Nigraani - Deeniyat
Transcription
Nigraani - Deeniyat
Nigraani Supervise Deeniyat centre ki hidaayaat ke mutaabiq maktab ka nizaam aur bataaye huwe tareeqa-e-taaleem ke mutaabiq nisaab jaari hai ya nahi? is ki dekh rekh aur is mein muaawanat ko maktab ki nigraani kehte hain. Rasoolullah r ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, aap un ki nigraani bhi kiya karte, agar sab kuch thik paate, to un ka hosla badhaate aur un ko mazeed targeeb diya karte the, Hazrat Abu Saeed khudree t kehte hain ek martaba sahaaba-e-kiram ek jagah bethh kar qur'ane kareem padh rahe the aur duaaein kar rahe the, itne mein Rasoolullah r tashreef laaye, jab hum ne aap ko dekha to hum log khaamoosh ho gaye, aap ne farmaaya; kya tum log falaan falaan kaam nahein kar rahe the? hum ne kaha; haan. aap ne farmaaya; jaisa tum kar rahe the, waisa hi karte raho, phir aap hamaare saath beth gaye aur farmaaya; khushkhabri ho gareeb muhaajireen ko, tum jannat mein maaldaaron ke muqaable mein 500 saal pehle jannat mein jaaoge. [Musnade Ahmed : 11915] Aur agar kuch kami paate to us par rok tok bhi kiya karte the. Hazrat Abu Huraira t kehte hain ke rasoolullah r hamaare paas aaye, us waqt hum log taqdeer ke baare mein jhagad rahe the, yeh dekh kar aap gussa ho gaye, hatta ke aap ka chehra surkh ho gaya, aisa lagta tha ke aap ke chehre par anaar nichod diya gaya ho, phir farmaaya; kya tumhein iska hukm diya gaya hai, ya farmaaya; kya mujhe isi ke liye bheja gaya hai? yaqeenan tum se pehli qaumein isi baat mein jhagadne ki wajah se halaak ho gayi, tumhe mein qasam deta hoon ke is muaamle mein kabhi jhagda na karo. [Tirmizi : 2133] Us ke alawa rasoolullah r ne mulki paimane par bhi taaleem ki nigraani ka intizaam farmaaya tha, ulma-e-kiraam ne likha hai ke Huzoor r ne sube waar darsgaahon ka me'yaare taaleem buland karne ke liye suba-e-yemen mein ek sadar naazime taaleeemaat muqarrar kiya tha, jo mukhtalif azlaa aur taaluqa mein daura karke wahaan ki taaleem aur darsgaahon ki nigraani karta tha. [Taareekhe Tabri, bahawaala-e-Ohde nabwi mein nizaame taaleem : 70] 51 Maktab ki nigraani 1 Maqaami zimmedaar maktab ki nigraani kare aur jin makaatib mein sadar mudarris ya mohtamim ho to un ke zariye nigraani ki tarteeb banaayi jaaye. 2 Maktab ki nigraani ka maqsad maktab ke taaleemi me’yaar ko buland karna aur maktab ke deeniyaat nisaab wa nizaam ko sahi tareeqe ke mutaabiq chalaana hai. 3 Maqaami zimmedaar maktab ki nigraani aasaani se kar sakte hain, kyun ki woh maktab ke qareeb rehte hain aur maktab mein rozaana aa sakte hain. 4 Maqaami zimmedaar maktab ki nigraaani ziyaada firkmand ho kar kar sakte hain kyun ke padhne waale aksar talaba un ke ilaaqe aur khaandaan ke honge. 5 Maktab ki nigraani maqaami zimmedaar karta hai to asaatiza ko maktab me’yaari banaane mein madad milti hai, aur fitri taur par un ko un ki fikr ziyaada hogi. 6 Maqaami zimmedaar fikr mand ho aur maktab ki nigraani karta ho to phir asaatiza bhi fikr ke saath taaleem par tawajjoh dete hain. 7 Nigraani se maktab ka taaleemi me’yaar buland hota hai. 8 Nigraani se asaatiza ko taaleemi rehnumayi milti hai, aur is silsile me dar pesh dushwaariyaan door hoti hain. 9 Nigraani se maktab ka nizaam baraabar chalta hai. 10 Nigraani se maktab ka nisaab mutta'yyan waqt par poora hota hai. 11 Nigraani se Idare ke tamaam afraad; muallim, sadar mudarris, mohtamim aur trustee Hazraat fikrmand rehte hain. 12 Nigraani se kamiyon aur Khaamiyon ka pata chalta hai aur inhe aasaani se door kiya ja sakta hai. 13 Maqaami zimmedaar maktab mein chand baaton ko zaroor dekhe. 14 Ustaaz ka tareeqa-e-taaleem ijtimai hai ya nahi? 15 Maheene waar nisaab mukammal huwa he ya nahi? 16 Kitaab ke akheer mein diye gaye sawaalaat mein se maheene ke eitbaar se sawaalaat kar ke dekh le ke bachchon ko mazaameen yaad hain ya nahi? 17 Talaba ka namaaz chart pur hai ya nahi? namaz ki amli mashq karaai ja rahi hai ya nahi? 18 Talaba se padhi huwi baaton par amal karne ke baare mein maaloom karein, agar amal nahein kar rahein hain to targeeb de kar unhein amal par khada karne ki koshish karein. 19 Baaligaan course padhne waale talaba ko qaza-e-umri ka chart dilwaaye aur un ko qaza Namaaz padhne ki targeeb de. 20 Maktab ka maahaul barqaraar rakhne ki asal zimmedaari to maqaami zimmedaar ki hai, aur ustaaz is mein zimmedaaron ki muaawanat karein. 21 Maktab mein safaai ki aur us ke lawazimaat ki nigraani karein aur dekhein ke bachchon ko baithne ke liye chataai/ qaaleen, tipaayi, blackboard aur tamaam cheezein hein ya nahien aur agar nahien hain to us ke intizaam ki fikr karein. 22 Maktab ka Jaaiza lete waqt is ki bhi fikr karein ke har bachcha uniform pehan kar aa raha hai ya nahien aur agar nahi aa raha hai to us ke uniform ka nazm karein. 23 Maktab ka jaaiza lete waqt is baat ko khaas taur par dekhein ke kitaabein har bachche ke paas hain ya nahien . 24 Maktab ke kutubkhaane ka jaaiza lete rahein aur jin kitaabon aur saamaan ki zaroorat ho us ko muhayya karne ki fikr karein. 25 Maktab mein talaba aur muallim ki haazri ke liye haazri register ka intizaam kare aur us ka jaaiza leta rahe 26 Talaba ki haazri aur gair haazri ke mutaalliq maqaami zimmedaar muallim se muzaakra kiya kare. 27 Maktab chhod kar chale jaane waale talaba ke baare mein asaatiza se mashwara kare aur talaba ke waalidain se mulaaqaat kare. 28 Waqt aur haazri ki paabandi karne waale talaba ki hausla afzaai ke liye chocolate wagaira ka intizaam kare taake un mein maktab aane ka shauq badhe. 