Al Istimdaad Ala Ijyal Irtadad
Transcription
Al Istimdaad Ala Ijyal Irtadad
بسم ا الرحن الرحي Al Istimdaad Ala Ijyal Irtadad الس تداد عل اجيال ارتداد Al istimdaad ala ijyal irtadad was written by Sheikh ul Islam wal Muslimeen Imam Ahle Sunnat Alahadrat Azeeemulbarakat Imam Ahmed Rida Khan Radi Allahu Taala Anhu. Its Title means to seek assistance . It is a Qasidah consisting of 360 couplets,including 230 deviant saying of the wahabbies and the deobandies Al istimdad has been divided into 7 chapters and are as follows, chapter 1, praise of the Most Beloved Sall Allahu Alaihi wasallam chapter 2, seeking help from the Most Beloved Sall Allahu Alaihi Wasallam chapter 3, The deviant sayings of ismail dehlvi chapter 4, The deviant sayings of rashid ahmed gangohi chapter 5, The deviant sayings of qasim nanotwi chapter 6, The deviant sayings of ashraf ali thanwi chapter 7, The dua for his students and his friends chapter 1 .Praise of the Most Beloved Sall Allahu Alaihi Wasallam Sachchi Baat Sikhate Yeh hein Seedhi Raah Chalate Yeh hein Doobi Nawein Tairaate Yeh hein Hilti Naiwein Jamate Yeh hein Tooti Aasein Bandhate Yeh hein Chooti Nabzein Chalate Yeh hein Jalti Jaanein Bujhate Yeh hein Roti Aankhein Hansate Yeh hein Qasr-e-Dana Tak kis ki Rasai? Jaate Yeh hein Aate Yeh hein Us ke Nayeb En ke Saheb Haq se Khalq milate Yeh hein Shaafe Naafe Raafe Waafe kia kia Rahmat Laate Yeh hein Shaafa e Ummat Naafa e Khilqat Raafe Rutba barhate Yeh hein Daafe yaani Haafiz o Haami Daf e Bala Farmate Yeh hein Faiz e Jaleel e Khaleel se poocho Aag mein Baagh khilate yeh hein Inke Naam ke sadqe jis se Jeete hum hein Jilate Yeh hein uski Bakhshish inka Sadqa Deta woh hai khilate Yeh hein inka Hukum Jahan mein Nafiz Qabza Kul pe Rakhate Yeh hein Qaadir e Kul ke Nayeb e Akbar Kun ka Rang Dikhate Yeh hein unke Haath mein Har Kunji hai Maalik e Kul Kahlate yeh hein Inna A'tainaa kal kausar Saari Kasrat Paate Yeh hein Rab hai Mo'ti Yeh hein Qasim Rizq uska hai Khilate Yeh hein Maatam Ghar mein Ek Nazar mein Shaadi Shaadi Rachate Yeh hein Apni Bani hum Aap Bigarain Kaun Banaye? Banate Yeh hein Laakhun Balayein karoron Dushman Kaun Bachaye Bachate Yeh hein Bande Karte hein Kaam Ghazab ke Mujhda Raza ka Sunate Yeh hein Naz e Rooh mein Aasani dein Kalima Yaad Dilate Yeh hein Marqad mein Bandun ko thapak kar Meethi Neend Sulate Yeh hein Baap Jahan Baite se Bhage Lutf wahan Farmate Yeh hein Maa jab iklaute ko chore Aa Aa Kah kar Bulate Yeh hein Saikhun Bekas Rone wale Kaun Chupaye? Chupate Yeh hein Khud Sajde mein gir kar apni Girti Ummat uthate Yeh hein Nange be Nangon ka Parda Daman Dhak ke Chupate Yeh hein Apne Bharam se Hum Halkon ka Palla Bhaari Banate Yeh hein Thanda Thanda Meetha Meetha Peete hum hein Pilate Yeh hein Sallim Sallim ki Dharas se Pul per Humko Chalate Yeh hein Jis ko Koi Na Khulwa Sakta Woh Zanjeer Hilate Yeh hein Jinke Chappar Tak Nahi Unke Moti Mahel Sajwate Yeh hein Topi Jin ke Na