Tareeqa-e-taaleem

Transcription

Tareeqa-e-taaleem
Tareeqa-e-taaleem
Method of Teaching
Taaleem dene ke liye jo tareeqa ikhtiyaar kiya jaaye use “Tareeqa-e-Taaleem
kehte hain.
Saheeh Tareeqa-e-Taaleem ke zariye kam waqt mein bachchon ko ziyaada
faaida hota hai.
Deeniyat nisaab ko padhaane ke liye tajrabaat ki roshni mein tareeqa-e-taaleem
waza' (banaaya) kiya gaya hai jo bahot mufeed hai lihaaza uski ria’ayat ki jaaye
taake mukammal faaida haasil ho.
34. Ijtimai taaleem
Rasoolullah r ke zamaane mein taaleem ka koi khaas waqt muqarrar nahein
tha, lekin aam taur par fajr ki namaaz ke baad kuch log halqe bana kar deen ki taaleem
haasil kiya karte the. Hazrat Ansas t kehte hain ke Sahaaba-e-kiraam y jab fajr ki
namaaz se faarig ho jaate to alag alag halqa bana kar baith jaate, aur qur’ane kareem ,
faraaiz aur Aap r ke bataaye tareeqon ki taaleem haasil kiya karte the.
[Musnad abu y'ala : 4088]
Rasoolullah r bhi kabhi kabhi taaleemi halqon mein jaate aur puchhte ke tum
log kya kar rahe ho, ek martaba chand gareeb muhaajir sahaaba qur’an ki taaleem
haasil kar rahe the, Aap r un ke paas gaye aur puchha tum log kya kar rahe the? unhon
ne kaha ke ek aadmi qur’an padh raha tha aur ham log sun rahe the. aap ne farmaaya:
tamaam taareefein us Allah ke liye hain, jis ne meri ummat mein woh log paida kiye, jin ke
baare mein mujhe hukm diya gaya hai ke mein un ke saath baithun, yeh keh kar aap us
halqe mein baith gaye.
[Abu Daaood : 3666, Abu Saeed khudri t.]
1
Taaleem dene ka aisa munaasib andaaz taalibe ilm mein ilm ka shauq paida
hone ke saath us ka seekhna bhi aasaan ho. Taaleem ke muta'addad tareeqe
hain : jin mein 2 tareeqe mash'hoor hain (A) Infiraadi Taaleem (B) Ijtimaai
Taaleem, Infiraadi taaleem kise kehte hai ? infiraadi taaleem yeh hai ke ustaaz ek
waqt mein ek taalibe ilm ko sabaq padhaaye, phir us ke baad doosre taalibe ilm
ko bulaaye aur us ko bhi sabaq padhaaye, isi tarah teesre, chauthe taalibe ilm ko
ustaaz alag alag bulaayein aur un ko tanha tanha sabaq padhaaye. Is tarah agar
ustaaz ke paas ek ghante mein 20 talaba padhte ho to ek bachche ko ustaaz ke
saamne sirf 3 minute seekhne ko mileinge. Ijtimaai taaleem kise kehte hain?
ijtimaai taaleem yeh hai ke ek ustaaz ek jamaat ke tamaam talaba ko ek saath
padhaaye aur tamaam talaba ek saath padhein, talaba ka poora waqt ek ek
minute padhne aur seekhne mein sarf hoon, ek lamha bhi zaaye na ho, is tarah
agar ustaaz ke paas ek ghante mein 20 talaba padhte hain to har bachche ko
ustaaz ke saamne 60 minute milein.
2
Ijtimaai taaleem ke zariye kam waqt mein ziyaada bachchon ko bahot saari
cheezein aasaani se padha sakte hain.
3
Har madrasa, school aur college mein ijtimaai taaleem hoti hai. Is liye maktab
mein bhi ijtimaai taaleem honi chaahiye.
4
Duniya mein be-shumaar zabaanein hain aur tamaam zabaanon ko seekhne
(padhna, likhna, samajhna aur bolna) ke liye ijtimaai taaleem ka nizaam hai,
lihaaza Arabic zabaan sikhaane ( sirf padhna) ke liye bhi ijtimaai taaleem ka
tareeqa ikhtiyaar karna chaahiye.
5
Ijtimaai taaleem ke zariye ustaaz bachchon par yaksaan tawajjoh de sakta hai,
jiski wajah se bachchon ko sharaarat karne ka mauqa nahein mil paata.
6
Ijtimaai taaleem ki wajah se kam tawajjoh dene waale talaba ya jin bachchon ko
sabaq jald yaad nahein hota woh bhi gair mehsoos tareeqe par (sabaq ka takraar
karne par) sabaq yaad kar lete hain.
7
Ijtimaai taaleem se bachchon mein ek doosre se aage badhne ka jazba paida
hota hai.