29 Jo bachche uniform pahan kar nahein aa rahe hain, maqaami zimmedaar un ko uniform ki targeeb de. 30 Muallim se maktab ke baare mein muzaakra karta rahe aur pesh aane waale masaail ko muallim aur maqaami nigraan ke zariye hal kare. 31 Muallim maktab ke maahaul ko barqaraar rakhne ke liye maqaami zimmedaar ka taawun kare. 32 Muallim maktab ke maahaul ko achchha banaane ke liye bachchon ki zahen saazi kare masalan uniform pahen kar aane aur maktab me safaai ka khayaal rakhne ki bachchon ko targeeb de. 33 Maqaami zimmedaar maqaami aalim ya maqaami nigraan ke zariye apne maujoodgi mein maktab ka har maah ya har do maah mein ek martaba qur'an shareef aur deeniyat kitaab ka jaiza dilaaye taake maktab ka taaleemi me’yaar maaloom ho aur un ki muaawanat se maktab ko munazzam kiya ja sake. *Idara-e-Deeniyat mein Order de kar mangwa sakte hain. 52. Munazzam makaatib ki mehnat Maktab Maktab Maktab 1 Maktab ka zimmedaar apne maktab ko munazzam karte huwe ilaaqe mein munazzam makaatib qaaim karne ki fikr kare. Deeniyat Munazzam Maktab ke Fawaaid 1. Har bachcha Qur'an Tajweed ke saath padhega, saath saath Hadees, Aqaaid-oMasaail, Seerat, Urdu aur Arabi bhi Seekhega. Insha Allah 2. Imaaniyaat aur Ibaadaat ke saath saath Insha Allah Muaamalaat, Akhlaaqiyaat aur Muaasharat bhi bachche seekheinge. 3. Har insaan farz-e-ain (zaroori ilm-e-deen) seekh kar us par amal karega, is se Deeni maahol aur roohaani fiza qaaim hogi. insha Allah 4. Ijtimaai taaleem ke zariye bachchon ko bahot zyaada waqt milega aur bachchon ki taa'daad mein kai guna izaafa ho jaayega. Insha Allah 5. “Munazzam Maktab (Organized Maktab)” Fees ke zariye khud kafeel ho kar hamesha chalta rahega. Insha Allah 6. Har ilaaqe ke bachche 15 saal tak deen seekheinge aur mardon, auraton ko bhi deen seekhne ka mauqa milega. 7. Har maktab mein ziyaada asaatiza ko deeni khidmat ka mauqa milega aur masjidein aabaad ho jaayegi. Insha Allah 8. Insha Allah har shakhs ko maaloom hoga ke Islaam aman pasandi ka mazhab hai. 9. 100% Ummat mein Allah ka hukm aur Rasoolullah (e) ka tareeqa aayega, jis se woh Insha Allah duniya wa aakhirat mein kaamiyaab hogi. 53. Qur'ane kareem Qur’ane kareem ki khidmat ko apni sa'adat samjhte huwe aur tilaawat karne waale afraad ki aasaani ke liye saaf suthre computerized font mein tahseen wa tazyeen ke saath 13 aur 15 line ka Qur'an shaaye' kiya gaya hai. 54. Qur'an ka paigaam Is kitab ke zariye ummat ko Qur'an ke paigaam se mukhtasar waqt (10 min) mein waaqif karaane ki koshish ki gayi hai jis ki tarteeb mein is baat ka lihaaz rakha gaya hai ke Qur'ane kareem ke har paare ke ek ek pao ko le kar us ke chand mazaameen par roshni daali gayi hai aur ek safha par ek hi pao ke mazaameen hai taake Ramazan-ul-Mubarak ki taraaweeh mein jitna Qur'an padha gaya hai Taraaweeh aur witr ke darmiyaan un mazaameen ko padh kar sunaaya ja sake. 55. 5 Minute ka Madrasa Ummate muslima ko Allah Ta’ala ki kitaab aur Rasoolullaah r ki sunnat se qareeb karne aur ummat mein deen ka shu’oor paida karne, us ko seekhne aur us par amal karne ka shauq wa ragbat paida karne ki garz se is kitaab mein deen ke mash’hoor 5 shobe; Imaaniyaat, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat se mutaalliq baaton ko qur’an wa hadees ki roshni mein 10 anaaween ke tahat islaami mahine ki tarteeb par. jama kiya gaya hai. is mein ikhtalafi baton se parhez kiya gaya hai 56. Khutbaate Juma Is kitaab me maujooda haalaat ke etibaar se mukhtalif unwaanaat par nihaayat sahal aur aasaan andaaz mein arabic khutbaat pesh kiye gaye hai, Jin mein ikhtilaafi baaton se parhez kiya gaya hai taake ummat ka har tabqa us se faaida utha sake, Phir mukhtasar tashreeh ke saath un ka tarjama urdu zabaan mein kiya gaya hai taake arabic khutba ki tamaam baatein wazaahat ke saath awaam ke saamne aajaaye. Electronic Media ke Zariye ilm deen ko ummat tak pahunchaana Aaj ke taraqqi yaafta daur mein Eloctrnic media ko bhi taaleem ki isha'at mein ehmiyat ka darja haasil hai, Us ke zariye bhi Internet ke waaste se jagah jagah smart class qaaim ki ja sakti hai, digital screen board, computer, laptop, smart phones ko bhi deeni taaleem hasil karne aur us ki isha'at ka zariya banaaya ja sakta hai, is silsile meim idara koshish kar raha hai ke shariat ke daaire mein rehte hue is ko istemaal karein. Aap hamaari web site www.deeniyat.com par hamaari saari kitaabein aur masnooaat ko dekh sakte hain aur use mangwa kar faaida haasil kar sakte hain. 1 Ilme Deen Ilme Deen ki ahmiyat wa zaroorat se koi saahibe Imaan inkaar nahin kar sakta; kyun ke jo shakhs Allah aur us ke Rasool par Imaan rakhta hai aur marne ke baad dobaara zinda hone, apne ek ek amal ka hisaab dene aur achchhe amal par Jannat aur bure amal par Jahannam mein jaane ke "Khudaai faisle" par yaqeen rakhta hai. Yaani aakhirat ki haqeeqat ko tasleem karta hai, to zaahir hai ke us ka pehla farz yahi hai ke woh yeh maaloom kare ke zindagi guzaarne ke liye woh kaun se ahkaam wa hidaayaat hain, jo Allah aur us ke Rasool ki taraf se hamein diye gaye hain, jin par amal karne ke baad hamein duniya aur aakhirat ki bhalaai aur kaamiyaabi mil sakti hai. Number 1 Allah Ta'ala ko raazi wa khush karne ki buniyaad hi ilme Deen par hai: Jab Rasoolullah r par pehli wahi utri aur duniya ko ek "naya paigaam" milna shuru huwa, to us pehli wahi hi mein padhne aur qalam ka tazkira kiya gaya. Allah Ta'ala irshaad farmaate hain: "(Aye Nabi!) Padho apne parwardigaar ka naam le kar jis ne sab kuchh paida kiya, us ne insaan ko jame huwe khoon se paida kiya hai, padho aur tumhaara Parwardigaar sab se ziyaada karam waala hai, jis ne qalam se taaleem di, insaanon ko us baat ki taaleem di jo woh nahin jaanta tha. [Sura-e-Alaq: 1- 5] Is pehli