JUZ 1 - Darul Arqam

Transcription

JUZ 1 - Darul Arqam
JUZ 1
OBJECTIVE OF THE COURSE-TO UNDERSTAND QURAN
 WHY IS THIS COURSE CALLED AS JAWAHIR PROG
TRANSLATION FOLLOWED –ROMAN ENGLISH WORD TO WORD BY THE TEAM OF DARUL ARQAM
How To Follow The Notes?
Question And Answer Session At The End Of The Class Inshallah
TESTS AND CERTIFICATION
6 TESTS- EACH COVERING 5 JUZ (PARAH)
ALL TESTS ONLINE (TIME BASED)
OPEN BOOK EXAM
80% PASS MARKS
CERTIFICATION BY THE END OF THE COURSE
EXAM FEE- SR 50 / RS 800 (TO BE PAID THROUGH OUR VOLUNTEERS OR REPRESENTATIVES)
FOR ONLINE TRANSFER OR BANK DEPOSITS
FOR DETAILS WHATSAPP ME ON -00919705106472
Qur’an ki Ehmiyat
1.
2.
3.
4.
5.
6.
Nazil karne wale rab kaun hai?
Kaunse rasool par naazil hui?
Laane wale farishte kaun hai?
Naazil hone wali raat?
Kaunsi ummat ke liye nazil hui?
Kaunse shehar me nazil hui
Quran ka haq ada karne ke liye




