Bazme Noor 18 juli 2010 - Noori

Transcription

Bazme Noor 18 juli 2010 - Noori
Waadi Raza ké Kohé Himala Raza ka hai
Djis simt dekhiye wo Elaka Raza Ka hai
Pich’lo né to Bo’hoet lie’kha ilm Dien par
Djo kuch hai ies saddi mé wo Tanha Raza ka hai
Fatawa é Razvia toh ék Karamat hai
Ze’ra Hada'ieq é Bakhshish hie pahr’ké dikh’la
Allah ki sarta baa qadam shaan hain yeh,
Insaa nahin insaan, woh insaan hain yeh,
Quran to Imaan batata hai inhein,
Imaan yeh kahta hai meri jaan hain yeh
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 2 Noori Masdjid N.I.S.
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 3 Noori Masdjid N.I.S.
Munadjaat
Ya Ilahi Har Jagha Teri Ataa Ka Saath Ho
Jub Pare Mushkil Shahe Mushkil Kusha Ka Saath Ho
Ja Ilaahi Bhool Jawu Naza ki takleef ko
Shaadiye deedare Husne Mustapha Ka saath ho
Ya Ilaahi Goor-e-tera Ki Jab Aayeh Sakht Raat
Unki Pyaari Mohn Ki subha Jaa fiza Ka saath ho
Ya Ilahi jab pare mahshar me shor-e-daar wa gheer
Aman deneh waaleh pyaare peshwa ka saath ho
Ya Ilaahi jab Zabaaneh bahar Aayeh pyaas seh
Saahib-e-kauthar Shahe Jood-o-ataa Ka saath ho
Ya Ilaahi Sard-e-Mehri par ho jab khurshid-e-Hashar
Sayyad-e-beh Saaya Ke Zill-e-liwaa ka saath ho
Ya Ilahi Garmi-e-Mahshar seh jub bhar keh badan
Daaman-e-Mahboob ki thandi hawaa ka saath ho
Ya Ilaahi Na'ama-e-A'maal jub khulne laghe
Aib-e-pooshi khalq-e-Sat'taare Khata Ka Saath ho
Ya Ilahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-e-Jurum meh
Un Tabassum rez-e-hontoh ki Dua ka saath ho
Ya Ilaahi jab Hisaab Khandaa-e-bichaar laye
Chashme Ghar-yaane Shafi-e-Murtaja Ka saath ho
Ya Ilahi rangh laayi jab meri Be baaqiyah
Unki neechi neechi nazro ki Hayaa Ka saath ho
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 4 Noori Masdjid N.I.S.
Vervolg
Munajaat
Ya Ilaahi Jab chalo Tareekh raahe Pul Siraat
Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Saath ho
Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer par chalna pare
Rabbe Sallim kahneh waaleh ghamzadah ka saath ho
Ya Ilahi Jo Dua yeh nekh hum tujh se kare
Qudsiyyo ke labb seh Ameen Rabbana ka Saath ho
Ya Ilahi Jab Raza Kwaab-e-Ghiraa seh Sar Uthaaye
Daulat-e-bedaar Ishk-e-Mustapha Ka Saath ho
Ya Ilahi le chale jab dafan karne Qabar me
Ghaus-e-Azam peshewa'e Awliya Ka Saath hoh.
Ishq é Mustafa djies ké sieney mé hay
wo djahan bhi rahe wo Madina mé hay
pholoon mé bhi aysi khoeshbu kahan
djo meré Nabi é Pak Sallallaho Alay
hi Wa Sallam ké pasieney mé hay
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 5 Noori Masdjid N.I.S.
1. Sura Al Fatihah wordt gereciteerd door:
Ahmad Raza bin Mohammad Abbaas
2. Sura Al Kafiroun wordt gereciteerd door:
Joesoef Saeed Ali bin Faroek Naushad Ali
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 6 Noori Masdjid N.I.S.
3. Sura Al Yunus wordt gereciteerd door:
Hafiz Qari Siraadj Djoeman
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 7 Noori Masdjid N.I.S.
4. Sura Al Ahzab wordt gereciteerd door:
Hafiz Qari Mohammad Ilyaas
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 8 Noori Masdjid N.I.S.
5. Sura Az Zumar wordt gereciteerd door:
Hafiz Qari Mohammad Anwaar
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 9 Noori Masdjid N.I.S.
6. Sura Ash Sharh wordt gereciteerd door:
Hafiz Qari Mohammad Aqiel
Sura Adh Dhuha
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 10 Noori Masdjid N.I.S.
7. Sura Al Imran wordt gereciteerd door:
Hafiz Qari Mohammad Zahier Jahangier
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 11 Noori Masdjid N.I.S.
Vervolg van Sura Al Imran
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 12 Noori Masdjid N.I.S.
8. Sura Al Maryam wordt gereciteerd door:
Hafiz Qari Mohammad Idjaz Sahebdin
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 13 Noori Masdjid N.I.S.
Vervolg van Sura Mayam
Sura Al Zalzalah
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 14 Noori Masdjid N.I.S.
9. Sura Ar Rahman wordt gereciteerd door:
Hazrat Maulana Qari Dilshad Ahmad Noori
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 15 Noori Masdjid N.I.S.
Vervolg Sura Ar Rahman
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 16 Noori Masdjid N.I.S.
Vervolg Sura Ar Rahman
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 17 Noori Masdjid N.I.S.
Vervolg Sura Ar Rahman
Sura Al Qaria
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 18 Noori Masdjid N.I.S.
1.