wahi mein hi taaleem aur qalam ka tazkira kar ke goya duniya ko is se yeh paigaam dena tha ke shareeat ke mutaabiq zindagi guzaarne aur Allah ko raazi wa khush karne ki buniyaad hi ilme Deen padhne aur padhaane, seekhne aur sikhaane par hai. Number2 Ilme Deen haasil karna har musalmaan mard wa aurat par farz hai: Jo shariat ke mutaabiq zindagi nahin guzaarega, zaahir hai ke Allah Ta'ala ki raza use haasil nahin ho sakti aur woh duniya wa aakhirat mein kaamiyaab nahin ho sakta. Isi wajah se Rasoolullah r ne bhi saaf taur par ilme Deen haasil karne ko ummat par farz qaraar diya hai. Aur is ke liye umr ki koi qaid nahin lagaayi hai. Is liye insaan chaahe umr ke jis marhale mein ho us ke liye buniyaadi ilme Deen ka seekhna farz hai. Aap r ka irshaad hai: Ilme Deen ka haasil karna har musalmaan par farz hai. [Ibne Maajah: 224, Anas t] Number 3 Sahaaba-e-Kiraam y ilme Deen haasil karne ka bahot ehtimaam karte the: Makkah Mukarramah mein jin logon ne Islam qubool kiya tha woh "Daare Arqam" mein jama hote aur Huzoor r se "Islami ahkaam" seekhte the. Nubuwwat ke doosre saal jab Madeenah Munawwarah se 12 shakhs aaye aur Aap r se Islam ki bai'at ki, to waapsi ke waqt unhon ne Huzoor r se yeh bhi kaha tha ke aye Allah ke Rasool! Hamaare saath kisi ek muallim ko bhej deejiye, jo hamein Islami ahkaam sikhaaye, Rasoolullah r un ke saath Hazrat Mus'ab bin Umair t ko bheja tha. Bukhari Sahreef ki riwaayat hai ke Hazrat Umar t farmaate hain: Main aur mera Ansaari padosi awaali-e-Madeenah ke ek gaaon Banu Umaiya bin zaid mein rahte the, ham donon baari baari Rasoolullah r ki khidmat mein haazir hote the. Ek din woh aata aur ek din main aata. Jis din main aata us din ki wahi ki aur doosri baaton ki us ko ittila deta tha, aur jab woh aata, to woh bhi isi tarah karta. [Bukhaari: 89, Umar t] Isi tarah ke aur bhi bahot saare waaqiaat hain, jin se ilme Deen haasil karne ke taalluq se Hazraat Sahaaba y ke be-intiha ehtimaam aur fikr ka pata chalta hai. Number 4 Ummat par 2 zimmedaariyaan hain, khud ilme Deen seekhna aur doosron ko bhi sikhaana: Is ummat ke liye jahaan yeh zaroori hai ke woh khud Deen seekhe aur Deen ki samajh haasil kare, wahin us ke liye yeh bhi zaroori hai ke doosron ko bhi Deen sikhaaye aur un mein Deeni shuoor paida kare. Rasoolullah r ne farmaaya: Tum log Qur'aan seekho aur logon ko sikhaao, tum log ilm seekho aur logon ko sikhaao aur Faraaiz (meeraas ka ilm) seekho aur logon ko sikaao, is liye ke main duniya se utha liya jaaunga aur ilm bhi anqareeb utha liya jaayega; yahaan tak ke 2 aadmi ek farz hukm ke baare mein jhagdenge, lekin un ko bataane waala koi nahin milega. [Shobul Imaan: 1668, Abdullah bin Masood t] Waaqia: Madeenah Munawwarah mein ek qabeela aabaad tha, jin ko "Ash'ariyyeen" kaha jaata tha, yeh log to ilme Deen se waaqif the magar unheen ke pados mein kuchh dehaati log aa kar aabaad ho gaye the, jo ilme Deen se naawaaqif the, aur is se badh kar woh ilme Deen seekhne ki fikr bhi nahin kar rahe the aur na hi woh padhe likhe qabeele waale un par koi tawajjoh de rahe the, Rasoolullah r ko jab un logon ki is kotaahi aur gaflat ka ilm huwa, to Aap r ne un ko sakht tambeeh farmaayi, aur Deen ki baatein jaanne waale aur na jaanne waale donon qism ke logon ki alag alag zimmedaariyon ko saaf aur waazeh taur par bayaan kiya aur farmaaya: Yaad rakho! Jo log ilme Deen se waaqif hain aur is ki samajh boojh rakhte hain, un ki yeh zimmedaari hai ke na jaanne waalon ko Deen sikhaayein aur waaz-o-naseehat ke zariye un ki islaah wa tarbiyat ki koshish karte rahein. Aur jo log Deen se naawaaqif hain un ki yeh zimmedaari hai ke woh jaanne waalon se Deeni ahkaam seekhein aur apne andar Deen ki samajh paida karein, warna ham donon qism ke logon ko isi duniya mein saza denge. Chunaanche qabeela-e-Ash'ariyyeen ke logon ne Huzoor r se ek saal ki mohlat maangi, Aap r ne un ko mohlat de di, phir yeh log ek saal tak apne pados ke un dehaatiyon ki taaleem wa tarbiyat mein lag gaye. [Kanzul Ummaal: 8457, Abza Khuzaa'ee t, Mafhoom] Number 5 Jo ilme Deen jaante hain aur jo nahin jaante baraabar nahin ho sakte: Ilme Deen duniya ki sab se qeemti daulat hai ise haasil karna badi khushnaseebi aur sa'aadat ki baat hai, is liye ke ilme Deen haasil karne ki Qur'aan wa Hadees mein beshumaar fazeelatein bayaan ki gayi hain. Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaate hain: (Aye Nabi!) Aap (logon se) keh deejiye kya woh jo jaante hain aur jo nahin jaante, sab baraabar hain? (Hargiz sab baraabar nahin hain). [Sura-e-Zumar: 9] Number 6 Taalibe ilm ke liye farishte apne paron ko bichha dete hain: Abu Daaood Shareef ki ek Hadees mein Aap r ne irshaad farmaaya: Jo banda (Deen ka) ilm haasil karne ke liye kisi raaste par chalta hai to Allah Ta'ala is ke badle mein us ko Jannat ke raaston mein se ek raaste par chalaate hain. Aur beshak Allah ke farishte ilme Deen haasil karne waalon ki razaamandi aur khushnoodi ke liye apne paron ko bichha dete hain, aur bila shubah aalim ke liye aasmaan wa zameen ki saari makhlooq magfiraqt ki dua karti hai, yahaan tak ke paani ke andar rahne waali machhliyaan bhi (un ke liye duaa e magfirat karti hain). Aur beshak ek aalim ko ibaadatguzaar bande par aisi hi fazeelat haasil hai jaisa ke chaudhween raat ke chaand ko baaqi sitaaron par aur yaqeenan Ulama Ambiya ke waaris hain aur Ambiya ne apne tarke mein dirham wa deenaar (rupiye paise) nahin chhoda hai, balke unhon ne apne tarke mein sirf ilm chhoda hai, is liye jis ne is ilm ko haasil kar liya us ne bahot badi kaamiyaabi haasil kar li. [Abu Daaood: 3641, Abu Darda t] Ek Hadees mein Aap r ka