8
Ijtimaai taaleem se bachchon mein khud e’timaadi paida hoti hai, aur bachchon
ki jhijhak door hoti hai.
9
Ijtimaai taaleem ke zariya bachchon ko taaleemi maahaul milta hai aur sabaq
darsgaah mein yaad ho jaata hai.
10
Ijtimaai taaleem mein waqt ki bachat hone ki wajah se Nooraani qaaida aur
Qur’an ke alaawa Deen ki zaroori aur buniyaadi baatein bachchon ko aasaani se
padhaayi ja sakti hain.
Ijtimaai taaleem ke liye 5 cheezein zaroori hai.
11
Bachchon ka daakhla saal mein kisi ek hi waqt lein, taake ijtimaai taaleem ke
nizaam mein haraj na ho.
12
Ijtimaai taaleem ke liye darja-waar (standard wise) nisaab ka hona zaroori hai.
13
Ijtimaai taaleem ke liye har bachche ke paas kitaab ka hona zaroori hai.
14
Har bachche ke paas kitaab hone se bachche ko asbaaq yaad karne aur us ka
daur karne mein aasaani hoti hain.
15
Har bachche ke paas kitaab hone ki wajah se us mein urdu imla ki mashq,
muallim aur waalidain ki dastakhat, namaaz chart, aur taalibe ilm ki taaleemi
miqdaar ki jaanch karna aasaan ho jaata hai.
16
Ijtimaai taaleem ke liye takhta-e-siyaah (black board) aur nooraani qaaida chart
par padhaana mufeed hai.
Hazrat Umar t ne to saraahatan black board ke zariye bachchon ko
taaleem dene ka hukm diya tha. Hazrat Umar ne jab deeni taaleem ko aam karne
ki taraf bharpoor tawajjoh farmaayi, aur is ke liye naye makaatib ka ijra kiya aur
muallimeen ko muqarrar kiya to un ko bahot saari qeemti hidaayaat bhi dein,
inhein mein se ek yeh hidaayat bhi thi ke gabi (kamzoor) bachchon ko takhti
(black board) par likh dein aur zaheen bachchon ko bagair kitaab ke zabaani
taaleem dein.
17
[Al-fawaakihud duwaani : 1/176]
Takhta-e-Siyaah par taaleem dene se bachchon ke liye samajhna aur ustaaz ko
samjhaana aasaan ho jaataa hai.
18
Takhta-e-Siyaah ke zariye bachchon ko padhaane se bachchon ki tawajjoh ek
jagah rehti hain aur mazmoon zahan nasheen karna aasaan ho jata hai aur
alfaaz wa huroof ki shakl o soorat zahan mein baith jaati hai.
19
Black Board/ Nooraani qaaida chart padhaate waqt us ke daayein ya baayein
jaanib khade rahein saamne na khade ho, taake bachchon ko nazar aaye.
20
Black Board/ Nooraani qaaida chart par padhaate waqt bachchon ko mukhtalif
sawaalaat ke zariye mutawajjeh rakha jaaye.
21
Black Board/ Noorani Qaaida chart par taaleem dene ke baad jo kuch padhaaya
gaya hai us ko kitaab mein se bhi padhaayein phir bachchon se baari baari
padhaane ke liye kahein.
35. Hidayat Baraaye Ustaaz
1
Har mazmoon padhaane se pehle hidaayat baraaye ustaaz muallim khud padhle
taake ye maaloom ho jaaye ke mazmoon mein kya diya gaya hai aur kaise
padhaana hai.
2
Har naye sabaq ko padhaane se pehle muallim sabaq ka mutaala kar le taake
muqarrara waqt mein mazmoon mukammal ho jaaye.
3
Sab se pehle ustaaz talaba ko darsgaah, masjid, kitaab aur tipaai wagaira ka
adab wa ehtiraam karna sikhlaaye aur waqt ki ehmiyat aur gair haazri ke
nuqsaanaat bataaye.
36. Nizaamul Auqaat
1
Deeniyat Nisaab padhaane ke liye rozaana ek ghante ka waqt muqarrar kiya
gaya hai.
2
Nizaamul Auqaat mein di huwi tarteeb ke mutaabiq mazaameen padhaayein,
qur'an ke liye 40 minute aur baqiya tamaam mazaameen ke liye 5-5 minute
muqarrar kiye gaye hain.
37. Jamaat Bandi
1
Maktab mein maujood talaba ko unki umr ke etibaar se alag alag jamaat mein
taqseem kar dein taake zehni satah ek ho aur padhaane mein aasaani ho.
2
Zeero course ki kitaab paanch saal ki bachchon aur bachchiyon ko padhaayein.
3
Primary course ke saale awwal ki kitaab 6 se 10 saal ke darmiyaan ke bachchon
aur bachchiyon ko padha sakte hain.