Darood Nazm door Qari Dilshad Ahmad
Kaabe ke Badru dudja Tumpe karoron Durood
Taiba ke Shamsud Duha Tumpe karoron Durood
Shaafa é Roza Jazaa Tumpe karoron Durood
Daafa é jumla balaa Tumpe karoron Durood
Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa
Seene pe rakhdo zaraa Tumpe karoron Durood
Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa
Jab na Khudaa hi Chupaa Tumpe karoron Durood
Wo Shabbe Me’raaj raaj woh sa’fe Mehshar ka Taaj
Koyee bhi aisa howa Tumpe karoron Durood
Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah
Tum kaho Daaman me aa Tumpe karoron Durood
Tum ho Haafiz-o-Mughees kya he woh Dushman Khabees
Tum ho to phir khauf kya Tumpe karoron Durood
Ek taraf A’daa é Deen ek taraf he Haasideen
Banda he tanha Shaha Tumpe karoron Durood
Hum ne Ghataa me na ki Tum ne ataa me ki
Koyi kami sarwaraa Tumpe karoron Durood
Kyun kahun bay’kas hun may kyun kahun bay’bas hun may
Tum ho may Tum par fidaa Tum peh karoron durud
Aankh ataa kijiye us me ziya dijiye
Jalwa qareeb aa gaya Tumpe karoron Durood
Kaam wo le li’djiye tum ko jo Raazi kareh
Theek ho naame Raza tumpe karoron Durood
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 19 Noori Masdjid N.I.S.
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 20 Noori Masdjid N.I.S.
2. Manqabat door Hadji Mohammad Abbaas
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Hamein bheek maangne ko Tera aastaan banaya
Tujhe hamd hai Ghoedaya Tujhe hamd hay Ghoedaya
Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Tumhein Haqim banaya Tumhein Qasim Aataya
Tumhein Shafe Aataya Tumhein Da'afe balaya
Kooi Tum sa koun aaya Kooi Tum sa koun aaya
Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Wo kanwaari Pak Maryam wo Naf'ate fiya ka dam
Hai azeb Nishaan e Aazam magar Aamina ka Djaya
Wohi sab se afzal aaya Wohi sab se afzal aaya
Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Yahie bole sidraa wale Tjeman e Djahaan ké thaale
Sabhi mein ne tjhaan daale Teray pae ka naa paya
Tujhe Yaq ne Yaq banaya Tujhe Yaq ne Yaq banaya
Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya
"Fa Izaa Faraghta Fansab" ye mila hai Tujh ko mansab
Djo gada bana shoeke ab otho waqte bakhshis Aaya
Karo qismat aataya Karo Qismat aataya
Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya
"Wa Ilaa Rabika Farghab",karo arsh sab ké matlab
Ké Tu’hayn ko Takte hayn sab karo un per Apna saya
Bano Shafeye Ghataya Bano Shafeye Ghataya
Wohi Rab hai djis ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Aare Ay Khuda ké bando kooi meray dil ko dhoendo
Meray paas tha abhi to, abhi to abhi kya howa Khudaya
Na kooi ghayaa na AayaNkooi ghayaa na Aaya
Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Hamein Ay Raza Teray dil ka pata chala ba mushkil
Dar e Rouza muqabil wo hamein nazar to aaya
Ye na poeche kay’sa paya Yé na phoeche kay’sa paya
Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 21 Noori Masdjid N.I.S.
3. Naat Sharief door Qari Siraadj Djoeman
Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay
Kay Goemaan e Naqs Jahaa(n) Nahie
Yey’hie Phool Ghaar Sé Doer Hai
Yé’hie Sham’ma Hay Ké Dhoe’a(n) Nahie
Ba Ghoda, Ghoda Ka Je’hie Hay
Darr Nahie(n) Aur Koi Maf’fer Maq’qer
Djo Wahaa(n) Sé Ho Yahie(n) Aaa’ké Ho
Djo Ja’haa(n) Nahie To Wahaa(n) Nahie
Tere Aagé You(n) Hay(n) Dabbé
Lé’shayi Foe’sa’ha A’rab Ké Bar’ré Bar’ré
Ko’yie Djaané Moe(n) Mé(n) Soebaa(n) Nahie
Nahie Balké Djism Mé(n) Djaan Nahie
Wo’hie Noor e Haq Wo’hie Zillé Rabb Hai
Oen’hie Sé Sab Hai Oen’hie Ka Sab
Nahie Oenkie Milk Mé(n) Aas’maan
Ké Zamien Nahi Ké Zamaan Nahie
Wo’hie Laa Makaa(n) Ké Makie(n) Hoe’wé
Sar e Arsh Takh Nashie(n) Hoe’wé
Wo Nabie Hay Djiss Ké Hay Yé Makaa(n)
Wo Ghoda Hay Djiss Ka Makaa(n) Nahie
Sar e Arsh Per Hay Terie Goezar
Dil e Farsh Per Hay Terie Nazar
Malakoot oMulk Mé(n) Kooy’ie Shay Nahie
Wo Toejh Pé Ae’yaan Nahie
Karoo(n) Tere i Naam Pé Djaa(n) Fida
Na Boess eek Djaa(n) Doo Djahaa(n) Fida
Doo Djahaa(n) Sé Bhie Nahie Djie Bha’raa
Karoe(n) Kiya Karoe(n) o Djahaa(n) Nahie
Karoe(n) Madhay Ahle – é - Doel Raza
Per’ré Iess Bala Mey(n) Mé’rie Balaa
May(n) Gada Hoo(n) Apné Kariem Ka
Méra Dien Paara é Naan Nahie
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 22 Noori Masdjid N.I.S.