irshaad hai: Jo banda ilm haasil karne ke liye nikla woh waapas aane tak Allah ke raaste mein hai. [Tirmizi: 2647, Anas t] Number 7 Behtareen insaan woh hai jo Qur'aan seekhe aur sikhaaye: Bukhaari Shareef ki riwaayat hai ke Huzoor r ne irshaad farmaaya: Tum mein behtareen woh hai jo Qur'aan seekhe aur [Bukhaari: 5027, Usman t] sikhaaye. Ek Hadees mein hai ke Aap r ne Hazrat Abu Zar t se farmaaya ke aye Abu Zar! Tum subah ja kar Qur'aane Kareem ki ek aayat seekh lo yeh tumhaare liye 100 rakat padhne se afzal hai aur tum subah ja kar ilm ka ek mazmoon seekh lo yeh tumhaare liye 1000 rakat padhne se afzal hai. [Ibne Maajah: 219, Abu Zar t] Number 8 Islam ko zinda karne ke maqsad se ilme Deen haasil karna chaahiye: Ilme Deen ek roshni hai, jis se insaan bhalaai aur buraai ki tameez karta hai, haq aur baatil ko pehchaanta hai aur is roshni mein insaan seedhe raaste par chalta hai, is liye ilme Deen ko isi maqsad se haasil karna chaahiye, yaani niyyat yeh honi chaahiye ke is ilm ko haasil kar ke ek paakeeza zindagi guzaarenge, haq ke raaste par chalenge aur baatil se door rahenge, aur is ilm ki roshni mein doosron ko rehnumaai karenge, aur un ke zariye apne Khaaliq ko raazi aur khsuh karne ki koshish karenge. Rasoolullah r ne farmaaya: Jis shakhs ko is haal mein maut aa jaaye ke woh ilm haasil kar raha ho aur is se us ka maqsad Islam ko zinda karna ho, to Jannat mein us ke aur Ambiya ke darmiyaan sirf ek darje ka farq hoga. [Sunane Daarmi: 362, Hasan t] Abu Daaood Shareef ki ek riwaayt hai: Rasoolullah r ne farmaaya: Woh ilm jis se Allah Ta'ala ki razamandi chaahi jaati hai, agar us ko koi duniya ki daulat kamaane ke liye haasil karega to woh qayaamat mein Jannat ki khushbu se bhi mahroom rahega. [Abu Daaood: 3664, Abu Hurairah t] Aap r ne yeh jo farmaaya ke "Woh ilm jis se Allah ki razaamandi chaahi jaati hai" us se muraad Qur'aan wa Hadees ka ilm hai; kyun ke yahi woh ilm hai jis ko haasil kar ke aur jis par amal kar ke insaan Allah ko raazi kar sakta hai. Number 9 Qur'aan seekhne aur ilme deen haasil karne ke liye maktab behtareen zariya hai: Oopar di gayi ahaadees mein qur'aan seekhne aur ilme deen haasil karne ki fazeelat bayaan ki gayi, is fazeealt ko haasil karne ke liye maktab behtareen zariya hai, maktab ke zariye bachchon ke deen wa imaan ki hifaazat hoti hai, maktab mein unhein achchhe akhlaaq ki taaleem di jaati hai aur islaami tahzeeb aur saleeqa mandi sikhaayi jaati hai, agar maktab nahein hoga, to bachche qur'aan seekhne aur ilme deen se mahroom reh jaayeinge aur qayaamat ke din ham se us ke baare mein poochha jaayega, lihaaza hamaari zimmedaari hai ke ham maktab qaaim karein aur us mein apne bachcon ko qur'aan aur ilme deen sikhaayein. Number 10 Maktab shuru karne ke baad use munazzam tareeqe se chalaayein: Ilaaqe ke fikr mand hazraat ka yeh kaam hai ke woh maktab shuru hone ke baad use munazzam tareeqe se chalaayein, us ki wajah se bachche saheeh tareeqe se taaleem haasil kar sakeinge, tajweed ke saath qur'aan padhna seekheinge aur deen ki bahot saari baatein bhi jaan leinge, agar munazzam tareeqe se maktab nahein chalaaya gaya, to is se bachchon ko khaatir khwaah faaida nahein hoga, un ka qur'aan bhi saheeh na hoga aur woh deen ki baatein bhi mukammal taur par nahein seekh sakeinge, jis ki wajah se un ke seekhne ki zindagi ka yeh qeemati waqt zaaye ho jaayega, is liye fikr mand hazraat maktab ko saheeh dhang se chalaayein aur bachchon ke in qeemati auqaat ka saheeh istemaal karein. Qur’aan wa Hadees ki roshni mein diye gaye khutbe ka khulaasa Aaj ke is khutbe se pehli baat hamein yeh maaloom huwi ke Allah Ta'ala ko raazi aur khush karne ki buniyaad hi ilme deen par hai. Doosra paigaam yeh mila ke ilme Deen haasil karna har musalmaan mard wa aurat par farz hai. Teesri baat yeh maaloom huwi ke sahaaba-e-kiraam y ilme Deen haasil karne ka bahot ehtimaam karte the. Chauthi baat yeh maaloom huwi ke ummat par 2 zimmedaariyaan hain: Khud ilme Deen seekhna aur doosron ko bhi sikhaana. Paanchween baat yeh maaloom huwi ke jo ilme Deen jaante hain aur jo nahin jaante baraabar nahin ho sakte. Chhati baat taalibe ilm ki fazeelat ke baare mein yeh maaloom huwi ke farishte us ke liye apne paron ko bichha dete hain. Saatwein baat yeh maaloom huwi ke behtareen insaan woh hai jo Qur'aan seekhe aur sikhaaye. Aathhwaan ahem paigaam yeh mila ke Islam ko zinda karne ke maqsad se ilme Deen haasil karna chaahiye. Naween baat yeh maaloom huwi ke qur'aan seekhne aur ilme deen ke haasil karne ka behtareen zariya maktab hai. Dasween baat yeh maaloom huwi ke maktab shuru hone ke baad use munazzam tareeqe se chalaana zaroori hai, warna bachchon ko khaatir khwaah faaida nahein hoga. Bahar haal ilme deen se mutaalliq ek momin ki kayi zimmedaariyaan hain. (1) Ilme deen seekhna (2) Saheeh niyyat se (Allah ki raza ke liye) seekhna (3) Khud amal karna (4) Doosron ko sikhaana (5) Saheeh niyyat se (Allah ki raza ke liye) sikhaana. Bade khushnaseeb aur bade maqaam wa martaba waale hain woh log jo ilme Deen ke in tamaam taqaazon ko poora karte hain aur is ke huqooq wa aadaab ki poori riaayat karte hain. Lihaaza hamein chaahiye ke ham apne mohallon aur apni masjidon mein bachchon ke saath saath baaligaan ke liye bhi Munazzam Makaatib qaaim karein aur buniyaadi ilme Deen haasil karein. Lihaaza aaj ke is khutbe mein ilm ki ahmiyat aur fazeelat ke mut'alliq jo baatein Qur'aan wa Hadees ki roshni mein bayaan ki gayi hain, ham in ko apne saamne rakhein aur hamesha in ke mutaabiq amal karne ki koshish karein. Allah Ta'ala se dua karte rahein ke woh hamein zaroori buniyaadi ilm haasil