Bazme Noor 18 juli 2010 - Noori
Transcription
Bazme Noor 18 juli 2010 - Noori
Waadi Raza ké Kohé Himala Raza ka hai Djis simt dekhiye wo Elaka Raza Ka hai Pich’lo né to Bo’hoet lie’kha ilm Dien par Djo kuch hai ies saddi mé wo Tanha Raza ka hai Fatawa é Razvia toh ék Karamat hai Ze’ra Hada'ieq é Bakhshish hie pahr’ké dikh’la Allah ki sarta baa qadam shaan hain yeh, Insaa nahin insaan, woh insaan hain yeh, Quran to Imaan batata hai inhein, Imaan yeh kahta hai meri jaan hain yeh Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 2 Noori Masdjid N.I.S. Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 3 Noori Masdjid N.I.S. Munadjaat Ya Ilahi Har Jagha Teri Ataa Ka Saath Ho Jub Pare Mushkil Shahe Mushkil Kusha Ka Saath Ho Ja Ilaahi Bhool Jawu Naza ki takleef ko Shaadiye deedare Husne Mustapha Ka saath ho Ya Ilaahi Goor-e-tera Ki Jab Aayeh Sakht Raat Unki Pyaari Mohn Ki subha Jaa fiza Ka saath ho Ya Ilahi jab pare mahshar me shor-e-daar wa gheer Aman deneh waaleh pyaare peshwa ka saath ho Ya Ilaahi jab Zabaaneh bahar Aayeh pyaas seh Saahib-e-kauthar Shahe Jood-o-ataa Ka saath ho Ya Ilaahi Sard-e-Mehri par ho jab khurshid-e-Hashar Sayyad-e-beh Saaya Ke Zill-e-liwaa ka saath ho Ya Ilahi Garmi-e-Mahshar seh jub bhar keh badan Daaman-e-Mahboob ki thandi hawaa ka saath ho Ya Ilaahi Na'ama-e-A'maal jub khulne laghe Aib-e-pooshi khalq-e-Sat'taare Khata Ka Saath ho Ya Ilahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-e-Jurum meh Un Tabassum rez-e-hontoh ki Dua ka saath ho Ya Ilaahi jab Hisaab Khandaa-e-bichaar laye Chashme Ghar-yaane Shafi-e-Murtaja Ka saath ho Ya Ilahi rangh laayi jab meri Be baaqiyah Unki neechi neechi nazro ki Hayaa Ka saath ho Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 4 Noori Masdjid N.I.S. Vervolg Munajaat Ya Ilaahi Jab chalo Tareekh raahe Pul Siraat Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Saath ho Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer par chalna pare Rabbe Sallim kahneh waaleh ghamzadah ka saath ho Ya Ilahi Jo Dua yeh nekh hum tujh se kare Qudsiyyo ke labb seh Ameen Rabbana ka Saath ho Ya Ilahi Jab Raza Kwaab-e-Ghiraa seh Sar Uthaaye Daulat-e-bedaar Ishk-e-Mustapha Ka Saath ho Ya Ilahi le chale jab dafan karne Qabar me Ghaus-e-Azam peshewa'e Awliya Ka Saath hoh. Ishq é Mustafa djies ké sieney mé hay wo djahan bhi rahe wo Madina mé hay pholoon mé bhi aysi khoeshbu kahan djo meré Nabi é Pak Sallallaho Alay hi Wa Sallam ké pasieney mé hay Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 5 Noori Masdjid N.I.S. 1. Sura Al Fatihah wordt gereciteerd door: Ahmad Raza bin Mohammad Abbaas 2. Sura Al Kafiroun wordt gereciteerd door: Joesoef Saeed Ali bin Faroek Naushad Ali Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 6 Noori Masdjid N.I.S. 3. Sura Al Yunus wordt gereciteerd door: Hafiz Qari Siraadj Djoeman Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 7 Noori Masdjid N.I.S. 4. Sura Al Ahzab wordt gereciteerd door: Hafiz Qari Mohammad Ilyaas Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 8 Noori Masdjid N.I.S. 5. Sura Az Zumar wordt gereciteerd door: Hafiz Qari Mohammad Anwaar Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 9 Noori Masdjid N.I.S. 6. Sura Ash Sharh wordt gereciteerd door: Hafiz Qari Mohammad Aqiel Sura Adh Dhuha Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 10 Noori Masdjid N.I.S. 7. Sura Al Imran wordt gereciteerd door: Hafiz Qari Mohammad Zahier Jahangier Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 11 Noori Masdjid N.I.S. Vervolg van Sura Al Imran Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 12 Noori Masdjid N.I.S. 8. Sura Al Maryam wordt gereciteerd door: Hafiz Qari Mohammad Idjaz Sahebdin Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 13 Noori Masdjid N.I.S. Vervolg van Sura Mayam Sura Al Zalzalah Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 14 Noori Masdjid N.I.S. 9. Sura Ar Rahman wordt gereciteerd door: Hazrat Maulana Qari Dilshad Ahmad Noori Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 15 Noori Masdjid N.I.S. Vervolg Sura Ar Rahman Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 16 Noori Masdjid N.I.S. Vervolg Sura Ar Rahman Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 