4. Naat Sharief door Qari Ilyaas
Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho
Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho
Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko
Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho
Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein
Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho
Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey
Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho
Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa
Ay Murtazaa Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho
Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein
Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho
Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj
Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho
Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho
Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho
Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey
Yoon Dil Mein Aa Kay Deedah e Tar Ko Khabhar Na Ho
Ay Shauq e Dil Yeh Sajdah Ghar Un Ko Ravaa Nahin
Acha! Woh Sajda Key Jiey Sar Ko Khabhar Na Ho
Un kay Sivaa RAZA Koey Haamey Nahin Jahaa
Ghuzra Karay Pisar Pay Pidar Ko Khabhar Na Ho
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 23 Noori Masdjid N.I.S.
5. Naat Sharief door Noushad Ali Soharwardi
Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya
Le khabar jald ke ghairon ki taraf dahyan gaya
Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya
Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya
Dil he woh dil jo teri yaad se ma’moor raha
Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya
Unhein jana unhen mana na rakhha ghair se kaam
Lillah hil Hamd mein Duniya se Musalman gaya
Aur tum par mere Aaqa ki Inayat na sahi
Najdiyo Kalmah parhane ka bhi ehsaan gaya
Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya
Jaano dil hosho khirad sab to Madine pahonche
Tum nahin chalte Raza sara to samaan gaya
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 24 Noori Masdjid N.I.S.
6. Naat Sharief door Faiz Mohammad Abdoel
Haajiyo aawo Shahenshah ka Rawza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho
Rukhne Shaami se mithi wah’shate shaame gurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho
Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujaa-ee pyaase
Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho
Zayre Mizaab mille khoob Karamke cheenthe
Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho
Khoob aankho se lagaaya he Ghilaafe Kaaba
Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho
Zeenate Kaaba me tha laakh ardeso ka banawa
Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho
Dhochuka zulmate dil bosaa-e sunghe Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho
Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye Mujrimo
Aawo yaha Eide do Shaneba dekho
Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhe
Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho
Ghowr se soun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri aankho se mere Pyaare ka Rowzaa dekho
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 25 Noori Masdjid N.I.S.
7. Naat Sharief door Mohammad Zahier
Zammino Zamaan tumhare liye
Makino Makan tumhare liye
Chunino Chuna tumhare liye
Bane do jahan tumhare liye
Dahan me zuban tumhare liye
Badan me he Jaan tumhare liye
Hum aye Yahan tumhare liye
Uthe bhi Wahan tumhare liye
Farishte Khidam Rasoole Hashm
Tamame Umam Ghulame karam
Wajoodo Adam Haduso kidam
Jahan me aya tumhare liye
Kalimo Naji Masiho Safi
Khalilo Razi Rasoolo Nabi
Atiko wasi Gani-o-Ali
Sana ki Zuban tumhare liye
Asaalate kul Imaamate kul
Siyaadate kul Imaarate kul
Hukoomate kul Wilayate kul
Khuda ke Yahan tumhare liye
Tumhari Chamak tumhari Damak
Tumhari Jhalak tumhari Mahak
Zammino Falak Simako Samak
Me sikka rawa tumhare liye
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 26 Noori Masdjid N.I.S.
8. Naat Sharief door Hadji Anwar Guman
Sabse Aula O A’la Hamara Nabi
Sabse Bala O Wala Hamara Nabi
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha Hamara Nabi
Bazm-e-Aakhir Ka Shammay Farouzan Hua
Noor-e-Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi
Bujh Gayein Jiskay Aagay Sabhi Mash’lein
Shamma Woh Lekar Aaya Hamara Nabi
Jiskay Talwon Ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat
Hai Woh Jaan-e-Maseeha Hamara Nabi
Khalq Se Auliya Auliya Se Rusul
Aur Rasulon Se Ala Hamara Nabi
Jaisay Sabka Khuda Aik Hai Waisay Hee
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi
Kon Deta Hai Dene Ko Moo Chahiye
Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi
Saaray Onchon Mein Oncha Samajhiye Jissay
Hai Uss Onchay Se Oncha Hamara Nabi
Sab Chamak Walay Ujlon Mein Chamka Kiye
Andhay Sheeshon Mein Chamka Hamara Nabi
Gham Zaddon Ko Raza Muzhda Dejiye Ke Hai
Beykason Ka Sahara Hamara Nabi
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 27 Noori Masdjid N.I.S.
9. Naat Sharief door Hadji Nazir Guman
Sachi Baat Sikhatay Ye Hain
Seedhi Raah Chalatay Ye Hain
Naz-E-Rooh Mein Aasani Dain
Kalma Yaad Dilatay Ye Hain
Marqad Mein Bandon Ko Thpak Kar
Meethi Neend Sulaatay Ye Hain
Qasr-E-Dana Tak Kis Ki Rasaai
Jaatay Ye Hain Hain Aatay Ye Hain
Thanda Thanda Meetha Meetha
Peetay Hum Hain Pilaatay Ye Hain
Faiz-E-Jaleel Khaleel Se Poocho
Aag Mein Bagh Lagatay Ye Hain
Apnay Bharam Se Hum Halkon Ka
Palla Bhari Banatay Ye Hain
Laakh Balayein Karoron Dushman
Kon Bachaye Bachatay Ye Hain
Apni Bani Hum Aap Bigaarein
Kon Banaye Banaatay Ye Hain
Sallim Sallim Ki Dhaaras Se
Pul Se Paar Lagatey Ye Hain
Maan Jab Iklotay Ko Choray
Aa Aa Keh K Bulaatay Ye Hain
Un K Haath Mein Har Kunji Hai
Malik-E-Kul Kehlatayye Hain
Keh Doraza Se Khush Ho Khush Reh
Muzda Raza Ka Sunaatay Ye Hain
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 28 Noori Masdjid N.I.S.
