third book pdf - Shah Bano Khan

Transcription

third book pdf - Shah Bano Khan
……………………………………………………………………………………………………………………………………………………....
INDEX
S. NO.
51.
CHAPTER
DAJJAAL PART – 1
PAGE NO
01-04
52.
DAJJAAL PART – 2
05-08
53.
DAJJAAL PART – 3
09-13
54.
ALLAH KAHAN HAI
14-18
55.
SHIRK ( ZULM ALLAH PAR ) PART - 1
19-28
56.
SHIRK ( ZULM ALLAH PAR ) PART - 2
29-32
57.
LOVE ALLAH
33-35
58.
DAILY CHECKLIST
36-37
59.
DUA ( RABBANA )
38-39
60.
VAHI
40-42
61.
INSAF KA DIN
43-46
62.
SADQA AUR TAHAJJUD
47-51
63.
TAKLEEF MEHSOOS KAREN
52-53
64.
ITIKAAF (SECLUSION)
54-59
65.
LA ILAHA ILLALLAH
60-62
66.
STORY OF IBRAHIM ALEHISALAM PART – 1
63-66
67.
STORY OF IBRAHIM ALEHISALAM PART – 2
67-69
68.
STORY OF IBRAHIM ALEHISALAM PART – 3
70-71
…………………………………………………………………………………………………………………………………………………………….
……………………………………………………………………………………………………………………………………………………....
69.
ALHUMDULILLAH
72-75
70.
BID’AH
76-83
71.
EID-UL-FITR
84-90
72.
TASBEEH
91-92
73.
HUMATA ( ALLAH KI AAG)
93-100
74.
ZAKAT KE MASAIL
101-109
75.
ZAKAT-UL-FITR
110-114
…………………………………………………………………………………………………………………………………………………………….
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
51. DAJJAAL
HADITH KI ROSHNI MAIN DAJJAAL KI TAAREEF
PART-1
Hazarat Abu Bakr R.A kehte hain ki hamain Nabi SAW
ne
aagah
farmaaya
dajjaal
mashriq
(east)
ki
sarzameen se niklega (origin) us jagah ka naam
khuraasaan hai. Chamda bhari dhaalon jaise chehre
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
1
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
ke log (chapte chehre wale
log)
uske
saath
honge
dajjaal ka zuhur (origin) ese
waqt main jab log use bhool
chuke honge.
Hazrat Saab se rivaayat hai
ki mene Nabi SAW ko logon
ko farmate hue suna dajjaal
zahir nahi hoga magar jab log use bhool chuke honge
to hatta ke aaima (ulema) uska zikr memberon (jis
par imam khade ho kar bayan dete hain) par karna
chod chuke honge means vo apne khutbe main
dajjaal ka zikr bhi nahi karenge.
Hazrat Hafsa R.A se rivaayat hai ki Aap SAW ne
farmaaya dajjaal ka logon ke saamne nikalne ka sabab
(reason) uska ghussa hoga jo use ghazabnaak bana
dega1.
Dajjaal ka hulia (get up)
Hazrat Abdullah bin Umar se rivaayat hai ki Aap SAW
ne farmaya mene khwaab main dekha ki main tawaaf
kar raha hoon achanak mene ek aadmi dekha gandam
1
Muslim
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
2
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
goh (brown) seedhe baalon wala, uske baalon se paani
tapak raha tha jese abhi abhi ghusl (bath) kiya ho
mene poocha ye kon hain unhone bataya Esa Ibne
Mariyam
hain, phir mene doosri taraf
tawajjoh
(dekha) ki to ek surkh rang (red colour) ka mota
aadmi nazar aaya jiske sir ke Baal ghungraale (curly)
aankh kaani (ek aankh wala) thi. Jis tarha phoola hua
angoor hota hai mene poocha yeh kon hai unhone
jawab diya dajjaal hai. Dajjaal ki donon aankhon ke
beech main kaafir likha hoga2.
Hazrat Anas se rivaayat hai ki Aap SAW ne farmaaya
koi nabi aesa nahin aaya jisne apni ummat ko kaane
(one eyed) aur jhoote dajjaal se na daraaya ho vo
kaana hoga aur tumhara rab kaana nahin,
aagah
(alert) raho aur dajjaal ki donon aankhon ke darmiyan
( centre) kafir likha hoga.
Kaafir ka lafz (word) har musalman padh lega chahe
padha likha ho ya anpadh (uneducated) dajjaal ke sir
par bohot zyada baal honge.
Isliye hamain har jume ke din Surah Kahf padhne ka
hukm hai.
2
Bukhari
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
3
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Isse ham dajjaal ke fitne se mehfooz (protect) reh
sakenge IN SHA ALLAH.
Jo shakhs is surah ki ibtidaayi (starting) 10 aayat
yaad karle vo dajjal ke fitne se mehfooz rahega3.
3
Sahi Muslim
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
4
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
52. DAJJAAL
PART-2
Ab tak hamne dekha ki
dajjaal
qayamat
se
pehle niklega.
Aur
qayamat
ki
nishaaniyan hain:
1. Suraj ka Maghrib se rise hona yani west se nikalna.
2. Dabbatul ard ka nikalna, yani zameen se esa janwar
ka nikalna jo logon se baaten kare.
3. Dajjaal ka zahir hona.
Jab dajjaal zahir hoga to wo pury duniya ka chakkar
lagayga aur log uske peeche ho jayenge aur use apna
khuda manne lagenge.
Nabi SAW ne farmaya ki hoshiyar raho dajjaal shaam
(Syria) ya yaman ke samandar main mojood he phir
farmaya nahi wo mashriq (east) ki taraf hai, do baar
kaha, phir apne haath mubarik se east ki taraf ishara
kiya4.
Is Hadith se hamen pata chalta hai ki dajjaal east se
niklega.
4
Hazarat Fatima binte qes se riwayat hai
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
5
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Rivaayaton se hamen pata chalta hai ki dajjaal ke
hukum se baarish barsegi aur zameen par ghaans aur
anaaj ugega, janvar pehle se zyada doodh dena shuru
kar denge.
Hazarat Nawa bin Samaan kehte hain ki ek din Aap
SAW ne dajjaal ka zikr kiya, mene poocha ya Rasool
Allah SAW zameen main uska ghoomna kis tarha
hoga yani wo kis tarah duniya main phelega.
Aap me farmaya us barish ki tarhan jise hava piche
dhakelti hai mtlab jis tarhan barish ke paniko hava
udaakar lejati hai, aur poori zameen main pani phel
jata hai usi tarhan.
Dajjaal ek qaom ke paas ayga unhe apne upar imaan
lane ki dawat dega, woh us par imaan le aaienge
means use apna khuda maan lenge. Woh aasmaan ko
hukum de kar baarish barsaayga, zameen ko hukum
dekar nabataat means greenery ugaa dega, logon ke
janwar khoob doodh dene lagenge.
Dajjaal dosari qaom ke paas jayga unhen bhi apne
upar imaan lane ko kahega woh inkaar kar denge to
vahan qehad yaani drought aa jayga.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
6
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dajjaal zameen se khazane (treasure) nikal dega apne
followers’ ke liye. Dajjaal ke nikalne ke baad kisi ka
imaan laana qubool nahi kiya jayega, matlab dajjaal
ke nikalne se pehle pehle jo imaan le aega uska
imaan laana accept kia jayega.
Adam A. S. se lekar qayamat tak dajjaal se bada koi
fitna nahin.
FITNA-E-DAJJAAL
Ek aisa fitna hai jis se us waqt ka momin (musalman)
bhi use follow karne lagega
use
apna
khuda
maan
bethega kyoki uske saath
jannat
aur
jahannum
hongi.
Magar jo jannat dikhai degi
asal me vo jahannum hogi
aur jahannum jannat. Isse
log dhoka kha jaaenge aur
aise miracles dekhkar use apna khuda samjhenge.
Magar sachche momin samajh jayenge ki ye dajjaal
hai aur pahadon main jaa ghusenge.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
7
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
8
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
53.
DAJJAAL
PART-3
Ab tak hamen dekha ki dajjaal
poory
duniyan
ka
chakkar
lagayga aur koi shehar aisa na
hoga jis main dajjaal daakhil
na
ho,
sivaye
Makkah
aur
Madina ke. Kyu ki farishte in
dono shahron ki hifazat line
banakar karenge. Riwayat he ki dajjaal ki muddat
hamare subah shaam ke mutabiq 1 saal 2 mahine aur
2 hafte hogi5.
Aap SAW ne farmaya dajjaal 40 din zameen par
rahega jiska 1 din 1 saal ke barabar, dusra din mahine
ke aur teesra din hafte yaani week ke barabar honga,
aur baaki bache 37 din tumhare aam dino ke barabar
honge. Ise hazarat Nawas bin Smaan ne riwayat kia
hai.
FOLLOWERS OF DAJJAAL
Hazarat Anas bin Malik se riwayat hai, Aap SAW ne
farmaya Iran ke shehar Asfaan se 70 thousand
5
Muslim
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
9
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
yahoodi siyah (black) chadar oode dajjaal ka saath
denge6.
Allah Ta'ala jab Isa A.S. ko dubara is duniya main
bhejenge to Isa A.S. Bache hue musalmano ke saath
mil kar dajjaal aur us ki army ke khilaaf jihaad
karenge .
Dajjaal Isa A.S. ke haatho Lud naam ki jagah par qatal
hoga, jahan aaj kal Israel ka airport hai.
Dajjaal se mukable ke dauran musalman Syria ki city
Damascas ke kareeb ghauta par apna padhaw dalenge.
Jab
Hazarat
Isa
A.S.
aasmaan
se
utrenge
to
musalmano ko namaz padhaenge. Dajjaal Isa A.S. ko
dekhega to is tarha ghulega jese namak paani main
ghul jata hai, vo use chod dete to bhi vo yun hi ghul
jata magar Allah Ta'ala use Isa A.S. ke haato qatal
karange aur Isa A.S. Apne neze par dajjaal ka khoon
longo ko dikhange6.
Hazarat Abu Hurayra se riwayat hai ki Rasool Allah
SAW ne farmaya ki qayamat tab tak nahi aaygi jab
tak musalman yahoodiyon ke khilaaf jang nahi
karenge, woh unhe maar denge jab yahoodi patthar
6
Muslim
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
10
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
ya kisi tree's ke peche chupenge to wo patthar aur
tree's bhi bolenge “Ae musalman Allah ke bande idhar
aa mere peeche yahoodi chupa he, ise maar do”.
Sivay Gharqad ka tree woh unhen bachayga kyoki ye
yahoodiyan ka tree hai.
Isliye yahoodi is tree ko khoob lagate hain taki zyada
se zyada ye tree's zameen par oog jay,
Woh ise shirt par, tea cups waghera ke zariye ise
promote karte hain.
DAJJAAL SE BACHNE KI DUAYEN
1. Hazrat Ayesha R.A arz karti hain ki Rasool Allah
SAW namaz main darood sharif ke baad ye dua
manga karte the:
"ALLAH
HUMMA
INNI
AAOZUBIKA
MIN
AZZABAL
QABRI WA AAOZOBIKA MIN FITNATIL MASSEHIL
DAJJAALI WA AAOZUBIKA
MIN FITNATIL MAHYA
WAL MAMAATI ALLAH HUMMA INNI AAOZUBIKA
MINAL MA ASMI WAL ALLAH MAGHRAM" 7.
2. Hazrat Abu Darda kehte hain ki Aap SAW ne
farmaaya jo shakhs Surah Kahaf ki ibtidaayi
7
Bukhari aur Muslim ne rivaayat kiya hai
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
11
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
(starting) aayat padhta rahe vo dajjaal ke fitne se
mehfooz rahega8.
3. Jo shakhs Surah kahaf ki ibtidaayi (starting) ten
aayat yaad kare vo dajjal ke fitne se mehfooz
rahega.
4. Hazrat Abu Saeed RA kehte hain ki Aap SAW ne
farmaaya jo shakhs jumme ke din Surah kahaf
padhe to do jumuh ke darmiyan (between) uske
liye NOOR E ROSHAN ban jaata hai .
Vese to saare Qur'an ka padhna fazilat hai magar
Surah kahaf ka padhna apne andar kai faayede rakhta
hai jisme specially dajjaal ke fitne se protection hai.
8
Tirmizi
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
12
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Isliye Surah Kahaf ko khaas fazilat hai, yeh Qur'an ke
beech Mai aai hai. Isme paaye jaane wale ehkaamat
bohot hi precious hain.Isliye kaha gaya hai ki Surah
Kahf padho. Isme mojood stories insan ko zindagi
jeene ka tareeqa sikhate hain.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
13
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
54. ALLAH KAHAN HAI
Ak baar Hz Abdullah bin Umar jo second khalifa HZ
Umar ke bete the apne kuch ghulamoon ke saath
safar kar rahe the.Raste main khane ka vaqt hua to
sabne khana nikala aur
khane ke liye beth gaye.Unhone dekha ki qareeb hi
ak charvaha hai apni bakriyoon ke saath to Abdullah
bin Umar ne usko bulaya ki aao hamare saath khana
kha lo.Usne bataya ki uska roza hai Abdullah bin
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
14
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Umar ko bahot hairat hui ki ramzaan bhi nahi hain
aur itni garmi main isne nafali roza rakha hai.
Unhone usse iske bare main poocha to usne kaha ki
main aakhrat ki tayyari kar raha hoon isliye roze se
hoon.
QUR'AN
Aaj tum is jannat main maze se khao peeo us amal ke
badle main jo tum duniya main kar ke aaye ho.
Isliye main duniya main amal kar raha hoon taki kal
jannat main khaoon peeyoon.Abdullah bin Umar ko
ye sun kar bahot khushi hui kyon ki vo bhi bahot
parhezgaar the. Unhone usko aur aazmana chaha
kaha ki tum isme se ak bakri mujhe beech do hum ise
zibah karenge aur isse tumhe iftaar karvayenge. Is
par usne kaha ki ye bakriyaan meri nahi hain ye
mere malik ki hain main to ghulaam hoon
,main
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
15
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
amanat main khyanat nahi kar sakta .Abdullah bin
Umar ne kaha malik ko pata nahi chalega agar pata
chal bhi gaya to tum kah dena gum gaye,Ya bhediya
kha gaya.is par charvaha kahne laga- ALLAH KAHAN
HAI ?
Yani agar koi dekh nahi bhi raha tab bhi Allah to
dekh raha hai vo ye repeat karta hua vo vahan se
chala gaya.
Abdullah bin Umar ko uska ye kahna itna pasand aaya
ki foran madine pahunch kar us ghulaam ko uske
malik se khareeda azaad kiya aur sari bakriyaan bhi
khareed kar use tohfe main de di.
Uski honesty ka badla Allah ne use duniya main bhi
diya.
Aur Allah ki razamandi use mili aur jo aakhrat main
milega vo alag.
