shai’in qadeeruw wa
annal laaha qad ahaata bikulli shai’in
ilmaa. Allaahumma inni aoozubika min
sharri nafsi Wa min sharri kulli
daabbatin anta aakhizun bi
naasiyatihaa Inna rabbi alaa siraatim
mustaqeem.
[Ibne Sunni : 57, Abu Darda
]
Tarjama : Aye Allah ! Aap hi mere paalne
waale hain, aap ke siwa koi ibaadat ke
laaiq nahin hai, Aap hi par main ne bharosa
16
kiya aur aap hi azeem arsh ke maalik hain,
jo kuchh Allah ne chaaha woh huwa aur jo
Allah ne nahin chaaha woh nahin huwa aur
gunaahon se bachne aur nek kaamon ke
karne ki taaqat Allah ki madad hi se milti
hai jo bulandi waala, azmat waala hai,
main yaqeen karta hoon ke Allah Ta'ala har
cheez par poori qudrat rakhne waala hai
aur yeh ki Allah Ta'ala ka ilm har cheez ko
ghere huwe hai. Aye Allah! main Aap ki
panaah maangta hoon, mere nafs ki
buraai se aur har us jaanwar ki buraai se jis
ki peshaani Aap ke qabze mein hai,
beshak mera Rab seedhe raaste par hai.
Fazeelat / Hadees : Hazrat Abu Darda
farmaate hain ke main ne Rasoolullah
ko farmaate huwe suna ke jo shakhs in
kalimaat ko subah padhe to shaam tak koi
museebat nahin pohnchegi aur shaam ko
padhle to subah tak koi museebat nahin
pohnchegi.
17
13 - Har qism ki aafiyat ka
nabawi nuskha
Subah wa shaam padhein.
Allaahumma inni as’alukal afwa wal
aafiyata fiddunya wal aakhirah.
Allaahumma inni as’alukal afwa wal
aafiyata fee deeni wa dunyaaya wa
ahlee wa maalee, Allaahummas tur
18
auraatee wa aamin rau’aatee,
Allaahummah faznee mim baini yadayya
wa min khalfee wa ainyameenee wa an
shimaalee wa min fauqee wa aoozu
bi’azmatika an ugtaala min tahtee.
[Abu Daawood : 5074, Ibne Umar
]
Tarjama : Aye Allah main aap se aafiyat
maangta hoon duniya aur aakhirat mein,
Aye Allah main aap se maafi aur salaamati
maangta hoon mere deen par meri duniya
mein aur mere ghar waalon mein aur mere
maal mein, Aye Allah ! dhaanp le mere
aibon ko aur khauf ki cheezon se mujhe
amaan de. Aye Allah! meri hifaazat kar
mere aage se aur mere peechhe se aur
mere daayein se aur mere baayein se aur
mere oopar se. Aur main Aap ki azmat ki
panaah leta hoon is se ke halaak kiya
jaaoon mere neeche se.
Fazeelat / Hadees : Huzoor
hamesha
subah wa shaam yeh dua padha karte the.
19
14 - Badan ki salaamati ki dua
Subah wa shaam 3 martaba padhein.
Allaahumma aafinee fee badani,
Allaahumma aafinee fee sam’ee,
Allaahumma aafinee fee basari,
laa ilaaha illa anta.
[Abu Daawood : 5090, Abu Bakrah
]
Tarjama : Aye Allah! mere badan ko durust
rakhiye, Aye Allah! mere kaan aafiyat se
rakhiye, Aye Allah! meri aankhein aafiyat
se rakhiye, aap ke siwa koi ibaadat ke
laaiq nahin.
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
rozaana subah wa shaam ke waqt yeh
dua 3, 3 baar padha karte the.
20
15 - Nuqsaan se bachne ki dua
Subah wa shaam 3 martaba padhein.
Bismillaahillazee laa yazurru
ma’asmihee shaiun fil arzi walaa
fissamaai wa huwas sameeul aleem
[Tirmizi : 3388, Usman Bin Affaan
]
Tarjama : Allah ke naam ke saath main ne
subah ki jis ke naam ki barkat se koi cheez
nuqsaan nahien pohnchaati, zameen mein
aur na aasamaan mein aur wahi khoob
sunne waala, bada jaanne waala hai.
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
ne
farmaaya: Jo shakhs subah wa shaam 3
martaba yeh dua padh liya kare, use koi
cheez nuqsaan nahin pohncha sakti.
21
16 - Tamaam zarooraton ka hal
Subah wa shaam 7 martaba padhein.
Hasbiyallaahu laa ilaaha illa huwa,
alaihi tawakkaltu wa huwa rabbul
arshil azeem.
[Abu Daaood : 5081, Abu Darda
]
Tarjama : Mere liye Allah Ta'ala kaafi hain
jis ke alaawa koi maabood nahien, Us par
main ne bharosa kiya aur woh arshe
azeem ka Rab hai.
Fazeelat / Hadees : Hazrat Abu Darda
farmaate hain ke jo shakhs subah wa
shaam 7 martaba yeh dua yaqeen ke
saath ya bagair yaqeen ke padh le to Allah
taala us ke har aham mas'ale ki kafaalat
farmaayeinge.
22
17 - Shaitaan ke asraat se
hifaazat aur bhi kai fawaaid
10 Martaba subah aur 10 martaba shaam mein padhein.
Laa ilaaha illallaahu wahdahu laa
shareeka lahu, lahul mulku
wa lahul hamdu wa huwa alaa kulli
shai’in qadeer.