10. Naat Sharief door Mohammad Aamier Guman
Subha Taiba mein huwee bat-taa he baara Noor ka
Sadqa lele Noor ka aaya he taara Noor ka
Baagh-e Taybaa mein Suhaana phool phoola Noor ka
Mast boo he bulbule parti he Kalma Noor ka
Baarahween ke Chaand ka mujraa he Sajdah Noor ka
Baarah Burjon se Jhukaa ik ik Sitaara Noor ka
Aayee Bid?at chaayi zulmat rang badlaa Noor ka
Maahe Sunnat mahr-e Tal’at le le badla Noor ka
Tere hi Maathe rahaa ay jaan Sahraa Noor ka
Bakht jaaga Noor ka chamkaa Sitaara Noor ka
Mein Gadaa Tu Baadshah bhar de piyaala Noor ka
Noor din duunaa teraa dedaal Sadqa Noor ka
Taaj Waale dekh kar tera Imaama Noor ka
Sar jhuka te hain Ilaahi bol baalaa Noor ka
Sham’aa dil mishkaat tan Seenaa zujaajah Noor ka
Teri Soorat ke liye aayah he Surah Noor ka
Too he Saayaa Noor ka har uzw tukra Noor ka
Saaya ka Saaya na hota he na Saaya Noor ka!
Teri Nasl-e Paak mein he Bachcha Bachcha Noor ka
Too he’ayn-e-noor tera sab Gharaana Noor ka!
Chaand jhuk djaata djidhar Unglee uthaate Mehd mein
Kyaa hi chaltaa thaa Ishaare par Khilawnaa Noor ka
Ay Raza ye Ahmed e Noori ka Fayz e Noor he
Ho gayee meri Ghazal bar kar Qaseeda Noor ka
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 29 Noori Masdjid N.I.S.
11. Naat Sharief door Mohammad Shafie Abdoel
Chamak tujh se paate he sub paane waale
Mera dil bhi chamka de chamkaane waale
Barasta nahin dekh kar abre Rehmat
Badon par bhi barsa de barsaa ne waale
Madine ki ghit’te Khuda tujh ko rakhe
Gareebon Faqeeron ke tahraane waale
Too zinda he Wal’llah too zinda he Wal’llah
Mere chasme aalam se chup jaane waale
Me mujrim hoo Aqaa mujhe saath le lo
Ke raste me he jaa baja thaane waale
Haram ki zami aur qadam rakh ke chalna
A’ré sar ka mouqa he au jaane waale
Tera kahaa he tere Ghulamo se uljhe
He munkir ajab khaane ghur’raane waale
Rahe ga yunaheen unka charcha rahega
Pare khaak hojaye jaljane wale
Raza nafs dushman he dum me na aana
Kahaa too ne dekhe he chand raane waale
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 30 Noori Masdjid N.I.S.
12. Naat Sharief door Butt Saheb
Sarwar kahun ke mālik o maulā kahūn tujhe
Bāgh e khalīl kā gul e zeybā kahūn tujhe
Hirmān nasīb hun tujhe ummīd gah kahūn
Djaān e murād o kān e tamannā kahūn tujhe
Gulzār e quds kā gul e rangīn adā kahūn
Darmān e dard e bulbul e shaydā kahūn tujhe
Subh e watan pe shām e gharībān ko dūn sharaf
Beykas nawāz geysuon wālā kahūn tujhe
Allāh re, teyre jism e munawwar ki tābishen
Ay djaān e jān main jān e tajallā kahūn tujhe
Bey dāgh lālah yā qamar e bey kalaf kahūn
Bey khār gulban e chaman āra kahūn tujhe
Mujrim hun apne áfw ka sāmān karūn shaha
Yánī shafīy roz e djazā kā kahūn tujhe
Is murdah dil ko muzhdah hayāt e abad ka dūn
Tāb o tawān e djaān e masīhā kahūn tujhe
Terey to wasf áyb e tanāhī se hain barī
Hayrān hun mere shāh main kya kya kahūn tujhe
Kah legi sab kuch unke sana khwān ki khāmoshi
Chup ho rahā hai kah ke main kya kya kahūn tujhe
Lekin raza ne khatm e sukhan is pe kardiyā
Khāliq ka bandah khalq ka āqā kahūn tujhe
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 31 Noori Masdjid N.I.S.
13. Naat Sharief door Mohammad Ali Guman
Uthado Parda dikhado Chehra
Ke Noore bari hijab me he
Zamaana taarikh ho rahaa he
Ke mehr kab se naqaab me he
Unhiki boo ma ya saman he
Unhi ka Jalwa chaman chaman he
Unhi se Gulshan mehak rahe he
Unhi ki rangat ghulab me he
Khare he Munkar Nakir sar par
Na koyee haami na koyee yaawar
Batado aakar mere Payambar
Ke sakht mushkil jawab me he
Khuda-e kah’har he gazab par
Khule he badkaariyo ke Daftar
Bachaalo aakar Shafi-e Mehshar
Tumhara banda azaab me he
Kareem aisa mila ke jiske
Khule he haath aur bhare khazaane
Batao-e mufliso ke phir kyoon
Tumhara dil iztaraab mein he
Karim apne karam ka Sadqa
Laim beqadr ko na sharma
Too aur Raza se Hisaab lena
Raza bhi koyee Hisaab me he
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 32 Noori Masdjid N.I.S.