Ye duniya ki zindagi bahot thodi hai. Ye sirf hamare
test ke liye hai isliye itni problems difficulties hain jo
sirf hamara test hai
ki hum karte kya hain. Asal
zindagi vo hai jo marne ke baad shuru hogi jiske baad
kabhi maut nahi hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
16
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jisko ye baat samjh main aa jati hai vo duniya ki har
pareshani gham main mayoos nahi hota use pata
hota hai bas thode din ki baat hai agar yahan bach
bach kar zindagi guzaar li to kal Allah ke paas har vo
cheez milegi jiski qurbani humne duniya main Allah
ki khatir ki hogi.
Amanat ko amanat samjhna bahot zaruri hai .jab hum
office main kaam karte hain to amanat ka kitna
khyal rakhte hain office ki har cheez official use ke
liye hoti hai na ki personal . Isliye kabhi bhi office
ke papers, pen ,pencils ko ghar la kar bancho ko na
deen .Office se printouts nikaalna
apne personal
use ke liye ya koi bhi aesi cheez ye amanat main
khayat hai
.Iska bahot dhyaan rakhna chahiye ki
chahe koi dekh na raha ho Allah
hai.Thode
se
paise
bachane
ke
to dekh raha
liye
imaan
na
gavayeen.
Isi tarah batain bhi amanat hoti hain ki jab koi kahe
ye baat kisi ko na batana to vo bhi amanat hai.isi
tarah rishte bhi amanat hote hain.Har har baat main
ye soocheen ki chahe koi dekhe ya na dekhe Allah to
dekh raha hai aur palat kar Allah ke paas hi jana
hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
17
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
18
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
55. SHIRK (ZULM E AZEEM)
PART-1
BISMILLAH HIRRAHMAAN NIR
RAHEEM
Ye duniya ak examination hall
hai aur hum har vaqt duniya
ka koi na koi question solve
kar rahe hote hai.aur Allah
SWT dekh rahe hote hain ki
hum kya kar rahe hain us question ko kaise solve
karte hain. Chalain isko aese samjhte hain ki suppose
koi hai jo bahot bimaar hai uski bimari theek hi nahi
ho rahi vo Allah se khoob dua kar raha hai lekin uski
nahi suni ja rahi kyonki Allah ne uski kismat main
likha hai ki aaj se ak mahine baad uska koi dost use
milega jo use us -us doctor ke paas lejayega khud
paise dega ilaaj karvayega aur vo theek ho jayega. Ab
ye Allah ka banda hai, Allah ki zaat par ise yaqeen bhi
hai ,taqdeer par bhi yaqeen hai
ab iske paas do
options hain ya to dua karta rahe aur Allah par
bharosa rakhe ya galat jagah se madad mange aur
shirk kare
Allah par zulm kare aur imaan gavan de.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
19
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ab ye dua karta hai 15
din
guzar jate hain aur kuch nahi
hota to shaitaan ko moqa mil
jata hai vo iske paas kisi ko
bhejta hai ki hum us dargah
par
chalte
hai,
vahan
dua
karte hain ,ya tum koi taveez
pahan lo isse theek ho jaoge.
Ab agar insaan na umeed ho kar shaitan ki baat sun
leta hai aur taveez pahanta hai ya dargah par jata hai
aur theek 15 din baad uska vo dost aata hai jiska
aana iski taqdeer main likha tha aur uska ilaaj
karvata hai aur ye theek ho jata hai to shaitaan kahta
hai dekho tumne ye taveez pahna aur dargah par
gaye isse theek ho gaye. Aur ye insaan bhi yehi
samjhne lagta hai to ye apne exam main fail ho jata
hai aur iska imaan chala jata hai aur Allah SWT
jinhone ise theek kiya vo bhi naraz ho jate hain ki
theek maine kiya aur ye kah raha hai ki dargah ya
taveez se theek hua.
Ise shirk kahte hain ki Allah SWT par zulm karna ki
Allah ko chodhkar kisi aur cheez par bharosa karna
Allah par, taqdeer par bharosa na karna. Allah ke
bajaye khud ki sunna, dosroon ki sunna. Allah ke
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
20
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
bajaye kisi aur ki baat ko importance dena sab kuch
diya aapko Allah ne aur baat aap kisi aur ki mane,
mohabbat kisi aur se kare, ahsan kisi aur ka mane,
bharosa kisi aur par karen. Isko Allah SWT apne oper
zulm samjhte hain aur is cheez se Allah SWT ko
takleef hoti hai.
Allah Taa'la ne insaan ko paida kiya, hamain itna
achcha jism diya, ankhain, kaan, haath, paer diye.
ALHAMDULILLAH
Hum chal sakte hain, dekh sakte hain, bol sakte hai,
phir itne achche maa -baap diye ,bhai -behan, rishte,
phir hamare liye itni khoobsurat duniya banaye taki
hum araam se rah sake ,badle main humse kya chaha
ki hum iski itaat kare, na farmani na kare, us par
bharosa kare, usi se mohabbat kareen, jab koi
mushkil aaye to usi ko madad ke liye pukare.
Lekin hum uski din raat nafarmani karte hai phir bhi
vo hamain diye chala jata hai lekin ye gunah aesa hai
jisko vo zulm samjhta apni zaat ke liye jise vo kabhi
nahin bakshega vo hai shirk. Jinhone shirk kiya hoga
Qayamat ke din Allah SWT aese logon ki taraf
dekhenge bhi nahi na unse baat karenge.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
21
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
SHIRK KYA HAI
1. Kisi
se
aesi
mohabbat
karna jaisi Allah ka haq
hai. Jaisi mohabbat Allah
se karni chahiye. Pathar
ko
khuda
banana,
kisi
buzurg se aqidat rakhna,
ki yehi sab kuch theek kar
sakta hai aur koi nahi.
2. Madad ke liye Allah ko
chodh kar insano ko pukarna aur ye samjhna ki ye
hamain mushkil se bachayenge. Insan ko sirf zariya
samjhna chahiye ki Allah ne madad ki ise hamari
madad ke liue bheja.
3. Qabro par jana, unse mangna ki ye qabr vale Allah
se hamari sifarish karenge jab ki vo to mar chuke
hai unka to is duniya se koi talluq hi nahin hai
Qabr vale na sunte hai na bolte hai lekin majority of
Muslims hinduoon ko dekh kar qabro ki pooja shuru
kar dete hai. Ye Allah par bahot bada zulm hai
.Qayamat ke din Allah SWT kahenge bulao un ko
khud ko chudhane ke liye jinko tum duniya main
mujhe chodh kar pukarte the.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
22
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
4. Maal par bharosa karna ki yehi mera sahara hai din
raat paisa kamane main lagna namaze chodhna ye
samjhna ki yehi maal bure vaqt main kaam ayega
ye bhi shirk hai kyonki bure vaqt main Allah SWT
kaam aate hain na ki maal .Surah Kahaf main
baagh vale ka kissa yaad kareen .ki ak min lagta
hai jab jal kar khtam ho jata hai .iska matlab ye
nahi ki insan maal na kamaye .kamaye use Allah ke
raste main lagane ke liye apni living ke liye
kamaye lekin us par bharosa na kare.
5. Dikhava karna logon ke samne alag, akele main
alag. Namaz padhna logon ko dikhane ke liye, naiki
ke kaam karna Allah Taa'la aese amal qubool nahin
karta yahan humne Allah ke saath logon ko
shareek kiya ki Allah SWT aapke liye to kiya tha
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
23
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
lekin aap sab ke saath share kar lijeye. To Allah ko
khalis kaam uske liye chahiye use sharing pasand
nahi.
6. Khud ki baat manna yani namaz ka vaqt hai lekin
hum match dekh rahe hain hamara dil nahin chah
raha ki namaz padhe to humne Allah ki baat na
maan kar apni baat mani Allah par zulm kiya shirk
kiya.haan Allah Taa'la namaz ka vaqt to hai lekin
mujhe aapse mulaqaat nahi karni main apni baat
sununga aur TV dekhunga to is vaqt aapne Allah ki
baat na sun kar apne nafs ki baat suni .shirk kiya.
Zulm kiya .yaad rahe ki ye aankhe aapko Allah ne
di hai. Isliye nahi ki aap inke zariye Allah ki
nafarmani karen.
7. Bimar hue to ye kahna ki uski vajah se bimaar hue.
Ki Allah ne mujhe ye takleef di. Why me? Jab ki vo
to taqdeer main likhi thi.
Bimari ko Allah SWT
hamare gunaho ko dhone ka zariya banate hain
isliye Har haal main Allah SWT ka shukar ada
kare.
Apne nafe- nuqsaan ka zimmedaar kisi ko
thahrana jab ki nafe- nuqsaan ka malik sirf Allah
hai.
Yani iski vajah se mujhe fayeda hua uski vajah se
nuqsaan hua. Yani zarur usne jadu kiya hoga to main
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
24
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
bimaar hua. Ye sab zulm hai Allah ko in batain se
takleef hoti hai.
8. Ye kahna ki us Doctor ki is dava se main theek hua
ye bhi shirk hai kyonki theek to Allah ne kiya Dr.
Aur dava to sirf zariya the. Agar Allah na chahe to
koi dava shifa nahi de sakti.
Iska matlab ye bhi nahi ki sab kuch chodhkar bheth
jayeen ki agar kismat main hoga to khud theek ho
jayenge. Nahi asbaab to hamain istemaal karna hai is
duniya main zindagi guzaarne ke liye lekin bharosa
sirf Allah par karna hai.
9. Taveez pehanna ki ye musibat se bachayega.
Taveez par bharosa karna Allah par nahin.hamain
pata nahi hota ki taveez main kya likha hai ,agar
Qur'an ki koi aayat likhi hai to vo pehan kar toilet
ja rahe hain to ak gunah ke oper dosra gunah.
Ye samjhna ki ye taveez pahan liya ab koi musibat
nahi aa sakti. Ye bhi zulm hai musibat se Allah SWT
hi bacha sakte hain koi taveez nahi sahaba ya Aap
SAW ne kabhi koi taveez nahi pehna.
10. Maan-Baap ya shohar ya bivi ya bachcho ya dosti
ki khushi ke liye Allah ke nafarmani vale kaam
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
25
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
karna jaise shohar ki khushi ke liye parda chodh
dena ya bivi ke kahne par rishvat lena yani jo Allah
ne haram karar diya ho use in logon ki khatir halal
kar lena yani maan-baap ko kisi dargah par le jana
ye kah kar ki Maan-Baab ki khushi ke liye ye bhi
Allah ke saath shirk hai ki Allah ki baat na maan
kar humne inki baat mani. Dost bura maan jayega
ye sooch kar vo kaam karna jiska karna Allah ko
pasand nahi. Yaad rahe ki ye rishte aap ko Allah ne
diye hain .Isliye nahi ki aap inki mohabbat main
Allah ki nafarmani kareen.
Ye bahut sensitive issue hai bahut phoonk- phoonk
kar qadam rakhna hota hai ki kahin koi aesi galti na
ho jaye ki shirk ho jaye. Allah par zulm ho aur Allah
ko humse takleef pahunche.
Jab hum Allah ke bajaye kisi aur ko importance dete
hai to Allah Taa'la ko bilkul pasand nahin aata aur
agar usi halat main mout aa gaye to ye vo ak akela
gunah hai jisko Allah SWT kabhi nahin bakhshenge.
Shirk ki vajah se sari naikiyaan bhi zaya ho jati hai.
Allah SWT kahte hain ye naikiyaan mere liye to
nahin ki. Jisko khush karna tha duniya main kar
diya mere liye kya laye ho.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
26
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Isliye hamain chahiye ki shirk ke bare main zyada se
zyada jane aur usi se mohabbat kare jisne sab kuch
diya usi se mange jo sab kuch de sakta hai aur har
haal main usi ka ahsaan mane usi ka shukar ada kare.
Aap SAW ke chacha jinhone sari zindagi apko protect
kiya Abu Talib jinhone aapko pala kuffare makkah to
aapki jaan ke dushman the unse sari zindagi hifazat
ki lekin marte dam tak islam nahin laye aur kufr ki
halat main hi mar gaye jab Aap SAW ne Allah se unki
maghfirat ki dua ki to Allah SWT ne aapko dua karne
se rok diya inse zyada kya naiki ho sakto hai ki Aap
SAW ko sambhala, qadam-qadam par saath diya, lekin
unke shirk ki vajah se sari naikiyaan zaya ho gaye.
Yani pori zindagi bahot achche kaam kiye lekin Allah
ko rab na mana .Isse unko bhi javab mil jayega to
mother Teresa ke bare main poochte hai.
Achche kamoon main do cheeze zaruri hain ak vo sirf
Allah ko khush karne ke liye kiye jayeen dosra jo
tariqa Aap SAW ne bataya vese kiye jayeen. Apna koi
tariqa usme add na kiya jayee. Jo Allah ki ibadat nahi
karte aur bahot achche kaam karte hain unko uska
badla duniya main hi de diya jata hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
27
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Shaitan sab se pehle insan ko shirk main phasata hai
kyonki uska vada hai ki main tere bando ko age se
peeche se daye se baye se behkaonga aur tu majority
ko nashukra payega.
To Allah SWT ne bhi usko javab diya ki jo teri baat
manenge unko bhi main tere saath Jahannum main
dalunga lekin mere mukhlis yani khalis bando par
tera zor nahin chalega.
Shaitan oper aur neeche kahna bhool gaya isliye
shaitan se bachne ke liye oper ka rasta yani Allah se
dua ka rasta khula hai.
Dosra neeche ka sijda yani namaz nafil, namaz
tahajjud se Allah se madad mangne ka darvaza khula
hai.
ALLAH TA'ALA' HAMAIN MEHFOOZ RAKHE
AAMEEN
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
28
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
56. SHIRK (Zulm E AZEEM)
PART - 2
TYPES OF SHIRK
1. Allah ke siwa kisiaur ko musibat ya pareshani main
pukarna ya madad ke liye pukarnajo maujood
nahin hai, zinda nahi hai shirk hai.
Jaise Ghause Azam/ya Khwaja Ghareeb Nawaz/ya
Nabi/ya Ali etc.
Agar asbaab samne hai jaise bimari me doctor, police
for security, agar gaddhe me gir jaye aur koi upar hai
to usko hath dekar madadke liye pukarna etc jayaz
hai.
2. Dori/dhage/seepi/kodi/moti/stone/metal/angooth
i/chhalla
/mala
/nibu/mirchi/taweez/qabr
ki
mitti/kapda/kaaghaz/ adhe hue keelen/huroofe
muqattaat/ghode ki naal/ imaam zamin bandhna,
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
29
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
gale me ya ghar me ya car me chipkana, thokna,
latkana, tona totka dabana hifazat barkat ke liye
ki hamari hifazat karenge, sab shirk hai sirf shirk.
3. Ganda-dhage par Qur'an me se kuch padhkar
phoonk kar githane bandh kar pehanna shirk hai.
Allah ne to hamain phoonk maar kar ghanthan
bandhne wali aurton se khud ki panah mangna
sikhaya hai Surah FALAQ main.