Joti Unko Taaj o Buraaq Dilate Yeh hein KEH DO RAZA SE KHUSH HO KHUSH REH MUJHDA RAZA KA SUNATE YEH HEIN Chapter 2. Seeking assistance from The Most Beloved Sall Allahu Alaihi Wasallam Maula Deen Mitate Yeh hein Kufr Islam mein laate Yeh hein Teri Shaan Ghatate Yeh hein Rab ko Aib Lagate Yeh hein Rab Se Uljhein Nabi se Uljhein kis Shaitaan ke Kaate Yeh hein Balke Woh Kufr mein inka Gurga Phir Muslim Kehlate Yeh hein Ibne Aqaba se Muslim hein Haasha us ko lajate Yeh hein Uske Zulmun ki Had thi Haram per Shaah e Haram Kehlate Yeh hein Kitne Mazhab Raddat Thehre Fiqh o Kalaam mein aate Yeh hein Kufr ke Bachche Kufr ke Jaawa Kufr ke Rishte Naate Yeh hein Sab se Muzir tar hein yeh wahaabi Sunni bankar Rijhate Yeh hein Sunni o Hanafi o Chishti Ban ban kar Behkaate Yeh hein Jitne Dalaal hoye hein ab tak un Bihoun ke Khaate Yeh hein Jo Chappar Iblees ne Chaye Sab ke Bandhan Baate Yeh hein Haq se Jahil Shae se Zaahil Kaisi Mad ke saate Yeh hein Apni Chalti Noor e Ilahi Jalte Muh se Bujhate Yeh hein PIYAARE DAFA KAR AADA KIYUNKAR TERE HOTE SAATE YEH HEIN Chapter 3.The deviant sayings of ismail dehelwi Shah ko Rusul o Malik ko jo Maane us ko Khuda se Churate Yeh hein Chaach bata kar Phenki Nabuwwat Ghi Tauheed ka Taate Yeh hein Phir us Kalma e Kufr ki Tuhmat Rab o Rusul pe Uthate Yeh hein Shah ko Rusul ko Ahle Khuda ko Choore Chamaar Sunate Yeh hein Haq se chota Aan se Aazam Beech mein aur Manate Yeh hein Woh sab rakh khe Chamaar se Badtar Thakur kis ko banate Yeh hein La wallah who shane khuda hay Zarre se jisko giraate yeh hain Rab ka Muqabil Samjhe Rusul ko Apna Shareek Bhalate Yeh hein unki Izzat Haq se Juda hai Dono ki Toul karate Yeh hein unka Naam Dhara Nakaare Kufr ke Kaam aate Yeh hein in ke Muh mein Khaak ho Kis ko Mitti mein Mar kar milate Yeh hein Phir us Kufr ki tuhmat Shah per Rakh kar Khaak Urate Yeh hein Jaise Pardhaan aur Chaudhri Aisi Shah ki Sayadat Gaate Yeh hein Chote Bade Bhai ka Tafaut Apne mein Shah mein Batate Yeh hein Sirf Bare Bhai ke Barabar Shah ka Waqaar Manate Yeh hein Chote Nana Husain o Hasan ke Paish khud kahlate Yeh hein Hukum e Adab mein Chacha Zahra ke Qatilhum Bane Jaate Yeh hein Woh Jin per Maa Baap Tasadduq Bhai unko Banate Yeh hein Talibi Abbasi to nahi Kia Zair e Abu Lahab Aate Yeh hein Shah ki Sana o Midh Baham se Kam ho yeh Lalchate Yeh hein Fauq e Risalat Shah hein Nahi kuch Jumla Khasayes Dhaate Yeh hein Isra Ruyat e Khatam e Nabuwwat Sab ko Adam mein Sulate Yeh hein Ek to Shah per yeh Tohmat Phir Hukum mein Hasr Barhate Yeh hein Waaqif hein Ahkaam se Baaqi Saare Fazl Gamate Yeh hein Kul ejaaz Tamaam Mahasin Sab per La khinchwate Yeh hein Yeh buhtaan bhi Shah per Rakhkha Kitna Haq ko Satate Yeh hein Yuzoonallaha Wa Rasoolahu Deen ko kia Kalpate Yeh hein Aisun ko Jo Aa'addalahum hai Aaj nahi kal Paate Yeh hein Mujiza Ummiyat e Shah se Peer ka Jahal milate Yeh hein Durood o Kalma e Tayyab per bhi Shirk ka Muh Phulate Yeh hein Itna Jalte