14. Naat Sharief door Ashgarali Abdoel
Unki mahek ne dil ke Ghunche khila diye hain
Jis raah chal diye hain Koochey basa diye hain
Jab aa gayi he joshe rehmat pe unki ankhen
Jalte bhujha diye hain rote hasa diye hain
Ik dil hamara kya he aazaar uska kitna
Tum ne to chalte phirte moorde jila diye hain
Unke nisaar koyee kaise hi runj mein ho
Jab yaad agaye hain sab gham bhula diye hain
Aane do ya dubo do ab to Tumhari Jaanib
Kashti tumhi pe chori Langar utha diye hain
Dulha se itna kehdo pyare sawari roko
Mushkil mein hain Baraati poorkhaar bada’iye hain
Allah kya Jahannam ab bhi na sard hoga
Ro ro ke Mustafa ne darya baha diye hain
Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga
Darya baha diye hain dur be baha diye hain
Mulke sukhn ki shahi tum ko Raza musallam
Jis simt agaye hoon sikke bitha diye hain
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 33 Noori Masdjid N.I.S.
15. Naat Sharief door Hadji Iqbal Mughal
Dil ko unsay Khuda juda na karay
Bay-kasee loot lay, Khuda na karay
Is mein Rozay ka sajdah ho ya tawaaf
Hosh mein jo na ho voh kyaa na karay
Yeh vohi hain ke bakhsh dete hain
Kawn in jurmoN par sazaa na karay
Sab tabeeboN nay diya hai javaab
Aah! Isa agar davaa na karay
Dil kahaan lay chalaa Haram se mujhe
Aray tera bura Khuda na karay
'Uzr-e-umeed ufuw agar na sunein
Roo siah aur kyaa bahaana karay
Dil mein roshan hai shama' e ishq e Huzoor
Kash josh e havas huwa na karay
Hashar mein hum bhii sair dekhengay
Munkir aaj unsay iltijaa na karay
Za'af maana magar yeh zaalim dil
Unkay rastay mein tau thakaa na karay
Jab teri khoo hai sab ka jii rakhna
Vohii accha jo dil bura na karay
Dil se ik zawq e mai kaa taalib hoon
Kawn kehtaa hai itiqaa na karay
Lay Raza sab chalay Madinay ko
Main na jaon Khuda na karay
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 34 Noori Masdjid N.I.S.
16. Naat Sharief door
Hazrat Maulana Mohammad Sultan Raza
Waah kya djood-o-karam he shaah-e-bathaa tera
Nahi sunta hi nahi maangne waala tera
Asmaa kahaa zami kahaa zamaana mehmaan
Saahibe khanna laqab kis ka he tera tera
Farsh waale teri shoukat ka uloo kya jaane
Khus rawa arsh pe urta he phir yaraa tera
Meh to Maalik hi kahunga ke ho Maalik ke Habeeb
Yani Mahboob-o-muhib me nahi tera mera
Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein
Kon nazro me juke dekh ke talwa tera
Ek mein kya mere isyan ki Haqiqat kinti
Mujh se so lakh ko kaafi he ishara tera
Tere Sadqe tujhe ekh boond bohat he teri
Jis din achchon ko mile jaam chalak ta tera
Teri Sarkaar me laata he Raza us ko Shafee
Jo mera Ghaus he aur laadala beta tera
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 35 Noori Masdjid N.I.S.
17. MANQABAT ALA HAZRAT
Jalwa hai noor hai ke sarapa RAZA ka hai,
Tasvir-e-Sunniyat hai ke chehra RAZA ka hai
Waadi Raza ki Kohe-Himala RAZA ka hai,
djis simt dekhye woh ilaqa RAZA ka hai
Dastaar aa rahi hai, zamin par jo sar oothe,
itna buland aaj farera RAZA ka hai.
Kis ki majaal hai jo nazar bhi mila sake,
Darbar-e-Mustafa may thikana RAZA ka hai.
Alfaz beh rahe hai, dalilo ki dhar par,
chalta hua qalam hai ke dhara RAZA ka hai.
Chuta hai aasman ko minar azm ka,
yaani atal pahad irada RAZA ka hai.
Nuqte ibarato se ubharte hai khud ba khud,
naqto-nazar pe aisa ijara RAZA ka hai.
Dariya fasahato ke rawa(n) shayri may hai,
ye zehne mumtane hai ke lehja RAZA ka hai.
Jo likh diya hai oosne, sanad hai woh din may,
Ahle qalam ki aabroo nuqta RAZA ka hai
Aglo ne to likha hai bahut ilm-e-deen par,
jo kuch hai iss sadi may woh tanha RAZA ka hai
Is daure purfatan may Nazar khush-aqidgi,
Sarkaar ka karam hai wasila RAZA ka hai.
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 36 Noori Masdjid N.I.S.
18. Naat Sharief door Hazrat Maulana Qari
Dilshad Ahmad Noori
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So Hai
Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana
Al Bahro Alaawal Mavjo Tagha
Man Bekaso Tufaa(N) Hosh Ruba
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Manjdhaar Mei(N) Hu(N) Bigri Hai Hawaa
Mori Nayya Paar Laga Jaana
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Ya Shamso Nazrate Ila Layli
Chu(N) Ba Tai'Bah Rasi Arze Ba Kuni
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Tori Jyot Ki Jhal, Jhal Jag Mei(N) Rachi
Meri Shab Ne Na Din Hona Jaana
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal
Khat Haaley Maah Zulf Abre Ajal
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Tore Chandan Chandra Par Kundal
Rehmat Ki Bharan Barsa Jaana
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 37 Noori Masdjid N.I.S.