4. Taweez-chahe usme numbers wala naqsh ho/ya
Allah ka naam/ya ayatul kursi/ya poora QUR'AN ye
sab pehanna aur latkana shirk hai.
5. Tilismi moti-teeth nikalte waqt bachchon ke gale
me kale dhage me jo dalte hain yeh shirk hai. Jab
daant nikalna honge tabhi niklenge insab se kuch
nahi hota Atqaad khraab hota hai. Allah ko pasand
nahi hai aur iska koi medicinal use bhi nahi hai.
6. Tughra-Allah ke naam/charon qul/ayatul kursi/
Qur'an ya huroofe muqatta-at/kaabe ka darwaza etc
gharon ya dukano me is niyat se lagana ki barkat
ho, nazar se bache, shaitan na aye, hifazat ho ye
shirk hai haan sirf decoration, ya dekh kar bar bar
padhenge is liye lagaya ja sakta hai.
7. Car hangings-paper/iron/copper jis par Allah ka
naam/ayatul kursi ya kuch bhi likha ho car me
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
30
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
hifazat ke liye rakhna ya is niyat se ki koi musibat
nahi aaegi Qur'an ki copy rakhna shirk hai.
Agar niyat ye hai ki isliye rakh rahe hain ki agar
time milega to Qur'an padh lenge koi Surah yaad kar
lenge. Ya safar ki dua dekhkar yaad rahega ki dua
padhkar gadi main bhethna hai to vo theek hai, shirk
nahi hai.
Hamara pore deen ki buniyaad niyat par hai ki ander
kya sooch rahe hain.
8. Allah ke alawa kisi aur ke liye nazro -niyaaz manna
shirk hai.
9. Dargah /alam/taziye par jana, chadhawe chadhana,
dua mangna, tawaaf karna shirk hai.
10. Jadu karna jadu karvana kufr hai jo shirk ka
sabab banta hai, faal kholna ya parchiyen nikalkar
apni qismat maloom karna shirk hai.
11. Nazar se bachne ke liye kala teeka lagana, ya
body par saleeb/cross ka nishan banana, dinon yani
days ko lucky ya unlucky samajhna like mangal,
shani etc shirk hai.
12. Horoscope/zodiac signs par yaqeen karna aur
apni taqdeer janne ki koshish karna shirk hai isi
tarna haath dikhana apni kismat maloom karna.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
31
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Sitaroon se kismat maloom karne ki koshish karna
sab shirk hai.
SUPPLICATION FOR FEAR OF SHIRK
َ‫و َأ ْس َت ْغ ِّف ُر َ َِّك َمإ ََل َأ ْع َ َُل‬،َ ‫ْش َك ِّب َك َو َأَنَ َأ ْع َ َُل‬
ِّ ْ ُ‫َاللَّهُ َّمإ ِّن ْيأَ ُع ْو ُذ ِّب ََكَنْأ‬
ِ
“O Allah, I take refuge in you least I should commit
shirk
with
you
knowingly
and
I
seek
your
forgiveness for what I do unknowingly”.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
32
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
57. LOVE ALLAH
Jab maine Qur'an shuru kiya
to akdam se khud ko change
karna
bahot
mushkil
tha.
Accident ke baad kafi cheeze
jaise film, TV, gane, ye to sirf
khauf se chode the lekin phir
bhi bahot kuch tha jo apne ander change karna tha.
Main apni teacher se kahti main hijaab nahi kar
sakti, mujhse nahi hota, naqab lagane main mera
dam ghutta hai. Abaya India main pehanne main
mujhe garmi lagti hai, to vo smile deti aur kahti ki
jab Allah se mohabbat ho jayegi to sab asaan ho
jayega. Mujhe lagta tha kya mujhe Allah se mohabbat
nahi hai, aur kya hai ye mohabbat aur mujhe kab
hogi.
Phir jab Qur'an ke saath vaqt guzarta gaya aur Qur'an
ke saath- saath Aap SAW ki life history padhi ,sahaba
ki life history padhi dekha ki unko Allah se kaisi
mohabbat thi to thodha- thodha samjh main aana
shuru hua.
Mohabbat ak driving force hai jo insan se kuch bhi
karva leti hai phir insan ki apni marzi nahi chalti.
Bas phir ye ahsaas hota hai ki jisse mohabbat hai vo
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
33
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
khush rahe hamare kisi kaam
se naraz na ho. Phir mujhe
ahsaas
hua
ki
hum
sab
Allah ki, Aap SAW ki izzat to
karte
hain
lekin
shayad
mohabbat nahi karte isi liye
hamain deen ki batain follow
karne main takleef hoti hai.
Isko isse samjhte hain jaise Saudi Arabia ke naye
king Salmaan hain. As a king sab unki izzat karte
hain.Lekin jaise hi vo king bane to dhere -dhere unke
bare main pata chalna shuru hua ki vo hafize Qur'an
hai.Bahot khoobsurat Qur'an padhte hain, unke ander
Allah ka khauf hai, namaz ki hifazat karte hain,
namaz ka vaqt hua to Obama ko chodh kar chale
gaye.jab crown prince the to aam logon ke saath tavaf
karte the. Itna sab kuch sunkar unse mohabbat bhi
hui, izzat ke saath ki itne achche insan hain.
Isi tarah hum sab Allah Taa'la ki izzat to karte hain
lekin kam jaane ki vajah se vo mohabbat nahi karte
jitni karni chahiye. Agar hamain Allah se mohabbat
ho jayegi to deen aur bhi asaan ho jayega.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
34
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Uske liye Allah Taa'la ke bare me zyada se zyada
jaanne ki koshish karna chahiye, usse milne ka shauk
hona chahiye.jisse hamara usse ak rishta qayam ho
sake taki hum har vaqt Allah ko apne saath mehsoos
kare apne khushi gham main usko pukarain.
Allah Taa'la Qur'an main kahte hain inhone meri
qadar ki hi nahi jaisi karni chahiye thi.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
35
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
58. DAILY CHECKLIST
1. Subah sabse pehle FAJIR KI NMAAZ
2. Phir thoda sa QUR'AN PADHNA
3. Phir SUBAH KI DUAYEE net se mil jayengi aur 10
min., lagenge padhne main.
4. Ghar se nikalte hi SADQA dena.
5. ZOHAR KI NAMAZ vaqt par.
6. ASIR KI NAMAZ vaqt par kyonki is vaqt farishte
change hote hain to ALLAH TAA'LA ke paas gavahi
denge ki humne isko is haal main chodha ki ye
namaaz padh raha tha.
7. SHAM KI DUAYEEN - Subah sham ki duayeen
hamari hifazat karti hain.
8. MAGHRIB KI NAMAZ.
9. Phir ISHA KI NAMAZ.
Uske baad
o SURAH MULK
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
36
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
o RAAT KI DUAYEEN
o AYATAL KURSI
o TEENO QUL
o VAZU KARKE SONA.
10. Sona seedhi karvat par aur jaldi sona kyonki fajir
main phir uthna hai.
11. Iske alava din bhar sirf
LA ILLAHA ILLALLAH
padhte rahe shuru main adat isi se dale.
12. Koshish kareen din bhar main kisi ak ko khana
khila deen Ofcourse kisi friend ko nahi kisi gareeb
ko friends ko to hum aese hi khilate rahte hain.
13. Iske alava kisi ki madad kren jo madad mange
bagair kisi return ki umeed ke.Aur jo bhi naiki ke
kaam kar sakte hoon.
14. Raat ko sone se pehle calculate kareen ki aaj
kitni naikiyaan kamai.
15. Haram se bachna, jhoot nahi bolna masaaq main
bhi nahi etc.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
37
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
59. DUA (RABBANA)
RABBINA ATINA FID
DUNIYA HASANATAUN
VA FIL AAKHIRATI
HASANATAUN VAQINA
AZAAB UN NAAR.
RABB- Ae Hamare Rab.
NA- Humko
AATI- De
NA- Humko
FI- Main
DUNIYA- Duniya
HASANA- Bhalaiyaan
VA- Aur
FI- Main
L- Liye
AAKHIRATI- Aakhrat
HASANA- Bhalaiyaan
VA- Aur
QI- Bacha
NA- Humko
AZAAB- Azaab
UN- Se
NAAR- Aag
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
38
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ae hamare rab de humko is duniya main bhalaiyaan
aur aakhrat main bhalaiyaan aur bacha humko aag ke
azaab se.
AYAH 201 SURAH BAQARAH.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
39
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
60. VAHI
Allah Taa'la ne duniya banaye insano ko banaya phir
aese hi duniya main bhatakne ke liye chodh nahi
diya
shuru se paigambaro
ko bheja messengers
prophets jinhone Allah ke message ko hum tak
pahunchaya ki Allah Taa'la ne hamain kyon banaya
hai hamari zindagi ka purpose kya hai hamain mar
kar kahan jana hai .Ye paigham message Allah Taa'la
ne vahi ke zariye Qur'an ki shakal main hum tak
pahunchaya.
Jab bhi koi naya electronic market main launch hota
hai to uske saath ek book hoti hai jisme likha hota
hai use kaise chalana agar hum vo book na padhe aur
apni marzi se use chalaye yani agar 220v ki jagah use
110v par chalaye ya vice versa to kya hoga.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
40
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Isi tarah Allah Taa'la ne hamare liye Qur'an utara jo
hamari kitaab hai iska topic insan hai isme bataya
gaya hai ki insan ko kaise chalna hai, kya boundaries
hai, kin laws ko use follow karna hai aur Allah Taa'la
usse kya expect karte hain.
Ye pora Qur'an 23 years main Aap SAW par vahi ke
zariye utra.
VAHI KYA HAI?
Jibrael Alehisalam jo farishtoon ke sardaar the ye
Aap SAW ke paas vahi late the. Vahi message tha
Allah Taa'la ka jab vahi aati to Aap par ak ajeeb si
neend ki kafiyat hoti Aap ke aas paas ke logon ko
buzzing sound mehsoos hoti ya ghanti ki avaz jo Aap
ke paas betha hota vo samjh jata ki Qur'an nazil ho
raha hai Aap SAW par bahot boojh padta agar Aap kisi
oontni par hote to vo vazan se beeth jati.
Ak baar Aap SAW kisi sahabi ke saath bethe the
aapka ghutna unke ghutne par rakha tha vahi shuru
hui to un sahabi ko itna boojh mehsoos hua ki unhe
laga ki unka peer toot jayega.
Sakht sardi main jab Aap SAW
par vahi aati to Aap
SAW paseene- paseene ho jate.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
41
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jab vahi khtam hoti to Aap ko vo sab kuch yaad hota
tha jo Allah Taa'la ne aapko message bheja hota tha,
Aap sahaba ko bulva kar unhe likhva dete the isi
tarah 23 years main Qur'an pora hua baad main ise
book ki shakal main copy kiya gaya.
Ye ak live kitaab hai jaise hi hum Qur'an kholte hai
Allah Taa'la ko pata chal jata hai .aur hamara
communication Allah se shuru ho jata hai iski kisi
bhi ayah ko padhkar koi ye nahi kah sakta ki ye 1400
years purani kitaab hai hum jab Qur'an padhna shuru
karte hain to jo bhi hamari zindagi main chal raha
hota hai vohi ayate aani shuru ho jati hai jo bhi
hamari problem hoti hai uska solution mil jata hai
agar yaqeen na ho to karke dekh le .ye book of
guidance hai jo insaan ko Allah ke zariye guide karti
hai lekin hum ise samjh kar nahi padhte isliye hum
iski azmat ko mehsoos nahi kar pate aur us guidance
se mehroom ho jate hain.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
42
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
61. INSAAF KA DIN
Allah SWT ne insaan ko banaya to aese hi nahi bheja
pori tarah programming karke bheja. Jaise hum koi
mobile
khareedte
hai
to
usme
pehle
se
kafi
programmes downloaded hote hai uske baad aage
hum jo chahe usme load karte jate hain.Isi tarah
kaynaat
ki
har
cheezki
bhi
Allah
Taa'la
ne
programming ki hai jaise jo janver carnivorous hai vo
grass nahi kha sakte. Shair kitna bhi bhooka ho apne
banchcho ko nahi khata, har kism ki chidiya (bird )
ka nest banane ka tariqa alag hota hai, ye sab kisne
unhe sikhaya. Suraj, Chaand sab ko pata hai ki kab
kisko nikalna hai. Galaxies main har koi apne orbit
main hai koi bhi apni limit cross nahi karta. Har
cheez disciplined hai. Har ek Allah ki ibadat main
lage hue hain Qur'an main baar baar aata hai ki
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
43
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
kaynaat ki har cheez uski tasbeeh kar rahi hai lekin
tum use samjh nahi sakte. In sab ka hisaab nahi hoga
kyonki inko choice nahi di gaye yani ye apni marzi
nahi kar sakte. Isliye qayamat ke din inko khtam kar
diya jayega yani inke liye koi jannat dosakh nahi hai.
Ab insaan; isko Allah ne sabse khoobsurat banaya,
aqal di, samjh di aur balance bhi diya phir duniya
main free choice dekar chodha. Uske baad bhi use
pori tarah apni marzi karne ki ijazat nahi hai ye aesa
hi hai jaise kisi janver ke gale main lambi rassi
bandhi ho aur use grazing ke liye chodh diya jaye
lekin jab vo had se age badhne ki koshish kare to
rassi kheench li jaye. Isliye use azadi to hai lekin had
se age bhi nahi badhne diya gaya. Isliye insaan ke
paas choice to hai lekin limited. Isliye har insaan vo
sab nahi kar sakta jo uski marzi hoti hai .ek had par
use rukna hi hota hai.
Ye jo Allah ne use balance diya iski programming
Allah SWT ne sab ke liye ek jaisi ki yani har insaan
chahe koi bhi religion follow karta ho use pata hai
kya sahi hai kya galat hai. Jhoot bolna, dhoka dena
galat hai ye sab jante hai etc.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
44
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jab insaan achcha karta hai to chahta hai ki use
praise kiya jaye, jaise chote bachche kuch achcha kar
ke chahte hain ki unhe shabashi mile aur jab galti
karte hain to chupte hain pareshan hote hain unhe
pata hota hai ki unko saza milegi.
Isi tarah jab koi aur insaan ke saath zulm karta hai to
vo chahta hai ki uske saath insaaf ho. Jisne bura kiya
hai usko saza mile.
Kya jisne pori zindagi achche kaam kiye aur jisne
pori zindagi bure kaam dono ka anjaam sirf maut ho.
To ye to insaaf nahi isliye Allah SWT ne qayamat ka
din rakha ki achche logon ko unke kamoon ka achcha
badla mile aur bure logon ko saza mile jo unhone
duniya main zulm kiye hain.