hein Naam e Shah se Kalme se Kaniyate Yeh hein Dam mein Karorun Hamsar e Shah hon Aisi Machine Dharate Yeh hein Mujize se Behtare Jaado Akmal o Aqwa Gaate yeh hein Saahir Qadir Lekin Shah ko Pathar Mahez batate Yeh hein Shah ki Wajahat Shah ki Mohabbat Zaher kahan Nahi Khaate Yeh hein Asl Shafa'at se hein Kafir Naam ko lafz dikhate Yeh hein us mein bhi Takhsees unki nahi kuch Muhmal gol Garhate Yeh hein Baiti tak ke Kaam na Aayein Beqadari ye Manate Yeh hein Mugni Rab se Na ho sakne ko Kia Ma'ne Pahnate Yeh hein Unke Kaam Na aayege Beshak Jab to Jahannam Jaate Yeh hein Jag beeti se kia matlab hai Apni beeti Sunate Yeh hein Sab ke barabar Aajiz o Nadan Kaar e Jahan mein batate Yeh hein Jin ka chaha khuda ka chaha Unka chaha mitaate yeh hain Nayebe akbar qaadir e qul ko Pathar ka thahrate Yeh hein Pathar se bhi Badtar la shae Mahez pe Theeka Khaate Yeh hein Kia Har Baar Nabi o Wali se Shaitaan Bhoot Milate Yeh hein Jo Ayaat Butun mein hein unko Mehboobun pe Jamate Yeh hein Unko Nabi Bot Bhoot hein Yaksan Yeh Tauheed Sujhate Yeh hein Shaan e Jalaal e Habeeb e Haq ko Salb e Hawaas Banate Yeh hein Hamd Kare Haq Midh e Nabi se Qadh se Qadr barhate Yeh hein Utni hi Shaan e Khuda Barhti hai Jitna Nabi ko Giraate Yeh hein Rab deta hai Rusul ko Tasallut Beqaabo Thahraate Yeh hein Shah ke Huzoor Qiyam e Adab ko Shirk Bhawan mein Bithate Yeh hein Taiba ke Jangal ke Adab per kia Zanjeerein turate Yeh hein Khud Farmaan e Rasoolullah per Hukum e Shirk Lagate Yeh hein In hua Illa Wahyun Yooha Dekho kahan Chalkate Yeh hein Sunke Tabarruk Aab e Madina Shirk mein Dobe Jaate Yeh hein Inko Safar e Taiba ka Saqar hai us per Adab kia gaate Yeh hein Phakkar Chakkar warna Mushrik kia Tahzeeb Jagate Yeh hein Yeh hay Rasoolullah ki izzat Phir Islam rakhaatay yeh hain Shah ka Khayaal Namaz mein Aana Darjun Khar se giraate Yeh hein Lanat e Haq ho La'an e Rusul ho Kaisi Deenak Sunate Yeh hein Surah e Fatiha aur Tashah'hud Shirk indhan mein Dhansate Yeh hein Bail Gadhe ki Yaad mein doobein is ko Sahel batate Yeh hein Lekin Yaad e Rasoolallah per Shirk ki naiw Chunate Yeh hein Khar se inko Khair hi pahunchi Khaar to Shah se Khaate Yeh hein Khatm jinhun ne Nabuwwat kar di Jis per Dil humkate Yeh hein Yaade Muhammad yaade Khuda hay Kis ko khar se ghataate yeh hain Inko Gadhe ka Zikr hi Rozi Jis ki Shaan Badhate Yeh hein Hum ko Zikr e Habeeb Jise Yun Aag Samjh ke Bujhate Yeh hein Gair e Nabi ko Wahi o ismat Maan ke Naiw Jamate Yeh hein Kahe ki Naiw Nabi Banne ki Jis per Jaan Ganwate Yeh hein Salb e Quran Jayez Kah kar Usko Hudoos mein laate Yeh hein Quran Wajh e Hidayat kab hai Mahez ilzaam hai gaate Yeh hein Mansab e Fahm e Nukaat e Quran Har geeri ko dilate Yeh hein Phir is Kizb e Ja'ali ki Tuhmat Khud Quran pe Uthate Yeh hein Khud kahe Quran Ma Yaqiluha Ummi fahem Batate Yeh hein Be Samjhaye Na Samjhey Sahaba Apni Taang Arate Yeh hein Haq ke Bayan ki Nabi ko Haajat Pait se Khuwande Aate Yeh hein Quran