Sahi padhna
Samajhna
Amal karna
Doosro tak pahunchana
Misaalein Munafiqeen Ki
1-Aitakaadi Munafiqeen- Muhammad S.A.W Ke Aane Se Pehle Shirk, Kufr Ke
Andhero Me The. Jab Aap Aaye To Mahol Raushan Hua, Lekin Unke Andar Ka Jo
Noor Hai Wo Bujh Gaya. (Haq Se) Goonge, Behre Aur Andhe Hai Aur Hidayat Ki
Taraf Palatna Unka Mushkil Hai
2.Amali Munafiqeen- Iman Ki Barish Ke Saath , Usme Azmayasho Ke Andhere,
Bijli Aur Kadak Hoti Hai. Jab Koi Zaati Fayda Islam Me Dihkta To Iman Walo Ke
Saath Ho Jaate, Jab Koi Nuksaan Dikhta Aage Nahi Badhte. Allah Chahe To Inki
Dekhne Aur Sunne (Haq Aur Hidayat) Ki Salahiyat Le Le, Lekin Allah Ne Inko
Mauka Diya Hai.
IBRAHEEM (as)
ISHAQ (as)(Falasteen)
YAKOOB
12 Bete Jinse 12 Qaum
Ismaeel (as)(Makkah)
Ayat 40-124 Bani Israel Ka Zikr Hai
Bani Israel Kaun Hai?
•Bani Yaane Bete
•Israel Yakoob A.S Ka Laqab Hai
•Yakoob A.S Ibraheem A.S Ke Bete The
Ye 12 Beto Ki Naslo Ko Bani Israel Kehte Hai
12 Me Se 1 Yusuf A.S
•Moosa A.S, Harun A.S Dawood A.S, Suleman A.S, Yahya A.S Zakariya A.S Etc Sab
Bani Israel Me Se Hi The
•Bani Israel Ka Asli Watan Falasteen Tha
•Yusuf A.S Ko Unke Bhaiyo Ne Kuwe Me Pheka, Waha Se Wo Misr Lejaye Gaye,
Jab Wo Misr Me Bada Mukaam Paaye, Apne Bhaiyo Ko Misr Bulaya, Is Tarah Bani
Israel Falasteen Se Misr Gaye.
•Lambe Arse Tak Bani Israel Ka Misr Me Zor Raha, Lekin Dheere Dheere Wo
Kamzor Hue Yaha Tak Ke Firaun Ne Unko Ghulaam Bana Liya Aur Unse Khoob
Mehnat Karwata Aur Zulm Karta
•Firaun Unke Beto Ko Qatl Karta Kyu Ke Kaha Jaata Hai Ke Usne Khaab Me Dekha
Ke Bani Isarel Ke Ek Ladke Ki Wajah Se Uski Saltanat Qatm Hogi.
Isliye Bhi Qatl Karta Taake Unki Poppulation Zyada Na Badhe
•Moosa A.S Bani Israel Ki Aulaado Me Se The Lekin Allah Ne Unhe Bacha Liya
Aur Firaun Ke Ghar Me Wo Parwarish Paaye
•Moosa A.S Ke Zariye Allah Ne Bani Israel Ko Firaun Ke Zulm Se Bachaya, Aur
Firaun Aur Uske Saathiyo Ko Red Sea Me Gharkh Kardiya
•Firaun Ke Gharkh Hone Ke Baad, Bani Israel Ko Lekar Moosa A.S Sehraye Seena
(Sinayi Desert) Me Gaye. Waha Unhe Falateen Wapas Haasil Karne Ke Liye Jihad
Ka Hukm Hua.
•Par Bani Israel Waapas Falasteen Me Daakhil Ho Paaye.
•Bani Israel Ne Jihad Se Inkar Kiya To Saza Ke Taur Par 40 Saal Sehraye Seena Me Hi Rahe
•Yahi Sehra Me Unpar Mann Aur Salwa Utarti, Baadalo Ka Saaya Hota Ur Paani Ke 12 Chasme Phoote
•Yahi Par Kohe Toor Par Bula Kar Allah Ne Moosa A.S Ko Tauraat Ata Ki
•Jab Moosa A.S Tauraat Lene Gaye, Us Waqt Bani Israel Ne Bachde Ki Pooja Shuru Kardi.
•Yahi Moosa A.S Aur Harun A.S Ka Inteqaal Hua.
•Moosa A.S Ke Shagird Yoosha Bin Noon Ke Time
Bachde Ki Pooja Ke Baad Unki Maafi Kis Tarah Hui?
3 Tarah Ke Log The
•Bachde Ki Pooja Karne Wale
•khamosh Rehne Wale
•Pooja Se Rokne Wale
Ayah 65-66
Ashabe Sabt Ke Bare Me Hai
•Sabt Yane Saturday
•Ye Log Bani Israel Me Se Hi The
•Samadar Ke Kinare Rehte
•Allah Ne Inhe Hafte Ke Din Sirf Ibadat Me Mashghool Rehne Ka Hukm Diya, Business, Aur
Duniyayi Koi Kaam Me Bhi Unhe Involve Nahi Hona Tha Saturday Wale Din
•Wo Log Machli Pakadne Ka Kaam Karte
•Unlogo Ne Ek Chaal Chali Ki Friday Ke Din Jaal Bicha Dete, Saturday Khud Ba Khud Machliya
Jaal Me Phas Jaati, Sunday Jaal Nikal Lete
•Saza Ki Taur Par Unhe Bandar Banaya Gaya
•Lesson-Deen Me Tricks Aur Hila Saazi Gunah Hai. Ex-Zakat Se Bachne Maal Ko Bacho Me
Taqseem Karna
Yahaa Se Ibraheem A.S Ka Zikr
Ibraheem A.S Ko Kayi Azmayasho Ke Baad Imam Banaya Gaya
Imam ( Yahood , Nasara, Ahlemakkah, Musalman Sab Unko Mante)
Ibraheem A.S Ki Kuch Azmayashein
Buth Parast Walid
Walid Ka Khud Unhe Jalane Laakdiya Dhona
Jila Watan
Kayi Saal Tak Koi Aulaad Nahi
Mushkil Se Hone Wali Aulad Aur Biwi Ko Sehra (Desert ) Me Chodne Ka Hukm
Bete Ko Zubah Karne Ka Hukm Etc
Ayah 74
Is Ayat Me Dilo Ko Patharo Se Compare Kiya Gaya Hai
Logo Ke Dil Pathar Ho Gaye Hai-Jisme Koi Khair Nahi Hai
Kuch Patharo Se Paani Phoot Te Ha—Dilo Me Khair Hoti
Hai
Kuch Shaq Hote Hai , Phir Paani Phoot Ta Hai—Kuch
Haadso Ke Baad Khair Nikalti Hai
Kuch Allah Ke Khauf Se Gir Padte Hai-Allah Ke Dar Se
Sajdah Karte Hai
Ayah 84
Bani Israel Ke 3 Qabeele The
•Banu Nadeer
•Banu Qainaqa
•Banu Quraiza
•Arabo Me Aws Aur Khazraj Ke Beech Dushmani Thi
•Bani Israel Ko Allah Ka Wada Tha Ke Ek Doosre Ka Qatl Nahi Karna Aur Naa Ke Ek Doosre Ko
Gharo Se Aur Watan Se Nikalna
•Lekin Arabo Ki Ladai Ke Dawran Banu Quraiza Ne Aws Ka Saath Diya Aur Banu Nadeer Aur
Banu Qainaqa Ne Qazraj Ka Aur Is Tarah Aapas Me Ek Doosre Ke Qilaf Hue, Qatl Kiye Aur
Gharo Se Nikale
•Lekin Jab Qaidi Bankar Jaate To Bani Israel Apne Logo Ko Fidiya Dekar Chudaate
•Allah Ke Kuch Ehkam Par Amal Kiya Aur Kuch Ko Toda
•Aise Logo Ke Liye Duniya Aur Akhirat Me Ruswayi Hai
•Lesson- Alaah Ke Tamaam Ehkam Par Amal Karna Hai, Sirf Kuch Par Karna Durust Nai
JUZ 2
QATIL :- jisne qatl kiya MAQTOOL:- jo maaragaya.
Yahaan par Qatl ke baare me aaya hai.
Qatil ke saath maqtool ke relatives 3 qisam ka maamla
karsakte hain :- 1.Qatl ke badle Qatl.
2.Qatl ke badle blood money (deeyath).
3.Maaf karsakte hain.
•Hajj Ke 3 Types Hai:-1. Hajj E Tamatto:-qurbani Lazmi,makkah Se Baher Waalo
Ke Liye
2. Hajj E Qiraan:-qurbani Lazmi,ek Hi Ehram Me
Umrah+hajj
3. Hajj E Ifraad:-qurbani Nahi,makkah Waalo Ke Liye.
Hajj Ke Mahine:-shawwal, Zilqada And Zilhajj.
8 Zilhajj
Yamut Tarwiyah
9th Zilhajj
Yamul Arafah
10th Zilhajj
Yaumun Nahr
11,12,13 Zilhajj
Ayyame tashreeq
Talaaq Ka Sahi Tareeka
•Sirf Halate Tohr Me
•1 Waqt Me 1 Talaq
•Iddat Biwi Shohar Ke Ghar Me
•Iddat Ke Dauran Shohar Ko Ruju Ka Haq
•Agar Iddat Ke Dauran Ruju – To Naye Nikah Ki Zaroorat Nahi (Lekin Zindagi Bhar Is Talaq Ka Shumar)
•Agar Iddat Ke Dauran Ruju Nahi To Aurat Azaad (Mazeed Doosri Aur Teesri Talaaq Ki Zaroorat Nahi)
•Agar Iddat Ke Baad Ruju Karna Chaho To Naya Nikah Aur Naya Mehar (Ye 3 Talaq Ke Baad Mumkin Nahi)
•Teesre Talaq Ke Baad Wahi Mard Se Nikah Jayaz Nahi Yaha Tak Ke
•Halaalah Haraam
•Khula
•Aurat Ki Taraf Se Talaq Ki Maang