18. Vervolg Naat Sharief
Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam
Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abre Karam
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim
Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Ya Kaafelati Zidi Ajalak
Rahme Bar Hasrate Tishna Labak
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Mora Jiyera Larje Dharak, Dharak
Tai'Bah Se Abhi Na Suna Jaana
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Ar Rooho Fida Ka Fazid Harka
Yak Shola Digar Barzan Ishqa
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Mora Tan, Man, Dhan, Sab Phoonk Diya
Yeh Jaa(N) Bhi Pyaare Jala Jaana
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Bas Khaama Aey Khaam Nawaaey Raza
Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Irshaade Ahibba Na'Atik Tha
Nachaar Is Raah Para Jaana
Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So
Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 38 Noori Masdjid N.I.S.
Shajrah Sharief
Ya Ilahi Rahem Farma Mustapha Ke Waaste
Ya Rasoolallah Karam Ki'jiye Khuda Ke Waaste.
Mushkile Hal kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waaste
Kar Balaa-e-Rad Shaheede Karbala Ke Waaste.
Sayyid-e-Sajjaad Ke Sadqe me Saajid Rakh Mujhe
I'lm-e-Haq deh Baaqir-e-I'lm-e-Huda Ke Waaste
Sidqe Saadiq Ka Tasadduq Saadiqul Islam Kar
Be Ghazab Raazi hoh Kaazim aur Raza Ke Waaste
Bahre Ma'roof wa Sirri Ma'roof de Be'khud Sirri
Jund-e-Haq me Ghin Junaid-e-Baa Safa Ke Waaste
Behre Shibli Shere Haq Duniya Ke Kutto Se Bacha
Ek ka Rakh Abde-Waahid Be Riya Ke Waaste
Bool Farah Ka Sadqa Kar Ghum ko Farha de Husn wa Sa'ad
Bool Hassan aur Bu Saeede Sa'ad-e-zaa Keh Waaste
Qaaderi Kar Qaaderi Rakh Qaaderiyo me ut'ha
Qadre Abdul Qaadire Qudrat Numa Ke Waaste
Ahsanal laahu Lahu Rizqan se de Rizqe Hassan
Banda'e Razzaaq Taajul Asfiya Ke Waaste
Nasraabi Saaleh Ka Sadqa Saaleho Mansoor Rakh
De Hayaat-e-Deen Muhiy'ye Ja Fizaa Ke Waaste
Toor-e-Irfaan wa Uloo wa Hamd wa Husna wa Bahaa
De Ali Moosa Hassan Ahmed Bahaa Keh Waaste
Bahr-e-Ibraheem Mujh Par Naar-e-Ghum Gulzaar Kar
Bheek De Daata Bhekaari Badsha Keh Waaste
1.
vervolg 2 >>>>>
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 39 Noori Masdjid N.I.S.
2.
Khana'e Dil ko Zia De Roo'e Imaan Ko Jamaal
Sheh Zia Maula Jamaalul Awliya Ke Waaste
Deh Muhammad Keh Liye Rozi Kar Ahmad Keh Liye
Khaane Fazlullaha se Hissah Gada Ke Waaste
Deeno Duniya Ki Mujhe Barkaat de Barkaat se
Ishqe Haq de Ishqi-e-Ishq Intima Keh Waaste
Hubbe Ahle Bait de Aale Muhammad Ke Liye
Kar Shaheede Ishqe Hamza Peshwa Ke Waaste
Dil Ko Ach'cha Tann Ko Sutra Jaan Ko Pur noor Kar
Ache Pyaare Shamsuddeen Badrul Ula Ke Waaste
Do Jaha me Khaadime Aale Rasoolullah Kar
Hazrate Aale Rasoole Muqtada Ke Waaste
Noor-e-Jaan wa Noor-e-Imaan Noor-e-Qabro Hashr De
Bul Husain-e Ahmade Noori Liqaa Ke Waaste
Kar 'Ata Ahmad Raza eh Ahmade Mursal Mujhe
Mere Maula Hazrate Ahmad Raza Ke Waaste
Haamido Mahmoodo Ham'maado Ahmad Kar Mujhe
Mere Maula Hazrate Haamid Raza Ke Waaste
Saaya-e Jumla Mashaa'ikh Ya Khuda Hum Par Rahe
Rahem Farma Aale Rahman Mustapha Ke Waaste
Behr-e-Ebraheem bhe lut'fo ataa'eh khaas ho
Noor ki Baarish sadaa ibne Raza keh Waasteh
Ai Khuda Akhtar Raza Ko Charkh Par Islam Keh
Rakh Darakshaa Har Gharri Apni Raza Keh Waaste
Sadqa In Ay'ya Ka de Che Ain Izz I'lmo Amal
Afwo Irfaa Aafiyat is Be nawaa Ke Waasteh
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 40 Noori Masdjid N.I.S.