har Shae ka hai Tibiyaan Sifar Nabi ko Banate Yeh hein Mo'ti ilm hai Sarwar e Aalam Un se Alag Katraate Yeh hein Haq ne Yu alimuhum Farmaya Khud Fahmeed Manate Yeh hein Nil Ummieen Yaad hai inko Woh Taleem bhulate Yeh hein Ba'az kitaab pe Naam ko imaan Ba'az se Kufr Dikhate Yeh hein Qaasid se Ab kia Kaam hai inko Suljhi Paae Paate Yeh hein Khuwande hein kiyun Ummi se sikhein Saaf hai Khat Parhe Jaate Yeh hein Yeh hai Hadees ki Durgat Jis ke Da'we per itraate Yeh hein Jab to Muqallid Mujtahdeen ko Nasraniyat Urhate Yeh hein Mujtahid e Asr Inka hai Jisko Ban se Pakar kar laate Yeh hein Tarmahi Miskaah aur Bakhari Ghol kar usko Pilaate Yeh hein Saaphi Hanphi ke sikke khote Jhinji Apni Bhunate Yeh hein Saare Sirk Biddat pe Baithi Ab kia Deedah Lalchate Yeh hein Al Haasil Quran ko Har Dam Jhutlate Mukrate Yeh hein Roo e Zameen per Kafir hein Sab Aisi Baaw Chalate Yeh hein Shah ki Ummat Kafir Maani Aap kahan bache Jaate Yeh hein Roe Zameen se Alag kia Koi Goh ka Bhatta basate Yeh hein Apni Aag mein Jal gaye Aap hi Achi Deepak gaate Yeh hein Shirk ki aisi Tand Charhi hai Shirk hi Shirk Bulate Yeh hein Shirk ki Tasbeeh inka Wazeefa Shirk hi Japte Japate Yeh hein Sawan ke Andhe ka Hara hai Shirk Jo gaate gawate Yeh hein Shirk Malhaarein milkar gaayein shirk mein Chunri rangate Yeh hein Shirk hai inki Barhti Daulat Chapparun Shirk lutate Yeh hein Shaho malak qurano jibreel Sab pe shirk gumaate yeh hain Tauraat o Injeel o Zaboor Ab un se Shirk Jutate Yeh hein Gaib per Kashti e Khizar o Musa Shrik Bhawar mein Phansate Yeh hein Sajda e Yaqoob o Yusuf ko Chaah e Shirk Jhankate Yeh hein Ubriul Akmaha wal Abrasa per Sooli se Dhamkaate Yeh hein Aheyal Mautaa Sun ke to Mar kar Shirk Garhe mein Samate Yeh hein Naam e Pisar per Aadam o Hawwa Dono ka Deen Khapate Yeh hein Ek Bare ke bhi Daada Naana Shirk ke Neeche litate Yeh hein Daadi Naani dono Musalman Kufr unhein kab Chipkate Yeh hein Ab Jo hukum Awlaad per Aaya Pocho kia Farmate Yeh hein Aur agar unko bhi Shirk mein sayein Jab kia Chaak silate Yeh hein Murtad o Murtadda ka Tanakeh Radd hai kidhar Chakrate Yeh hein Laakhun Musalman kar diye Mushrik Ghar ki Khabar bisrate Yeh hein Jaisi karni Waisi Bharni Kaatein jaisi Buwate Yeh hein Abd e Aziz o Waliullah ko Shirk ki Wali Dikhate Yeh hein Sheikh Mujaddid Sahab per to Sab se siwa gurrate Yeh hein Aap per Dhalein Baap pe Dhalein Kaun hai jis ko bachate Yeh hein Haji imdaadullah ko bhi Shirk Madad Puhnchate Yeh hein Thanwi qasim gangohi ko Shirk ke Thaan Bandhate Yeh hein Qad Yasduq Khud aur Teeno Chaar pe Sach Dhalkate Yeh hein Shirk e Fiqhi Kufr e Kalami Baham Bante Khate Yeh hein Chahe tu Haq Aalim ho per Ab tak Jahil hai Yeh gaate Yeh hein Uski Sifaat e Qadima ko Haadis Aur Makhlooq likhate Yeh hein Saara Eilm e Gaib e Elahi Paanch mein Khatam Karate Yeh hein Simt o Zaman o Makan se Tanziya Haq ki Dalaal Batate Yeh hein Dedaar e Bekaif per Emaan Kufrun ke saath ginate Yeh hein Tark e