•Kuch Maal Ka Chodna Ya Wapas Dena
•Shohar Ko Ruju Ka Haq Nahi
Iddat
•Talaaqi Yaafta- 3 Haiz
•Bewa-4 Mahine 10 Din
•Khula-1 Mahina
•Hamela -Till Delivery
•Jisko Haiz Naa Ata Ho-Mahino Ka Hisaab
Kuch Aur Important Points
•Bache Ko Doodh Pilane Wali Maa
•Bache Ko Doosh Pilane Ki Muddat 2 Saal
•Is Dauran Talaaq Ho Jaye To Bache Ke Walid Par Doodh
Pilane Wali Maa Ke Khane Aur Kapde Ki Zimmedari
•Agar Walid Faut Ho Jaye To Waris Par Doodh Pilane Wali
Maa Ka Kharch
•Agar Walid Aur Waldah Apsi Razamandi Se Kisi Aur Se
Doodh Pilwana Chaho To Kar Sakte Hai
•Bewa Ko Iddat Ke Dauran Payghaame Nikah Nahi Bhej
Sakte Hai Lekin Isharatan Izhaar Kar Sakte Hai
•Nikah Ke Baad , Ruksati Se Pehle Talaq Ho Jaye To Aadha
Mehar Dena Hai
JUZ 3
AYATH 255-AYTAL KURSI
• Sabse azeem aur afzal ayath of quran
• Ayaton ki sardar
• Isme Allah ka introduction aur sifaath ka zikr –ism e azaam-al hayyu, al qayyum.
• Allah ke sivay koi ilah nahi
• Hamesha zinda hai
• Hamesha qayam rehnewala hai
• Usko na neendh na oong aathi hai
• Aasaman o zameen sab kuch usi ka hai
• Sifarish sirf uski ijazath se hogi
• Past and future ka ilm rakhnewala sirf allah
• Kursi aasmaan aur zameen pe chahi hui hai
• Aasaman aur zameen ki hifazath nahi thakathi
• Buland aur bada
MAAL KHARCH KARNE KA TAREEQA
•
•
•
•
•
•
Halaal aur umdah maal kharch karna hai
Sirf allah ki razamandi ke liye maal kharch karna
Sunnath ke mutabiq kharch karna hai
Ehsan nahi jathana directly or indirectly,
Takhleef nahi dena
Dhikhawe ke liye maal nahi dena
270-NAZAR
MANNATH MAANGNA :
Allah se wada karna ke agar mera kaam hojaye
toh main fula fula neiki ka kaam karongi.
NAZAR KE CONDITIONS :
• Sirf allah se maangna , allah ke ilava kisi aur se nahi
• Sirf jayez cheezo me maangna
• Haraam cheezo ke liye nahi
• Hojaye toh karna wajib
• Nazar se behter roza , namaz ke baad dua maangna
DEIN (LEIN DEIN ) KA MAMLA KAISE KARNA HAI
•
•
•
•
•
•
•
•
•
Dein likhna hai
Likhnewala adl se likhe
Qarz lenewale ki responsibility likhne ki, documentation me kami na kare
Qarz lenewala-agar kamzor hai toh uska wali usko dictate kare
2 Gavah lele, 2 aadmi ya 1 aadmi aur do auratein , gavaah inkaar ya susthi na
kare
Chota ya bada ,fixed time ka contract likhlo taake relationship me
misunderstanding na ho
Hazir tijarath –one time tijarath jisme wahi payment and wahi cheez lerai , likhne
ki zaroorath nahi
Likhnewale aur gavah ko pareshan na karo
Safar me aur hadar me likhnewala na ho toh rahn rakho.
RAHN
MORTGAGE/ZAMAANATH
Woh cheez jo zamanath ke taur pe rakh kar uske badle
paise liye ja sakthe hai
• Rahn qarz lenewali ki hi cheez hogi-owner wohi hoga
• Usse jo fayda /nuqsan hoga who bhi owner ka hi hoga
RIBA -SOOD
INTEREST -thoda maal deke zyaada lena
SOOD
Sirf fayda –musalsal
hotha hai
Mehnath , zehniyath
nahi lagthi
Ek taraf ka faida.
Maashre ki tabahi
Kamayi me barkath
nahi
TIJARATH
Faida aur nuqsan
dono(profit loss
sharing)
Mehnath , zehniyath
lagthi hai
Society ka bhala.
Society me tamiri
kaam
Kamayi me barkath
ISA (A.S) KO LEKE IKHTELAFAATH :
YAHUDI (JEWS):
Isa as ki nabuwath ka inkaar karte.
Woh yeh maanthe ke isa as suli pe chada diye gaye, qatl kardiye gaye aur dafn kardiye gaye
ISAYI (JEWS):
isa as allah ke beta maanthe
suli pe chada diye gaye, 3 din baad dobara zinda huye aur aasmaan pe chale gaye (uta liye
gaye)
MUSALMAN :
Ye maante ke isa as allah ke bhejehue rasool hai,
na unka qatl hua aur na who sooli pe chadhaye gaye balke jism aur ruh ke saath allah ne
uta liya .
Wo dobara ayenge , kufr ko khatam karenge, saleeb ko todenge
QURAN ME DO TARAH KE AYATH:
MUHKAMATH
MUTASHABIHATH
 Clear instructions ,
allah ke hukm jise
aqal samajh sake .eg
namaz, zakath, roza,
hajj
 Bahum milthi jhulthi aayath.
Ghaib ki cheeze jo aqal na
samajh sake use milthi jhulthi
cheezo se explain.
 Eg: jannath, jahannum, allah
ki kursi.
 Kitab ki asal . inpe
amal karna hai.
 Inki taweel ke peeche nahi padna
hai balke sab pe iman laana
hai.kyunke inki taweel sirf allah
aur pokhta ilmwalo ke paas hai.
Sirf who log jinke dilo me
tedapan hai who inki taweel ke
peeche padthe hai.
 Ilmwale kehthe hai: iman laaye
hum sab kuch hamare rab ki taraf
se hai. Jaise allah ne bataya hai
hum un sab pe iman late hai.
JUZ 4
Jung – e – Uhud (brief)
 Jange Badr ke baad kaafiro ka gussa, gazab aur badle ka irada
 Abu Sufyan ki leadership me lashkar ka madine ki taraf aana
 Musalmano me mashwara( 2 opinions)
1. Madine ke andar muqabla
2. Madine ke baahar muqabla
 Jinhone badr me hissa nahi liya madine ke bahar jaakar muqaabla karna chahte the
 Abdulla bin Ubay ka 300 admiyo ke sath lautna, munafiqath zahir hogayi.
 Muhammad saw ka teerandazo ko positions dena
 Pehle Musalmano ki jeet
 Maal-e-ghaneemat ko bataurna ke liye bina permission apne positions chodna.
 Khalid bin waleed aur sathiyo ka peche se hamla.
 Muhammad(SAS) zakhmi aur 70 shaheed
 Jeet ka haar me badalna
 Musab bin Umair ke Shaheed hone par, Aap (SAS) ke shaheed hone ki afwa
 Doosre din dushman ka phir qauf aur Hamra-ul asad ki taraf rawaangi(sirf junge uhud ke participants)
Wirasath:
 Insaan ke faut hone ke baad uske maal ki taqseem.
 Ise Ilm-un- nisf kaha jaata hai.
 Yeh ilm farz-e- kifaayah hai.
 Insaan apne 1/3rd maal ka haqdaar hai wo use jise chahe de sakta hai.
 Rest Allah ke bataye gaye haq se taqseem hoga.
 Kharabaddar, blood reletions aur zarurath mando ko di jaa sakti hai.
 Pehle aurto ka wirasath me koi hissa nahi hota tha.
 Yateem aur mohtaj ko bhi kuch de sakte toh do agar nahi toh sileh rahmi se pesh aaye.
 Yateem ke maal ko khaane wale apne pet me aag bharte hain aur wo bhadakti aag me honge akhirath
me.
 Ladke ka hissa ladki se dugna hoga.
 Kalala: use kehte hai jiske na maa-baap ho aur na aulad.
 Allah ki itaat me hi kamiyabi hai, Jannath hai.
 Jo koi nafaramani karega toh uske liye ruswakun azaab hai aur jahannum hai.
Mother
1/6
Father
1/6
wife
1/8
2
Muharramat Rishte:




o Maye: maa, nani, dadi,foster mother
o Betiya: apni beti(sagi & saunteli), poti , nawasi
o Behne: sagi, saunteli, foster sisters
o Bhanjiya: sagi, saunteli
o Bhatijiya: sagi, saunteli
o Phupiya, khaalaye
o saas, bahu.
Muharramat rishto se nikah nahi hosakta.
Nikah hua magar sohbath se pehle talaq hogayi toh unki betiyan halal hain.
Phupi- bhatiji aur khala- bhanji ko bhi ek sath nikah me nahi rakh sakte.
Pehle do behno ko ek saath nikah me rakh sakte the. Eg: yaqub (AS) ne 2 behno ko ek sath nikah me
rakha tha. Wo tab jayez th par ab nahi. Ek ke faut hone ke baad dusri se nikah jayez hain.
JUZ 5
Ayat 89-90 : Cases :Qatl Nahi Karna Hai :
1. Peace Treaty (Contract) --- Ho Musalmanon Ka Kisi Qaum Se.
2. Neutral – Kisi Se Bhi Ladhna Nahi Chahte.
3. Wo Sulah Chahte Ho.
Qatl karna hai :
1. Wo Kafir Ke Saath Milkar Musalmanon Ko Nuksaan Pahunchana
Chahte Ho.
2. Fitna – Agar Wo Sajish Jung Ki Chipkar Kare.
3. Wo Sulah Nahi Chahte Ho.
1. i. Qatl-E-Qata : Accidental Killing, Bina Irada Kaffara + Diyat (Blood Money)-----Waris Maaf Karsakte (Sadqa)
ii. Maqtool Dushman Qaum Se Ho
Only Kaffara
iii. Peace Treaty Ho
Kaffara + Diyat
2. Qatl-E-Amad : Intentional Killing, Murder
Jahannam, Allah Swt Ki Lanat, Ghazab, Azaab
Ayat 105 –Waqya: Banu Zafar, Ansaar Ka Ek Qabila Tha,
Uske Ek Shaqs Tama’bin Ubayriq Ne Apne Humsaye Ke
Ghar Se Chori Ki Aur Us Cheez Ko Ek Yahoodi Ke Paas
Amanat Ke Taur Par Rakhadi. Malik Ko Shaq Hua Yahoodi
Par. Poochne Par Yahoodi Ne Bataya Ki Usne Chori Nahi
Ki. Jab Ye Mamla Rasool Saw Ke Paas Gaya To Banu
Zafar Ke Log Tama’ko Support Kiye.
Rasool Saw, Tama’ Ke Haq Me Faisla Karne Waley They.
Phir Allah Swt Ne Apko Wahi Ke Zariye Sachai Ki Khabar
Dedi.
JUZ 7 AND 8
• Ruku -8 Ayat 59 -64
• Nooh As Ko Bheja Allah Ne Unki Qaum Ke Taraf
•Nooh As Ne Apni Qaum Ko Allah Ki Taraf Bulaya-Tawheed Ki Dawat Di
• Nooh As Ko Unki Qaum Aur Qaum Ke Bade Bade Sardaro Ne Gumrah Kaha Aur Jhutlaya
• Allah Ne Nooh As Aur Unke Saathi Ko Ek Badi Kashti Me Sawar Karwadiya Aur Unko Nijat Di
• Aur Gharkh Kar Diya Jhutlane Walo Ko – Bahut Bada Toofan Ka Azab Aaya
Ruku-9 Ayat 65 – 72
 Hood As Ko Bheja Allah Ne Qaum E Aad Ki Taraf –Ye Unhi Ke Qaum Me Se The
Hood A.S Ne Apni Qaum Ko Allah Ki Taraf Bulaya- Tawheed Ki Dawat Di-Nemato Ki Yaad
 Qaum E Aad Bahut Mazboot Jism Ke Quwwat Wale Log The
 Qaum Ke Log Aur Qaum Ke Bade Kafir Sardaro Ne Jhutlaya
 Allah Swt Ne Hood As Aur Unke Saathi Ko Nijaat Di
 Jhutlane Walo Ko Allah Ka Azab Ne Gherliya
 Allah Ne In Par Andhi Aur Toofan Ka Continuous Azab Bheja -7 Raatein Aur 8 Din Ke Liye
 Unki Poori Generation Qatm Ho Gayi
•Ruku- 10 Ayat 72 -84
• Saleh As Ko Bheja Allah Ne Qaum E Samood Ki Taraf-Ye Unhi Ki Qaum Me Se The
• Saleh As Ne Apni Qaum Ko Allah Ki Taraf Bulaya-Tawheed Ki Dawat Di
• Oontni Ka Moujiza Pesh Kiya –Jo Qaum Ke Liye Aazmayesh Thi
• Qaume Samood Ko Allah Ne Dunyavi Taraqqi Di Thi-Ye Log Pahado Me Ghar Tarash
Kar Lete
• Qaum Ke Bade Sardaro Ne Takabbur Kiya Aur Paigambar Ko Jhutlaya
• Qaum Ne Oontni Ko Maar Dala
• AGlildaghi dNaeh a Pta Akuard SLhiyaad eInekdo Z Aazlzaabl eS eK a– AAuzanbd
hAea yMau Inn PGairr Gaye Aur Halaak Ho Gaye – Cheeq
• Allah Swt Ne Saleh As Aur Unke Saathi Ko Bacha Liya
• Loot As Ko Allah Ne Nabi Banakar Bheja
• Loot Ne Apni Qaum Ko Neki Ka Hukum Diya Aur Burai Se Roka
• Is Qum Ke Log - Behayai (Fahesha) -Homosexuality- Me Mubtalaa The
• Loot As Ne Inhe Samjhaya
• Lekin Qaum Nahi Mani-Qaum Ke Logo Ne Loot As Ko Dhamki Di
• Allah Swt Ne Loot As Aur Unke Gharwalo Ko Bacha Liya
•Allah Ne Basti Ko Palat Diya-Pathar Ki Barish Hui –Us Basti Par-Poori Qaum Tabah Ho
Gai
Ruku-11 Ayat 85-87
Shoeb As Ko Bheja Allah Ne Madyan Ki Taraf- Ye Unhi Ke Qaum Me Se The
Shoeb As Ne Apni Qaum Ko
 Allah Ki Taraf Bulaya
 Tawheed Ki Dawat Di
 Naap Tol Me Kami Na Karne Ki Hidayat D
i Zameen Me Fasad Na Karne Ko Kaha
 Rasto Me Daketiya Dalne Se Mana Kiya
 Allah Ke Raste Se Logo Ko Na Rokne Ki Hidayat Di
 Deen Ke Seedhe Rate Par Tedha Pan Na Nikalne Ko Kaha Allah Ki Nemato Ki Yaad Dihani
Karwayi
 Sabr Iqtiyar Karne Ko Kaha
Shoeb As Ne Bahut Hi Khoobsurat Tareeqe Se Apni Qaum Ko Naseehat Di
Phir Bhi Unki Qaum Nahi Samjhi
JUZ 9
JUNG E BADR
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
.
Jange Badar (2H) Jange Badr 17 Ramazn 2 Hijri me hui
Quraish ka khafila frm Syria (1000 oont 40 aadmi)
Musalmaan qabar lene nikle
Abusufyan ka makkah qabar bhijana
Quraish ka 1300 ka lashkar lekar nikalna
Abu sufyan ka route change karna
Abhu jahl ki zidd
Muhammad s.a.w ka sahaba se mashwera
Kuwe ke paas musalmano ka camp
Barish se madad
Amna saamna
Suraqa ki shakl me iblees
Abujahl ka qatl
14 musalmaan shaheed aur 70 kafir qatl
Summary of Moosa AS ka waqeya
• Yakoob As ke. 12 bete.wo Falsteen me the.
• Yusuf AS doosri biwi ke bête,unko bahiyo ne jangal me koowe me daal
diya.
• Khafila unko lekar Misr (Egypt) pahuncha.
• Waha wobadshah bane,bhaiyo ko maaf kiya sab ko Misr bulaa liya.
• Pehle yusuf as ke time par khoob mukaam izzat badshahat etc thi
• Baad me zawaal aaya, Bani Israel labour class ho gaye aur Firaun ki
badshahat.
•
•
•
•
Allah chahte the ke Bani Israelo ko firaun se najaat dilaye.
Firaun bacho ka qatl karta.
In halaat me Moosa As ki paidayash hui.
Allah ne Moosa As ke Maa ke dil me baat daali ke Moosa As ko ek
box me band karke river Nile me daal de.
• Behan box ko follow karti gayi.
• Box firaun ke mehal pahuncha.
• Asia w/o Firaun ne jab bache ko dekha, Allah ne ek attraction bache ke
chehre par daal diya.
• Wo kisi ka doodh nahi peete.,Behan mehal me aati jaati to maa ke paas
doodh peene laute.
• So mehal me shahi zindagi guzari
• Jab jawaan hue, Bani Israeli ek Masri se lad raha tha,Bani Israeli ne
madad ke liye bulaya,Moosa As ne ek ghoosa maara wo Masri mar gaya.
• Unhone maghfirat ki dua ki aur qubool hui.
• Next day same Bani Israeli lad raha tha- usne kaha kya kal jaise maara
aaj mujhe maaroge—khul gaya ki Qatl Moosa as ne kiya.
• Darbaar me faisla ke Moosa As ke Qatl ka descision,Kisi ne aakar bataya,
Moosa as Madyan chale gaye.
• Waha do ladkiya paani ke liye wait kar rahi kyu ki koi mard unki help
ke liye nahi tha.Moosa as ne unki madad ki.
• Unke walid milna chahe.
• He may be Shoeb as.
• Decide ye hua k eek se shaadi ke liye 8-10 yrs kidmat.
• Phir wo nikle,kohe toor ke paas thehre ,aag dekhi.
• Darakht se awaaz,beginning of wahi.
• Moosa As ke haath me as tha, wo us se janwaro ke liye patte
jhadaate,tek lagate etc
• Phekne ka hukm aur wo saanp (azdaha ban gaya)
• Haath nikaalne ka hukm wo raushan hokar nikla.
• Maqsad to send towards Firaun-Bani Israel ki azaadi
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
Phekne ka hukm aur wo saanp (azdaha ban gaya)
Haath nikaalne ka hukm wo raushan hokar nikla.
Maqsad to send towards Firaun-Bani Israel ki azaadi
Jadugaro ko muqaable ke liye bulaaya gaya.,logo ko aise laga rassiyaa
naach rahi hai.
Moosa As ne apna as pheka to sab nigal gaya.
Sab jadugar sajde me gir gaye.
Firaun ne dhamki di ke haath pair kaat denge.
Ab Bani Israeli aur Firauniyo ki azmayash shuru
Qahad
Phalo kanuksaan
Toofaan
Tiddiyaa
Juye
Medak
Khoon etc
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
•
Moosa as se kehte dua karke azaab hataiye, azaab hat ta to phir buraiya
karte.
Finally Moosa as ko Hukum ke apne logo ko lekar falasteen jaye.
Firaun ne peecha kiya aur wo aur uske followers gharkh hue.
Sehraaye seena, maydaane teeh
Kohe toor par tauraat.
Harun as ko unki responsibility.
Saamri ke kehne par bachde ki pooja
Tauba
Allah ko dekhne ki khawhesh
Kohe toor ka sar par uthna
Jihad se mukarna
Mann salwa, 12 chashme etc
Yahi par Moosa as ka inteqaal
JAADU
MOUJAZAT
Cheez badalti nahe – ankhon ka dhoka
Khuli nishaniya rehti
Jaadu ka tod moujood hai
Iska tod nahi
Iske inkar par saza nahi
Iska inkar par azab hai
Allah ne haram kiye
Alla ke zariye hothe hai
Jaadugar ki zindagi me darr aur dhoka
hamesha laga rahta
Anbiya ki zindagi sukoon.
Evil persons do jaadu
Only Nabi can show moujaza
JUZ 10
