17 Noori Masdjid N.I.S. Vervolg Sura Ar Rahman Sura Al Qaria Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 18 Noori Masdjid N.I.S. 1. Darood Nazm door Qari Dilshad Ahmad Kaabe ke Badru dudja Tumpe karoron Durood Taiba ke Shamsud Duha Tumpe karoron Durood Shaafa é Roza Jazaa Tumpe karoron Durood Daafa é jumla balaa Tumpe karoron Durood Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa Seene pe rakhdo zaraa Tumpe karoron Durood Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa Jab na Khudaa hi Chupaa Tumpe karoron Durood Wo Shabbe Me’raaj raaj woh sa’fe Mehshar ka Taaj Koyee bhi aisa howa Tumpe karoron Durood Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah Tum kaho Daaman me aa Tumpe karoron Durood Tum ho Haafiz-o-Mughees kya he woh Dushman Khabees Tum ho to phir khauf kya Tumpe karoron Durood Ek taraf A’daa é Deen ek taraf he Haasideen Banda he tanha Shaha Tumpe karoron Durood Hum ne Ghataa me na ki Tum ne ataa me ki Koyi kami sarwaraa Tumpe karoron Durood Kyun kahun bay’kas hun may kyun kahun bay’bas hun may Tum ho may Tum par fidaa Tum peh karoron durud Aankh ataa kijiye us me ziya dijiye Jalwa qareeb aa gaya Tumpe karoron Durood Kaam wo le li’djiye tum ko jo Raazi kareh Theek ho naame Raza tumpe karoron Durood Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 19 Noori Masdjid N.I.S. Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 20 Noori Masdjid N.I.S. 2. Manqabat door Hadji Mohammad Abbaas Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya Hamein bheek maangne ko Tera aastaan banaya Tujhe hamd hai Ghoedaya Tujhe hamd hay Ghoedaya Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya Tumhein Haqim banaya Tumhein Qasim Aataya Tumhein Shafe Aataya Tumhein Da'afe balaya Kooi Tum sa koun aaya Kooi Tum sa koun aaya Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya Wo kanwaari Pak Maryam wo Naf'ate fiya ka dam Hai azeb Nishaan e Aazam magar Aamina ka Djaya Wohi sab se afzal aaya Wohi sab se afzal aaya Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya Yahie bole sidraa wale Tjeman e Djahaan ké thaale Sabhi mein ne tjhaan daale Teray pae ka naa paya Tujhe Yaq ne Yaq banaya Tujhe Yaq ne Yaq banaya Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya "Fa Izaa Faraghta Fansab" ye mila hai Tujh ko mansab Djo gada bana shoeke ab otho waqte bakhshis Aaya Karo qismat aataya Karo Qismat aataya Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya "Wa Ilaa Rabika Farghab",karo arsh sab ké matlab Ké Tu’hayn ko Takte hayn sab karo un per Apna saya Bano Shafeye Ghataya Bano Shafeye Ghataya Wohi Rab hai djis ne Tujh ko hama tan Karam banaya Aare Ay Khuda ké bando kooi meray dil ko dhoendo Meray paas tha abhi to, abhi to abhi kya howa Khudaya Na kooi ghayaa na AayaNkooi ghayaa na Aaya Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya Hamein Ay Raza Teray dil ka pata chala ba mushkil Dar e Rouza muqabil wo hamein nazar to aaya Ye na poeche kay’sa paya Yé na phoeche kay’sa paya Wohi Rab hai djis’ne Tujh ko hama tan Karam banaya Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 21 Noori Masdjid N.I.S. 3. Naat Sharief door Qari Siraadj Djoeman Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay Kay Goemaan e Naqs Jahaa(n) Nahie Yey’hie Phool Ghaar Sé Doer Hai Yé’hie Sham’ma Hay Ké Dhoe’a(n) Nahie Ba Ghoda, Ghoda Ka Je’hie Hay Darr Nahie(n) Aur Koi Maf’fer Maq’qer Djo Wahaa(n) Sé Ho Yahie(n) Aaa’ké Ho Djo Ja’haa(n) Nahie To Wahaa(n) Nahie Tere Aagé You(n) Hay(n) Dabbé Lé’shayi Foe’sa’ha A’rab Ké Bar’ré Bar’ré Ko’yie Djaané Moe(n) Mé(n) Soebaa(n) Nahie Nahie Balké Djism Mé(n) Djaan Nahie Wo’hie Noor e Haq Wo’hie Zillé Rabb Hai Oen’hie Sé Sab Hai Oen’hie Ka Sab Nahie Oenkie Milk Mé(n) Aas’maan Ké Zamien Nahi Ké Zamaan Nahie Wo’hie Laa Makaa(n) Ké Makie(n) Hoe’wé Sar e Arsh Takh Nashie(n) Hoe’wé Wo Nabie Hay Djiss Ké Hay Yé Makaa(n) Wo Ghoda Hay Djiss Ka Makaa(n) Nahie Sar e Arsh Per Hay Terie Goezar Dil e Farsh Per Hay Terie Nazar Malakoot oMulk Mé(n) Kooy’ie Shay Nahie Wo Toejh Pé Ae’yaan Nahie Karoo(n) Tere i Naam Pé Djaa(n) Fida Na Boess eek Djaa(n) Doo Djahaa(n) Fida Doo Djahaa(n) Sé Bhie Nahie Djie Bha’raa Karoe(n) Kiya Karoe(n) o Djahaa(n) Nahie Karoe(n) Madhay