karne ki taufeeq ata farmaaye aur hamaari khidmaat ko qubool farmaaye. (Aameen) 2 Deeni Taaleem aur Makaatib Deeni taaleem hamaari buniyaadi zaroorat hai, is ko haasil kiye bagair ham Islami tareeqe ke mutaabiq zindagi nahin guzaar sakte; kyun ke hamaari rohaani zindagi nek amal par qaaim hai aur bagair ilme Deen ke nek amal naamumkin hai, ilme Deen ki isi ahmiyat ki wajah se jab Aap r par pehli wahi naazil huwi, to us mein padhne padhaane aur qalam ka tazkira kiya gaya, jo husoole ilm ka ek ahem zariya hai. Balke Aap r ki besat ka ek azeem maqsad aur Aap ki zimmedaariyon mein se ek ahem tareen zimmedaari kitaab wa hikmat ki taaleem qaraar di gayi. Qur'aane Kareem mein Allah Ta'ala ka irshaad hai: Wahi (Allah) hai jis ne anpadh logon mein unhi mein se ek Rasool bheja, jo un ke saamne is (Qur'aane Kareem) ki aayaton ki tilaawat karein aur unhein kitaab wa hikmat ki taaleem dein. [Sura-e-Juma : 2] Number 1 Masjid mein ja kar ilme Deen haasil karne se mukammal haj ka sawaab: Shuru Islam mein taaleem aam taur par masjid mein huwa karti thi, log masjid mein jama hote aur padhaane waale un ko Qur'aane Kareem, Masaail wa Ahkaam wagaira ki taaleem diya karte the, Aap r logon ko taaleem ki garaz se masjid aane ki targeeb bhi dete aur is ki fazeelat bhi bataate the. Ek Hadees mein Aap r ne irshaad farmaaya: Jo aadmi masjid aaye aur us ka iraada sirf kisi bhi bhali baat ko seekhna ya sikhaana ho, to us ko aise haaji ka sawaab milega, jis ka haj kaamil wa mukammal ho. [Tabraani Kabeer: 7473, Abu Umaama t] Number 2 Qur'aane Kareem padhne padhaane waalon par Allah ki rahmat barasti hai: Sahi Muslim ki riwaayat hai: Aap r farmaate hain: Jo log bhi Allah ke gharon mein se kisi ghar mein jama ho kar Qur'aan ki tilaawat karte hain aur us ka daur karte hain, to un par sakeena naazil hoti hai, Allah ki rahmat un ko dhaanp leti hai aur farishte un ko gher lete hain aur Allah Ta'ala farishton ki majlis mein un ka tazkira farmaate hain. [Muslim: 7028, Abu Hurairah t] Shaariheene Hadees ne likha hai ke "Allah ke gharon mein se kisi ghar" se muraad har woh jagah hai jis ko Allah ki raza haasil karne aur sawaab ki niyyat se banaaya jaaye, jaise masjid, madrasa wagaira. [Mirqaatul Mafaateeh: 2/104] Number 3 Ilme Deen ke silsile mein Sahaaba-e-Kiraam y ka be-intiha shauq: Huzoor r ne Deeni taaleem haasil karne ki aisi fiza aur aisa maahol banaaya tha ke har shakhs is ko haasil karne ki dhun mein laga rehta, kisi ko yeh gawaara na tha ke woh Aap r ki majlis se gair haazir rahe, taake ilm ka koi hissa reh na jaaye, agar koi rozaana haazir nahin reh paata, to 2 aadmi mil kar baari muqarrar kar lete. Bukhari Shareef ki riwaayat hai ke Hazrat Umar t farmaate hain ke: Main aur mera Ansaar padosi donon Madeenah ke qareeb hi ek gaaon Banu Umaiya bin Zaid mein rehte the, ham donon baari baari Rasoolullah r ki khidmat mein haazir hote the. Ek din woh aata aur ek din main aata. Jis din main aata, to us din ki wahi ki aur doosri baaton ki us ko ittila deta tha, aur jab woh aata, to woh bhi isi tarah karta. [Bukhari: 89, Abdullah bin Abbaas Number 4 ] Masjide Nabawi mein seekhne sikhaane ka nazm: Masjide Nabawi sirf ibaadat ki jagah hi nahin thi; balke taaleem wa ta'allum yaani seekhne sikhaane ki ek darsgaah bhi thi, jis mein log jama hote aur Deen ki baatein ek doosre se seekha karte, Hazrat Abdullah bin Amr farmaate hain ke masjide Nabawi mein 2 majlisein lagi huwi theen, Aap r ka guzar un donon majlison ke paas se huwa to Aap ne irshaad farmaaya ke donon majlisein achchhi hain, albatta un mein se ek ka darja doosre se badha huwa hai. Phir Aap ne (ek majlis ki taraf ishaara karte huwe) farmaaya: Yeh log duaaon mein lage huwe hain, aur Allah ki taraf mutawajjah hain, Allah chaahenge, to ata krenge aur chaahenge, to nahin denge, aur (doosri majlis ki taraf ishaara karte huwe) irshaad farmaaya: Yeh log Deen ki samajh haasil karne aur ilme Deen seekhne mein lage huwe hain aur na jaanne waalon ko sikhaane mein mashgool hain, lihaaza in ka darja badha huwa hai, aur main to muallim hi bana kar bhejha gaya hoon, phir Aap un hi (seekhne sikhaane waalon) mein baith gaye. [Sunane Daarmi: 357] Number 5 Suffa ilme Deen haasil karne waalon ki darsgaah thi: Suffa Masjide Nabawi mein ek chabootra tha, jahaan kuchh Sahaaba-e-Kiraam y duniyawi jhamelon se alag ho kar har waqt ilme Deen haasil karne mein lage rahte, un mein har umar ke log huwa karte the, unhin mein Hazrat Abu Hurairah t bhi the, jin ka poori ummat par bada ehsaan hai, sab se ziyaada Hadeesein unhin se manqool hain, woh khud farmaate hain ke main ek miskeen shakhs tha, Rasoolullah r ki khidmat karta tha, Aap hi ke ghar se kuchh khaane ko mil jaata tha, hijrat karne waale sahaaba tijaarat mein mashgool rehte aur Ansaar Sahaaba apne baagaat mein (isi wajah se mujhe Aap r ki hadeesein sunne aur yaad karne ka ziyaada mauqa mila) . [Muslim: 6552] In Ashaab-e-Suffa mein kuchh to woh log the, jin ka qayaam wahin rehta aur kuchh woh log the jo baahar se ilm haasil karne aaya karte the, kabhi kabhi sab ki majmooi taadaad 400 tak ho jaaya karti thi. [Ahde Nabawi mein Nizaame Taaleem: 53,54, Mulakhkhasan] Number 6 Islami daur mein Makaatib ka Nizaam: Madeenah Munawwarah mein Huzoor r ki aamad se pehle hi 3 darsgaahein qaaim theen, pehli darsgaah beech shahar mein Masjide Bani Zuraiq mein thi, jis mein Hazrat Raafe' bin Maalik t taaleem diya karte the, doosri darsgaah Masjide Quba mein thi, jis mein Hazrat Saalim t imaamat ke saath logon ko ilme Deen sikhaaya karte the aur teesri darsgaah Asa’d bin Zuraara ke makaan mein thi, jis mein Hazrat Mus’ab bin