Jung E Tabuk Ke Baare Me Zyaadatar Aayte
Shuru Me Bismillah Nahi Padi Jaati
8-9 Hijri Ke Darmiyan Nazilhui
Isko Sure Bara’ah,kashifa(kholne Waali),tauba Bhi Kaha Jaata Hai
6th Hijhri-sule Hudaibiya
2 Saal Me Thod Diya Gaya
8th Hijhri-fatah Makka
9 Th Hijri –Aap(saw) Abu Bakr Siddiq(ra) Koameer E Hajj Banakar Rawana Kiya
Unke Jaane Ke Baad Sura Tauba Ki Shuru Ki Aayat Naazil
Aap(saw)in Aayaton Ka Paigaam-ali(ra) Ko Dekar Bheja
10 Zilhajj Kotamaam Logon Ke Saamne Sunaya
Ehkamaat
Koi Shaqs Khana Kaba Ka Nanga Tawaf Nahi Karega
Jis Kaafir Ke Saath Muaida Haiwo Muqarrar Waqt Tak Arab Me Rehsakta Hai
Jiske Saath Muaida Nahi Unko 4 Maheene Ka Time
Is Saal Ke Baad Mushrik Aur Musalmaan Milkar Hajj Nahi Karenge
Jung E Tabuk






9th Hijri Me
Isayi ,Roman Se
Shaded Garmi Ka Waqht
Fasal Ki Katai Ka Waqht
Sab Par Farz E Ain Tha30,000 Ka Lashkar Lekar Mohammad(saw)gaye
SADAQA-- Allah Ke Raah me Kharch Karna, Allah Ki Raza Ke liye.
Farz(zakat)-Nafil(sadaqath)
ZAKAT-1-Fuqara Keliye(jo Apni Zarurath Poori Nahi Kar Sakte)
2-Miskeenke Liye(apni Zaroorath Ke Liye Koshish Karte Lekin Poori Nahi Karpaate)
3-Zakaat,sadaqath Collect Karne Walon Ko(unki Salary)
4-New Muslims, kafir-jo Islaam Lane Ki Chances Hai(ex-safwan Bin Umayya-kufr
Ki Haalath Me)
5-Ghulaam Azaad Karne
6-Qarzdaar Ke Liye (Zaroorath Ke Liye Liya Gaya Ho Jisme Israaf Na Ho)
7-Deen Ko Aage badane Ke Liye
8-Musaafiron Ke liye
JUZ 11 A
Surah Tawbah
3 MUQLIS SAHABA
1.KAAB BIN MALIK
2.MURARA BIN RABI’A
3.HILAL BIN UMAYYA
TEEN MUQLIS MOMIN KA WAQIYA
MUHAMMED (SAWS) JAB JANGE TABOOK SE WAPAS AE TU TAMAM MUNAFIQ BAHANE
LEKAR AYE LEKIN YE MUQLIS MOMIN JANTE THAY KI ALLAH AAP KO WAHI KE ZARIYE
BATA DEGA AUR WO LOG BATA DIYE KI HUM SUSTI KI WAJH SE PEECHE RAH GAE TAB
AAP(SAWS) UN SE BAAT KARNA CHOD DIYE PHIR AAP NE SAHABA AUR GHAR WALON SE
BHI BAAT KARNE SE MANA KAR DIYA ISI TARHA UN LOGON SE SUB 50 DIN TAK QATA
TALLUQ RAHE ZAMEEN WASI HONE KE BAWAJOD UN PAR TANG HU GAE THI US KE
BAAD ALLAH NE WAHI NAZIL KI AUR UNHE MAAF KAR DIYA.
JUZ 11 B

•


 Awliya Allah – Allah Ke Dost
Jo Imaan Laaye Aur Taqwa Ikhtiyaaar Kare
TAQWA- Allah Ki Mohabbat Me Nek Kaam Karna Aur Allah Ki Naraazgi Se
Bachne Ke Liye Gunahon Ko Chodna.
Jisko Dekhkar Allah Ki Yaad Aaye – Taqwe Ka Libaas.
Inke Liye Duniya Aur Aakhirat Me Bhalaayee Hai.
Nooh A.S Ka ILAAQA





Nooh A.S Ki Kashti Jahan Mili (Acc To Archaeologists)
Nooh A.S
Pehle Rasool.
Unki Qaum Sabse Pehle Shirk Karne Walon Me Se Thi.
Unhone Tawheed Ki Dawat Di – Par Qaum Na Maani.
Allah Ne Unhe Kashti Banane Ka Hukm Diya–Toofaan Aaya–Unko & Unke Followers Ko Allah Ne Bacha
Liya.
 Nooh A.S Ko Adam E Saani (Second Adam) Bhi Kaha Jaata Hai Kyunke Aage Phir Nasl E Insaani Unhi Se
Chali.
MAUJZE & JADU ME FARQ
MAUJZA
 Khudrat Ke Khilaaf.
 Isme Bhalaaayee.
 Cannot Be Cancelled(Phera
Nahi Ja Sakta).
 Behtareen Insaano Ke Haathon
Allah Karwate Hai.
 Aage Sikhaya Nahi Ja Sakta.
JAADU
 Ankhon Ka Dhoka.
 Sirf Nuksaan.
 Can Be Undone ( Paltaya Ja
Sakta Hai).
 Badtareen Insaano Ke Haathon
Se Hota Hai.
 Sikhaya Ja Sakta Hai.
MAP OF EGYPT
FIROUN KI BODY
BANI ISRAYEEL’S CROSSING SITE
Yunus As – Area – Nainwa ( Iraq/Shaam)
 YUNUS A.S
 Yunus A.S Nainwah Ki Taraf Bheje Gaye They
 Apni Qaum Ko Tawheed Ki Daawat Baar Baar Di
 Qaum Na Maani Toh Gusse Me Qaum Ko Chodkar Chale Gaye. Allah Ke Hukm Se Pehle.
 Kisi Rasool Ko Jayez Nahi Ke Allah Ke Hukm Se Pehle Hijrat Kare
 Woh Kashti Me Jaa Rahe They Ke Toofaan Aaya – Logon Ne Ek Aadmi Ko Kam Karne Ka Faisla Kiya
 Khurra (Chit) Daala – Toh Har Baar Yunus A.S Ka Naam Aaya .
 Yunus A.S Ko Samandar Me Phenk Diya –Machli Ne Unhe Nigal Liya.
 Yunus A.S Machli Ke Pet Se Dua Ki Aur Yunus A.S Ko Machli Ne Ugal Diya.
 Unki Qaum Par Se Azaab Taal Diya Gaya Kyunke Unke Nabi Allah Ke Hukm Se Pehle Unhe Chodke Chale Gaye.
JUZ 12








Nooh As
Area – Central Iraq.
Adam E Saani
Pehle Rasool – Jinhe Shariyath Di Gayi Thi.
Qaum Ka Gunaah – Pehla Shirk Inhi Ki Qaum Ne Kiya.
Tableegh – 950 Years.
Maujza- Kashti Banane Ka Hukm. Jisme Imaan Waale & Janwaron Ke Jode(Pairs) Sawaar Kiye Gaye.
Azaab – Toofaaani Baarish –Aasmaan Se & Zameen Se Paani
Nooh A.S Ka ILAAQA
Nooh A.S Ki Kashti Jahan Mili (Acc To Archaeologists)
HOOD A.S Ka ILAAQA – AHQAAF (Yemen)
 HOOD A.S.
 Area – Ahqaaf Ka Ilaaqa (Yemen)
 Hood A.S Qaume Aad Ki Taraf Bheje Gaye They.
 Aad Bahut Quwwat Wale Log They. Lambe Chawde They. Ghar Banane Me Maahir They.
 Qaume Aad Ki Faujein Door Tak Phaili Thi. Maal & Aulaad Ki Kasrat Thi.
 Gunaah – Shirk
 Azaab - Kaale Baadal- Azaab Ke Baadal .Saqt Thandi Aandhi & Tez Hawa Shor Waali
Area Of Qaume Samood
SALEH A.S Ka ILAAQA
HIJR (Tabuk & Madina Ke Beech )








SALEH A.S
Qaume Samood
Area- Hijr (Tabuk & Madina Ke Beech ) (Hijr Yaani Pathar – Pathreela Ilaaqa Tha)
Same Paighaam – Tawheed Ka.
Qaum e Samood -Pahadon Me Ghar Tarashte They.
Maujza – Hamla (Pregnant) Oontni Pahad Se Nikli
Gunaah – Shirk , Nafarmani , Oontni Ke Kaunche (Paaon Ke -Heels Ke Patte- Feet Till Ankles) Kaat Daale.
Azaab - Hawlnaak Cheekh, Awaaz,Zalzala. Gharon Me Aundhe Monh Girey Padey They
Ibrahim A.S Ka Safar
LOOT A.S Ka ILAAQA- SUDOOM
Locate Sudoom(Near Dead Sea\0 In This Map