Isse hamare ander ek sukoon ka ahsaas bhi paida
hota hai ki koi chahe hamare saath kitna bhi bura
kare is duniya main, ek din hai jab Allah SWT usko
uski saza denge. Is baat se uske liye zulm sehan
karna, sabr karna sab asaan ho jata hai. Phir koi uske
saath bura bhi karta hai to use bura nahi lagta vo har
cheez Allah par chodhta jata hai. Ye ehsaas use ek
khoobsurat personality bhi deta hai. Phir aese insaan
se sab mohabbat karne lagte hain.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
45
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Lekin ak dosre tarah ka insaan hota hai jo har vaqt
apni
marzi
karna
chahta
hai.
Uske
ander
ki
programming jab use alert karti hai to use shut down
kar deta hai .Vo gunah karna chahta hai kyonki
shaitaan ne gunahoon main bahot lazzat rakhi hai
.Insaan gunah karke bahot enjoy karta hai.
Qayamat ke din ka inkar bhi vo isliye karta hai
kyonki vo aur gunah karna chahta hai, palatna nahi
chahta. Agar jeete je aesa inssan nahi sambhla to
marne ke baad qayamat ke din uska regret karna use
koi kaam na dega. Us din aese log kahenge ae Allah
hamain duniya main ek baar phir vapas bhej dijeye ab
hum achche kaam karke aayenge.Us vaqt Allah SWT
unki taraf dekhenge bhi nahi aur na baat karenge. Us
din unhe apni har sans par afsoos hoga ki humne
duniya main apna vaqt barbaad kiya.
Kash ke hum kuch kar lete.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
46
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
62. SADQA AUR TAHAJJUD
ALHAMDULILLAH going to finish
27th para bahot achchi ayat padh
rahi thi soocha shure karu.
AYAT 11 SURAH HADEED
Allah Taa'la farmate hain kon
hai jo Allah ko qarz de, achcha
qarz, to Allah Taa'la use dugna karke lotayenge aur
uske kiye izzat vala ajar hai.
EXPLANATION
Allah Taa'la ke paas to zameen aasmaan ki har cheez
hai Phir vo humse qarz kyon mang rahe hain?
Hamare liye taki Allah Taa'la ne jo hamain diya hai
usme se hum Allah Taa'la ke raste main kharch
kareen.
Niyat sirf ye ho ki Allah ki khatir de rahe hain.
Sadqa hamesha chupa kar karna chahiye ki paas
khade shaks ko bhi pata na chale ki aapne kisi ko
kuch diya.
Jisko kuch den usse ye bhi expect na kareen ki vo
badle main aapko shukriya kahe, na usse koi badla ki
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
47
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
umeed ho ki hum iski itni financially help karte hain
badle main ye hamare liye kuch kar de.
Dikhave ke liye sadqa na ho ki sab kahe ki ye bahot
sadqa karta hai. Aesa sadqa Allah Taa'la qubool nahi
karte.
Qarz jisko diya jata hai uski zimmedari hoti hai ki vo
use lotaye aur jo bhi hum Allah ke raste main kharch
karte hain Allah Taa'la use apne oper qarz lete hain ki
lotane ki zimmedari Allah ki hai.
Jab bhi ghar se nikle to fajir ki do sunnat aur do farz
padh kar nikleen. Agar fajir main na neend khul paye
to jab uthe jab padh le chahe vaqt chala bhi gaya ho
tab bhi. Fajir ki namaz se hum Allah Taa'la ki
protection main rahte hain agar fajir chodhte hain to
Allah Taa'la ki protection se bahar ho jate hai.
Hamain phir farishte bhi protect nahi karte isi tarah
bahar jate vaqt roz sadqa den chahe thodha hi lekin
apni adat banaye ki office jane se pehle sadqa de den
isse bhi protection milti hain.
Ye ayat Qur'an main kafi jagah repeat ho chuki hai.
Jab ye ayat nazil hui to aapne sahaba ko bataya to ak
sahaba the Abu Darda vo kafi baad main islam laye
the to unhe bahot afsoos rahta tha ki jo pehle islam
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
48
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
layee
hain unke
levels jannat
main
unse
oper
honge.Unhone jaise hi ye ayat suni Aap SAW se kaha
ki mere paas do bagh hain ak zyada achcha hai jisme
mera ghar hai aur 600 khajoorke pedh hain main vo
baagh Allah Taa'la ko qarz deta hoon .
Apne baagh ke bahar se khadhe hokar apni bivi ko
avaz lagai ki banchcho ke lekar bahar aa jao maine ye
pora baagh Allah ko qarz de diya.
Vo bhi sahabiya thin foran apne banchcho ko lekar
bahar aa gayeen aur kahne lagin ki aapne Allah ke
saath bahot achcha sauda kiya...
Aese jaise hi koi ayat nazil hoti thi sahaba jaldi se
jaldi us par amal karne ki koshish karte the aur hum
Qur'an kholte hain aur band kar dete hain.
HADEES
Aap SAW ne farmaya jab raat ka one third hissa
bachta hai to Allah Ta'ala apne arsh se utar kar
hamare pehle aasman par aate hain aur kahte hain
koi hai jo mujhe pukare to main uski pukaar sunu
,koi hai jo mujhse apne gunaho ki bakshish mange to
main use baksh doon aur vo apna haath phailate hain
ki kon hai jo mujhe qarz de
jabki na main khali
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
49
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
haath hoon na zalim hoon.
Yani tumse mang kar main
tum par zulm nahi kar raha
iska dugna tumhe lotaonga.
Aur ye har raat hota hai.
Vo dua bhi sunte hain
bakshish bhi karte hain aur
naiki ki taraf bhi bulate
hain.
Hum kitne pareshan hote hain ki dua qubool nahi ho
rahi hai kya kareen, kabhi koi vazifa padhte hain,
kabhi kisi se kahte hain ki mere liye dua karo to ye
sabse achcha tariqa hai tahajjud main uthe aur allah
Taa'la se batain kareen, uske samne royeen, use apni
takleef bataye, usse mange.
Tahajjud ki dua zarur qubool hoti hai.
Agar hum raat ko jaldi so jaye to bahot araam se fajir
ke ak ghante pehle neend khul jati hai.
Agar himmat nahi bister se uthne ki to agar aese vaqt
neend khule to bister par lete lete hi duayeen kar
leen ye qubuliyat ka vaqt hota hai pata nahi kon si
hamari dua qubool ho jaye.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
50
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
51
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
63.
TAKLEEF
KAREEN
MEHSOOS
Ak baar Aap SAW subah- subah
sahaba ke saath bethe unhe
taleem de rahe the itne main
ak qabile ke kuch log aaye
unhe dekh kar lag raha tha
jaise unhone bahot dino se
kuch khaya nahi hai aur unke
paas pora badan dhankne ke liye kapde bhi nahi the
Aap SAW ne unhe dekha to tadap gaye apne ghar gaye
ki shayad kuch mil jaye taki unki madad kar saken
lekin ghar main kuch nahi tha kyonki aap to kuch
aate hi pehle sadqa kar diya karte.
HZ phir bahar aaye aur Billal se kaha azan de log
namaz padhne aaye namaz ke baad Aap SAW ne
khutba diya yani logon ko address kiya unhe Qur'an
sunaya ki logon ko sadqa do apne dirham aur dinaar
se aur agar kuch na ho to khajoor ka ak tukda hi do
lekin khud ko Jahannum ki aag se bachao yani logon
ki takleef mehsoos karo unki madad ke liye age aao
ye sunte hi logon ke paas jo kuch tha unhone lana
shuru kar diya. Yahan tak ki dheer lag gaya,aap SAW
khush hue aur unki madad ki.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
52
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Yahan jo seekhne ko mila vo ye ki jab bhi kisi ko
takleef main dekhe to bas ye na karen ki takleef
mehsoos karen aur chodh de ki koi aur madad kar
dega sab se pehle khud age badhkar madad karne ki
koshish kare phir jab namaz ka vaqt ho pehle namaaz
ada kareen Aap Saw chahte to kahte pehle inki
madad karo phir thodi deer se namaz padh lenge
lekin namaz ke mamle main no compromise. Uske
baad Aap SAW Allah ka kalam sunakar logon ko sadqa
karne ko kaha taki sab log aapke hukum se nahi apni
dil ki khushi se sadqa kareen.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
53
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
64. ITIKAAF (SECLUSION)
To isolate oneself har duniya ke kaam se aur Allah se
jud jana sab kuch bhool kar. Allah Ta’ala se talluq
jodne ka sabse
khoobsurat zariya jisme hum hain
aur Allah Ta’ala aur beech main koi nahi .
Isme khud ko Duniya se kaat kar masjid main raha
jata hai aur ibadat ki jati hai.
MAQSAD
Kuch vaqt ke liye duniya chodh kar Allah ki zyada se
zyada ibadat karna. Bahot bahot istaghfaar karke
Allah se dua karna ki abhi tak se sare gunah Allah
Ta’ala mauf kar deen. Khud ke liye jannat mangna
aur jahannum se panah mangna. Khoob achche se
Qur'an ko samjh kar padhna, apni zaban ko Allah ke
zikr se tarr moist rakhna. Nafil namaze ada karna.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
54
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Masjid muttaqeen ka ghar hai yani vo har namaz
masjid main ada karte hain.jo shaks masjid main
hota hai uspar Allah ki khas rahmate hoti hain usse
Allah Ta’ala khush ho jate hain, uske liye qayamat ke
din pulsaraat se guzaarna asaan kar dete hain.
Allah Ta’ala logon ke masjid main aane se aese khush
hote hain jaise jab koi gum jaye aur jab mile to ghar
vale khush hote hain.
Itikaaf ka matlab hai thahar jana ruk jana kisi cheez
ko khud par lazim kar lena. To restrict ourself at one
place.
Itikaaf do tarah ka hota hai;
A. Vajib- Agar kisi ne mannat mani ho ki main
Itikaaf karunga to phir us par lazim ho jata hai
use karna
hi hoga.ak baar hz umar ne nazar
mani thi ki vo ak raat ka Itikaaf karenge to aap
SAW
ne
pasandida
unhe ijazat di thi.vese nazar manna
nahi kyonki hum isme condition
rakhte hain Allah
ke samne
ki agar ye kaam
ho gaya to hum aesa karenge. Yahan HZ Umar ne
jo nazar mani thi vo islam lane se pehle ki thi.
B. Sunnat hai sunnate muaqqida- Iski taqeed ki hai
aap SAW ne ki aesa karo. Ye na farze ain hai aur
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
55
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
na farze kifaya. Farze ain
yani definitely aapko karna
hi hai. Farze kifaya yani
agar kuch log kar leen to
baqi
logon
ko
karne
ki
zarurat nahi.
o Itikaaf ke liye niyat karna
zaruri hai, niyat dil main
hogi koi alfaaz kahna sabit nahi.
o Itikaaf ke liye maghrib main masjid main dakhil
ho, pori raat ibadat kareen phir fajir se Itikaaf
shuru kareen.agar ramzaan
Itikaaf
ke aakhri ashre ka
karna ho to 20 roze ki maghrib
main
masjid main dakhil hoon pori raat ibadat kareen
kyonki vo 21st shab hogi. Phir fajir main Itikaaf
ki jagah dakhil hoon aur Itikaaf shuru kareen. Jo
29th ki maghrib ko khtam hoga, agar 10 din ka
Itikaaf hai to.
o Itikaaf masjid main hi karna zaruri hai ghar main
Itikaaf nahi hota. Agar aurat hai to use bhi ghar
main Itikaaf karne ki ijazat nahi. Aurat ka Itikaaf
uske shohar ki marzi se hoga, agar vo ijazat de to
vo Itikaaf karegi.Vo aurtoon ki masjid main
karegi jahan koi mard nahin hoga. Uska Itikaaf
bhi same aesa hi hoga jaisa mard ka hoga bas
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
56
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
uska paak hona zaruri hai. Aap SAW ki zindagi
main kisi bhi aurat ne kabhi bhi apne ghar main
Itikaaf nahi kiya hamesha masjid main hi kiya.
Isiliye ye compulsory ibadat nahi hai, jo easily
kar sakta ho vo kare.
o Itikaaf dikhave ke liye na ho ki sab kar rahe hain
to hum bhi karenge.
o Itikaaf ke liye apna zaruri saman saath le jaya
jayega jaise tooth brush soap gadda pillow etc.
o Itikaaf individual ibadat hai.
o Aap SAW ramzaan main 10 din ka Itikaaf karte
the.ak saal aapne ramzaan
main nahi kiya to
baad main shawwal ke mahine main kiya.jis saal
aapka inteqaal hua aap SAW ne 20 din ka Itikaaf
kiya.is saal aap SAW
ne jibreel alehsalam
ke
saal do baar Qur'an
revise kiya.jab aap SAW
Itikaaf karte to masjid nabwi main ak tent laga
diya jata.
o Aap SAW ne hz umar ko ak raat ke Itikaaf ki bhi
ijazat di isse pata chalta hai ki ak raat ka bhi ho
sakta hai.
o Kuch ghantoon ke Itikaaf ki bhi ijazat di gaye
hai.
o Itikaaf ke liye roza shart nahi hai. Yani agar koi
buzurg hai jo roza na rakh sakta ho lekin Itikaaf
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
57
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
kar sakta hai to vo bagair roza rakhe bhi Itikaaf
kar sakta hai. Lekin koi sehatmand roza chodh
kar Itikaaf nahi kar sakta.
o Ramzaan ke alava dosre mahino main bhi Itikaaf
kiya ja sakta hai.
o Itikaaf karne vale ko bagair sharaye uzar ke
masjid se bahar aane ki ijazat nahi, jaise vo kisi
bimaar ko dekhne nahi jayega, na kisi ke janaze
main ja sakta hai.
o Lekin majbori main
jaya bhi ja sakta hai.jaise
aap SAW ki ak bivi jab raat ko aapke paas
kisi
kaam se aayen jab aap Itikaaf main the to aap
unhe ghar chodhne aaye kyonki vo akeli thin.
o Agar kisi ko khana dene vala koi na ho to aesi
condition main ghar khana lene jaya ja sakta
hai lekin phir vo sirf khana le aur aa jaye .
Duniya ki, kisi cheez main involve na ho.
o Aap
SAW
ke
zamane
main
Itikaaf
ke
liye
masjidoon main tent lagaye jate the.har ak ka
alag tent hota tha. Aaj kal masjidoon main parde
se partition kiya jata hai.
o Koshish kareen ki aesi Masjid main Itikaaf
kareen jahan jumah padha jaye varna jumah
padhne kahin aur jana hoga.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
58
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
o Itikaaf milkar nahi kiya jata yani aesa nahi hoga
ki 2-4 log ak jagah ikaththa beth jayeen batain
kareen aur kahe ki Itikaaf kar rahe hain ye galat
hai.
o Zyada se zyada Qur'an padha aur samjha jaye.