Mustafa Djane Rahmat
Mustafa jaane rahmat pe lakhon salaam
Sham-aye bazme hidayat pe lakhon salaam
Jis taraf uth gayee dam mein dam aagya
Uss nigaah i 'inaayat pe laakhon salam
Kis ko dekha yeh Musa se pooche ko'ii
Aankhon walon kii himmat pe laakhon salam
Door o nazdeek kay sun-nay waalay woh kaan
Kaan e la'l e karaamat pe laakhon salam
Patli patli gul e quds ki patiyaaN
Un laboN ki nazaakat pe laakhon salam
Jinkay guchchay se lachchay jhaRein noor kay
Un sitaaroN kii nuzhat pe laakhoN salam
Woh dahan jis kii har baat wahi e Khuda
Chasma e 'ilm o hikmat pe laakhon salam
Jiskay paani se shaadaab jaan o jinaan
Us dahan kii tarawaT pe laakhon salam
Jis se khaaray kunwein sheerah-e-jaan banay
Uss zulaal halaawat pe laakhon salam
Woh zubaan jis ko sab kun kii kunji kehein
Uski nafiz hukumut pe laakhon salam
Uski pyaarii fas’aahat pe beyhad durood
Uski dilkash balaaghat pe laakhon salam
Uski baaton kii lazzat pe laakhon durood
Uskay khoetbey kii haybat pe laakhon salam
Vervolg 2. >>>>
1.
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 41 Noori Masdjid N.I.S.
Rîsh e khush mu'tadil marham rîsh e
Haala e maah i nudrat pe laakhon salam
Khat kii gird dahan who dil-aara phaban
Sabza i nahr e rahmat pe laakhon salam
Jis mein nehrein shîr o shakar kii rawaaN
Us galay kii naz.aarat pe laakhon salam
Dosh bar dosh hai jinkay shaan e sharaf
Aisay shaanon kii shawkat pe laakhon salam
Hajr e aswad e Ka'aba e jaan o dil
Ya'ni mohr e Nabuwwat pe laakhon salam
Bay-saheem o qaseem o adeel o maseel
Johar e fard e izzat pe laakhon salam
Jis ko baar e do aalam kii parwaa nahin
Aisa baazoo kii quwwat pe laakhon salam
Ka'aba e deen o imaan kay donon sutoon
Sa'idayn e Risaalat pe laakhon salam
Haath jis simt oethaa ghanii kardiya
Mawj e bahr e samaah’at pe laakhon salam
Jis kay har khat mein hai mawj e noor e karam
Is kaf e bahr e himmat pe laakhon salam
Noor kay chashmay lehrain, daryaa behein
Ungliyon kii karaamat pe laakhon salam
Eid e mushkil-kushaa'ii kay chamakay hilaal
Naakhunon kii bashaarat pe laakhon salaam
2.
Rafa' e zikr e jalalat pe arfa' durood
Sharh e sadr e sadaarat pe laakhon salam
Vervolg 3. >>>>
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 42 Noori Masdjid N.I.S.
Dil samajh se waraa' hai magar yoon kahoon:
Ghuncha e raaz e wahdat pe laakhon salam
Kul jahan milk aur jaw kii roTi ghiza
Us shikam kii qana'at pe laakhon salam
Jo ke `azm e shafa'at pe khinchkar bandhii
Uss kamar kii hamaayat pe laakhon salam
An’biya teh karein zaanoo Inkay huzoor
Zanoo'on kii wajaahat pe laakhon salam
Saaq e asl e qadm, shaakh e nakhl e karam
Shama' e raah e isaabat pe laakhon salam
Ghaaii Qur'an ne khaak e guzar kii qasam
Uss kaf e paa kii hurmat pe laakhon salam
Qad e bay-saaya kay saaya-e-marhamat
Zill e mamdood o raafat pe laakhon salam
Taa’iraan e quds jis kii hain qumriyaan
Uss sahi sarw e qaamat pe laakhon salam
Hajre Aswad-o-kaba-e-Jano Dil
Yanee Mohre Nubuwwat pe lakhon salaam
Haath jis simt utha ganie ker dhiya
Mauje bahre samaahat pe lakhon salaam
Jis ko bare dho aalam ki parwa naheen
Aysa baazu ki quwwat pe lakhon salaam
Nur ke chashme lehraen darya bahen
Ungliyon ke karamat pe lakhon salaam
3.
Kul jahan milk our jaun ki roti gizaa
Us shikan ki kana’at pe lakhon salaam
Vervolg 4. >>>>
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 43 Noori Masdjid N.I.S.
Jis suhanee gharee chamka Tayba ka chaandh
Us dhil afroze sa at pe lakhon salaam
Pehle saje pe roze azal say durood
Yaadhgaare ummat pe lakhon salaam
Bhaiyon ke liye tarke pastan karen
Dhoodh peeton ki nishfat pe lakhon salaam
Unke har naam –o-nisbat pe name durood
Unke har waqt-o-haalat pe lakhon salaam
Unke Maula ke unpar karoron durood
Unke as haab-o-ietrat pe lakhon salaam
Sayyidha, Zahera, Tayyiba, Tahira
Jaane Ahmed ke raahat pe lakhon salaam
Wo Hassan Mujtaba Sayyid-ul-Askhiya
Rakib-e-dowshe izzat pe lakhon salaam
Us shaheeda bala Shahe gulgun qoeba
Bekase dashte ghur’bat pe lakhon salaam
Ahle Islam ki maadraane shafieq
Baanowanae tahaarat pe lakhon salaam
Siyyena pehli maa kahf-e amn-o-amaan
Haq guzaare rifaaqat pe lakhon salaam
Yanee hai surah-e Nur jinki gawah
Ynki purnur surat pe lakhon salaam
Jaan nisarane Badr-o-Uhud par durood
Haq guzaaraane bayat pe lakhon salaam
4.