LOOT A.S
Area – Sudoom.
Gunaah (1) Shirk (2) Homosexuality (3)Khule Aam Burayiyaan -Nange Naach Etc. (4) Raston Me Kaafilon Ko Lootna
Azaab – Patharon Ki Baarish. Poori Basti Ka Paltaa Dena.
SHOAIB A.S KA ILAAQA- MADYAN
Shaam (Syria) aur Yemen Ke beech





Locate Madyan Between Syria & Yemen(Near Hijaz)
SHOAIB A.S.
Area – Madyan (Shaam (Syria) & Yemen Ke Beech)
Gunah- (1) Shirk (2)Naap Tol Me Kami (3) Loot Maar (4) Fasaad
Same Paigaam Tawheed Ka.
Azaab – Cheekh & Zalzala
MUSA A.S KA SAFAR
 Misr (Egypt) Se Madyan
 Madyan Se Misr






Moosa A.S
Qaum- Bani Israyeel
Area- Misr
Maujza- Yade Baiza (Shining Hand) & Asa (Stick) & More
Kitaab - Tauraat
Gunaah- Shirk & Nafarmani, Heela Saazi.
Surah Yusuf
Bani Israyeel Ne Jab Mohammed S.A.W.S se poocha ke Bani Israyeel Falasteen se Misr Kaise pahunche
Toh Allah Ta’la Ne Jawab Me Surah Yusuf Nazil Ki .Yusuf A.S Ka Complete khissa hai Is Ek Surah me hai.
 Summary Of Yusuf A.S Story In Juz 12
 Yaqoob A.S Ka Laqab Israyeel Tha
 Unke 12 Bete The – 10 Bete Ek Biwi Se Aur 2 Bete Doosri Biwi Se
 Yusuf A.S & Binyameen Doosri Biwi Se They.
 Yusuf A.S Jab Chote They Tab Unhone Khaab Dekha Aur Apne Walid Yaqoob A.S Ko Bataya
 Khaab Ye Tha Ke 11 Sitaare Aur Chand Aur Sooraj Yusuf A.S Ko Sajda KarRahe Hain.
 Yaqoob A.S Ne Kaha Ke Yeh Khwaab Ka Zikr Apne Bhaiyon Se Na Kaho-Kyunke Shaytaan Unke Dilo Me Hasad Paida Karega.
 Bhaiyon Ko Yusuf A.S Se Hasad Thi Kyunki Woh Yaqoob A.S Ke Pyaarethey.
 Bhaiyon Ne Yusuf A.S ( Jo Ke Bache They) Unko Kuwe Me Daal Diya Aur Waalid Se Kaha Ke Bhediye Ne Kha Liya.
 Ek Khaafila Wahan Se Guzra Aur Kunwe Me Yusuf A.S Ko Paakar Rakh Liya Ke Unhe Ghulam Ki Tarah Bech Denge.
 Azeez E Misr Ne Yusuf A.S Ko Khareed Liya Aur Apni Biwi Se Kaha Ke Isey Bete Ki Tarah Rakhe – Ghulaam Ki Tarah Nahi.
 Yusuf A.S Wahin Paley Badey. Azeez Ki Biwi Unki Khoobsoorati Se Influence Hui Aur Yusuf A.S Ko Phuslaana Chaha.
 Jab Yusuf A.S Badkaari Ke Liye Na Maane Toh Unhe Jail Me Daal Diya .
 Jail Me Unhe Do Qaidi Miley Jo Badshah Ke Darbari The. Unhe Badshah Ko Zeher Dene Ke Jurm Me Jail Bheja Gaya.
 Qaidiyo Ne Yusuf A.S Se Apne Khwaabon Ki Taabeer Poochi. Toh Yusuf A.S Ne Bataya Ke Un Me Se Ek Sooli Par Chadhaya
Jayega Aur Doosra Shaqs Jail Se Choot Jayega. Yusuf A.S Ne Jail Se Chootne Waale Ko Kaha Ke Unka Zikr Badshah Se Zaroor Karna.
 Lekin Woh Shaqs Bhool Gaya.
 Phir Ek Dafa Badshah Ne Darbariyo Se Apne Khwaab Ki Taabeer Poochi Aur Koi Na Batla Saka Toh Us Shaqs Ko Yusuf A.S Ke
Baare Me Yaad Aaya – Woh Yusuf A.S Ke Paas Gaya Aur Badshah Ke Khwaab Ki Taabeer Poochi.
 Yusuf A.S Ne Na Ke Sirf Taabeer Bataayi Balke Solution –yaani Masle Ka Hal Bhi Bataaya- Baad Me Baadshah Ko Pata Chala Ke
Yusuf A.S Auraton Ki Chaal Ki Wajeh Se Jail Me Hain. Azeez Ki Biwi Ko Bulaya Gaya.
 Azeez Ki Biwi Ne Apna Gunah Khubool Karliya Aur Yusuf A.S Bekasoor Saabit Hue Aur Jail Se Choot Gaye.
JUZ 13
Ayat 101-104
Yousuf A.S Ki Allah Se Dua---Ayat 101
ٓ ‫نت َول ِِّيۦ فِي ٱلد أُّن َيا َو أ‬
َ َ‫ض أ‬
ِ ‫س َٰ َم َٰ َو‬
‫ٱۡلخ َِر ِۖ ِة َت َو َّفنِي ُم أسل ِٗما َوأَ ألح أِقنِي‬
ِ ‫ت َو أٱۡلَ أر‬
َّ ‫َفاطِ َر ٱل‬
ََّٰ ‫بٱل‬
١٠١ َ‫صلِحِين‬
ِ
“Ae Zameen Aur Asman Ke Banana Wale,Tu Hi Dunya Aur Akhirat Me Mera Sarparast Hai,Mera
Khatma Islam Par Kar Aur Mujhe Saaliheen Ke Sath Mila”
 Allah Ka Shukr Ki Allah Ne Unhe Ilm Aur Badshahat Bakhshi.
 Allah Ka Shukr Ki Allah Ne Unhe Khaabo Ki Tabeer Sikhai.
 Aakhir Waqt Tak Islam Par Isteqamat Ki Dua.
 Unhe Nek Logo Ke Sath Mila De.
 Maut Ki Dua Mangna Jayaz Nahi Hai.
 Ye Waqeya Muhammad(Saw) Ko Tasalli Aur Logo Ke Liye Ibrat Aur Naseehat Hai.
Ayat 20-24
Ulul-Albaab (Aqlwale) Ki Sifaat.
 Allah Ke Ahad Ko Poora Karte Hain Aur Todte Nahin Hain.








