Lyrics - FAME Productions

Transcription

Lyrics - FAME Productions
Baithe Baithe Akele
[baithe baithe akele ye man kehta hai
aankhon se sapnon ka jaise rishta hota hai
mera bhi koi na koi yaar saaya ho
jo mujhme bhi utna hi samaaya ho
(jitna main uska hoon utna hi wo mera ho) - 2] x 2
aakash pe saat rang leke - 2 ho
jab brush koi phere, (man me ho hulchul mere) - 2
ke baarish na ho ab savere
kaash aaina sa humne bhi paaya ho
taake ambar se chhooti boondein na zaaya ho
(jitna main uska hoon utna hi wo mera ho) - 2
parvaton pe thandi barf baithe - 2 ho jab
aur dhoop chhoole haule, (dil me mere hindole) - 2
nadiya me naiya dole
patvaar koi ho jisne humko maana ho
paar le jaaye jahan humko jaana ho
(jitna main uska hoon utna hi wo mera ho) - 2
baithe baithe akele ye man kehta hai….mera ho
Suno Tum Zara
jaane kahan se awaazein aati hain
mujhe apne pass bulaati hain
jaane kis or kheench le jaati hain
na meri sunti hein naahi kuch batlaati hain
suno tum zara apne dil ki woh baatein
jo tum se shuru hoke mujh pe khatam hein
zara paas aao to tum ko bata dein
yeh faasla bhi to mehaj ek kadam hai
suno tum zara.....jo tum….
meri justujoo jaane kaun sunega?
mere sapnon ko kaun apna kahega?
mere pass hamesha kaun rahega ?
kiske liye main chalungi, kaun mere liye chalega?
sabhi ko mohabbat hai, kisi na kisi se
meri waisi chahat hai, teri har khushi se
tujhe dekh kar meri hoti sehar hai
yeh teri pehli nazar ka asar hai
waqt ki saari aa doori mita dein
rishta tujhi se mera, meri yeh kasam hai
suno tum zara.....jo tum….
Koi har din sapnon mein aata hai
ek dhundla sa saaya, mujhe har din sataata hai
sharmaata hai, khud ko chhupaata hai,
kuch kehna chahta hai shayad par kehne se itraata hai
tere khwabon mein tere hai samne jo
tujhe umr bhar aayega thamne woh
zara gaur se dekho us ajnabi ko
abhi to lauti ho milke ussi ko
rakhna na dil mein tu saari sadayein
zaban tak na laana bhi to ek sitam hai
suno tum zara.....jo tum…
zara paas…
Meethi Meethi Aankhein
meethi meethi aankhen teri
mujhko behlaati hein
bhar ke fizaon mein khushboo
tere pass laati hein
o, o
meethi meethi aankhen teri ….
[Aisa hua tha kya, tune raat mein, dekha chaand bataasha
dekh ke ab tujhe, dil yeh mera, karne laga tamaasha] x 2
[dekh ke jaadu, hoke bekaabu] x 2
meri saansein bhi gaati hein.. ab
meethi meethi aankhen teri …. bhar ke…
[Aisa hua tha kya, bheegi nigahein, chhuke barkha ki misri
geeli si palkon ke, ab peeche, bheeni si nazrein teri] x2
[jaise nasha tu, har jagah hai tu] x 2
aarzoo bhi sunati hai ab
meethi meethi aankhen teri …. bhar ke…
Ram Bachao Mohe
ram bachao mohe siya bachao-2
duvidha mori zara tum suljhao
ram bachao mohe siya bachao
meri saari raahein,
ghoom phirke tere aa gayi aage
yeh jazbaati chahein,
dar ke maare tujhse door bhaage
ek lamha tujhko maange
ek lamha kar ulti taangein
[bhaage tujhse door bhaage
par ghoom phirke phirse aa jaaye tere aage] x 2
ram bachao…… duvidha mori…. ram…..
[doston ki baat sunke main
jazbon mein saans bharke main
chakkar tere kaatun
jaise phool pe bhanwara] x 2
tere pass na chubhte kaante
naa hi padte hein chante
par phir bhi dil tujhse door bhaage
aur ghoom phirke phirse aa jaaye tere aage
bhaage tujhse door bhaage
par ghoom phirke phirse aa jaaye tere aage
ram bachao…… duvidha mori…. ram…..
[dhoop waale khwab bunke main
tim tim taaron ki chunke main
tujhpe main chha jaaun
jaise dharti pe chanda] x 2
teri hansi mujhe bulaye
manchahe sapne dikhaye
par phir bhi dil tujhse door bhaage
aur ghoom phirke phirse aa jaaye tere aage
bhaage tujhse door bhaage
par ghoom phirke phirse aa jaaye tere aage
ram bachao…… duvidha mori…. ram…..
Ishq Udati Ho
guzro na guzro, tum meri gali se par,
ishq udaati ho kyun?
soyi si, khoyi si, surkh deewaron ko,
phirse jagaati ho kyun?
tujhko kya haq hai dhooli,
intein tu sarkaaye
aanchal udaake
inke armaan kyun mehkaaye
guzro.. soyi si….
[wallah kya kahein, tujhko mil gaya hai hunar
baagi ban jaata hai mann, dekh tujhe ek nazar] x 2
bikhri zulfein, hain kasam se
abr ke patle patle dhaage us maah pe
kaari palkein, hai sitam de
khidkiyaan karke band meri har chaah ke
[ufuq kya kare, dhoke mein sab hein idhar
jo dil se dil ko milaye woh jaane hai kidhar] x2
aadha jalke, raet tarase
neeche dabake thande thande jhonke aah ke
thoda rukke, thoda chalke
kab jaane barsegi yeh barkha meri raah pe
guzro… soyi si…
tujhko kya….
Naadan Hai Dil
hey hey hey…. a ha ha….
uthate hi subah, dekhna chaahe dil chehra
mere oo khuda, sun mera raaz yeh gehra
chaahe dil jisko, woh jisko chahe
woh main hoon ke nahi, koi bataye
main tadapta rehta hoon, yun raat bhar
aahein bharta rehta hoon, yun raat bhar
sach hi to hai
naadan hai dil,
veeran hai dil, jeena mushkil, hai uske bina
naadan hai dil.
khidki pe hoti hai, nazron ki anban
bijli kadakti hai tharrata hai mann
dil hi dil mein hoti guzarish
dil hi samjhaata hai karta sifarish
ruk ruk ke khudko main aage badhaun
hamesha ki tarah phir peeche bulaun
Sach hi to hai….naadan…………..hai dil.
darne laga hai aks se yeh dil
paagal sa koi shaks hai yeh dil
khauf hai khudka na karde yeh galti
hai ashk bahata jo woh nahi milti
dil ke hi jaal mein, dil phas gaya hai
jubse se us hoor se dil bandh gaya hai
Sach hi to hai….naadan hai………..dil.
Uthate hi subah…….
chahe………………….naadan hai dil.
hey hey hey…. a ha ha….