Ramzan main ak Qur'an khtam karna sunnat hai
farz nahi .aapki zindagi ke aakhri saal main
aapne do baar Qur'an khtam kiya tha. Isse pata
chalta hai ki Qur'an do baar bhi padha ja sakta
hai, lekin sirf reading karna bagair samjhe fayeda
nahi dega jab tak samjha na jayee aur us par
amal na kiua jaye.
o Itikaaf
hi
halat
main
husband
wife
ka
relationship mana hai uske alava naha sakte hain
perfume laga sakte hain .nails kaat sakte hain.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
59
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
65. LA ILAHA ILLALLAH
LA- Nahi koi
ILAHA- Yani aesi hasti jiski
ibadat ki jaye mohabbat aur
tazeem yani izzat ke saath
sivaye Allah ke. Yani , Nahi
koi ilaha sivaye Allah ke.
Ye vo kalma hai jiske bagair koi muslim ho hi nahi
sakta. Jab koi dosre mazhab se islam main revert
hota hai to yehi kalma padhaya jata hai. Ye hamare
deen ka base hai jis kisi ki zaban par ye kalma akhri
alfaz bante hain maut se pehle Allah Ta'ala
uski
maghfirat kar dete hain .Ye vo kalma hai jo jab
meezan yani tarazu par rakha jaye aur dosri taraf
duniya ki sari nakiyaan rakhi jayeen to ye kalma
bhari hoga .
Koi musalmaan ho nahi sakta jab tak ye kalma uski
zindagi main na ho, jo is kalme ke saath nahi jeeta vo
maut ke vaqt jitni bhi koshish kar le unke muh se
nahi
nikal
sakta.
Ye
islam
ka
first
pillar
hai
SHAHADAH.
Dekhen akhir is kalme main aesa kya hai…
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
60
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Isko ak simple example se samjha ja sakta hai jaise
aap kisi se kahe mujhe aapse mohabbat hai.
Ya kisi se kahe mujhe aapse mohabbat hai aur kisi se
nahi hai dono sentences main bahot difference hai
pehla sentence show karta hai ki mujhe aap se
mohabbat hai aur dosro se bhi ya ho sakti hai.
Lekin dosra show karta hai ki mujhe sirf aur sirf aap
se mohabbat hai kisi aur se nahi.
Bas yehi matlab hai LA ILAHA ILLALLAH ka. Hum
Allah Taa'la se promise karte hain, ek vada karte hain
ahad karte hain ki Allah Taa'la hum sirf aur sirf aapki
ibadat karte hai kisi aur ki nahi, aapke siva koi aur
hai bhi nahi jo ibadat ke qabil ho.
Itni pakki knot laga kar jab hum kisi aur ko unke
festivals par wish karte hai, ki aapko mubarak ho
iska matlab hota hai ki aap jo bhi kar rahe hain hum
usko sahi samjh te hain aur aapke liye barkat ki dua
kar rahe hai aur saath main beth kar vo cheeze khate
hai jis par Allah ka naam nahi liya jata kisi aur ke
naam se hi vo cheeze banaye jati hain. jab hum aesa
karte hain to kya Allah Taa'la ke saath khyanat nahi
karte ki zaban se to kahe ki sirf aapse mohabbat hai
aur kisi se nahi lekin jab moqa mile to isse bhi
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
61
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
mohabbat show kare aur usse bhi .cake bhi kha rahe
hai aur laddu bhi.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
62
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
66. STORY OF IBRAHIM ALEHISALAM
PART - 1
Ibrahim Alehisalam jinhe Allah Taa'la ne apna dost
kaha KHALEEL ULLAH yani friend of Allah.
Aesa kya kiya inhone ki aaj muslims, jews, Christian
sab inko apna paighambar mante hain.
Ye iraq main paida hue us vaqt har taraf jahalat ka
andhera tha, idol worship hoti thi, koi suraj ki poja
karta, koi sitaroon ki har taraf confusion tha, usme
inko hamesha bechaini rahti ye dua karte ki unhe
sahi rasta mil jaye phir Allah Taa'la ne inki dua
qubool ki aur apni pehchan karvaye inhone sabse
kahna shuru kiya ki ak Allah ki ibadat karo lekin koi
na mana. Ak din sab ne soocha ki inko khtam kar
diya jaye kyonki ye hamain apni ibadat se rokte hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
63
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Bahot badi aag jalaye gaye aur usme inhe phaink diya
gaya lekin inhone Allah se madad mangi to Allah
Taa'la ne inke liye aag ko thanda kar diya aur ye sahi
salamat bahar aa gaye. Ye inka pehla test tha .uske
baad jab inhone dekha ki ab in logon ko samjhane ka
koi fayeda nahi to inhone vahan se hijrat ki yani
Allah ke deen ko bachane ke liye vo jagah chodh di
aur apni bivi HZ Sarah aur bhatije Lut Alehisalam ke
saath philisteen aa gaye. Ye bahot boodhe ho chuke
the inki koi aulaad na thi HZ Sarah bhi boodhi ho
gaye thi to unhone inka dosra nikah HZ Hajra se
karvaya. Unse Allah Taa'la ne inko aulaad di Ismael
Alehisalam. Ab inka phir test shuru hua.
Abhi Ismael Alehisalam paida hi hue the ki Allah
Taa'la ne inko hukum diya ki apni bivi aur doodh
peete bachche ko Makkah chodh aao, ye bina kuch
bataye apni bivi Hajra aur Ismael Alehisalam ko
Makkah lekar aaye us vaqt Makkah sirf pahado se
ghiri jagah thi na pani na koi insan kuch bhi nahi tha
Ibrahim Alehisalam jab unko chodh kar jane lage to
HZ Hajra pareshan ho gayen ki unke paas thodi
khajoor aur pani hai aur ye humain is tarah pahado
ke beech kahan chodh kar ja rahe hain. Vo doudti hui
peeche tak aaye kaha jata hai abhi Makkah main
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
64
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
jannatul Ma'ala hai vahah tak aayen ki aap humko
akele
chodh
Alehisalam
kar
kahan
ja
rahe
hain
ne kuch bhi javab na diya
Ibrahim
is par HZ
Hajra ne kaha ki kya Allah ka hukum hai to unhone
apna sar hila diya bas vo vahi khadi rah gayeen aur
sirf itna kaha ki agar Allah ka hukum hai to Allah
Taa'la hamain zaya nahi karenge.
Apne new born baby ko lekar vahan aayen jahan abhi
zamzam ka kuan hai. Pahad the garmi thi na koi
saya na koi pedh har tarah sirf pahad hi pahad thodi
deer main pani khtam ho gaya ab nanhe Ismael
Alehisalam dhoop aur pani ke liye tadap ne lage is par
unhone apne bachche ko vahin litaya aur safa se
marva jo do pahad hai unke beech main apne
bachche ke pani ke liye dodhne lagi aur saath hi apne
bachche ko dekhti jati ki kahin koi jangli janver unhe
nuqsaan na de ye distance around half km ka hai
beech main thodha deep tha vahan se unko apna
bachcha nahi dikhta tha to aur teez dodhti jahah abhi
green channel hai aese kar ke unhone safa marva ke
7chakkar lagaye Allah Taa'la ko unka ye dodhne apne
bachche ke liye itna pasand aaya ki qayamat tak ke
liye use baqi rakha ab jo bhi haj ya umra karne jata
hai to use saye karni hoti hai yani aese hi 7 chakkar
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
65
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
lagane hote hai idher Ismael Alehisalam nanhe pair
zameen par maar rahe the pyas aur garmi ki shiddat
se. Allah Taa'la ne Jibrael Alehisalam ko bheja
unhone Ismael Alehisalam ki aedi yani heel ki jagah
apna par mara to vahan se zamzam ka chashma
phota yani pani ka spring nikla aur pani behna shuru
ho gaya itna pani nikla ki HZ Hajra pareshan ho gaye
aur unhone kaha zam zam yani ruk ja tab jakar vo
pani kam hua kaha jata hai agar vo aesa na kah ti to
har cheez doob jati usi din se uska naam zam zam ho
gaya.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
66
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
67.
STORY
ALEHISALAM
OF
IBRAHIM
PART - 2
Jab vahan pani aaya to parinde
aana shuru ho gaye, ak qabila
tha Banu Jurham vo vahan se
guzar raha tha jab un logon ne
parindo ko dekha to unhe laga
ki zarur yahan aas paas pani hai lekin vo jante the ki
pehle pani na tha vo dhondhte-dhondhte HZ Hajra ke
paas aa gaye aur unse ijazat mangi ki kya vo vahan
rah sakte hain ,vo bilkul akeli thi unhone ijazat de di
is tarah Allah Taa'la ne vahan ak shahar abaad kar
diya ye vohi Ismael Alehisalam hain jinki nasal se age
chalkar sirf ak paigambar Aap SAW paida hue .
Hz Hajra ne apki parvarish shuru ki aur aapki bahot
achchi parvarish ki.
Ak aurat society main active role play nahi karti
lekin vo aesi generation deti hai jo nations ki taqdeer
badal deti hai isiliye ak maa ka dyniyavi taleem ke
saath- saath deeni taleem bahot zaruri hai ki vo apne
bete ko ak achcha insan banaye.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
67
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Abhi Ismael Alehisalam thode hi bade hue the ki
Allah Taa'la ne Ibrahim Alehisalam ko khwab mein
dekhaya ki vo apne bete ko ziba kar rahe hain. Jiska
zikr SURAH SAAFFAT mein aaya hai, paighambaro ke
khwab bhi vahi ki kism hote hai. Iska matlab tha ki
apne bete ko ALLAH ki rah mein qurbaan karo .Ak to
budhape ki aulaad phir itni door aur ab hukum ho
raha hai ki zibah karo lekin Ibrahim Alehisalam bhi
Allah Taa'la ke muslim yani obedient bande the vo
Ismael Alehisalam ke paas aaya aur unhe bataya ki
ALLAH TAA’LA ne aesa hokum diya hai aur tumhara
kyakhayal hai. Unhe bhi aesi tarbiyat mili thi ki itne
chote the kahne lage abba aapko jo hokum mila hai
aap kijeye.
Ab dono vahan se nikle shaitan ne Ismael Alehisalam
ko teen jagah behkane ki koshish ki, ki mat jao
tumhare valid tumhe zibah karne ke liye le ja rahe
hain unhone teeno jagah shaitan ko patthar phaink
kar mara ye vohi jagah hai jahan hajj ke vaqt jamarat
mein shaitanko 7 kankariyaan marijati hain phir age
jakar Ibrahim Alehisalam ne Ismael Alehisalam ko
peshani ke bal lita giya to aur jaise hi chaku unki
garden par chalaya Allah Taa’la ne Ismael Alehisalam
ko akmendhe yani dheep se replace kar diya ye
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
68
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jannat ka mandha tha jab uski avaz suni to Ibrahin
Alehisalam ne dekha ki Ismael Alehisalam door khade
hain aur unhone ak mendhe yani sheep ko ziba kiya
hai .Allah Taa'la ne puraka ki ye tumhara test tha is
par unhone Allah Taa’la ka bahot shukar ada kiya isli
liye hum log 10 zul hijjah ko eid manate hai ye
Ibrahim Alehisalam ki sunnat hai yani unhone aesa
kiya tha. Haj pora Ibrahim Alehisalam ke isi story par
based hai jo har saal lakho log karte hain.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
69
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
68.
STORY
ALEHISALAM
OF
IBRAHIM
PART-3
Ibrahim Alehisalam Allah ke
har test main paas hue to Allah
Taa'la ke unhe Kaba banane ko
kaha
unhone
Ismael
Alehisalam ke saath mil kar
usi foundation par jispar pehle farishte bana chuke
the Kaba banana shuru kiya Jibrael Alehisalam jo
farishtoon ke sardaar hain unhone akar bataya ki
Kaba kaise banana hai yani uska shape kaisa hoga,
kitna oper hoga,
ak pathar laya gaya jispar khade
hokar Ibrahim Alehisalam ne kaba banaya, vo pathar
abhi bhi maujood hai Kabe ke saamne jo hamain yaad
dilata hai ki Allah Ta'ala ko kaise bande chahiye jo
qayamat tak ke liye
maujood hai jab hum hajj ya
umra karne jate hain to dekh sakte hain .
Pora Kaba ban kar tayyar ho gaya to Jibrael
Alehisalam jannat se kuch paththar laye jo kone ki
divaar par laga diye gaye jinhe HAJRE ASVAD kaha
jata hai jahan se tavaf shuru hota hai.
Uske baad Ibrahim Alehisalam chale gaye. Phir kuch
saloon baad phir vo apne bete se milne aaye to Ismael
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
70
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Alehisalam ghar main nahi the, unki shadi ho chuki
thi, ghar main bivi thin. Unse haal poocha to bivi ne
khoob shikayate ki aur Allah ki khoob na shukri ki
ispar Ibrahim Alehisalam ne kaha ki jab Ismael
Alehisalam ghar aaye to unse kahna ki ghar ki
chokhat badal de aur chale gaye. Jab bivi ne Ismael
Alehisalam ko bataya to vo apne valid ka ishara
samjh gaye aur bivi ko talaq de di.
Uske baad Ismael Alehisalam ne banu jurham qabile
ke sardaar ki beti se shadi ki Ibrahim Alehisalam
dobara aaye aur unka haal poocha to is bivi ne khoob
tareef ki aur Allah Taa'la ka khoob khoob shukar ada
kiya to unhone kaha ki jab Ismael Alehisalam aye to
unse kahna ye chokhat rahne de.
Inki nasal se yani generation se Aap SAW ko paida
hona tha isliye har cheez ka khyal rakha gaya.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
71
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
69. ALHUMDULILLAH
AL-The
HAMD-Tareef
LI -Liye
ALLAH-Allah
ALHUMDULILLAH- Tamaam
tareef aur shukr Allah hi ke
liye.
Iska matlab tareef aur shukr dono hai, ye Qur'an ka
pehla word hai aur bahot si surate is word se shuru
hoti hain.Allah Taa'la chahte hai ki hum har haal
main chahe gham ho khushi ho Allah Taa'la ka
shukar ada kare aur Alhamdullilah kahen.
Agar gham aaye to sooche ki hamari hi galti ki saza
hai jo mil rahi hai
.Gham ya musibat ki nisbat kabhi
Allah se nahi ki jati. Ye hamara test hai Allah Taa'la
dekhna chahte hain ki gham main hum Allah ke
qareeb hote hain ya door.
Jaise kisi game main
levels hote hain aur ak ke baad ak levels cross karne
hote hain isi tarah jaise-jaise imaan badhta jata hai
to Allah Taa'la ke test bhi badhte jate hain.Ye duniya
hai yahan sabko different question paper milta hai
uske imaan ke hisaab se.Ya to hum us test main fail
hote hain aur ak level neeche gir jate hain ya usme
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
72
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
paas hokar next level ke liye eligible ho jate hain.
Kabhi -kabhi hamare gunaho ki vajah se bhi Allah
Taa'la gazabnaak hote hain aese main agar problem
solve na ho rahi ho to sadqa dene ka hukum hai ki
khoob-khoob sadqa kareen,
istaghfaar kareen, aur
har gham main Allah SWT ne Aap SAW ko khoobkhoob tasbeeh karne ko kaha.