Saza e Shrik per usko Begairat thahrate Yeh hein Gar e Kufr ki Qatae saza bhi Mutazila si Manate Yeh hein Qadr e Hukum e Nabi Rakhne ko Heela gar usko Banate Yeh hein Morchal uski Qabar pe Jhalne Namgeerah Tinwate Yeh hein Khaas unhein Apne liye Karne ki Tuhmat Haq per Uthate Yeh hein Jo ek Per ke Patte gin de Usko Khudae thamate Yeh hein Haq se Haath mein Haath Mila kar Peer ko baatein karate Yeh hein Yun ghul mil kar Kalaam e haqeeqi Yarana Ghuntwate Ye hein Lekin Shaah e Rusul ke Haq mein Qaahir Mahez Batate Yeh hein Kizb e ilahi Mumkin kah kar Deen o Yaqeen sab Dhaate Yeh hein Kizb ka kianam han koi Kaazib Samjhe us se darate Yeh hein Inko Bhula bahela ke ho Jhoota Es ka Paas dilate Yeh hein Qudrat e Rab se hi Kizb e Bashar hai Taqat jis ki Rakhate Yeh hein Kizb e Khuda per Kaun hai Qaadir Qudrat jis se ghatate Yeh hein Aundhi Aqal ki Andhi Burhiya kis Jangal mein Charate Yeh hein Bil Fel inka Khuda Aibi hai Phir imkaan to gaate Yeh hein Soye Aunghe Baheke Bhooley Kia kia Gat banwate Yeh hein Gaflat Zulm Thakan Muhtaji kaun sa Naqs Barate Yeh hein Kaam ko us per Mushkil Maanein Khalq se usko Harate Yeh hein Khaaye bhi Phir kiyun nahi usko Mohan Bhog Charhate Yeh hein Uff inke Imkaan ki Khuwari Bheek tak usko Mangwate Yeh hein Jor aur Joru o Maa Baap uske Bachche usko Janate Yeh hein Uska Shareek aur Khuwari mein Yawar Sab ki Khaip Bharate Yeh hein Zillat Izzat o Khauf ka kia gham Maut tak usko chakhate Yeh hein Jitne Aib Bashar kar Sakta Apne Khuda ko lagate Yeh hein Uchle Kore Kalayein Khaye Sab Khail usko Khilate Yeh hein Dubke Phoole Simte Phaile Usko Rabar ka Banate Yeh hein Mard bhi Aurat bhi Khasna bhi kia kia Suwaang Rachate Yeh hein Apne Khuda ko Mahfil Mahfil Kauri Naach Nachate Yeh hein Chaarun Simt ek aan mein Muh ho Naach uska Yeh dikhate Yeh hein Chaumukhe Brahamma aur Kaanha ke Aage Sees Nawate Yeh hein Dev ke Aage Ghanti baja kar Bam us se bulwate Yeh hein Ling Chilhiri ki danrotein Pooja Paat karate Yeh hein Kataki isnaan aur Baisakhi Dhubki usko khilate Yeh hein Zaani Muzni auchuka Daako Saare Jhoole Jhulate Yeh hein Kon si khwaari baaki chori Sab us se karwaate yeh hain Bete Gaaye Yahood o Nasara Joru aur Milate Yeh hein Aqal e Farang se Baagh e Khird mein Teen Khuda lahkate Yeh hein Chor Sharabi Zaalim o Jaahil Rab pe Rawa ginwate Yeh hein Khakul Aibi Poch Khuda ko Poojte aur Pojwate Yeh hein Milk e Khuda se Bahar Cheezein Aurun ki Milk ginate Yeh hein Laakhun Karoron Khuda ke Pujari Phir Tawheed manate Yeh hein Sab Khabarein Quran ki Jhooti Parni Rawa Thahrate Yeh hein Ab to uluhiyat bhi Sedhari Dhol se Khaal ganwate Yeh hein Us ke ilm o Jaz mein Takhalif Kehke Khudae Dhaate Yeh hein Balke Kamaal use Thahra kar Ganga ulti bahate Yeh hein Jab hai Kamaal Khilaaf e Quran Ab kia Palla Bachate Yeh hein Ya to Khuda hai Kamaal se khaali Ya Quran jhutlate Yeh hein Rab ka Ghazab ho wahi se pahle Kis ko Daal batate Yeh hein Balke Kaha imaan se Khaali Lanat