a) Ahad-E-Alast.
b) Allah Se Bande Ka Wada.
c) Bande Se Bande Ka Wada.
Silarehmi Karte Hain.
Allah Aur Uske Sakht Hisaab Se Darte Hain.
Sabr Karte Hain.
Namaz Qayam Karte Hain.
Allah Ke Diye Hue Rizq Me Se Kharch Karte Hain.
Burai Ka Badla Achai Se Dete Hain.
Jin Momino Me Ye Sifat Hai Unke Liye Hamesha Ki Jannat Hai.
Farishte Aise Momino Par Salamati Bhejte Hain.
Ayat 40-41
Ibraheem A.S. Ki Dua:
‫ َر َّب َن أ‬٤٠ ‫ُعا ِٓء‬
‫َر ِّب أ‬
‫ِدَي َول أِل ُم أؤ ِمنِينَ َي أو َم َيقُو ُم‬
َّ ‫اٱغف أِر لِي َول َٰ َِول‬
َ ‫صلَ َٰو ِة َومِن ُذ ِّر َّيت ِۚي َر َّب َنا َو َت َق َّب أل د‬
َّ ‫ٱج َع ألنِي ُمقِي َم ٱل‬
٤١ ‫اب‬
ُ ‫ِس‬
َ ‫أٱلح‬
“Ae Mere Rab Mujhe Aur Meri Aulaad Ko Namaz Qayam Karne Wala Bana Aur Ae Hamare Rab
Dua Qubool Kar Le,Ae Hamare Rab Mujhe Aur Mere Walidain Ko Aur Tamam Momino Ko Us Din
Bakhsh Dena Jab Hisab Qayam Hoga.
JUZ 14
Sitaron ko banane ka maqsad
The Dead Sea- Zameen ka sabse low point
Qaum-e-samud ke tarashe hue makanaat
• Pahadh mein badhe oonche strong ghar banate.
• Bekhawf aur mutmayein ke ham par koi azaab nahi aasakta.
• Allah swt ne aisa zalzala bheja, woh pahadh ke andar hi khatam hogaye.
• Allah swt ne cheekh ka azaab bheja aur unhe halaak kardiya.
• Saleh A.S ki basti ke muqaam se Muhammad S.A.W ka guzarnaSawari jaldi karli.
o Apne saathiyon se kaha ki jaldi guzre.
o Jin ki bastiyon par azaab aya us basti se rote hue guzro.
o Rona na aaye toh roti soorat banakar chalo.
o
Mu’min ki Ruh ka qabz hona:
• Farishtey salam karte hai.
• Farishta suraj ki tarah roshan chehre wala.
• Reshmi kafan laayenge ruh lapetne ke liye.
• Basharat denge maghfirat ki.
• Behtareen khushboo ayegi jism se ruh nikaalte waqt.
• Rahmat ki dua karenge zameen aur aasmaan mein farishte.
• Asman ke darwaze par ta’ruf karate.
• Har aasman ke farishtey doosre aasman tak saath jate.
• Illiyeen mein record.
Kaafir ki ruh ka qabz hona:
• Khaufnaak farishte.
• Kafan taat ka.
• Darate hai.
• Marte peet te hue uski ruh nikaalte.
• Aag ka azaab pehle se hi sunadete hai.
• Gandi badboo jab ruh nikaalte hai.
• Asman ke jitne bhi farishte hai darwaze bandh karte aur kholte nahi,
aur wahin se ruh ko zameen par patak diya jata hai.
• Sijjeen mein record.
Pehli Hijrat Habhsha
ki taraf
Doosri Hijrat Madina ki
taraf
Shahed ki makkhi
JUZ 15
Ayat 5-7
• Bani Israel ne jab bahut fasad kia, unke pas YARMIA naam ke nabi bheje
gaye, unhone unka qatl kiya.
• BABYLONIAN emperor BUQTENAZAR ne 588-586 mein Jeruselum par
hamla kiya aur kai yahoodiyon ka qatl kiya aur kaion ko qaidi banakar
Babylonia legaya.
• Later on PERSIAN emperor CYRUS ne BABYLONIA par hamla kiya aur Bani
Israel ko wapas JERUSELUM le aaya.
• Unmein phir se bigaad hua....kai nabiyon ka qatl kiya YAHYA AS ka bhi qatl
kiya aur ISA AS ke qtl ki sazish ki.
• ISA AS ke 70 saal baad ROMAN emperor TETUS ne yahoodiyon par hamla
kiya kaiyon ko qatl kiya aur unka haal bigaad diya
Ayat 22
Walidain ke saath ahsaan
• Maa Baap hameri jannat aur dozak hai.
• Maa Baap ko UFF thak nahi kahna.
• unko danta nahi.
• Unse izzat se baat karna.
• Unki madad karna aur unke saath humble rehna.
• Walidain ke liye dua karna.
Ayat 36
Jis cheez ka ilm nahi uske peeche mat pado
• Kisi ki andha dhun pairvi na karna.
• Koi mamla jiska hame ilm na ho uske peeche na pado.
• Quran aur Hadith mein jo nahi hain ,use deen ka hissa mat banao.
• Gaybi Haqeeqato ke baare mein falsafe na banao.
• Jo mamle hamse taluq nahi rakte ho uske peeche mat pado.
Ayat 55
Baaz nabiyon ko baaz par fazilat
• ISA AS – bina baap ke paida kiye gaye
• IBRAHIM AS – khaleelullah
• MUSA AS - ALLAH ne unse kalaam kiya
• SULAIMAN AS – parindo ki boli jante the
• MOHAMMAD SAW – isra aur meraaj
AYAT 63
Saitaan hamaare maalon aur aulaadon mein sharik
• Maal – haraam kaamon mein kharch karna ..Like: music, juaa,sood
lena ya dena, Israaf karna.
• Aulaad - Aulaad mangne ghair Allah ke dar par jaana, Zina ki aulaad,
galat tarbiyat, aulaad ke liye halal aur haraam ke fark na
karna.
AYAT 101
MUSA AS ke 9 nishaniyan
• Asa
• Yad-E-Baiza(chamakta haath)
• Sukhaa padna
• Dariya ka phatna
• Tidyon ki barish
• Jueyein
• Tufaan
• Khoon
• Meindakon ki barish
JUZ 16
‫الر ِح ْي ِم‬
َّ ‫الر ْح َٰم ِن‬
َّ ِ‫ِب ْس ِم هللا‬
Ilm Ki Ahmiyat

