Lyrics

Transcription

Lyrics
ATMA MEIN PRARTHANA
1. HALLELUIAH
Halleluiah-4
Halleluah….
2. AA PAVITRA AATMA
Aa
Aa
Aa
Aa
pavitra aatma tu aaja
main prarthna karoon
apni shakti mein aaja
apni namrata mein aa
Gyan apne bacchon ko de de
Andhon ki roshni tu ban
Nirbal ko shakti tu de de
Le meri aatma tan mann
Sukhe mein chashma baha de
Murjhaye man mein tu aa
Aa apne saamarth mein aaja
Choole sampoorn bana
3. APNE GHUTNON PE
Apne ghutnon pe main aakar, aur namrata mein aakar
Jhukta hoon Prabhu tere samne, apne hathon ko uthaun
Naya pyar main banau, karoon aatma mein prarthana
Karoon satya mein prarthana, jeevan ko mere Prabhu stuti bana de
4. APNE HAATH UTHAKAR
Apne haath uthakar, hothon pe stuti lekar
Dhanyavad dene
Prabhu main aaya hoon,
Prabhu main aaya hoon – 2
Prabhu hum aaye hain
5. PRABHU AAPKA PYAAR
Aradhana karta hoon main
Yeh jeevan prabhu, prabhu hai tere liye
Prabhu aapke pyar ke samne
Aapki pavitrata ke samne
Duniya ki sab aashayen
Mit jayengi mann mein se
Meri aawaz aapke paas aayegi
Aapki icchha mere jeevan mein hogi, duniya ki sab
Aradhana karte hain hum
Yeh jeevan prabhu, prabhu hai tere liye
6. MAHIMA DENGE TUJHKO
Mahima denge tujhko, Prabhu
Mahima tujhko Prabhu ……
Tera naam mahaan aur sabse ooncha hai
Aadar denge ………
Pavan kehte tujhko
Yeshu kehte ……….
7. PRABHU TU HAI MAHAAN
Prabhu tu hai mahaan, sabse mahaan
Ek hi parmeshwar na koi tere samaan
Aradhana karenge hum
Aradhana o Prabhu
8. TERA LAHOO
Tera lahoo saaf karta hai
Tera lahoo jeevan deta hai
Tera lahoo meri liye, mere paap ko leta hai
Dhota hai, karta hai mujhe begunah,
Mera yeshu, Prabhu ka pyara balidan
Tera vachan ……….
Tera pyar …………
9. PRABHU TU HAI
Prabhu tu hai, chandi se bhi kimti
Prabhu tu hai, sone se mehenga
Prabhu tu hai, hiron se bhi sundar
Aur tujhse badhkar, kuch nahin chahoon – 2
Prabhu tu hai, mere dil se bhi kimti
Prabhu tu hai, jeevan se bhi mehenga
Prabhu tu hai, shristi se bhi sundar
Aur tujhse badhkar kuch nahin chahoon
10. NAYE TEL SE
Naye tel se abhishek kar, Pavitra aatma se bhar -2
Apni marji bata de, teri raahen sikha de -2
Main aata tere paas, aur zyada tere paas – 2
Main aata tere paas …….
Prabhu …………
11. RAAJ KARO
Raaj karo Parmeshwar raaj karo
Raaj karo Parmweshwar mujh mein
Tera raaj aaye, mere jeevan mein
Teri icchha ho, mere mann mein
Raaj karo, parmeshwar raaj karo
12. SAARA JAHAAN
Sara jahaan, gaye prabhu ki mahima
Sundarta, mein kaun hain prabhu ke samaan
Hamesha ke liye, hamesha, Tu hai raja – 2
Hum milkar karenge, teri aradhana – 2
Main zaahir karoon, Jeevit Yeshu ki mahima
Jo qurbaan hua, mere paapon ke liye
Hamesha ke liye, hamesha
Tu hai rajaa – 2
Hum milkar karenge – 2
Teri aradhana – 2

Similar documents