Ahle – é - Doel Raza Per’ré Iess Bala Mey(n) Mé’rie Balaa May(n) Gada Hoo(n) Apné Kariem Ka Méra Dien Paara é Naan Nahie Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 22 Noori Masdjid N.I.S. 4. Naat Sharief door Qari Ilyaas Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa Ay Murtazaa Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey Yoon Dil Mein Aa Kay Deedah e Tar Ko Khabhar Na Ho Ay Shauq e Dil Yeh Sajdah Ghar Un Ko Ravaa Nahin Acha! Woh Sajda Key Jiey Sar Ko Khabhar Na Ho Un kay Sivaa RAZA Koey Haamey Nahin Jahaa Ghuzra Karay Pisar Pay Pidar Ko Khabhar Na Ho Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 23 Noori Masdjid N.I.S. 5. Naat Sharief door Noushad Ali Soharwardi Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya Le khabar jald ke ghairon ki taraf dahyan gaya Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya Dil he woh dil jo teri yaad se ma’moor raha Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya Unhein jana unhen mana na rakhha ghair se kaam Lillah hil Hamd mein Duniya se Musalman gaya Aur tum par mere Aaqa ki Inayat na sahi Najdiyo Kalmah parhane ka bhi ehsaan gaya Aaj le unki Panah aaj madad maang unse Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya Jaano dil hosho khirad sab to Madine pahonche Tum nahin chalte Raza sara to samaan gaya Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 24 Noori Masdjid N.I.S. 6. Naat Sharief door Faiz Mohammad Abdoel Haajiyo aawo Shahenshah ka Rawza dekho Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho Rukhne Shaami se mithi wah’shate shaame gurbat Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujaa-ee pyaase Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho Zayre Mizaab mille khoob Karamke cheenthe Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho Khoob aankho se lagaaya he Ghilaafe Kaaba Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho Zeenate Kaaba me tha laakh ardeso ka banawa Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho Dhochuka zulmate dil bosaa-e sunghe Aswad Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye Mujrimo Aawo yaha Eide do Shaneba dekho Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhe Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho Ghowr se soun to Raza Kaaba se aati he sadaa Meri aankho se mere Pyaare ka Rowzaa dekho Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 25 Noori Masdjid N.I.S. 7. Naat Sharief door Mohammad Zahier Zammino Zamaan tumhare liye Makino Makan tumhare liye Chunino Chuna tumhare liye Bane do jahan tumhare liye Dahan me zuban tumhare liye Badan me he Jaan tumhare liye Hum aye Yahan tumhare liye Uthe bhi Wahan tumhare liye Farishte Khidam Rasoole Hashm Tamame Umam Ghulame karam Wajoodo Adam Haduso kidam Jahan me aya tumhare liye Kalimo Naji Masiho Safi Khalilo Razi Rasoolo Nabi Atiko wasi Gani-o-Ali Sana ki Zuban tumhare liye Asaalate kul Imaamate kul Siyaadate kul Imaarate kul Hukoomate kul Wilayate kul Khuda ke Yahan tumhare liye Tumhari Chamak tumhari Damak Tumhari Jhalak tumhari Mahak Zammino Falak Simako Samak Me sikka rawa tumhare liye Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 26 Noori Masdjid N.I.S. 8. Naat Sharief door Hadji Anwar Guman Sabse Aula O A’la Hamara Nabi Sabse Bala O Wala Hamara Nabi Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi Dono aalam ka Dulha Hamara Nabi Bazm-e-Aakhir Ka Shammay Farouzan Hua Noor-e-Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi Bujh Gayein Jiskay Aagay Sabhi Mash’lein Shamma Woh Lekar Aaya Hamara Nabi Jiskay Talwon Ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat Hai Woh Jaan-e-Maseeha Hamara Nabi Khalq Se Auliya Auliya Se Rusul Aur Rasulon Se Ala Hamara Nabi Jaisay Sabka Khuda Aik Hai Waisay Hee Inka Unka Tumhara Hamara Nabi Kon Deta Hai Dene Ko Moo Chahiye Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi Saaray Onchon Mein Oncha Samajhiye Jissay Hai Uss Onchay Se Oncha Hamara Nabi Sab Chamak Walay Ujlon Mein Chamka Kiye Andhay Sheeshon Mein Chamka Hamara Nabi Gham Zaddon Ko Raza Muzhda Dejiye Ke Hai Beykason Ka Sahara Hamara Nabi Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 27 Noori Masdjid N.I.S. 9. Naat Sharief door