Umair t taaleem diya karte the, jab Aap r Madeenah Munawwarah tashreef laaye aur Masjide Nabawi ki taameer farmaayi, to yeh Deeni taaleem ka ek markaz ban gayi, aur aage chal kar yeh silsila badhta hi chala gaya, Ulama-e-Kiraam ne likha hai ke Madeenah Munawwarah ke 9 masaajid ke aas paas bachchon ke liye taaleemi darsgaahein theen, jin mein Qur'aane Kareem ki taaleem ke saath likhne ki mashq bhi karaai jaati thi. [Ahde Nabawi mein Nizaame Taaleem: 79] Allaama Ibne Hazm u ne likha hai ke Rasoolullah r is duniya se chale gaye, aur poore Jazeeratul Arab mein Islam phail gaya, is Jazeere mein beshumaar gaaon aur shahar (city) the, wahaan ke tamaam logon ne Islam qabool kiya aur masjidein banaayeen, is Jazeere ke har shahar, har gaaon aur har dehaat mein Qur'aane Kareem ko namaazon mein padha jaata, aur mard wa aurtein aur bachche Qur'aan padhna seekhte the, phir Hazrat Abu Bakr t ka intiqaal huwa aur Hazrat Umar t musalmaanon ke doosre khaleefa bane, aap ke zamaane mein Faaras, Shaam, Jazeera aur Misr ke ilaaqe fatah huwe, un tamaam ilaaqon ke shahar mein masjidein banaai gayeen, Qur'aane Kareem ko likha gaya, imaamon ne us ko padha aur bachche har jagah Makaatib mein us ko padhna seekhte the. [Al-Inaayah bil Qur'aanil Kareem wa Uloomihi: 1/4] Number 7 Bachchon ki taaleem wa tarbiyat: Aap r ne bachchon ki taaleem wa tarbiyat par bharpoor tawajjoh farmaayi, chunaanche jab Badr ke qaidi Madeenah Munawwarah laaye gaye, jism mein se baaz ke paas fidya mein dene ke liye kuchh na tha, to Aap ne un se kaha ke jo tum mein likhna jaanta ho, woh fidya ke taur par Ansaar ke 10 bachchon ko likhna sikha de, is ke baad use chhod diya jaayega. [Tabaqaat Ibne Saad: 2/22] Sahaaba-e-Kiraam y apne bachchon ki taaleem wa tarbiya ki khaatir bahot fikrmand rahte aur is ke liye un ko naseehat karte rehte, ek martaba Hazrat Urwa bin Zubair t ne apne bachchon ko naseehat farmaayi ke tum ilm haasil karo, agar aaj qaum mein sab se chhote ho, to kal doosre logon mein ilm ki barkat se bade ban jaaoge. [Uyoonul Akhyaar: 3/302] Khud Aap r mauqa ba-mauqa bachchon ko Deen ki baatein sikhaate rehte, Bukhari Shareef ki riwaayat hai ke ek martaba bachpan mein Hazrat Umar bin Abi Salma t Huzoor r ke saath khaana kha rahe the, un ke khaane ka tareeqa sunnat ke khilaaf tha, Aap r ne un ko naseehat karte huwe farmaaya: Aye ladke! Allah ka naam le kar khaao, apne daahine haath se khaao aur apne saamne se khaao. [Bukhari: 5376, Abu Hurairah t ] Number 8 Aap r ko aurton ki taaleem ka bahot khayaal tha: Aap r aurton ki taaleem ka khusoosi ehtimaam farmaate the, ek martaba eid ke mauqa par Aap r ne logon ko waaz wa naseehat farmaayi, isi mauqe par kuchh aurtein bhi theen, jo mardon se peechhe theen, "Aap r ko mehsoos huwa ke meri aawaaz aurton tak nahin pahonch rahi hai, to Aap r Hazrat Bilaal t ke saath nikle aur un aurton ke qareeb gaye aur un ko waaz wa naseehat farmaayi aur sadqa karne ki targeeb di". [Bukhari: 98, Ibne Abbaas ] Number 9 Aurton ki taaleem ke liye Aap r ne ek din mutaiyan farma diya tha: Huzoor r ke zamaane mein khud aurton ke andar bhi Deen ki baatein seekhne ka bahot shauq aur jazba tha; chunaanche Bukhari Shareef ki riwaayat hai ke ek martaba ek khaatoon Huzoor r ki khidmat mein haazir huween aur kahne lageen: Ya Rasoolallah! Mard hazraat Deen ki baatein seekhne mein aage badh gaye, (kyun ke woh to har waqt Aap ki khidmat mein haazir rehte hain aur Deen ki baatein seekhte hain; lekin ham aurton ko to aisa mauqa nahin milta) is liye hamaare liye bhi koi ek din muqarrar farma dijiye jis mein ham log Aap ke paas aayein aur Aap hamein woh baatein sikhaayein, jo Allah ne Aap ko bataai hain, Aap r ne farmaaya: Tum log falaan falaan din falaan falaan jagah mein aa jaaya karo; chunaanche arutein ek jagah jama ho jaati theen, aur Aap un ke paas ja kar un ko woh baatein bataate, jo Allah ne Aap ko bataayi thein. (Deen ki baatein bataate the). [Bukhari: 7310, Abu Saeed t] Islam sirf aazaad aur shareef gharaanon ki aurton ki taaleem-o-tarbiyat hi par zor nahin deta; balke woh ghar mein kaam karne waali khaadimaaon aur baandiyon ki taaleem-o-tarbiyat aur un ki haisiyat buland karne ko ahmiyat deta hai. Ek Hadees mein Allah ke Rasool r ne irshaad farmaaya: 3 Aadmi ke liye dohra ajr-o-sawaab hai, ek woh aadmi jo pehle se kisi aasmaani kitaab par Imaan rakhta ho aur woh phir Hazrat Muhammad r par bhi Imaan laaye, doosra woh gulaam jo Allah ka haq bhi ada kare aur apne maalik ka bhi haq ada kare aur teesra woh aadmi jis ke paas baandi ho aur woh us ki tarbiyat kare aur achchhi tarbiyat kare aur us ko taaleem de aur achchhi taaleem de, phir us ko aazaad kar ke us ke saath nikaah kar le, to us ke liye dohra ajr hai. [Bukhari: 97, Abu Barda t] Number10 Islam ghar ki khaadima ki taaleem-o-tarbiyat ki bhi targeeb deta hai: Oopar di gayi hadeeson se maaloom huwa ke taaleem wa tarbiyat ki islaam mein bahot ehmiyat hai, lihaaza ilaaqe ke fikr mand hazraat ko chaahiye ke munazzam makaatib qaaim karne ke liye 4 cheezon ka hona zaroori hai : 1) Nizaam 2) Nisaab 3) Tareeqa e Taaleem 4) Nigraani yaani bachchon aur badon ke liye munazzam makaatib qaaim karein, maktab aisa ho ke us mein qur'aan tajweed ke saath sikhaaya jaata ho, behtareen taaleem di jaati ho aur umda tarbiyat ki jaati ho, maktab ka maahaul bhi saaf suthra ho, is ke liye munaasib intizaamaat kiye gaye hoon, bachchon ki taaleemi wa akhlaaqi taraqqi ke liye intizaamiya, asaatiza aur waalidain ke darmiyaan raabta ho aur saal bhar taalibe ilm ki deeni wa akhlaaqi taraqqi ke liye koshishein ki jaati hoon aur maktab mein jahaan nau umar bachchon ki