ho kia gaate Yeh hein Mursal e La Saani ka Saani Gangohi ko batate Yeh hein Qabr hai Toor woh Rab yeh Musa Kaise Junoon Pakate Yeh hein Uske Kaale ghulamun ko Yusuf Paaji pan yeh dikhate Yeh hein Abd e Nabi Shirk Andhe ke Bande Banke Bahut ithlate Yeh hein usko Muhmi Subqi kah kar Esa ko jonkate Yeh hein chapter 4 .The deviant sayings of rashid ahmed gangohi ilm Apne Murshid e Shaitan ka ilm e Shah se Barhate Yeh hein uski wus'at Nas se Maney Shirk yahan Phansate Yeh hein ilm e Gaib e iblees ko Maney Shah ko kaho Jal Jate Yeh hein Aise Fazl per usko Jamate Maula Tujh ko Hatate Yeh hein Saaf Sareehan Apne Khuda ka usko Shareek Banate Yeh hein Shirkat kaisi Khud Shaitan ko Apna Khuda Thaherate Yeh hein Jo Allah ko Jhoota Maney Suwaleh usko ginate Yeh hein Kafir Gumraah Faasiq kaisa Karra Lafz Bachate yeh hein Shafae o Hanafi ke Manind uska Khilaaf Manate Yeh hein Bandun ko Qudrat de di Haq ko Ab Bedakhal Batate Yeh hein Mujh ko Bhai kaho ki Tauhmat Maula Tujh per uthate Yeh hein Apne hi Muh Maloon hoye Khud Naar mein Waar Chawate Yeh hein La'an Eblees per Auroun ke Muh se Apne hi Muh ki Paate Yeh hein Muh ki Paae Muh ki Khaae Bachke Kahan Ab Jaate Yeh hein Baap ko Apna Qareeb batana Gustakhi Thahrate Yeh hein Shah e Rusul ko Bhai kahna Maa ka Doodh Banate Yeh hein Mitti mein Milna Mitti se Milna Ek hi yun Chandrate Yeh hein Peeth Rasoolullah ko de kar Kaisi Aundhi Kaate Yeh hein Istimdaad karein Shaitaan se Shirk Nabi se Batate Yeh hein. Majlis e Mawlid e Shah hai Khurafaat Aisi Kharafat laate Yeh hein Suwaang Kanahiyya Janam ka hai Pandit Ji Chawkaate Yeh hein Fatiha mein Quran ki Tilawat Vaid Padhant Sunate Yeh hein Quran Vaid hai Qari Pandit Yeh Tashbeeh Jamate Yeh hein Fikr Baqadr e Himmat hai kia Hindu Dharam Dharaate Yeh hein Hindu Dharam se Badtar Riddat Jiddat jis mein dikhate Yeh hein Shirk o Kufr Aurun ke liye Shar Khair Apnun ki Manate Yeh hein Apnun ka Zahr e Halahal Sab ko Shahed Bata ke Chatate Yeh hein Shah ke Rahmat e Aalam hona Har Mulley ko Dilate Yeh hein Yaani Yeh bhi hein Rahmat e Aalam Mulley Khud Kahlate Yeh hein Fazl e Shah mein Bukhari o muslim Sab Mardood Batate Yeh hein Naqs ko Ek be'asal Riwayat Apni Burhaan laate Yeh hein Raad ko uska Raawi gaayein Kia bepar ki urate Yeh hein Fazl e Shah ki Adawat dekho Kia kia Haath Chabate Yeh hein Yauma Yadiz Zalim ka Rang Duniya hi se Dikhate Yeh hein Anjaan anparh ke Chalne ko Kia Kia Jaal Bichate Yeh hein Tafwiyat-ul-Emaan ka Parhna ain Islam Banate Yeh hein Yun Quran se usko Barha kar Jabtak e Kufr Manjhate Yeh hein Abd e Aziz Tak imaan kab tha Islam Aaj Phailaate Yeh hein Niyyat e Ajar ka Ahl hai Kafir Kufr ko kia Chamkate Yeh hein Hindu ko kia Ahl Samjhtey Apni Daal Galaate Yeh hein Yeh hein Mufeed Nabi ko Jo Samjhey us per Shirk Aurhate Yeh hein Rab ki Duhae Lagw Samajh kar Jabran Shirk Manate Yeh hein Waqt Pare per Jayez keh kar Jaado karte Karaate Yeh hein Shirk Mubaah hai Balke hai Sunnat Fel e Rasool