Hadji Nazir Guman Sachi Baat Sikhatay Ye Hain Seedhi Raah Chalatay Ye Hain Naz-E-Rooh Mein Aasani Dain Kalma Yaad Dilatay Ye Hain Marqad Mein Bandon Ko Thpak Kar Meethi Neend Sulaatay Ye Hain Qasr-E-Dana Tak Kis Ki Rasaai Jaatay Ye Hain Hain Aatay Ye Hain Thanda Thanda Meetha Meetha Peetay Hum Hain Pilaatay Ye Hain Faiz-E-Jaleel Khaleel Se Poocho Aag Mein Bagh Lagatay Ye Hain Apnay Bharam Se Hum Halkon Ka Palla Bhari Banatay Ye Hain Laakh Balayein Karoron Dushman Kon Bachaye Bachatay Ye Hain Apni Bani Hum Aap Bigaarein Kon Banaye Banaatay Ye Hain Sallim Sallim Ki Dhaaras Se Pul Se Paar Lagatey Ye Hain Maan Jab Iklotay Ko Choray Aa Aa Keh K Bulaatay Ye Hain Un K Haath Mein Har Kunji Hai Malik-E-Kul Kehlatayye Hain Keh Doraza Se Khush Ho Khush Reh Muzda Raza Ka Sunaatay Ye Hain Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 28 Noori Masdjid N.I.S. 10. Naat Sharief door Mohammad Aamier Guman Subha Taiba mein huwee bat-taa he baara Noor ka Sadqa lele Noor ka aaya he taara Noor ka Baagh-e Taybaa mein Suhaana phool phoola Noor ka Mast boo he bulbule parti he Kalma Noor ka Baarahween ke Chaand ka mujraa he Sajdah Noor ka Baarah Burjon se Jhukaa ik ik Sitaara Noor ka Aayee Bid?at chaayi zulmat rang badlaa Noor ka Maahe Sunnat mahr-e Tal’at le le badla Noor ka Tere hi Maathe rahaa ay jaan Sahraa Noor ka Bakht jaaga Noor ka chamkaa Sitaara Noor ka Mein Gadaa Tu Baadshah bhar de piyaala Noor ka Noor din duunaa teraa dedaal Sadqa Noor ka Taaj Waale dekh kar tera Imaama Noor ka Sar jhuka te hain Ilaahi bol baalaa Noor ka Sham’aa dil mishkaat tan Seenaa zujaajah Noor ka Teri Soorat ke liye aayah he Surah Noor ka Too he Saayaa Noor ka har uzw tukra Noor ka Saaya ka Saaya na hota he na Saaya Noor ka! Teri Nasl-e Paak mein he Bachcha Bachcha Noor ka Too he’ayn-e-noor tera sab Gharaana Noor ka! Chaand jhuk djaata djidhar Unglee uthaate Mehd mein Kyaa hi chaltaa thaa Ishaare par Khilawnaa Noor ka Ay Raza ye Ahmed e Noori ka Fayz e Noor he Ho gayee meri Ghazal bar kar Qaseeda Noor ka Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 29 Noori Masdjid N.I.S. 11. Naat Sharief door Mohammad Shafie Abdoel Chamak tujh se paate he sub paane waale Mera dil bhi chamka de chamkaane waale Barasta nahin dekh kar abre Rehmat Badon par bhi barsa de barsaa ne waale Madine ki ghit’te Khuda tujh ko rakhe Gareebon Faqeeron ke tahraane waale Too zinda he Wal’llah too zinda he Wal’llah Mere chasme aalam se chup jaane waale Me mujrim hoo Aqaa mujhe saath le lo Ke raste me he jaa baja thaane waale Haram ki zami aur qadam rakh ke chalna A’ré sar ka mouqa he au jaane waale Tera kahaa he tere Ghulamo se uljhe He munkir ajab khaane ghur’raane waale Rahe ga yunaheen unka charcha rahega Pare khaak hojaye jaljane wale Raza nafs dushman he dum me na aana Kahaa too ne dekhe he chand raane waale Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 30 Noori Masdjid N.I.S. 12. Naat Sharief door Butt Saheb Sarwar kahun ke mālik o maulā kahūn tujhe Bāgh e khalīl kā gul e zeybā kahūn tujhe Hirmān nasīb hun tujhe ummīd gah kahūn Djaān e murād o kān e tamannā kahūn tujhe Gulzār e quds kā gul e rangīn adā kahūn Darmān e dard e bulbul e shaydā kahūn tujhe Subh e watan pe shām e gharībān ko dūn sharaf Beykas nawāz geysuon wālā kahūn tujhe Allāh re, teyre jism e munawwar ki tābishen Ay djaān e jān main jān e tajallā kahūn tujhe Bey dāgh lālah yā qamar e bey kalaf kahūn Bey khār gulban e chaman āra kahūn tujhe Mujrim hun apne áfw ka sāmān karūn shaha Yánī shafīy roz e djazā kā kahūn tujhe Is murdah dil ko muzhdah hayāt e abad ka dūn Tāb o tawān e djaān e masīhā kahūn tujhe Terey to wasf áyb e tanāhī se hain barī Hayrān hun mere shāh main kya kya kahūn tujhe Kah legi sab kuch unke sana khwān ki khāmoshi Chup ho rahā hai kah ke main kya kya kahūn tujhe Lekin raza ne khatm e sukhan is pe kardiyā Khāliq ka bandah khalq ka āqā kahūn tujhe Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 31 Noori Masdjid N.I.S. 13. Naat Sharief door Mohammad Ali Guman Uthado Parda dikhado Chehra Ke Noore bari hijab me he Zamaana taarikh ho rahaa he Ke mehr kab se naqaab me he Unhiki boo ma ya saman he Unhi ka Jalwa chaman chaman he Unhi se Gulshan mehak rahe he Unhi ki rangat ghulab me