Agar koi khushi mile to sooche ki ye bhi test hai
Allah Taa'la dekhna chahte hain ki hum Allah ka
kitna shukar ada karte hain kyon ki shaitaan ne Allah
Taa'la se vada kiya tha ki aap is insan ki majority ko
na shukra payenge.
Naymat yani blessing hamesha Allah ki taraf se aati
hai jab koi success mile to kabhi ye na sooche ki hum
itne padhe likhe hain, itne intelligent hai, hamare
paas har cheez hai, hum to ye deserve karte hai, jaise
hi insan ye soochta hai vo Allah Taa'la ki nigaho main
pata nahi kitna gir jata hai, kyonki Allah Taa'la ko
takabbur yani proud bilkul bhi pasand nahi ,kyonki
jo kuch bhi insan ke paas hai aur jo success use mili
hai vo bhi test hai ki banda kahin Allah ka shukriya
ada karne ki bajaye kahin pora credit khud to nahi le
raha . Har cheez Allah ki hi di hui hai. Aur har
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
73
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
blessing usi ki hi taraf se hai insan ki itni taqat nahi
ki vo kuch kar sake.
Hamain pata kaise chalega ki hum proud karte
hain ya nahi….
Jab bhi aap khud ko dosre se behtar mehsoos kare
chahe surat main, paise main ya ilm main yani
education main to samjh leen ki aap bhi proud ka
shikarr hain.
Allah Taa'la ko humble jhuke hue log pasand hain jo
dosro ke samne Allah Taa'la ke liye jhuk jaye ,agar
galti ho ya na bhi ho to maufi mangne ko tayyar hoon
,jo dosro ko mauf karne vale hoon, jo kisi ki baat ko
dil main
na rakhte hoon.
Jo jab zameen par chalain to akad kar na chalte ho
peer patak kar na chalte ho.
Jisko dekhe use salam karte ho, kisi ka gham
dekhkar tadapne vale hoon, har vaqt dosroon ki
madad karne ko tayyar rahte ho logon ko dikhane ke
liye nahi sirf allah ke liye.
Jab bhi is tarah ki baat sune to khud ko dekhe ki
hum
aese
hain
ki
Allah
Taa'la
hamain
pasand
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
74
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
karenge. Har haal main Alhamdullilah kahe aur Allah
ka shukar ada kare.
Life main jab test aata hai to vo hamari taqdeer main
pehle se likha hota hai, bas Allah Taa'la dekhna
chahte hain ki hum kya karte hain. Allah ko
chodhkar madad ke liye kisi aur ko pukarna shuru
karte hain .ya Allah par bharosa karte hain aur
Alhamdullilah kahte hain.
yahan saudi main jab kisi ki maut hoti hai to baqi log
uske ghar valoon se Alhamdullilah kahalvate hain .ki
kahin kisi se anjane main Allah ki na shukri na hui
ho.ki kahin Allah Taa'la naraz na ho jayeen.
ALHUMDULILLAH
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
75
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
70. BID'AH
Bid'ah
yani
islam
main koi aesa naya
tariqa ya rasm ya koi
kaam savab ya naiki
ka kaam samjh kar
karna aur use deen ka
lazmi hissa samjhna
jiski koi daleel proof
Qur'an
hadees se na milta ho.use bid'ah
kaha jata
hai.
Bid'ah ki shuruaat generations pehle hui, dhere dhere
deen main naye naye cheeze bagair tahqeeq ke add
hoti chali gayeen aur deen ka hissa ban gaye jab ki
deen main unke bare
main kuch nahi bataya gaya
tha.ak bahot bada reason aas paas ke mahol ne bhi
nibhaya dosre mazhab ke logon
ke saath rahne ki
vajah se hamari kuch batain unke deen main aur
unki kuch batain hamare deen
main aa gaye.aur
logon ne ye janne ki koshish bhi nahi ki ke ye Qur'an
aur hadees se sabit bhi hai ya nahi bas unhe deen ka
hissa samjh kar karna shuru kar diya ki isko karne
se savab milega aane vali generations
bhi karne
lagin. Phir dhere dhere logon ko vazife padhne ki bhi
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
76
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
adat
padh
gaye
ki
ye
kaam nahi ho raha ye
cheez itne baar padh lo to
ho
jayega.
Qur'an
Qur'an
khuani
ramzaan
rah
gaya
ya
main
karne ka zariya
sirf
khtam
ban kar
uska
asal
maqsad ki usko padh kar
samjha jaye uspar amal kiya
jaye uske mutabiq
zingadi bitaye jaye vo ak taraf rah gaya.
Vo sirf ak barkat ki kitaab ban gaya ki use oocha
rakha jaye jab koi mar jaye ya naye ghar main jayeen
ya koi kaam shuru karna ho uske liye rakha gaya.
Ki ghar main sab jama hoon ak ak sipara sab ko
pakda diya jaye ki bagair samjhe padho aur bas
Qur'an khtam, ye samjha jane laga ki isse barkat
hogi.
Dhere dhere aesi kitabe chapne lagin jisme chand
Qur'an ki ayaat hoti aur likha hota ki isko itne baar
padho to ye kaam ho jayega ..phir 12 surah 24 surah
naam se kitabe chapne lagi ki bas ye itni surah roz
padh lo bahot hai, is tarah deen bigadta chala gaya
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
77
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
.aur yehi rasmo rivaaj aage ki generation
main
transfer hota gaya aur log use hi deen samjh kar lete
rahe.bina sooche samjhe ki hamare bade aesa karte
the to aesa hi hoga.
Jab hum koi naye rasm deen main shuru karte hai to
uska matlab hota hai
ki na-aozobillah Allah
Ta'ala
ye rasam apne rasool ke zariye hamain batana bhool
gaye the.ya rasool Allah hamain batana bhool gaye
aur hamara ilm unse bhi zyada hai
isliye
hum ye
shuru kar rahe hain.
Allah Ta'ala ne apne rasool ke zariye se hamain
mukammal deen diya hai. Ak ak hukum ak ak baat
bataye hai aur hamain haq nahi diya ki jo shariyat
deen ka tariqa Allah ne sikhaya hai hum usme kuch
bhi add kare ya usme se kuch bhi kam karee. Agar
hum khud ko muslim kahte hain to hamain jo bhi
boundaries Allah ne bataye hain unhi main rahna
hoga hum usse age nahi badh sakte.
QUR'AN MAIN (SURAH HUJRAAT AYAT-1)
Main Allah Ta'ala farmate hain Ae logon jo imaan laye
ho mat aage badho Allah
se aur uske rasool se aur
Allah se daro beshak Allah Ta'ala sunne vala janne
vala hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
78
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
SURAH IMRAN (AYAT-83)
Kya bhala vo Allah ke deen
ke siva kisi aur deen ki
talash main hain.
AYAT - 85
Jo shaks islam ke alava aur
deen talash karega uska deen qubool nahi kiya
jayega.aur vo aakhrat ke din nuqsaan uthane valoon
main hoga. Un rasmo rivaaj ko deen ka hissa bana
lena jo kaam Allah aur uske rasool ne nahi bataye un
kamo ko kahna ki Allah ne aur rasool ne aesa karne
ko kaha, ye sakht gunah hai.
SURAH AARAAF (AYAT 36-37)
Aur vo log
jo hamari ayaat ahkamat ko jhutlayeen
aur unse takabbur karenge vohi log aag vale honge vo
usme hamesha rahenge us shaks se zyada zalim kon
hoga jo Allah Ta’ala par jhoot bandhe ya uski ayaat
ko jhutlaye.
HADEES
Aap SAW ne farmaya Jis ne mujhpar jante boojhte
jhoot bola vo apna thikana jahannam main bana le.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
79
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
SURAH HASHR (AYAT 7)
Rasool jo tumko hukum de usko maan lo aur jisse
mana kareen usse ruk jao.
HADEES
Aap SAW ne farmaya qayamat ke din meri ummat ke
kuch logon ko laya jayega aur unhe bayeen raste ki
taraf daal diya jayega, main kahunga mere rab ye
mere saathi hain ..Allah Ta'ala farmayenge tum nahi
jante inhone tumhare baad deen main kya kya bidate
ijaad ki9.
BIDAH KI LIST
Isme vo kaam hain jo hum
deen samjh kar karte hain
jo Aap SAW ne karne ko
nahi kahe.
o Shabe ba’rat Manana (15th of Shaban)
o Nazar O Niyaz
o Utaara
o Milaad un Nabi Manana ( Prophet muhammad
Ki birthday Manana )
9
Bukhari
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
80
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
o Giyarwee
shareef
Manana
(Sheikh
Abdul
Khader Jeelani ke nam par )
o MURDON SE IMDAD YANI HELP MANGNA
o Masjidon mein qawwali chalana
o Takkabur SE baat khuaan par paisai phainkna
o Peer ke samman mein SE tabbaruk maangna
o Dargaon par jaane Kai liye adhi
duniya Ka
safar
o Duaa ke baad muh par haath pherna
o namaaz e janaza Kai baad naat padhna
o Dafan Kai baad qaber Kai side mein azaan Dena
o Yeh yaqeen rakhna Ki paighambar Noor hain
Allah Kai Noor mein Sai
o Doosron Kai liye Istikhara karna
o Salat al-Ghausia
o Teeja
o Daswaan (10 day)
o Chaliswaan (40 day)
o Barsi (Anniversary of the dead)
o Durrod e Taj
o Durood e Akbar
o Durood e Ghousia
o Khatam e Ghousia
o Khatam e Qadria
o Khatam e Khwajgan
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
81
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
o Khatam e Shifa
o Namaaz Ki niyat taiz awaaz mein kehna
o masjid mein ek gola banakar yaani circle
banakar masjid Kai aas paas ghoomana
o Salat al Ragihaaib.
o Jumuah Mubarak kehna
o Qur'an
padhnai ke baad
Sadaqa Allahul
Adheem kehna
o Jamaat Sai Namaaz padhnai
Kai baad group
mein duaa karna
o Namaaz ke baad bijon par zikr karna
o Ijtemai tor par Yasin shareef aur tasbeeh
padhna aur sawaab pohuchaana jinka inteqaal
Ho Gaya Ho .
o (jaffer sadiq) ke naam par kunday karna
o Aulia On ke Mazaron
Ki chadkar
Jo Dhaki
hotai hain unko chumna Ki Allah Ka qurb milai
o Apna sar zor zor Sai hilana ek taraf SE doosri
taraf ALLAH Hu ALLAH HU, Allah Allah Ka vird
kartai hue
o Jumuah kin
namaaz kai baad Ikhatta
hona
salawaat padhnai Kai liye
o Wazaifai padhana Jo peer batatai hain ( jaisai
999 Martba acchi sehat Kai liye )
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
82
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
o Is
baat par yaqeen karna Ki Huzur S.A.W ko
maloom tha Ki qayamat kab ayegi
o Yeh yaqeen karna Ki HUZUR S.A.W ko ilm e
gayb tha ( unko sab cheezon Ki knowledge thi
yaani gayb Ki baton Ki )
o Aur yeh yaqeen karma Ki HUZUR S.A.W abhi
zinda hain aur woh sab kuch sun saktai hain
aur woh is zameen par aatain hain
o Yeh yaqeen karna ki HUZOOR S.A.W Ka koi
saya nahi tha
o Jab
bhi HUZOOR S.A.W Ka naam sunai
to
apnai anghoothon ko chumna aur unsai apni
aankhain poochna
o Urs Mubarak (Har sal Aulion ke urs Manana jo
mar chukai
hain )
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
83
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
71. EID-UL-FITR
Ramzaan
ak
ka mahina
training
hota
hai
training
period
jaise
ke
kisi
khtam
hone par
certificate
milta hai
aur khushi
manaye jati hai usi tarah. Ramzaan ke khtam hone
par bhi eid manaye jati hai, khushi manaye jati hai
ki humne jo pore mahine itni ibadat ki hai to Allah
se umeed hai ki Allah Ta'ala ne hamare abhi tak ke
sare gunah baksh diye hoon...Isiliye jab sahaba eid
ke din ak dosre se milte the to kahte the
TAQQABALALLAHU MINNA VA MINKUM
Yani jo humne pore mahine ibadat ki hai to Allah
Ta’ala humse bhi qubool kare aur tumse bhi.
1. Chand raat ko Allah Ta’ala apni rahmate baant te
hain .apne bando ko baksh dete hain unki ibadat
ki vajah se unke abhi tak ke gunah mauf kar dete
hain, aesi umeed har banda rakhta hai.
2. Chand raat ko taraweeh nahi padhi jati lekin
jitna ho sake Allah ki takbeer padheen use glorify
kareen. Uska shukar ada kareen.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
84
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
3. EID KI SUBAH
Gusal kareen
Naye kapde pehanna pasandida hai
Khushbu lagaye
Idgah jane se pehle Aap SAW odd yani 1,3,5,
khajoor kha kar jate the, isliye koi meethi
cheez khakar jana sunnat hai, sunnat hai yani
aap SAW ka tariqa hai.
4. Eid ki namaz shahar se door khule maidaan yani
idgah main padhi jati hai.
5. Idgah
jane
se
pehle
Zakat-Ul-Fitr
dena
na
bhooleen.
6. Idgah paidal jana sunnat hai lekin agar bohot
door hai to gadi se ja sakte hain.
7. Idgah ak raste se jayeen aur jab vapas palte to
dosre raste se aayeen.
8. Eid ki subah se hi takbeeraat padhna shuru kar
deen aur jab tak eid ki namaz shuru na hoon
padhte jayee.
9. TAKBEER
ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR
LA ILAHA ILLALLAHU
ALLAHU AKBAR
ALLAHU AKBAR
VA LILLAHIL HAMD....
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
85
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
ALLAHU AKBAR KABEERA VALHAMDULLILAHI
KASEERA VA SUBHANALLAHI BUKRATAUN VA
ASEELA.
Allah bahot bada Allah bahot bada hai, nahin koi
ibadat ke layaq sivaye Allah ke Allah bahot bada hai.
Allah bahot bada hai aur sari hamd tareef usi ke liye
hai.
Allah bahot bada hai sabse bada hai aur usi ke liye hai
tareef bahot zyada aur usi ke liye hum paki bayan
karte hai subah aur sham.
10.
Aap SAW
ne aurtoon
ko bhi eid ki namaz
main shamil hone ke liye kaha taki vo bhi
duaoon main shamil ho. Lekin India aur Pakistan
ke aulama
aurtain
ijazat
parde
nahi dete kyonki yahan
ka ahtemaam nahi karti. Jab ki
Saudi main pore parde ka ahtemaam kiya jata hai
isliye aurtain bhi namaz main shareeq hoti hain.
Agar aurtain idgah na ja payeen to ghar main
namaz padh leen.
11.
EID KI NAMAZ KA TARIQA
Rakat namaz (2) padhi jati hai.