Batate Yeh hein Be Rab ke diye ilm jo Maney Kufr se usko Bachate Yeh hein Naar e Safar mein Raushni Sujhi Kia Andhera Machate Yeh hein Deoban walon ke Milne se Urdu Shah ko Sikhate Yeh hein unke Nabi ki ustazi ka Haq ummat pe Jatate Yeh hein Uff Bebaki Shah se Apni Roti tak Pakwate yeh hein inki Rasoe ki Yeh Rasae Haq Ruswae Paate Yeh hein Holi o Diwali ka Khana Jayez Jai Jai kar ke Khaate Yeh hein Sharbat o Aab e Sabeel e Muharram Saaf Haraam Karate Yeh hein Naame imaam nay aag lagaa dee Najd ki holi jelaatay yeh hain chapter 5.The deviant sayings of qasim nanotwi Shah ke Pichle Nabi honey ko Fazl se Khaali Gaate Yeh hein Jaise Aise Waisun ki Awsaaf Itna is ko giraate Yeh hein Haq per Fuzool aur Be Rabti ki Lim Quran pe Lagate Yeh hein Midh jo isko Samjhe Sahaba Nafaham usko batate Yeh hein Ab se un tak Ummat bhar per Jahill ka Muh aate Yeh hein Aik Sahaba kia ke Nabi per Ta'n Yahi Barsaate Yeh hein Munkir e Khatam ko Phir Kafir bhi Dhoke ko likh Jate Yeh hein Dar Kufr o Deen Manda Tazabtub Ne imaan Na Sabate Yeh hein Dhoka Khul gaya Chand Warq Per Phir Wahi Palta Khate Yeh hein Shah ke Baad Tabuwwat Taza Paak Khalq se Batate Yeh hein Aap hi Kafir Aap hi Mukaffir Apni Aap hi Dhate Yeh hein Jab to Baraye Naam Khud Apna Islam Aap Sunate Yeh hein Awwal Kafir Aakhir Kafir Har Phir Kufr pe Chate Yeh hein Dhoka Dene waba Phir uchla Kufr ko kitna Bhaate Yeh hein Unke Kufr ka uthta Joban Nahaq usko Chupate Yeh hein Sarkash utna utna Ubhrey Jitna Jitna Dabate Yeh hein Aur Khudaon Ka Woh Khuda ho Rutba is mein Barhate Yeh hein Mushrik ko isbaat Batan ki Yeh Burhaan Barhate Yeh hein Khalq se uska Tanasub Ga kar Arba mein usey laate Yeh hein Hum ko Ghulam se Jo hai woh Nisbat Haq ko Hum se batate Yeh hein Yeh Zaat Tarfain o Wast Hai Yun Taslees Manate Yeh hein Aur Rusul ki Arzi Mohabbat Ek din un se Chinate Yeh hein Chapter 6 . The deviant sayings of ashraf ali thanwi Shah sa Har Kas o Naakas Jane Gaib pe Aib Dikhate Yeh hein ilm e Huzoor mein Bachche Pagle Kul Chaupaye Bharate Yeh hein In mein Nabi mein Farq Batao Kis Lanat ki Gaate Yeh hein In Hum Illa kalAnaam Bal Hum Adall ke Bharate Yeh hein Thak kar es Bad Gaali ko ek Ilmi Bahes banate Yeh hein Aib ki Laye Raieb ki Gaye Gaib se Waib kamate Yeh hein Usko Kafir likh gaye Jis ko Bhait imaan Charhate Yeh hein Lekin Jab Tak Naam Na Jana Jaan ke Jaan Chaurate Yeh hein Woh Bajahannam Khud Kufr Apna Mante aur Chapwate Yeh hein Qaul hai Kufr aur Qayel Kafir Lekin Naam Bachate Yeh hein Qayel Thande Ji se Kafir Naam liye Garmate Yeh hein Waar jo Khatm e Nabuwwat per thay Ab woh Beej ugaate Yeh hein Yani Apni Nabi Japne ko Taskin Bakhsh Banate Yeh hein Apne Naam per isteqlalan Salle Ala Bhatwate Yeh hein Behki Zubaan aur Din bhar Behki uff uff Kia Behkate Yeh hein Inki Sana thi Nabi ki Zam thi Yun ye uzr manate Yeh hein Inko Bura Kehta to yeh heela Sunte Ya Jal Jate Yeh hein Sheikh Ji Mirza ke hoye Waris Sheikhi Jis pe Dikhate Yeh