he Khare he Munkar Nakir sar par Na koyee haami na koyee yaawar Batado aakar mere Payambar Ke sakht mushkil jawab me he Khuda-e kah’har he gazab par Khule he badkaariyo ke Daftar Bachaalo aakar Shafi-e Mehshar Tumhara banda azaab me he Kareem aisa mila ke jiske Khule he haath aur bhare khazaane Batao-e mufliso ke phir kyoon Tumhara dil iztaraab mein he Karim apne karam ka Sadqa Laim beqadr ko na sharma Too aur Raza se Hisaab lena Raza bhi koyee Hisaab me he Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 32 Noori Masdjid N.I.S. 14. Naat Sharief door Ashgarali Abdoel Unki mahek ne dil ke Ghunche khila diye hain Jis raah chal diye hain Koochey basa diye hain Jab aa gayi he joshe rehmat pe unki ankhen Jalte bhujha diye hain rote hasa diye hain Ik dil hamara kya he aazaar uska kitna Tum ne to chalte phirte moorde jila diye hain Unke nisaar koyee kaise hi runj mein ho Jab yaad agaye hain sab gham bhula diye hain Aane do ya dubo do ab to Tumhari Jaanib Kashti tumhi pe chori Langar utha diye hain Dulha se itna kehdo pyare sawari roko Mushkil mein hain Baraati poorkhaar bada’iye hain Allah kya Jahannam ab bhi na sard hoga Ro ro ke Mustafa ne darya baha diye hain Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga Darya baha diye hain dur be baha diye hain Mulke sukhn ki shahi tum ko Raza musallam Jis simt agaye hoon sikke bitha diye hain Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 33 Noori Masdjid N.I.S. 15. Naat Sharief door Hadji Iqbal Mughal Dil ko unsay Khuda juda na karay Bay-kasee loot lay, Khuda na karay Is mein Rozay ka sajdah ho ya tawaaf Hosh mein jo na ho voh kyaa na karay Yeh vohi hain ke bakhsh dete hain Kawn in jurmoN par sazaa na karay Sab tabeeboN nay diya hai javaab Aah! Isa agar davaa na karay Dil kahaan lay chalaa Haram se mujhe Aray tera bura Khuda na karay 'Uzr-e-umeed ufuw agar na sunein Roo siah aur kyaa bahaana karay Dil mein roshan hai shama' e ishq e Huzoor Kash josh e havas huwa na karay Hashar mein hum bhii sair dekhengay Munkir aaj unsay iltijaa na karay Za'af maana magar yeh zaalim dil Unkay rastay mein tau thakaa na karay Jab teri khoo hai sab ka jii rakhna Vohii accha jo dil bura na karay Dil se ik zawq e mai kaa taalib hoon Kawn kehtaa hai itiqaa na karay Lay Raza sab chalay Madinay ko Main na jaon Khuda na karay Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 34 Noori Masdjid N.I.S. 16. Naat Sharief door Hazrat Maulana Mohammad Sultan Raza Waah kya djood-o-karam he shaah-e-bathaa tera Nahi sunta hi nahi maangne waala tera Asmaa kahaa zami kahaa zamaana mehmaan Saahibe khanna laqab kis ka he tera tera Farsh waale teri shoukat ka uloo kya jaane Khus rawa arsh pe urta he phir yaraa tera Meh to Maalik hi kahunga ke ho Maalik ke Habeeb Yani Mahboob-o-muhib me nahi tera mera Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein Kon nazro me juke dekh ke talwa tera Ek mein kya mere isyan ki Haqiqat kinti Mujh se so lakh ko kaafi he ishara tera Tere Sadqe tujhe ekh boond bohat he teri Jis din achchon ko mile jaam chalak ta tera Teri Sarkaar me laata he Raza us ko Shafee Jo mera Ghaus he aur laadala beta tera Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 35 Noori Masdjid N.I.S. 17. MANQABAT ALA HAZRAT Jalwa hai noor hai ke sarapa RAZA ka hai, Tasvir-e-Sunniyat hai ke chehra RAZA ka hai Waadi Raza ki Kohe-Himala RAZA ka hai, djis simt dekhye woh ilaqa RAZA ka hai Dastaar aa rahi hai, zamin par jo sar oothe, itna buland aaj farera RAZA ka hai. Kis ki majaal hai jo nazar bhi mila sake, Darbar-e-Mustafa may thikana RAZA ka hai. Alfaz beh rahe hai, dalilo ki dhar par, chalta hua qalam hai ke dhara RAZA ka hai. Chuta hai aasman ko minar azm ka, yaani atal pahad irada RAZA ka hai. Nuqte ibarato se ubharte hai khud ba khud, naqto-nazar pe aisa ijara RAZA ka hai. Dariya fasahato ke rawa(n) shayri may hai, ye zehne mumtane hai ke lehja RAZA ka hai. Jo likh diya hai oosne, sanad hai woh din may, Ahle qalam ki aabroo nuqta RAZA ka hai Aglo ne to likha hai bahut ilm-e-deen par, jo kuch hai iss sadi may woh tanha RAZA ka hai Is daure purfatan may Nazar khush-aqidgi, Sarkaar ka karam hai wasila RAZA ka hai. Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 36 Noori Masdjid N.I.S. 18. Naat Sharief door Hazrat Maulana Qari Dilshad Ahmad Noori Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana Al Bahro Alaawal Mavjo Tagha Man Bekaso Tufaa(N) Hosh Ruba Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Manjdhaar Mei(N) Hu(N) Bigri Hai Hawaa Mori Nayya Paar Laga Jaana Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Ya Shamso Nazrate Ila Layli Chu(N) Ba Tai'Bah Rasi Arze Ba Kuni Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Tori Jyot Ki Jhal, Jhal Jag Mei(N) Rachi Meri Shab Ne Na Din Hona Jaana Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal Khat Haaley Maah Zulf Abre Ajal Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Tore Chandan Chandra Par Kundal Rehmat Ki Bharan Barsa Jaana Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 37 Noori Masdjid N.I.S. 18. Vervolg Naat Sharief Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abre Karam Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Ya Kaafelati Zidi Ajalak Rahme Bar Hasrate Tishna Labak Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Mora Jiyera Larje Dharak, Dharak Tai'Bah Se Abhi Na Suna Jaana Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Ar Rooho Fida Ka Fazid Harka Yak Shola Digar Barzan Ishqa Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Mora Tan, Man, Dhan, Sab Phoonk Diya Yeh Jaa(N) Bhi Pyaare Jala Jaana Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Bas Khaama Aey Khaam Nawaaey Raza Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Irshaade Ahibba Na'Atik Tha Nachaar Is Raah Para Jaana Lam Ya'Ati Naziro Ka Fi Nazrin Misle To Na Shud Paida Jaana Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 38 Noori Masdjid N.I.S. Shajrah Sharief Ya Ilahi Rahem Farma Mustapha Ke Waaste Ya Rasoolallah Karam Ki'jiye Khuda Ke Waaste. Mushkile Hal kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waaste Kar Balaa-e-Rad Shaheede Karbala Ke Waaste. Sayyid-e-Sajjaad Ke Sadqe me Saajid Rakh Mujhe I'lm-e-Haq deh Baaqir-e-I'lm-e-Huda Ke Waaste Sidqe Saadiq Ka Tasadduq Saadiqul Islam Kar Be Ghazab Raazi hoh Kaazim aur Raza Ke Waaste Bahre Ma'roof wa Sirri Ma'roof de Be'khud Sirri Jund-e-Haq me Ghin Junaid-e-Baa Safa Ke Waaste Behre Shibli Shere Haq Duniya Ke Kutto Se Bacha Ek ka Rakh Abde-Waahid Be Riya Ke Waaste Bool Farah Ka Sadqa Kar Ghum ko Farha de Husn wa Sa'ad Bool Hassan aur Bu Saeede Sa'ad-e-zaa Keh Waaste Qaaderi Kar Qaaderi Rakh Qaaderiyo me ut'ha Qadre Abdul Qaadire Qudrat Numa Ke Waaste Ahsanal laahu Lahu Rizqan se de Rizqe Hassan Banda'e Razzaaq Taajul Asfiya Ke Waaste Nasraabi Saaleh Ka Sadqa Saaleho Mansoor Rakh De Hayaat-e-Deen Muhiy'ye Ja Fizaa Ke Waaste Toor-e-Irfaan wa Uloo wa Hamd wa Husna wa Bahaa De Ali Moosa Hassan Ahmed Bahaa Keh Waaste Bahr-e-Ibraheem Mujh Par Naar-e-Ghum Gulzaar Kar Bheek De Daata Bhekaari Badsha Keh Waaste 1. vervolg 2 >>>>> Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 39 Noori Masdjid N.I.S. 2. Khana'e Dil ko Zia De Roo'e Imaan Ko Jamaal Sheh Zia Maula Jamaalul Awliya Ke Waaste Deh Muhammad Keh Liye Rozi Kar Ahmad Keh Liye Khaane Fazlullaha se Hissah Gada Ke Waaste Deeno Duniya Ki Mujhe Barkaat de Barkaat se Ishqe Haq de Ishqi-e-Ishq Intima Keh Waaste Hubbe Ahle Bait de Aale Muhammad Ke Liye Kar Shaheede Ishqe Hamza Peshwa Ke Waaste Dil Ko Ach'cha Tann Ko Sutra Jaan Ko Pur noor Kar Ache Pyaare Shamsuddeen Badrul Ula Ke Waaste Do Jaha me Khaadime Aale Rasoolullah Kar Hazrate Aale Rasoole Muqtada Ke Waaste Noor-e-Jaan wa Noor-e-Imaan Noor-e-Qabro Hashr De Bul Husain-e Ahmade Noori Liqaa Ke Waaste Kar 'Ata Ahmad Raza eh Ahmade Mursal Mujhe Mere Maula Hazrate Ahmad Raza Ke Waaste Haamido Mahmoodo Ham'maado Ahmad Kar Mujhe Mere Maula Hazrate Haamid Raza Ke Waaste Saaya-e Jumla Mashaa'ikh Ya Khuda Hum Par Rahe Rahem Farma Aale Rahman Mustapha Ke Waaste Behr-e-Ebraheem bhe lut'fo ataa'eh khaas ho Noor ki Baarish sadaa ibne Raza keh Waasteh Ai Khuda Akhtar Raza Ko Charkh Par Islam Keh Rakh Darakshaa Har Gharri Apni Raza Keh Waaste Sadqa In Ay'ya Ka de Che Ain Izz I'lmo Amal Afwo Irfaa Aafiyat is Be nawaa Ke Waasteh Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 40 Noori Masdjid N.I.S. Mustafa Djane Rahmat Mustafa jaane rahmat pe lakhon