taaleem wa tarbiyat ka nazm ho, wahein mardon ke liye un ki sahoolat ke auqaat mein aur khawaateen ke liye shareeat ke daaire mein reh kar taaleem ka nazm ho, maktab ke munazzam hone par bachche, mard aur aurtein sabhi is mein aakar taaleem haasil kareinge. Haqeeqat yeh hai ke ilme Deen ham musalmaano ke liye qeemti sarmaaya hai, jis se duniya wa aakhirat ki kaamiyaabi milti hai; is liye woh jab mile, jahaan se mile aur jis qadar mile us ko haasil kar lena chaahiye. Qur’aan wa Hadees ki roshni mein diye gaye khutbe ka khulaasa Aaj ke khutbe mein sab se pehli baat yeh bataayi gayi ke masjid mein ja kar ilme Deen haasil karne se ek kaamil haj ka sawaab milta hai. Doosri baat yeh bataayi gayi ke jo log ek jagah jama ho kar Qur'aan padhte hain, to un par Allah ki rahmat utarti hai aur farishte un ko gher lete hain. Teesra paigaam yeh mila ke Sahaaba-e-Kiraam y mein jo Sahaabi rozaana Aap r ki majlis mein haazir nahin ho sakte the, to woh kisi ke saath baari muqarrar kar lete the, taake koi baat choot na jaaye. Chauthi baat yeh maaloom huwi ke Masjide Nabawi mein jahaan ibaadat aur duaaein huwa karti theen, wahin us mein seekhne aur sikhaane ka nazm bhi tha. Paanchween baat yeh bataayi gayi ke Masjide Nabawi mein Suffa naam ka ek chabootra tha, jis mein kuchh Sahaaba y duniyawi jhamelon se alag ho kar har waqt ilme Deen seekhne mein mashgool rehte the. Chhata paigaam yeh mila ke Madeenah mein Aap r ki aamad se pehle ilmi darsgaahein qaaim theen, baad mein yeh mazeed phailti chali gayeen. Saatween baat yeh bataayi gayi ke Aap r aur Sahaaba-e-Kiraam y bachchon ki taaleem wa tarbiyat ka bahot khayaal rakhte the. Aathhween baat yeh bataayi gayi ke Aap r ko aurton ki taaleem wa tarbiyat ki bhi badi fikr rehti thi. Naween baat yeh bataayi gayi ke Aap r ne aurton ki taaleem ki ahmiyat ke peshe nazar un ko sikhaane ke liye ek din muqarrar kar diya tha aur Aap r ne aazaad aur shareef aurton ke alaawa ghar ki khaadimaaon ki taaleem wa tarbiyat ki bhi targeeb di hai aur us ki fazeelat bayaan farmaayi. Daswaan ahem paigaam yeh diya gaya ke islaam mein taaleem wa tarbiyat ki ehmiyat ke peshe nazar ilaaqe ke fikr mand hazraat ko munazzam makaatib qaaim karne chaahiye, jin mein bachchon, mardon aur aurton ki taaleem ka nazm ho. Lihaaza aaj ke is khutbe mein Deeni taaleem ki zaroorat aur makaatib ke qayaam ke silsile mein jo baatein Qur'aan wa Hadees ki roshni mein bayaan ki gayi hain, ham in ko apne saamne rakhein aur in par amal karne ki koshish karein. Allah hamein in baaton par amal karne ki taufeeq ata farmaaye aur hamaari khidmaat ko qubool farmaaye. (Aameen) 3 Deeniyat nisaab ki khusoosiyaat Guzishta 2 juma mein aap hazraat ke saamne ilme deen ki ehmiyat wa zaroorat aur munazzam maktab ke fawaaid par roshni daali gayi thi aur bataaya gaya tha ke munazzam makaatib qaaim karne ke liye 4 cheezon ka hona zaroori hai. 1) Nizaam 2) Nisaab 3) Tareeqa e Taaleem 4) Nigraani aaj aap hazraat ke saamne maktab mein padhaaye jaane waale nisaab ke baare mein tafseel se bataaya jaayega, nisaab har taaleemi mein reedh ki haisiyat rakhta hai, us ke bagair koi bhi taaleemi idara qaaim nahein reh sakta, nisaab ki isi ehmiyat ke peshe nazar idara e deeniyat ne 15 saal par mushtamil ek nisaab tayyaar kiya hai. 1) Deeniyat nisaab ki khusoosiyaat : Deeniyat nisaab zarooriyaate deen par mushtamil hai, is mein haalaat wa taqaazon ko peshe nazar rakh kar mawaad ka intikhaab kiya gaya hai, is nisaab ko ulama-e-kiraam ki ek jamaat ne mukhtalif nisaabon aur akaabir ki muta'addad kitaabon ke mutaale aur un se mawaad lene ke baad buzurgaane deen aur asaatiza-e-kiraam ke mashware se tayyaar kiya gaya hai. Nisaab mein saheeh aur mustanad baaton ko musbat andaaz mein pesh kiya gaya hai. Nisaab ke tamaam mawaad ko qur'aan wa hadees aur mo'tabar kitaabon ke hawaalon ke saath pesh kiya gaya hai. Bachchon ki umr ka lihaaz karte hwe mawaad ko bahot aasaan aur dilchasp andaaz mein pesh karne ka ehtimaam kiya gaya hai. Deeniyat nisaab mein taaleem ke saath saath tarbiyat ka bhi khaas khayaal rakha gaya hai; taake talaba bachpan hi se Aap r ki sunnaton ke aadi ho jaayein. Deeni taaleem haasil karne mein zabaan rukaawat na ho aur ziyaada se ziyaada log nisaab se faaida utha sakein; is maqsad se nisaab ka mukhtalif zabaanon jaise : English, Hindi, Gujrati, Malayalam, Tamil, Telugu, Bangla, Manipuri, Aasaami, Swahili, Arabic, aur brail wagaira mein tarjama kiya gaya hai. 2) Deeniyat nisaab ka ta'aruf :Bachchon ke is 15 saala nisaab ko 3 hisson mein taqseem kiya gaya hai : 5 saala ibtidaayi (primar) 5 saala saanwi (secondary) aur 5 saala izaafi (advance). In tamaam saalon mein taalibe ilm 5 buniyaadi anaaween; 1) Qur'aan 2) Hadees 3) Aqaaid wa Masaail 4) Islaami tarbiyat 5) Zabaan. Ke tahat mukhtalif mazaameen padhega. Ibtidaayi nisaab mein 5 buniyaadi anaaween ke tahat 14 zaili mazaameen hain. Qur'aan ke tahat 2 zaili mazmoon hain : 1) Nooraani qaaida aur naazra-e-qur'aan 2) Hifze soorah. Qur'aane kareem ko sihate huroof aur tajweed se padhna zaroori hai, warna basa auqaat namaaz faasid ho jaati hai, chunaanche qur'aane kareem ko saheeh adaaigi ke saath padhna sikhaane ke liye noraani qaaida diya gaya hai, jo ek saal aur aath maah (1.8 month) mein mukammal hoga aur naazira-e-qur'aan teen saal aur do maah (3.2 saal) mein mukammal hoga. Namaaz mein qur'aane kareem padhna farz hai, is liye hifze soorah ka mazmoon diya gaya hai, in 5 saalon mien taalibe ilm sura e faatiha, sura e zuha se sura e naas tak 21 sooratein aur aayatul kursi zabaani yaad kar lega. Hadees ke tahat 2 zaili mazmoon hain : (1) Dua wa sunnat (2) Hifze hadees. Huzoor r ke tareeqon aur sunnaton ke mutaabiq zindagi guzaarne mein har insaan ki kaamiyaabi hai, isi liye roz marra pesh aane waale aamaal ki duaaein aur sunnatein di gayi hain, in 5 saalon mein taalibe ilm dua wa sunnat ke tahat 38 aamaal ki duaaein aur 13 aamaal ki sunnatein seekh lega. 40 Hadeesein yaad karne par Huzoor r ne Jannat ki bashaarat di hai, is fazeelat ko haasil karne ke liye hifze hadees ke tahat chhooti aur aasaan 40 ahaadees di gayi hain. Aqaaid wa Masaail ke tahat 4 zaili mazaameen hain : 1) Aqaaid 2) Namaaz 3) Asma e husna 4) Masaail. Aqeeda deene islaam ki buniyaad hai aur aamaal usi waqt maqbool honge, jab ke aqaaid durust hoon, isi liye aqaaid ke tahat islaam ke 5 kalime aur imaane mufassal mein aayi huwi baatein sawaal wa jawaab ke andaaz mein di gayi hain. Namaaz ka islaam mein bahot bada darja hai, is ke bagair deen naamukammal hai, lihaaza ibtida hi se wuzu aur namaaz sikhaane ke saath saath un ki amali mashq bhi karaayi gayi hai, namaaz ke tahat mukammal namaaz aur us ki duaaein aur mazeed 6 namaazon jaise : witr ki namaaz, beemaar ki namaaz, namaaze juma, musaafir ki namaaz wagaira ke padhne padhaane ka tareeqa diya gaya hai. Allah Ta'ala ke sifaati naamon mein zabardast taaqat wa taasir hai aur un ko yaad karne par hadees mein jannat ki bashaarat bhi di gayi hai, is liye in 5 saalon mein bachchon ko Allah Ta'ala ke 99 sifaati naam yaad karwaaye jaayeinge. Zindagi ko shareeat ke mutaabiq guzaarne ke liye masaail ka jaanna bahot zaroori hai, masaail ke zariye hi amal ka saheeh aur galat hona maaloom hota hai, is liye in 5 saalon mein bachcha masaail ke tahat namaaz aur tahaarat ke zaroori masaail aur namaaz ke faraaiz wa waajibaat seekh lega aur usi ke saath saath zakaat, roza aur haj ke mukhtasar taaruf se bhi waaqif ho jaayega. Islaami tarbiyat ke tahat 4 zaili mazaameen hain : 1) Islaami maaloomaat 2) Bayaan wa dua 3) Seerat 4) Aasaan deen. Islaami maaloomaat ke tahat bachchon ki maaloomaat mein izaafe ke liye in 5 saalon mein islaam, islaami shakhsiyaat aur islaami maqaamaat se mutaalliq 110 sawaalaat wa jawaabaat diye gaye hain. Bachche bachpan hi se deen ki baatein logon tak pahonchaayein aur un ke saamne bila jhijhak bayaan kar sakein, is garz se in 5 saalon mein mukhtasar aur aasaan 5 bayaanaat diye gaye hain aur bachchon ke andar Allah Ta'ala se maangne ki aadat daalne ke liye har bayaan ke baad ek qur'aani dua bhi di gayi hai. Seerat padhne se bachchon ke andar Rasoolullah r se muhabbat aur aap ke paakeeza tareeqe ke mutaabiq zindagi guzaarne ka shauq wa jazba paida hoga, isi garz se in 5 saalon mien Huzoor aur khulfa e raashideen ki seerat bachchon ke andaaz mein di gayi hai. Aasaan deen ke tahat hifze hadees mein di huwi ahaadees ko saamne rakh kar deen ke mash'hoor 5 sho'be : Imaaniyaat, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat par bachchon ki deeni wa akhlaaqi tarbiyat ke liye aasaan andaaz mein 40 asbaaq diye gaye hain. Zabaan ke tahat 2 zaili mazmoon hain : 1) Arabi 2) Urdu Qur'aan wa hadees ki zabaan arabi hai, Huzoor r aur jannat ki zabaan arabi hai, is liye bachchon ke andar arabi zabaan se dilchaspi paida karne ke liye in 5 saalon mein arabi ke tahat ginti, roz marra istemaal hone waali cheezon ke naam, islaami maheenon, dinon aur jism ke a'aza ke naam diye gaye hain. Hamaare akaabir ki aksar kitaabein urdu zabaan mein hain, un se bharpoor faaida uthaane ke liye urdu zabaan ka seekhna zaroori hai, isi garz se urdu zabaan di gayi hai, in 5 saalon mien bachhca alif , ba, ta se lekar urdu likhna padhna seekh jaayega. Yeh to tha 5 saala ibtidaai nisaab ka taaruf, chun ke bachchon ne ilme deen ki ibtidaayi maaloomaat haasil kar li, ab school ki taaleem ke saath mazeed ilme deen sikhaane ke liye idara e deeniyat ne 5 saala ibtidaai nisaab ki tarah 5 saala saanwi nisaab aur 5 saala izaafi nisaab bhi tayyaar kiya hai, jise padh kar taalibe ilm qur'aane kareem ki kuchh sooraton ki mukhtasar tafseer wa paigaam, zindagi guzaarne ke aadaab, fazeelaton ki roshni mein duaaein, kuchh ahaadees ki tashreehaat, islaami aqaaid, mukhtalif namaazon ke tareeqe aur apni zindagi mein pesh aane waale zaroori ahkaam wa masaail se waaqif ho jaayega aur hamaare Nabi r ki seerat, khulafa e raashideen, sahaaba e kiraam, sahaabiyaat y aur taabein wa taabi'aat u aur akhaabir wa auliya ki zindagi ke haalaat un ke deeni, hukumati, samaaji aur tamadduni kaarnaame aur deen ke mash'hoor 5 sho'bon : Imaaniyaat, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat se mutaalliq qar'aan wa hadees ki roshni mein islaahi wa tarbiyati mazaameen padh kar ek behtareen insaan aur achchha muslamaan ban kar zindagi guzaarega aur arabi zabaan bhi bolna, likhna aur padhna seekh lega. Jab yeh nisaab behtareen nizaam, umda tareeqa e taaleem aur mukammal nigraani ke saath padhaaya jaayega, to is se bachchon ko taaleemi faaida hone ke saath saath maktab ka me'yaar bhi buland hoga. Allah Ta'ala hamein jagah jagah munazzam makaatib qaaim karne ki taufeeq ata farmaaye aur deeni khidmaat ke liye qabool farmaaye. (Aameen)
Similar documents
Tareeqa-e-taaleem
Fees ke column se yeh baat saamne rahegi ke taalibe ilm ne fees ada ki hai ya nahin? is se maktab ke intizaami umoor mein madad milegi. Note : Gair haazir talba ke asbaaq ki kamzoori is tarah door ...
More information(Musalmaanon) Tum woh behtareen ummat ho jo logon
kar raha hai aur maktab ka ek mukammal aur mufeed nizaam banaane ki koshish kar raha hai, aur Allah ke fazl wa karam se jahaan jahaan saheeh tarteeb ke saath makaatib shuru kiye gaye hain, wahaan b...
More information