hein Baptisma Mirza se Paya Balke usey Sharmate Yeh hein Maa ka Adab Kafir bhi kare ga In ki Suno kia Gaate Yeh hein Waqiya Dhalein Baan ka Aana Zan ka Zahen Larate Yeh hein Jin per Lakhun Maayein Tasadduq Tabeer unki banate Yeh hein Kiyun dab e Siddiqa karein kia Deen ka Dena Dharate Yeh hein Woh to Musalmano ki Maa hein Kab Islam Rikhate Yeh hein Inki Joro Daad hai Bad hai Badr o Daad hi Paate Yeh hein kaukaba mein Satr hi thay Jin Per Qaroon Ganj Basate Yeh hein yun to do so tees hein ab kis Tahtus Sara ko Jaate Yeh hein chapter 7 . Dua for his students and friends and khulafa Tere Raza Per Teri Raza ho Us se Ghazab Thar Raate Yeh hein Balke Raza ke shagirdun ka Naam liye Ghabrate Yeh hein Hujjatul Islam Hazrat Maulana HAMID RAZA KHAN Alayhirrahmah Haamid-o-Minni Ana Min Hamid Hamd se Hamd Kamate Yeh hein Hazrat Maulana ABDUS SALAAM Jabalpuri Alayhirrahmah Abd-e-Salaam Salamat Jis se Sakht Aafaat mein aate Yeh hein Malik-ul-Ulema Hazrat Maulana ZAFARUDDIN Bihari Alayhirrahmah Mere Zafar ko Apni Zafar de Us se Shikastein Khaate Yeh hein Sadrush Sharia Hazrat Maulana AMJAD ALI Alayhirrahmah Mera Amjad Majad ka Pakka Us se bahut Kachiyate Yeh hein Sadrul Afazil Hazrat Maulana NAEEMUDDIN Muradabadi Alayhirrahmah Mere Naeemuddin ko Naemat Us se Bala mein Samate Yeh hein Hazrat Maulana Sayyed AHMED ASHRAF Kichochvi Alayhirrahma Ahmed Ashraf Hamd-o-Sharaf le Us se Zillat Paate Yeh hein Hazrat Maulana Sayyed DEEDAAR ALI shah Alayhirrahmah Maulana Deedaar-e-Ali ko Kab Deedaar karate Yeh hein Maulana AHMED MUKHTAAR Razavi Mirthi Alayhirrahmah Majboor Ahmed Mukhtaar inko Karta hai Marjaate Yeh hein Hazrat Maulana ABDUL ALEEM Razavi Mirthi Alayhirrahmah Abd-e-Aleem ke ilm ko Sun kar Jahl ki Bahl Bhagate Yeh hein Hazrat Maulana ABDUL AHAD Razavi Alayhirrahmah Ek Ek Waz e Abdul Ahad Per kitne Nathne Phulate Yeh hein Maulana Mohammed RAHEEM BAKHSH Razavi Alayhirrahmah Bakhsh Raheem pe Rahmat Jis se Aarey ke Neeche aate Yeh hein Maulana Munshi Mohammed LA'AL KHAN Razavi Alayhirrahmah Johar Munshi Laal pe Heera Kha Marne ko Mangate Yeh hein Huzoor Mufti-e-Aazam Shah Imaam MUSTAFA RAZA KHAN Alayhirrahmah Hazrat Maulana BURHAAN-UL-HAQ Razavi Jabalpuri Alayhirrahmah Aale Rahmaan Burhan-ul-Haq Sharq pe Barq Girate Yeh hein Hazrat Maulana Mohammed SHAFEE AHMED Razavi Alayhirrahmah Taaza Zarb-e-Shafee Ahmed se Kuhna Bukhaar Uthate Yeh hein Hazrat Maulana HASNAIN RAZA KHAN Alayhirrahmah De Hasnain Woh Taqbeeh inko Jis se Bare Khisiyaate yeh hein Najdiya mein Halchal Rahe inki Jaise Hal un per Chalate Yeh hein Kam ko Fuzun Afzun ko Fuzun Tar Kar de Tera hi Khaate Yeh hein Apno mein inke Misl Fuzun Kar Tera Zikr Barhate Yeh hein Dil mein Hiraas Na Laane Dena Dil mein annee Chamkate Yeh hein Apna karam rakh sar pe qadam rakh Tere hi kehlaate yeh hain Tere Gada hein Tujh per Fida hein Tera hi Khaate Gaate Yeh hein Transliterated by Faqeer Mohammed Shakeel Radawi 11 Rabi ul Thani 1436 February 2015