salaam Sham-aye bazme hidayat pe lakhon salaam Jis taraf uth gayee dam mein dam aagya Uss nigaah i 'inaayat pe laakhon salam Kis ko dekha yeh Musa se pooche ko'ii Aankhon walon kii himmat pe laakhon salam Door o nazdeek kay sun-nay waalay woh kaan Kaan e la'l e karaamat pe laakhon salam Patli patli gul e quds ki patiyaaN Un laboN ki nazaakat pe laakhon salam Jinkay guchchay se lachchay jhaRein noor kay Un sitaaroN kii nuzhat pe laakhoN salam Woh dahan jis kii har baat wahi e Khuda Chasma e 'ilm o hikmat pe laakhon salam Jiskay paani se shaadaab jaan o jinaan Us dahan kii tarawaT pe laakhon salam Jis se khaaray kunwein sheerah-e-jaan banay Uss zulaal halaawat pe laakhon salam Woh zubaan jis ko sab kun kii kunji kehein Uski nafiz hukumut pe laakhon salam Uski pyaarii fas’aahat pe beyhad durood Uski dilkash balaaghat pe laakhon salam Uski baaton kii lazzat pe laakhon durood Uskay khoetbey kii haybat pe laakhon salam Vervolg 2. >>>> 1. Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 41 Noori Masdjid N.I.S. Rîsh e khush mu'tadil marham rîsh e Haala e maah i nudrat pe laakhon salam Khat kii gird dahan who dil-aara phaban Sabza i nahr e rahmat pe laakhon salam Jis mein nehrein shîr o shakar kii rawaaN Us galay kii naz.aarat pe laakhon salam Dosh bar dosh hai jinkay shaan e sharaf Aisay shaanon kii shawkat pe laakhon salam Hajr e aswad e Ka'aba e jaan o dil Ya'ni mohr e Nabuwwat pe laakhon salam Bay-saheem o qaseem o adeel o maseel Johar e fard e izzat pe laakhon salam Jis ko baar e do aalam kii parwaa nahin Aisa baazoo kii quwwat pe laakhon salam Ka'aba e deen o imaan kay donon sutoon Sa'idayn e Risaalat pe laakhon salam Haath jis simt oethaa ghanii kardiya Mawj e bahr e samaah’at pe laakhon salam Jis kay har khat mein hai mawj e noor e karam Is kaf e bahr e himmat pe laakhon salam Noor kay chashmay lehrain, daryaa behein Ungliyon kii karaamat pe laakhon salam Eid e mushkil-kushaa'ii kay chamakay hilaal Naakhunon kii bashaarat pe laakhon salaam 2. Rafa' e zikr e jalalat pe arfa' durood Sharh e sadr e sadaarat pe laakhon salam Vervolg 3. >>>> Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 42 Noori Masdjid N.I.S. Dil samajh se waraa' hai magar yoon kahoon: Ghuncha e raaz e wahdat pe laakhon salam Kul jahan milk aur jaw kii roTi ghiza Us shikam kii qana'at pe laakhon salam Jo ke `azm e shafa'at pe khinchkar bandhii Uss kamar kii hamaayat pe laakhon salam An’biya teh karein zaanoo Inkay huzoor Zanoo'on kii wajaahat pe laakhon salam Saaq e asl e qadm, shaakh e nakhl e karam Shama' e raah e isaabat pe laakhon salam Ghaaii Qur'an ne khaak e guzar kii qasam Uss kaf e paa kii hurmat pe laakhon salam Qad e bay-saaya kay saaya-e-marhamat Zill e mamdood o raafat pe laakhon salam Taa’iraan e quds jis kii hain qumriyaan Uss sahi sarw e qaamat pe laakhon salam Hajre Aswad-o-kaba-e-Jano Dil Yanee Mohre Nubuwwat pe lakhon salaam Haath jis simt utha ganie ker dhiya Mauje bahre samaahat pe lakhon salaam Jis ko bare dho aalam ki parwa naheen Aysa baazu ki quwwat pe lakhon salaam Nur ke chashme lehraen darya bahen Ungliyon ke karamat pe lakhon salaam 3. Kul jahan milk our jaun ki roti gizaa Us shikan ki kana’at pe lakhon salaam Vervolg 4. >>>> Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 43 Noori Masdjid N.I.S. Jis suhanee gharee chamka Tayba ka chaandh Us dhil afroze sa at pe lakhon salaam Pehle saje pe roze azal say durood Yaadhgaare ummat pe lakhon salaam Bhaiyon ke liye tarke pastan karen Dhoodh peeton ki nishfat pe lakhon salaam Unke har naam –o-nisbat pe name durood Unke har waqt-o-haalat pe lakhon salaam Unke Maula ke unpar karoron durood Unke as haab-o-ietrat pe lakhon salaam Sayyidha, Zahera, Tayyiba, Tahira Jaane Ahmed ke raahat pe lakhon salaam Wo Hassan Mujtaba Sayyid-ul-Askhiya Rakib-e-dowshe izzat pe lakhon salaam Us shaheeda bala Shahe gulgun qoeba Bekase dashte ghur’bat pe lakhon salaam Ahle Islam ki maadraane shafieq Baanowanae tahaarat pe lakhon salaam Siyyena pehli maa kahf-e amn-o-amaan Haq guzaare rifaaqat pe lakhon salaam Yanee hai surah-e Nur jinki gawah Ynki purnur surat pe lakhon salaam Jaan nisarane Badr-o-Uhud par durood Haq guzaaraane bayat pe lakhon salaam 4. Yanee us afdalul khalq bad-ar-Rasul