[Musnade Ahmad: 8719, Abu Hurairah
]
Fazeelat / Hadees : Jo Shakhs subah yeh
kalimaat padhe to us ke liye 100 nekiyaan
likhi jaayegi aur 100 gunaah maaf kiye
jaaenge, aur us ke liye ek gulaam aazaad
karne ke baraabar sawaab hoga. aur
shaam tak hifaazat mein rahega aur jis ne
shaam ko padha to subah tak us ke liye
aisa hi hota hai.
23
18 - Aaseb aur saher wagaira se
hifaazat ka Nabawi nuskha
Shaam mein 3 Martaba padhein.
Amsainaa wa amsal mulku lillaahi,
wal hamdu kulluhu lillaahi, aoozu
billaahillazi yumsikus samaa’a an
taqa’a alal arzi illaa bi’iznihi min sharri
maa khalaqa wa zara’a wa min
sharrish shaitaani wa shirkihi.
[Amalul Yaum Wallaila liibne sunni : 67]
Tarjama : Allah ke liye ham ne aur poori
saltanat ne shaam ki, tamaam ta'areef
Allah ke liye hai, main panaah leta hoon
24
Allah ki, jis ne aasmaan ko zameen par
girne se roke rakha hai, makhlooq ki buraai
se aur us buraai se jo phaili hai aur shaitaan
ke shar aur us ke shirk se.
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
ne
Abdullaah bin Amr bin Aas se farmaaya:
Bada achchha hota ke shaam ke waqt is
dua ko 3 martaba padh lete.
19 - Sageera gunaahon se maafi ki dua
Subhaanallaahi wa bihamdihi
[Bukhaari : 6405, Abu huraira
]
Tarjama : Allah ki zaat tamaam uyoobon se
paak hai aur ta’areef usi ke liye hai.
Fazeelat : Rasoolullah
ne irshaad
farmaaya : Jis ne rozaana 100 martaba
yeh dua padhi us ke tamaam (sageera)
gunaah maaf kar diye jaayeinge, agar che
woh kasrat mein samandar ke jhaag ke
baraabar hon.
25
20 - Har Farz namaaz ke
baad Padhein
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
ne
farmaaya : jo shakhs har farz namaaz ke
baad.
33 martaba
Subhaanallaah
33 martaba
Alhamdulillaah
aur 34 martaba
Allaahu akbar
padhta hai woh kabhi nuqsaan mein nahi
rehta.
[Muslim : 1377, Ka’ab bin Ujrah
26
]
21 - Manzil
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
1
2
3
4
6
5
2
1
5
3
4
1
38
2
3
4
5
1
2
3
5
4
5
6
39
Fazeelat / Hadees : Rasoolullah
farmaate hain ke jis ne istikhaara kar liya
kare woh kabhi nuqsaan nahi uthaayega.
[Tabraani Ausat : 6627, Anas bin Malik
]
Allah ke faisle par raazi rehna insaan ki nek
bakhti ki alaamat hai aur istikhaara na
karna bad qismati hai.
[Tirmizi : 2151, Sa'ad
]
Rasoolullah
istikhaara is tarah sikhaate
the, jaise Qur'aan ki sooratien sikhaate.
Aap
farmaate hain jab koi ahem kaam
ho to 2 rakaat istikhaara ki niyyat se nafl
namaaz padhne ke baad istikhaare ki yeh
dua apdhein.
[Bukhari : 6382, Jaabir
]
Note : Lafz
2 jagah aaya hai, yahaan
pahnoche to apne kaam ka naam lein ya
dil mein us kaam ka khayaal karein jis ke
baare mein ishtikhaara kiya hai.
Istikhaara ka jawaab : Khawaab mein us
cheez ko dekh le ya dil mein koi baat jam
jaaye ya jis cheez ke liye istikhaara kiya
gaya hai us ke liye rasta aasaan ho jaaye
ua rukaawat paida ho jaaye.
41
Allahumma inni astakheeruka bi ilmika
wa astaqdiruka bi qudratika
wa as’aluka min fazlikal azeemi
fa-innaka taqdiru wala aqdiru wa
ta’lamu wala a’lamu wa anta allaamul
guyoob. Allaahumma in kunta ta’lamu
anna haazal amra khairullee fee deeni
wa ma’aashi wa aaqibati amree
faqdirhu lee wa yassirhu lee summa
baarik lee feehi wa in kunta ta’lamu
anna haazal amra sharrul lee fee deeni
wa ma’aashi wa aaqibati amri fasrifhu
anni wasrifni anhu waqdir liyal khaira
haisu kaana summa arzini bihi.
42
Tarjama : Aye Allah ! Main tere ilm ke zariye
tujh se bhalaai maangta hoon, aur teri
qudrat ke zariye tujh se qudrat talab karta
hoon aur tere azeem fazl ka tujh se sawaal
karta hoon, is liye ke tu (har kaam ki)
qudrat rakhta hai aur main (kisi bhi kaam
ki) qudrat nahin rakhta aur tu (sub kuchh)
jaanta hai aur main (kuchh) nahin jaanta,
aur tu hi tamaam chhupi huwi (baaton) ko
achchhi tarah jaanne waala hai. Aye Allah !
agar tere ilm mein mere liye yeh kaam
mere deen aur duniya aur mere kaam ke
anjaam mein behtar hai to us ko mere liye
muqaddar farma, aur us ko mere liye
aasaan kar de phir mere liye us mein
barkat ata farma aur agar tere ilm mein
mere liye yeh kaam mere deen aur duniya
mere kaam ke anjaam mein bura hai to us
ko mujh se aur mujh ko us se door farma
aur mere liye bhalaai muqaddar farma,
jahaan kahin bhi ho, phir us par mujhe
raazi farma.
43