Yanee us afdalul khalq bad-ar-Rasul
Thaniya’thnayn Hijrat pe lakhon salaam
Vervolg 5. >>>>
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 44 Noori Masdjid N.I.S.
Vervolg 5.
Wo Umar jis ki aada pe shayda seqar
Us khuda dost hazrat pe lakhon salaam
Zaahiday Masjid Ahmadee pe durood
Dawlate jaishe oesrat pe lakhon salaam
Murtaza shere Haqq Ashja-ul-Ashjaeen
Saqee sheer-o-sharbat pe lakhon salaam
Jis musalman ne dhekha unhe ik nazar
Us nazar ki basaarat pe lakhon salaam
Aur jitney hain shehzaade us Shah ke
Un sab ahle makanat pe lakhon salaam
Shafial, Malik, Ahmad, Imam-e-Haneef
Chaar baaghe Imamat pe lakhon salaam
Kaamilaane Tariqat pe kaamil durood
Hamilaane Shariat pe lakhon salaam
Ghouse Azam Imam-ut-Tuqa wan-Nuqa
Jalwa e shane Qudrat pe lakhon salaam.
Bay azaab-o-etaab-o-hisaab-o-kitaab
Taa abad ahle sunnat pe lakhon salaam
Ek mera hie Rahmat pe dawa naheen
Shah ki saari ummat pe lakhon salaam
Muj say khidmat ke qudsee kahen haan Raza
Mustafa jaane Rehmat pe lakhon salaam
5. einde
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 45 Noori Masdjid N.I.S.
Manqabat Ala Hazrat
Ya Khuda charkh-e-Islam par ta abad
Akhtare burjhe rifa’at Salaamat rahe Deen
Haq ki ish’aat ke khatir sadaa
Mera Taajush Shari’at Salaamat rahe
Ghulshane A’la Hazrat ke jitne he phool
Saare phoolo ke nikhat Salaamat rahe
Laakh jalte rahe dushmanaanai Raza
Kam nahonge kabhi madha kane Raza
Keh rahe he sabhi ashiqane Raza
Maslake A’la Hazrat Salaamat rahe
Ay Bareilly mera baage Jannat he tu
Yani jalwe gaye A’la Hazrat he tu
Bil yaqeen Markaze Ahle Sunnat he tu
Ye teri Markaziyat Salaamat rahe
Roze Mehshar agar mujhse pooche Khuda
Bole Ale Rasool tu laya he kya
Arz kardunga laya hoon Ahmed Raza
Ya Khuda ye amanaat Salaamat rahe
Jab pare mahe Tayba ke noore kiran
Lehlaaha ye Bareilly ka husne chaman
Joom uthe dekh kar sare ahle sunnan
Gulshane Qaderiyat Salaamat rahe
A’la Hazrat ka Dilkash ye ehsaan he
Ab talak ba ke kooshboo we Imaan he
Ya Khuda ye Bareilly ka faizan he
Ye ataa ye inayat Salaamat rahe
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 46 Noori Masdjid N.I.S.
Mujaddid van de Eeuw, De Imaam Abu Hanifa van zijn tijd, De
Ghaus ul Azam van zijn tijd,De Zoette – Honing - Roos uit de Geurige
Tuin van de Geliefde Profeet ( Sallal’laho alayhi wa sallam ), De
Geliefde, De Onbetwiste Hoogbegaafde Leidsman van de Soennitische
gemeenschap (Maslaq é Ala Hazrat – Maslaq é Ahlé Sunnat ),
Sayyiduna A’la Hazrat, Mujaddid Deen-o- Millat – Hazrat Imam
Ahmad Raza Khan ( Fazail é Bareilly raddi allaho ta’ala anho)
verlaat het aardse leven op vrijdag 25ste Safar 1340 A.H. ( 28 oktober
1921 ) om 14.38 uur, exact op het tijdstip dat de Mu’azzin de zin “As
Shaddo’Anna Muhammadur Rasoel’Allah “ opzegt tijdens de Azaan
voor Djuma Namaaz.
MANQABAT
A’la Hazrat he aala maqaam aap ka Isliyeh A’la Hazrat he naam aap ka
Mustapha Jaane Rehmat pe lakho Salaam
Kitnah mashoor he ye Salaam aap ka
Ahmed Raza ke hum he, Ahmed Raza hamare, Hum he Bareilly wale
Gustakhe aaj tu ne, unko agar na maana
Kal dekhna banega Dozakh tera tikana
He khayriat iseene, Sarkaar ko manaale, Hum he Bareilly wale
Be waj ha kya dikhaye, hum tum ko shaan apni
Hum Maslak-e Raza par, be dehnge jaan apni
Hum Sunniyo ko Zaalim, jab chahe aaze maane, Hum he Bareilly wale
Shayda he hum Raza ke, peeche nahi hatenge
Tere sawaal ka hum, dat kar jawaab dhenge
Jo soor maho tera, us ko yahi bulale, Hum he Bareilly wale
Markad me teri munkir, hogi danadal Qutni
Tujhse hume garaz kya, hum he tanaatan Sunni
Ya tu Nabi ka hoja, ya mooh ko chup lagaale, Hum he Bareilly wale
Jin ka diya tu taye, unhi ko tu gur’raaye
Lagta he tu ne pi’eh he Ashraf Ali ki chayeh
Duniya-e-Sunniyat me, har soo he jin ka charcha
Qurbaan un pe Akmal, apna he bacha bacha
Wo Mustapha Raza he, Ahmed Raza ke paale, Hum he Bareilly wala
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 47 Noori Masdjid N.I.S.
Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 48 Noori Masdjid N.I.S.