Thaniya’thnayn Hijrat pe lakhon salaam Vervolg 5. >>>> Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 44 Noori Masdjid N.I.S. Vervolg 5. Wo Umar jis ki aada pe shayda seqar Us khuda dost hazrat pe lakhon salaam Zaahiday Masjid Ahmadee pe durood Dawlate jaishe oesrat pe lakhon salaam Murtaza shere Haqq Ashja-ul-Ashjaeen Saqee sheer-o-sharbat pe lakhon salaam Jis musalman ne dhekha unhe ik nazar Us nazar ki basaarat pe lakhon salaam Aur jitney hain shehzaade us Shah ke Un sab ahle makanat pe lakhon salaam Shafial, Malik, Ahmad, Imam-e-Haneef Chaar baaghe Imamat pe lakhon salaam Kaamilaane Tariqat pe kaamil durood Hamilaane Shariat pe lakhon salaam Ghouse Azam Imam-ut-Tuqa wan-Nuqa Jalwa e shane Qudrat pe lakhon salaam. Bay azaab-o-etaab-o-hisaab-o-kitaab Taa abad ahle sunnat pe lakhon salaam Ek mera hie Rahmat pe dawa naheen Shah ki saari ummat pe lakhon salaam Muj say khidmat ke qudsee kahen haan Raza Mustafa jaane Rehmat pe lakhon salaam 5. einde Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 45 Noori Masdjid N.I.S. Manqabat Ala Hazrat Ya Khuda charkh-e-Islam par ta abad Akhtare burjhe rifa’at Salaamat rahe Deen Haq ki ish’aat ke khatir sadaa Mera Taajush Shari’at Salaamat rahe Ghulshane A’la Hazrat ke jitne he phool Saare phoolo ke nikhat Salaamat rahe Laakh jalte rahe dushmanaanai Raza Kam nahonge kabhi madha kane Raza Keh rahe he sabhi ashiqane Raza Maslake A’la Hazrat Salaamat rahe Ay Bareilly mera baage Jannat he tu Yani jalwe gaye A’la Hazrat he tu Bil yaqeen Markaze Ahle Sunnat he tu Ye teri Markaziyat Salaamat rahe Roze Mehshar agar mujhse pooche Khuda Bole Ale Rasool tu laya he kya Arz kardunga laya hoon Ahmed Raza Ya Khuda ye amanaat Salaamat rahe Jab pare mahe Tayba ke noore kiran Lehlaaha ye Bareilly ka husne chaman Joom uthe dekh kar sare ahle sunnan Gulshane Qaderiyat Salaamat rahe A’la Hazrat ka Dilkash ye ehsaan he Ab talak ba ke kooshboo we Imaan he Ya Khuda ye Bareilly ka faizan he Ye ataa ye inayat Salaamat rahe Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 46 Noori Masdjid N.I.S. Mujaddid van de Eeuw, De Imaam Abu Hanifa van zijn tijd, De Ghaus ul Azam van zijn tijd,De Zoette – Honing - Roos uit de Geurige Tuin van de Geliefde Profeet ( Sallal’laho alayhi wa sallam ), De Geliefde, De Onbetwiste Hoogbegaafde Leidsman van de Soennitische gemeenschap (Maslaq é Ala Hazrat – Maslaq é Ahlé Sunnat ), Sayyiduna A’la Hazrat, Mujaddid Deen-o- Millat – Hazrat Imam Ahmad Raza Khan ( Fazail é Bareilly raddi allaho ta’ala anho) verlaat het aardse leven op vrijdag 25ste Safar 1340 A.H. ( 28 oktober 1921 ) om 14.38 uur, exact op het tijdstip dat de Mu’azzin de zin “As Shaddo’Anna Muhammadur Rasoel’Allah “ opzegt tijdens de Azaan voor Djuma Namaaz. MANQABAT A’la Hazrat he aala maqaam aap ka Isliyeh A’la Hazrat he naam aap ka Mustapha Jaane Rehmat pe lakho Salaam Kitnah mashoor he ye Salaam aap ka Ahmed Raza ke hum he, Ahmed Raza hamare, Hum he Bareilly wale Gustakhe aaj tu ne, unko agar na maana Kal dekhna banega Dozakh tera tikana He khayriat iseene, Sarkaar ko manaale, Hum he Bareilly wale Be waj ha kya dikhaye, hum tum ko shaan apni Hum Maslak-e Raza par, be dehnge jaan apni Hum Sunniyo ko Zaalim, jab chahe aaze maane, Hum he Bareilly wale Shayda he hum Raza ke, peeche nahi hatenge Tere sawaal ka hum, dat kar jawaab dhenge Jo soor maho tera, us ko yahi bulale, Hum he Bareilly wale Markad me teri munkir, hogi danadal Qutni Tujhse hume garaz kya, hum he tanaatan Sunni Ya tu Nabi ka hoja, ya mooh ko chup lagaale, Hum he Bareilly wale Jin ka diya tu taye, unhi ko tu gur’raaye Lagta he tu ne pi’eh he Ashraf Ali ki chayeh Duniya-e-Sunniyat me, har soo he jin ka charcha Qurbaan un pe Akmal, apna he bacha bacha Wo Mustapha Raza he, Ahmed Raza ke paale, Hum he Bareilly wala Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 47 Noori Masdjid N.I.S. Markaz e Ahle Sunnat Barkaat e Raza Pagina 48 Noori Masdjid N.I.S.
Similar documents
Updated NTHM Bhajan Book - North Texas Hindu Mandir
Jai Ganga Jata Dhara ............................................................................................................................................................................ 130...
More information