Pehli rakat main 7 baar ALLAH HU AKBAR kah
kar haath uthaya jata hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
86
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Surah Fatiha ke baad Surah Qaaf ya surah Aala
padhi jati hai.
Dosri rakat main 5 takbeerat hoti hai yani 5 baar
haath uthakar ALLAHU AKBAR kahkar phir niyat
bandhi jati hai.
Surah Fatiha ke baad Surah Qamar ya Surah
Ghashiya padhi jati hai.
Phir pori namaz ke baad salam phera jata hai.
Fajir ki namaz ke baad se takbeeraat non stop
padhna shuru kar dena chahiye jab tak eid ki
namaz shuru na ho.
Eid ki namaz ke liye na azaan di jati hai na
aqamat hoti hai.Fajir ki namaz ke baad jaise hi
suraj nikalta hai to ishraaq ka vaqt hota hai us
vaqt eid ki namaz padhna pasandida hai. Kahin
kahin chasht ke vaqt bhi namaz ada ki jati hai.
Aap SAW ne alag-alag moqe par alag-alag Surah
eid ki namaz main padhi, isliye sab sahi hai.
Eid ki namaz ke baad khutba hota hai jo sunna
zaruri hai. Khutbe main Qur'an aur hadees se
logon ko samjhaya jata hai.
12.
Eid ke din khaas tor se kabristaan jana bidat
hai deen main innovation hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
87
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
13.
Eid ke din alag- alag jagah par apne toor par
khushiyaan manaye jati hain, jise deen ka hissa
nahi samjhna chahiye.
Yani gale milna.
Sevayyan banana.
Eidi dena
Ye sab deen ka hissa nahi cultural activities hai jo
alag alag log different tariqe se karte hain isliye ise
deen ka hissa na banaya jaye to galat nahi lekin agar
ye sooch kar kiya jaye ki deen ka hissa hai
compulsory hai to bidat ho jayega.
Isi tarah dulhan ki eidi le jana ye sab cultural
activities hain deen ka hissa nahi.
14.
Eid ke din koi haraam kaam karke apni pore
mahine ki ibadat ko zaya na kareen jaise movies
dekhna etc.
15.
Eid ke din roza rakhna galat hai.
16.
Idgah main eid ki namaz se pehle aur eid ki
namaz ke baad koi namaz padhna jayez nahi.
ALLAH TA'ALA hum sab ki ibadat qubool farmaye.
TAQABBALALLAHU MINNA VA MIN KUM
Allah humse bhi qubool kare, aur aap se bhi.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
88
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
HOW TO PRAY EID PRAYER
It was narrated that Abu Sa’eed said: The Messenger
of Allah SAWS (peace and blessings of Allah be upon
him) used to come n out on the day of al-Fitr and alAdha to the prayer place and the first thing he would
do was to offer the prayer. Narrated by al-Bukhaari,
956
In the first rak’ah he should say Takbeerat al-ihraam
(say “Allahu akbar” to start the prayer), after which
he should say six or seven more takbeers, because of
the hadeeth of ‘Aa’ishah (may Allah be pleased with
her), “The takbeer of al-Fitr and al-Adha is seven
takbeers in the first rak’ah and five takbeers in the
second, apart from the takbeer of rukoo10.
Then he should recite al-Faatihah, and recite Soorat
Qaf in the first rak’ah. In the second rak’ah he should
stand up saying takbeer, and when he has stood up
completely he should say takbeer five times, and
recite Soorat al-Faatihah then Soorat al-Qamr. The
Prophet (peace and blessings of Allah be upon him)
used to recite these two soorahs during the two Eids.
Narrated by Abu Dawood and classed as saheeh by
al-Albaani in Irwa’ al-Ghaleel, 639.
10
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
89
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Or if he wishes he can recite Soorat al-A’la in the first
rak’ah and Soorat al-Ghaashiyah in the second,
because it was narrated that the Prophet (peace and
blessings of Allah be upon him) used to recite al-A’la
and al-Ghaashiyah in the Eid prayer.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
90
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
72. TASBEEH
Yahan
har
ak
ke
haath
main tasbeeh dikhti hai,
har vaqt ungliyaan chalti
rahti hai. MA SHA ALLAH
dekh kar bahot khushi hoti
hai ki Alhamdullilah yahan
deen ko itne achche se follow karte hain shayad ye
log arab hai Qur'an ko achchi tarah samjhte hain
isliye, lekin hum bhi koi excuse nahi de sakte kyon ki
hamare paas bhi net hai Qur'an ka translation hai
explaination ki books available hai agar padhna chahe
to.
Allah Taa'la Qur'an main baar baar kahte hain ki
kaynaat ki har cheez Allah ki tasbeeh kar rahi hai.bas
insan hi bhoola hua hai .Allah Taa'la ko hamari
tasbeeh ki zarurat nahi uske liye to farishte aur har
har cheez uski tasbeeh kar rahi hai.
Lekin agar hum Allah Taa'la ko yaad karte rahenge to
hamara ak rishta Allah Taa'la se jud jayega Allah
Taa'la se mohabbat ho jayegi .Aur jab kisi se
mohabbat ho jati hai to uske liye har kaam karna
achcha lagta hai. Phir bas ye ahsas hota hai ki jisse
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
91
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
mohabbat hai vo humse naraz na ho .Isi tarah agar
Allah se mohabbat hogi to uski ibadat bhi asani se
hogi.
Allah Taa'la ko bahot pasand hai
LA ILAHA ILLALLAH
SUBHANALLAHI
VABEHAMDEHI
SUBHANALLAHIL AZEEM.
Hadees main aata hai jo roz ise 100 baar padhega
uske agar samander ke jhaag yani foam ke barabar
bhi gunah honge to vo bhi mita diye jayenge.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
92
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
73. HUTAMA (ALLAH KI
AAG)
Allah
Ta'ala ne insaan
ko banaya phir insaan ke
liye khoobsurat duniya
banaye taki vo is duniya
main sukoon se rahe aur
Allah ki ibadat kare aur
Allah
ne jis cheez ko
halal kaha vo kaam kare aur jin kamoon ko haram
kaha usse bach jaye.
Isi tarah ak insan ki jaan, maal aur uski izzat dosre
par haram ki, yani koi kisi ki jaan nahi le sakta koi
kisi ka maal cheen nahi sakta aur koi kisi ki izzat
uchal nahi sakta.
Har insan Allah ki nazar main mohtaram yani qabile
izzat hai jaise ak Rs 500 ka note chahe ameer ki
pocket main ho ya gareeb ki ya kachre main pada ho
uski value Rs 500 hi rahegi. Isi tarah se insan chahe
koi bhi ho Allah ki nazar main sab barabar hain.Allah
Ta'ala
ne ijazat
nahi di ki uski izzat ko nuqsaan
pahunchaya jaye.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
93
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Aaj hum kuch aese gunahoon ki baat karenge jinhe
hum bahot mamuli samjhte hain aur din raat karte
hain aur mamuli samjhne ki vajah se tauba bhi nahi
karte jiski vajah se vo hamare aamaal name se
mitaye bhi nahi jate aur jinki saza hamain qayamat
ke din apni naikiyaan de kar
chukani hogi. Baat
yahin khtam nahi hogi aese gunahoon ke liye hutama
hai.
Ye gunah jinki hum baat kar
rahe hain vo hain;
1. Gheebat
biting
karna
karna,
yani
back
logon
ki
buraye jo unke ander hai jo
ki sach bhi hai vo unke
peeth peeche karna.
2. Haatho
ke
aakhoon
ke
ishare se kisi ko zaleel karna uska masaq udana.
3. Badgumani ki buniyad par kisi ki aesi buraye karna
jo usme na ho ise ilzaam kaha jata hai.
4. Do logon main ladai karvana idher ki baat udhar
karna. Chugalkhori karna.
5. Logon ko bure namoon se pukarna jaise:
Vo andha hai.
Vo ganja hai
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
94
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Vo chor hai
Vo dhokebaaz hai
Vo kitni jaldi namaz padhta hai
Usme to manners hi nahi jahil hai
Vo zakat nahi deta
Vo bahot rude hai
Vo arrogant hai
Uski naak moti hai
Vo kala hai.
Ye vo batain hain jo hamare liye bahot normal hain
lekin Allah ki nazar main ye bahot bade bade gunah
hain.
QUR'AN (SURAH HUJRAAT AYAT 12)
Ae logon jo imaan laye ho bacho bahot se gumanoon
se, beshak baaz gumaan gunah hote hain. Tajassus
(yani chupke se janne ki koshish karna ki uski
zindagi main kya ho raha hai) na karoo ak dosre ki
burai ya gheebat na karo. Kya tum main se koi ye
pasand karta hai ki vo apne mare hue bhai ka goosht
khaye. Jab ki ye baat tumhe na gavar hogi. To phir
Allah se daro gheebat chugli se tauba karo beshak
Allah tauba qubool farmata hai aur bahot raham
farmane vala bhi hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
95
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
HADEES
AAP
SAW
ne
farmaya
tumhe pata hai gheebat
kya hai, ki tum kuch aesa
apne bhai ke bare mai
kaho jo use pasand na ho,
sahaba ne poocha ki agar
hum vo baat kahe uske
bare main jo sahi ho to, Aap SAW ne farmaya tab vo
gheebat
hai aur agar
tum vo kahoge jo uske bare
main jhoot hai tab vo ilzaam hai11.
HADEES
Ak baar Aap SAW ka guzar do qabroon par hua jin par
azaab ho raha tha. Aap SAW ne bataya ak par isliye
azaab ho raha hai kyonki vo urine ki cheentoon ka
dhyan nahi rakhta tha yani dhota nahi tha yani
jismani
gandagi
ke
saath
rahta
tha
aur
dosra
chugalkgori karta tha logon ko ladvata tha12.
11
Muslim
12
Bukhari and Muslim
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
96
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
HADEES
Aap SAW ne farmaya jab insan subah sokar uthta
hai to body ke sare parts tongue ko warn karte hain
ki Allah se darna agar tum sahi rahogi to hum bach
jayenge lekin agar tumne gunah kiya to hum saza
bhuktenge13.
Zaban insan ki body ka sabse khtarnaak organ hai.ye
chahe to bande ko jannat main le jaye aur ye chahe
to jahannam main le jaye. isliye kaha gaya ki apni
zaban ko Allah
ke zikr se tar rakho hamesha Allah
ka zikr karte raho jisse shaitaan bhag jata hai.
QAYAMAT KE DIN
Qayamat ke din insan ke paas dirham aur dinaar nahi
honge jab hisaab hoga insano ke beech to agar kisi ki
gheebat, chugli ya ilzaam lagaya hoga to apni
naikiyaan jaise namaz, roza dena hoga. Badle main
isliye hamare liye achcha hai ki agar duniya main ye
gunah kiye hoon to yahin us bande se aur Allah se
maufi mang leen aur us bande ke liye dua kareen jis
par aapne ye zulm kiya hai. Varna qayamat kedin
apni naikiyaan deni hongi.
13
Tirmizi
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
97
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Kis condition main burai karne ki ijazat hai:
1. Agar aap par zulm hua hai to aap jisse faisla
chahte hain use sari baat bata sakte hain.
2. Agar rishte ki baat chal rahi ho aur aap jante
hain ki ladka ya ladki achchi nahi to aap
isharoon main kah sakte hain ki vahan rishta na
kareen.
3. Agar koi kisi ke saath business karna chahta hai
aur aapko pata hai ki vo imaandaar nahi to bhi
bata sakte hain ki business na kareen.
Iske alava burai karne, mazaq udane aur idher ki baat
udher karne ki ijazat nahi hai.
HUTAMA
microwave
jahannam
ki aesi jagah hai jo closed hai
oven ki tarah jahan aib lagane vale
gheebat chugli karne valoon ko rakha jayega vahan
pillars honge chains hongi log bandhe honge aur phir
unhe jalaya jayega. Vo aag Allah Ta'ala ki khud ki
sulgayegi hui hogi jo duniya ki aag se 69 times zyada
hogi jo seedhe dil ko jalayegi. Duniya main to agar
insan jalta hai to skin muscles jalti hain aur vo mar
jata hai lekin hell main to maut aayegi nahi to aag dil
tak pahunch jayegi aur dil jalayegi.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
98
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dil ki baat kyon ki ja rahi hai kyonki dil aur zabaan
ka talluq hota hai jo dil main hota hai vo hi zabaan
par aata hai.jab dil main galat khyalaat aate hain
tabhi zaban se nikal te hain isliye
saza bhi dil ko
milegi phir pora jism jalega.
Isiliye kaha gaya jab raat ko soyeen to dil saaf karke
soyeen kabhi kisi ke liye dil main bura guman na
kareen.
SURAH HUMAZAH (AYAH 1 TO 9)
Halakat hai har aib lagane vale taunt karne vale,
yahan humaza lumaza words aaye hain usme vo sab
aa jata hai jo humne oper discuss kiya.
Aur halakat hai har maal jama karne vale aur gin gin
kar rakhne vale ke liye. Kya vo samjhta hai ki uska
maal use hamesha baqi rakhega, hargiz nahi vo zarur
hutama main phaika jayega jo use crush kar degi aur
tum nahi samjh sakte ki hutama kya hai. Vo Allah ki
bhadhkaye hui aag hai jo dilo ko jalayegi vo unpar
charoon taraf se band kar di jayegi lambe lambe
pillars main.
Isi liye apni zaban par har vaqt Allah ka zikr karte
rahain:
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
99
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
SUBHANALLAH
ALHAMDULILLA
ALLAHU AKBAR
LA ILAHA ILLALLAH
Padhte rahe koi agar burai shuru bhi karee to use
vahi rok deen. Aur khud ko aur sab ko HUTAMA se
bachayeen.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
100
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
74. ZAKAAT KE MASAIL
Zakat
islam ke five pillars
main se ak hai
chat ke pillars
jaise agar
main se ak
hata diya jaye to kya hoga
usi tarah
ye bhi islam ki
buniyaad hai. Qur'an main
jahan jahan Allah Ta'ala ne
namaz ka hukum diya usi ke saath zakaat ada karne
ka bhi hukum diya hai. Zakat dena purani ummatoon
par bhi farz tha yani unki shariyat main bhi tha.
Duniya ke nizaam ko chalane ke liye Allah Ta'ala ne
oonch neech rakhi yani kisi ko zyada maal diya kisi
ko kam ye Allah ka distribution yani taqseem hai.
Lekin Allah ki nazar main sab
barabar hain, jisko zyada diya
uspar farz kiya ki
vo apne
maal main se sirf 2.5 percent
unko de jinko Allah ne duniya
main kam diya hai.
Zakat ka matlab hai paak karna yani apne maal ko
paak karna.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
101
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
1. Zakat ada karne se pehle dil main niyat karni
zaruri hai. Hum ye nahi kah sakte ke kisi vaqt
jab kisi ko diye tha to vo zakat thi nahi aapko
niyat karke vo amount nikalna hoga.varna vo
sadqa hoga aur farz baqi rah jayega.