•
•
•
•
•
•
Ilm Ki Ahmiyat
Musa(As) Itne Bada Rasool Hone Ke Bawajood Ajizi Se The
Quraan Mai Sabse Zyada Zikr Musa (As) Ka Hai,
Musa (As)Galti Hone Par Maafi Maangte.
Ilm Sekhne Ke Lea Sabr Ki Zaroorath Hai.
Ilm Se Sabr Ajaata Hai
Kitni Badi Position Ho To Bhi Ilm Ki Talab Rehna Hai.
Ustaad Ke Saath Shagird Ka Mamla
 Ustaad Ke Saath Shagird Ka Mamla
• Ajizi
• Ehteraam Karna – Bhale Hi Umr Me, Darje Me, Maal Me Kam Ho.
• Sawal Ka Jawab Agar Ustad Na De To Israr Nahi Karna.
• Ustaad Ki Ijazat Ke Bagair Majlis Nahi Chodna
• Ikhtelaf Ho To Bhi Still You Have To Respect Teacher
• Teacher Will Decide Portion
• Ustad Ke Lea Dua Karna.
• Ilm Sikhna Ke Lea Khud Ko Takleef Dena (Ex: Travelling)
• Izzat Dena
• Useless Question Nahi Pochne Chahiye.
• Ustad Ki Narazgi Bardasht Karna.
• Guftugu Ke Waqt Adab Ke Lehaz.
SURA TAHA RABBISH RAHLI SADRI AYAT
 )28- 25:‫ص ْد ِري َو َيسِّرْ لِي أَم ِْري َوحْ لُ ْل ُع ْقدَ ًة ِمنْ ل َِسانِي َي ْف َقهُوا َق ْولِي (سورة طه‬
َ ‫َربِّ ا ْش َرحْ لِي‬
 Aye Mere Rab Khol De Mere Liye Mere Seena Aur Asaan Karde Mere Liye Kaam Mera/ Aur Khol De
Girah Meri Zabaan Ko
TAHA AYAT 15 QAYAMAT KA MANZAR
AYAT 77 RED SEA
PHIROAN
JUZ 17
SURAH HAJJ
Surah hajj ayat no.5. Embrology
Surah hajj. Ayat no 27
Surah hajj. 30-37
JUZ 17
SURAH AMBIYAH
Shirk se bachne ki dua
Ibraheem as ki dua
Zakariya as dua
Ayyub as dua
younus as dua
Surah ambiya big bang theory ayat no. 30
Surah ambiya ayat no. 32. Atmosphere layers
Surah ambiya ayat no.44 earth hot ball
JUZ 18
2.Alaqa
3.Mudgha
JUZ 18 b
Sur Noor -ayat 35.
Tel-noorglass(protection of noor /reflection)
Imanhidayatilm
JUZ 19
‫ۡ‬
‫َ َّ‬
‫ۡ‬
‫ۡ‬
‫لَ َب ۡي َن ُه َماَ َب ۡر َز ٗخاَ َو ِح ۡج ٗرٱَ َّم ۡح ُجو ٗرٱ ‪٥٣‬‬
‫نَ ََٰه َذٱَ َعذبََ ُف َرٱتََ َو ََٰه َذٱَ ِملحََ ُٱ َجاجََ َو َج َع َ َ‬
‫۞و ُه ََوَٱل ِذيَ َم َر َجََٱل َب ۡح َر ۡي ِ َ‬
‫‪Barrier of seas : Soorat Furqan aayat : 53‬‬
JUZ 20
Qayamath ki 3 badi nishaniyan
• Suraj ka maghrib se nikalna
• Dabbatul arz ka nikalna
• Dajjal ka aana
Dabbatul arz(naml –82)
• Ek janwar nikalega ,jo kalaam karega aur insan
samjhenge
• Ek haath Memusa (as) ki asaa hogi jisse wo kaafiron ko
maarega
• Doosre haath me suleiman as ki anghooti hogi jisse
woh mumino ko roshan karega
Surah naml
hud hud bird
Surah naml –61-DO SAMUNDARO KA MILNA
Juz 22
Surah Al Ahzaab
Ayah 35 - Allah ke pasandeeda mard/aurat ke sifaat:
 Allah ke hukm ke aage sar jhukaane waale (Islam me completely daakhil hona)
 Imaan laana – dil se yaqeen karna, zabaan se iqraar aur amal se saabit karna.
 Qunoot – poore dil ke jhukaav ke saath itaat.
 Sache – qaul aur fayl me.
 Sabr karne waale – har haal me isteqaamat.
 Khushoo’ karnewaale – namaazo me aur aam zindagi me.
 Sadaqah dene wale – doosro ki zaroorat bhi poori karte hai.
 Roza rakhne wale – fard aur Sunnah
 Hifazat karne wale – apni sharmgaaho ki.
 Zikr karne wale – subah sham Allah ka zikr
Aise logon ke liye Allah ne tayyar kiya bahut bada ajar.
Ayah 37 - Zaid bin Harith (radiAllahu anhu):
• Wahid sahabi jinka naam Quran me aaya hai.
• Qabeela e Kalb se the.
• Haritha bin Sharjeel ke bete the.
• Jung me qaidi bana kar laaye gaye phir mele me beche gaye.
• Khadija (RA) ke bhateeje – Hakim bin Hizam ne unko khareeda aur apni phuppi Khadija ke hawale
kiya.
• Khadija (RA) ne nikah ke baad Muhammad (SAWS) ko Zaid (RA) tohfe me diya.
• Muhammad (saws) ne unhe apna beta bana liya tha.
• Phir Zaid (RA) ka nikaah Zainab (RA) (aap saws ki phuppizaat behen) se kiya.
• Zaid (RA) se talaq ke baad, Allah ne aap (SAWS) ka nikah Zainab (RA) ka nikah khud karwaya.
Ayah 50:
Aap (saws) se khitaab – ye rukhsat di ja rahi hai ke aap 4 se zyada shaadiyan kar sakte hai. Khaas hukm
khaas zaroorat ki wajeh se Allah ne di. Aish ke liye nahi.
 Khadijah (ra) – talaq shuda thi. Aap(saws) 50 saal ki umr tak inke saath the.
 Sauda (ra) - 50 saal ki bewa thi.
 Aisha (ra) – only virgin (hijrath ke baad), Abu Bakr (ra) se rishtedaari ke liye.
 Umme Salama (ra) – Abu Jahl aur Khalid bin Waleed ke khandaan ki beti thi.
 Hafsah (ra) – Junge Badr ke baad, Umar (ra) se rishtedaari ke liye.
 Zainab (ra) – Zaid (ra) se talaaq ke baad.
 Ghulaam aurton me se – Rehaana (ra), Safiya (ra), Juweriyah (ra) – teeno kitabi aurtein jo
musalmaan hui.
 Umme Habibah (ra) – chacha Abu Sufyan ki beti jinhone hijrath ki.
 Shaadiyon ki wajeh – Daure jahiliyyat ki kuch rasmo ko todne aur qabaaili dushmani khatm karne.
Ayah 53:
• Is ayat ko ayat- e-hijaab bhi kaha jaata hai.
• Umar (RA) kehte the ke aap (SAWS) ke paas ache bure sab log aate hai, kash aap apne azwaaj ko
parde ka hukm dete. Toh Allah ne is ayat ko nazil kiya.
• Iske baad sab azwaaj ke gharo ke samne parda laga diya gaya. Log ek hijaab ke peeche se baat karte
azwaaje mutaharaat se.
• Ummehaatul mumineen se aam mumin ka nikah hamesha ke liye haram kar diya gaya.
Ayah 56 - Nabi (SAWS) par durood bhejna:
• Abdullah bin 'Amr bin Al-'As (RA) – Aap (SAWS) ne farmaya:
“Jo shaqs ek baar mujhpar durood bhejega, Allah taala us par 10 rehmetein nazil karenge, uske 10 gunah
maaf kiya jayenge aur 10 darje buland kiye jayenge.” (Muslim)
• Ali (RA) – Aap (SAWS) ne farmaya:
“Wo shaqs bada bakheel hai jiske paas mera zikr ho aur wo mujhpar durood na bheje.” (Tirmidhi)
• Umar (RA) – Aap (SAWS) ne farmaya:
“Jab tak tum apne Nabi par durood na bhejo, dua zameen aur aasman ke darmiyan maukoof rehti hai.”
(Tirmidhi)
JUZ 23
Hadees :Rasool Allah (s.a.w) ne farmaya :
Rashq to sirf 2 insano par karna chahiye –
1.Jisko Allah Taala ne Quran ka ilm diya ho aur wo din raat uski tilawath karta ho.
2.Jisko Allah Taala ne maal diya ho aur wo use din raat haq ke liye luta raha ho.
Ayat 50 -
Soor Phoonkne Waale ki Tayyari:Nabi Kareem (s.a.w) ne farmaya :
Soor phoonkne waale farishte ko jab se ye zimmedari di gayi hai wo tab se tayyar
halath me apni aankhen Arsh ki taraf lagaye hue hain is baat se darte hue ki kahin
hukm milne se peshtar uski nigah idhar udhar na hojaaye.
Goya ki uski aankhen do Roshan Sitare hai.
Ayat 58 - Ahle
Jannath ki Khush Haali :Nabi Kareem (s.a.w) ne farmaya :
Ek awaaz dene waala awaaz dega (Aye Jannath Waalo) tumhare liye ye tay hogaya ke :
Tum sehathmand rahoge kabhi beemar nahi hoge.
Aur Tum zinda rahoge kabhi faut nahi hoge.
Tum jawaan rahoge kabhi boodhe nahi hoge.
Aur tum khushhaal rahoge tumhe kabhi museebath nahi aayegi.
Juz 27
Surah At Toor -Aayat 26: Hadith:-Aulad Ki Dua Aur Istagfar Se Maa Baap Ke Darje
Buland Hote Hain
 3 Cheezon Ka Sawab Marne Ke Baad Bhi Jaari Rahega
 Sadqa Jariya
 Wo Ilm Jisse Log Fayda Uthate Hain.
 Nek Aulad Jo Unke Liye Dua Karti Ho(Sahih Muslim).
Surah At Toor -Aayat 26: Gharwalon Ke Bare Me Wo Darte The Ke Unko Koi Bura Anjaam Na
Mila.
 Allah Se Darkar Gharwalon Ki Qatir Galat Kaam Nahi Karte The.
 Gharwalon Me Itne Busy Na Hote Ki Allah Ko Bhool Gaye
Surah Najam Ayat 18
 Badi Nishaniyan Jo Aap (S.A.W.S) Ne Dekhi
 Burraq Par Sawari
 Aasmano Par Jana
 Sidratul Muntaha
 Jannat Jahannum
 Nabiyon Se Mulaqat
Surah Rehman- Ayat 17
Interpretation Of This Ayat With Respect To Scientific
Knowledge Is That This Verse Refers To The Two
Solstices , The Summer Solstice
(21st June) & The Winter Solstice (21st December).
These Two Astronomical Points Represent The
Shortest & Longest Days Of The Solar Year And
Consequently The Two Rising Points (East) And
Setting Points (West) Of The Sun Within The Solar
Year When The Location Of The Observer Is Closest
Or Furthest Away From The Sun.