2. Ye ak farz ibadat hai isliye iske bare main
qayamat ke din saval hoga jaisa ki namaz ke bare
main hoga.
3. Agar koi kisi country main rah raha hai aur
income tax pay kar raha hai to vo zakat nahi
kahlayegi, zakat alag se dena hoga.
4. Jo barabar zakat ada karega vo jannati hai.
5. Zakat ada karne se hamara maal paak hota hai
aur usmain izafa hota hai.
6. Jis maal se Allah Ta'ala ka haq ada na kiya jaye
vo tabah aur barbaad ho jata hai.usme barkat
nahi hoti.
7. Jo qaum zakat ada nahi karti vo qahat sali main
padh jati hai, yani drought.
8. Zakat ada na karne vala dosakhi hai kyonki ye
farz ibadat hai.
9. Zakat ada na karne vale par Aap SAW ne lanat
farmaye hai.
10. Zakat gunahoon ka kaffara hai aur insaan ke
nafs ko paak karta hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
102
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
11. Jis sone par zakat nahi di jayegi Allah Ta'ala us
sone ki plates banakar jahannam main garam
karke uske malik ki pehlu peshani peeth par
daagh lagvayenge.
12. Vo maal jispar zakat nahi di jati usko kanz
kaha jata hai. Qayamat ke din aesa maal ganja
saanp bankar apne malik ke gale main hoga aur
use dasega.
13. Jin janvaroon par zakaat nahi di jayegi vo
janver qayamat ke din apne malik ko apne
peeroon se rondenge.
14. Zakat ada karne se daulat main barkat aur maal
main izafa hota hai.
15. Zakat aakhrat main kamyabi ki zamanat hai.
16. Zakat ada karne vale qayamat ke din har khauf
aur gham se azaad honge.
17. Zakat ka inkaar karna kufr hai.
18. Har mard aurat aqil gair aqil baligh na baligh
sab par zakat farz hai agar vo sahibe nisaab hai
to.yani uske paas itna amount
hai ak qamari
saal guzarne ke baad jis par zakat farz qarar di
gaye hai.
19. Sirf halaal kamai se di gaye zakat hi qabile
qubool hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
103
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
20. Agar koi zakat zyada dena chahe to de sakta
hai.
21. Saal pora hone se pehle bhi agar koi zarurat
mand dike to use zakat di ja sakti hai.
22. Zakat se bachne ki koshish main tricks nahi
karni chahiye. Allah Ta'ala sab jante hai dilo ke
haal.
23. Zakaat sirf muslims ko di ja sakti hai non
muslims ko nahi. Non muslims ko jitna chahe
sadqa de sakte hain.
24. Zakat maan baap bivi banchcho ko nahi di ja
sakti. Kyonki ye to zimmedari hote hain.
25. Zakat Aap SAW ke khandaan ke liye nahi hai
unko nahi di ja sakti.
26. Ghani aur tandrust ke liye zakat nahi.
27. Zakat ka paise masjid
banvane ke liye nahi
diye ja sakti.
28. Agar aap ke paas 87.5 grams gold hai ya usse
zyada hai
to aap ko total gold ki qeemat
current year ki vo amount nikal kar uska 2.5
per zakat deni hai ramzaan main zakat de de to
achcha hai kyonki zakat qamari yani lunar
calender ke hisaab se di jati hai isse calculation
main aasani hoti hai aur gareeb jo roza rakh
rahe hain unhe bhi fayeda hota hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
104
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
29. Ya aapke paas
agar
612 grams silver ki
qeemat
ke barabar
cash bank main hai
ya usse zyada tab bhi
aap ko total amount
ka 2.5 percent zakat
deni
hai
being
a
muslim
ye
farz
hai.agar
isse
kam
cash hai to zakat nahi deni hogi.
30. Kuch log kahte hai ki jo zevar pehan rahe hain
us par zakat nahi lekin ye galat hai. Aap SAW
ke paas ak aurat aaye uski beti ne do sone ke
kade pehne hue the aap ne usse poocha tumne
inki zakat di usne kaha nahi Aap SAW ne kaha
qayamat ke din inhi ki plates bana kar garam
karke tumhe dagi jayengi usne foran utar kar
de diye aur kaha aap ise deen ke kaam main
laga dijeye.agar pehne hue zevar par zakat nahi
hoti to aap kabhi bhi aesa nahi kahte.
31. Zakat ka sabse pehle haqdaar gareeb rishtedaar
hai lekin isme bhi categories hai ki kisko dena
hai kisko nahi agar aap confused hain to aap
zakat kisi islamic official jaise shahar qazi ya
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
105
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
aese kisi ko bhej sakte hain kyon ki unke paas
bahut majboor log aate hain aur vo jante hain
zakat kisko deni hai sadqa kisko.
32. Agar kisi ke paas 52.5 tola chandi ya 612 grams
chandi ya usse zyada hai to uske total value ka
2.5 percent zakat deni hogi. Gold aur silver ko
milakar zakat nahi di jayegi.
33. Jis ghar main hum rah rahe uspar zakat nahi.
Agar koi plot khareeda hai ki uspar apna ghar
banayenge aur abhi aap kiraye ke makaan main
rah rahe hain to us plot par zakat nahi.aese hi
car furniture fridge etc ghar ki istemal karne
vali cheezoon par koi zakat nahi.
34. Agar apki koi shop hai usme jitna bhi samaan
hoga uski average
value plus profit mila kar
agar above mentioned
chandi ke barabar hai
ya usse zyada to total ka 2.5 percent
dena
.hoga total par.
35. Total zakat nikal kar thoda thoda pore saal bhi
de sakte hain kisi ko aese zakat deen ki jisko
de rahe hain vo koi kaam shuru kar de aur
khud bhi zakat dene lage.
36. Agar kisi ke paas zameen hai aur vo usne apna
ghar banane ke liye li hai to uspar zakat nahi.
Lekin agar ghar ke alava koi aur zameen hai aur
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
106
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
vo investment purpose se li hai to jab vo
zameen bechenge tab uski jo bhi qeemat aayegi
uspar 2.5 percent zakat deni hogi.
37. Agar koi zakat zyada dena chahe to de sakta
hai.
38. Zakat
sabse
pehle
apne
qareebi
gareeb
rishtedaaro ko dena chahiye. Bhai Behan agar
neeche jo 8 logon ki category main aate hain to
unko zakat di ja sakti hai. Zakat se bachne ke
liye koi trick nahi karna chahiye ye yaad
rakhna chahiye ki vo jiske saath trick kar rahe
hain vo dilo ke khyalaat bhi jaanta hai.
39. Syed agar vaqai sure ho ki vo Aap SAW ki aal ya
family ya khandaan
main se hai to usko zakat
nahi de sakte.
40. Zakat vo dega jo uska malik hoga agar aurat
apne zevar ki malik hai to vo zakat degi agar
husband
dena chahe to de sakta hai .agar
husband zakat dene se inkaar kar de to aurat
ko khud dena hoga agar vo zakat na de paye to
use zakat ke barabar zevar bechkar zakat deni
hogi..
Zakaat kisko di ja sakti hai, ye Allah Ta'ala ne khud
Qur'an main bataya hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
107
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
8 Qism ke logon ke alawa kisi dosre ko zakaat nahi di
jayegi.
FAKHEER (BEGGAR).
MISKEEN
Vo jo mangte nahi aap unhe dekh kar pehchan
lenge ki vo mustahaq hai.
ZAKAAT PAR KAAM KARNE WALE LOG (USKO
IKHATTA KARNE WALE, USE BAANT-NE WALE
AUR ANAATH BACCHON TAK USE PAHUNCHANE
WALE)
Jaise income tax officer ko salary bhi income tax jo
collect kiya jata hai usme se di jati hai vese hi agar
islamic hukumat hai to jo zakat collect kar raha uski
salary bhi zakat main se di ja sakti hai.
DIL KO NARM KARNE KE LIYE YANI koi NAYA
MUSALMAAN SHAKHS JISKA ISLAAM KAMZOOR
HO USE ZAKAAT DI JAYEGI TAAKI USKA DIL
ISLAAM SE KAREEB HO JAYE.
GARDAN AAZAAD KARNE KE LIYE (MUSLIM
GHULAAM KO ZAKAAT KE PAISE SE KHAREED
KAR AAZAAD KIYA JAYEGA).
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
108
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
KARZ MAIN DABE HUE SHAKS KO – AISA
MAQROOZ SHAKS JIS KO KARZ ADA KARNA
MUSHKIL HO USE KARZ ADA KARNE KE LIYE
ZAKAAT KA MAAL DIYA JAYEGA Aesa na ho ki usne ye karz apne aisho araam ke liye
liya ho.
ALLAH KE RAASTE Main
Allah ke raaste Main jihaad karne valoon ko deen
phailane ke liye religious books print karvane main
kisi ke operation
main agar vo afford
nahi kar pa
raha ho. ALLAH ke raste main banchcho ki fees ya
pani ka intezaam karvana etc.
MUSAFIR– AISA SHAKS JO APNE CITY SE KAT
JAYE AUR USE ZAROORAT HAI TO USE ZAKAAT
KA MAAL DIYA JA SAKTA HAI CHAHE WO APNI
CITY MAIN AMEER YA MAALDAAR HI KYUN NA
HO. Yani kisi ke paise khtam hogaye ya chori ho
gaye .card chori ho gaya mobile
chori ho gaya
uske paas khane ko kuch nahi naye city main vo
kisi ko jaanta nahi to use bhi de sakte hain.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
109
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
75. ZAKAT - UL- FITR
Zakat-ul-fitr ko Sadaqat ul fitr bhi kaha jata hai. Fitr iftaar se hai means breaking fast. Significance - is ka
maqsad hai ki wealth society main circulate ho. Allah
Ta’ala ne hi kisi ko gareeb aur kisi ko ameer banaya,
lekin Allah ki nazar main sab barabar hain. Jo ameer
hain unse expect kiya gaya ki vo Allah ke ghareeb
bandoon ki madad kareen. Aesi madad sadqa kahlati
hai jo Allah ke bandoon ko diya jata hai phir chahe
vo muslim ho ya non muslim ho sab ki madad karne
ka hukum hai kyonki sab ko Allah
ne banaya sab
Allah ke bande hain.
Lekin kuch cheeze Allah Ta'ala ne hum par farz kar
di yani obligatory hai dena hi hai, aur uski duration
bhi bata di, ki ye zakat ul fitr eid ki namaz se pehle
hi dena hoga taki jo society ke gareeb log hain aur
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
110
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
jo muslims
hai vo bhi apni eid achche se manaye.
Eid ke din vo bhi vohi cheeze kha rahe hoon jo dosre
log khate hain.eid ke din unhe dosroon ke aage haath
na phailana pade. Isiliye hukum diya gaya ki pehle hi
de do.
1. Zakat-Ul-Fitr ko har muslaman mard, aurat,
budhe, bachche par farz kiya gaya hai.
Chahe unhone ramzaan main roze rakhe ho ya
nahi.chahe vo zakat dete ho ya nahi. Jo bhi ghar ka
head hai use chahiye ki ghar ke sare members ko
count karke sabki taraf se de.
Yani sab ko dena compulsory hai. Agar ghar main
chota bachcha bhi paida hua hai to uska bhi dena
hoga14.
2. Koi bhi cheez jo Insan khane ke liye Istemsal
karta hai, Jaisa ke Barley, Khajoor, munaqqa
paneer etc... Aap SAW ke zamane main diya jata
tha.
Jo bhi us jagah ka staple food ho jo bhi log khana
pasand karte ho, jagah ke hisaab se zakat ul fitr main
de den.
14
Sahih Al Muslim, Hadees 984
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
111
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
3. Shaykh Ibn ‘Uthaymeen ne iski miqdaar ak shaks
ke liye 1 Saa yani 2kg-100gm batayi hai.
Lekin alag alag jagah iski quantity alag milti hai
kahin ak saa 2.5 kg se 3 kg tak kaha gaya hai.to be
on the safer side zyada de deen to zyada achcha hai.
4. Zakat-Ul-Fitr
khane
ki
cheez
(Gehu,
Anaaj,
Khajoor) hi dena chahiye, paisa dena sunnat se
sabit nahi, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne
sirf khane ki cheez hi di thi.
Kuch aulama kahte hain agar ye possible na ho to
paise de deen lekin
paise na dekar galla deen
to
zyada achcha hai.
5. Zakat-Ul-Fitr sirf gharibo, mohtajo, misqeeno,
bevayoon ko hi dena chahiye, taaki vo bhi Eid ki
khushiya mana sake, khaa-pee sake, Zakatul Fitr
ko muhtajo ke alawa kisi aur ko dena jayaz nahi
hai.yani masjid ki construction ya kisi madarse
ki building construction main dena galat hai.
Ye unhi logon ko diya jayega jo zakat ki category
main aate hain.
6. Rasool
Allah
Sallallahu
Alaihi
Wasallam
ne
Zakatul Fitr ko Farz kiya taaki rozedaro se roze
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
112
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
ki halat me
gunah
jo
ho
sarzad
gaye
hoon to vo khud ko
unse
paak kar leen .
Misqeeno
mil jaye
ko
khana
aur unki idd
bhi achchi ho jaye.
Isse society ke gareeb
ameer ke beech main ak bond banta hai, jealousy
door hoti hai. Society main sukoon paida hota
hai.
7. Rasool
Allah
Sallallahu
Alaihi
Wasallam
Ne
Farmaya:
Zakat-Ul-Fitr garibo, miskino, muhatajo ka haq hai,
Eid se pehle un tak pahunch jaye to vo muhtajgi se
bach jayenge.
8. Zakat-Ul-Fitr ko iddgah jane se pehle (Yani EidUl-Fitr Ki Namaz ada karne se pehle) de dena
chahiye, Isko ada karne me takheer nahi karna
chahiye.
9. Eid Ke 1 Ya 2 din pehle Zakat-Ul-Fitr bhi de sakte
hain .lekin iska vaqt aakhri roza iftaar se eid ki
namaz se pehle tak ka hai.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
113
ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
10. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Farmaya:
Jisne Eid Ki Namaz ke baad Zakat-Ul-Fitr diya, uska
farz ada nahi hua, usko nafil ka sawab milega, Ye uski
taraf se sirf Sadqa hoga aur uska farz rah jayega.
Zakat-Ul-Fitr ada karne ka faidaye hai ke, ye ak tarah
ka kaffara hai jo rozo ki halat me hum se gunah hote
hain unka. Jaise Ke Kotahiyan, fuzul Baatein jhoot
kisi ki burai etc.
Ye behtareen zariya hai gharibo ki mohatajgi door
karne ke liye.
Allah Ta'ala ham sab ko Apni khushiyoon main
gareeb miskeen mohtajo ko bhi shameel karne ki
tofeeq ata farmaye.
Aameen
WRITTEN BY: SHAHBANO KHAN
DESIGNED BY: DR. ISHRAT ALIM
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
114