4
11/12 saal ke bachchon aur bachchiyon ko primary course no padhaayein, balke
bachchon ko baaligaan saale awwal aur bachchiyon ko mastooraat saale awwal
ki kitaab padhaayein.
5
Jo bachche aur bachchiyaan primary course ke saal suwwam mein aakar 12
saal ke ho jaate hain, to unhein primary course ki saale chahaarum ki kitaab
dekar aage padhaayein aur bachchon ko saale awwal baligaan aur bachchiyon
ko saale awwal mastooraat mein se kuch zaroori masaail sikhaadein. isi tarah
saale chahaarum ke baad saale panjum, shashum aur haftum ki kitaabain aage
padhaate rahein aur bachchon ko baaligaan duwwam aur bachchiyon ko
mastooraat duwwam wa suwwam se zaroori masaail sikhaate rahein aise
bachchon aur bachchiyon ko baaligaan aur mastooraat kitaabein nahi dena hai.
6
Qur’an majeed ki tasheeh sama’at (sunne sunaane) par mauqoof hai lihaaza ek
jamaat mein taqreeban 18 talaba rakhein taake rozaana asbaaq sun ne mein
aasaani ho phir ek waqt (ek ghante) mein ek hi jamaat ko ijtimaai taur par
padhaayein.
7
Maktab mein makhloot jamaat na rakhein taake ek jamaat ko taaleem dene mein
aasaani ho aur ustaaz jamaat ko mukammal waqt (ek ghanta) de sake.
8
Saal ke shuru mein do chaar din talaba ko kitaab padhne ki tarteeb samjhaane
me sarf karein aur padhaaye jaane waale mazaameen ke fazaail (har mazmoon
ke shuru me jo targeeb zikr ki gayi hai) bata kar shauq wa ragbat paida karein.
9
Colour waali kitaab mein colour ke zariye aur black & white kitaab mein tag ke
zariye ustaaz kitaab ke anaaween aur mazaameen ka ta’aruf karaayein.
10
Agr ek hi waqt (ek ghante) mein mukhtalif jamaatein hon to pehle ek jamaat ko
padhaayein, phir un hi mein se kisi zaheen taalibe ilm ko paaband karein, woh isi
tarah apne saathiyon ko padhaata rahe aur ustaaz khud doosri jamaat ko
padhaane mein mashgool ho jaaye. isi tarah baari baari har jamaat ko uska
sabaq padhaaye.
11
Un mukhtalif jamaaton ka sabq sun ne mein bhi halqa bandi ka lihaaz rakhein ke
har halqe ka sabaq alag alag sunein. Us ki shakal yeh hogi ke har halqe mein
talaba rozaana thoda thoda sabaq is tarah sunaayein ke us halqe ke tamaam
bachche bhi sunein. neez dauraane sabaq galatiyon ki islaah bhi is tarah
karaayein ke tamaam talaba ke saamne galati waazeh ho jaaye.
38. Ta’areef aur targeeb
1
Rozaana ek mazmoon se doosre mazmoon ki taraf muntaqil hote huwe us
mazmoon ki ta’areef zaroor padhaayein, ya bachchon se sun lein.
2
Daur ke dinon mein targeebi baat ke zariye bachchon mein tamaam mazaameen
ki ehmiyat wa ragbat paida karein. Targeebi baat ke tahat aayaat aur hadeesein
mukhtasar aur aam fahem di gayi hain aur do chaar jumlon mein un ki tashreeh
bhi kar di gayi hai, use talaba ko padh kar suna dein, alag se mazeed tashreeh
mein waqt bilkul na lagaayein, targeebi baat sunaane ke baad talaba se ek do
sawaal poochh lein taake maaloom ho jaaye ke talaba ise samajh chuke hain.
Masalan Nooraani Qaaide mein targeebi baat sunaane ke baad poochh lein ke
Qur'an ke ek ek harf par kitni nekiyaan milti hain?
39. Sabaq aur daur ke ayyaam
1
Har maheene mein 20 din sabaq padhaane ke, aur 4/5 din chhutti ke honge,
maheene ke aakhir mein 5/6 din poore maheene ka daur karaayein, neez
guzishta maheenon ke asbaaq ka daur bhi in hi ayyaam mein karaate rahein.
2
Doosre paanch maheenon waale mazaameen padhaate waqt daur ke dinon
mein pehle paanch maheenon waale mazaameen ka bhi daur karaate rahein.
Masalan Dua-o-Sunnat ka daur Hifz-e-Hadees ke saath, Aqaaid ka daur Asmaae-Husna ke saath aur Namaaz ka daur Masaail ke saath.
Saal bhar rozaana padhaaye jaane waale mazaameen; Nooraani qaaida/
Nazira-e-Qur’an ma' ijra-e-qawaaid, Hifz-e-Surah.
3
4
Ibtidaai Nisaab ke mazaameen ko pura saal mein is tarah padhaayein.
5
Mazkoora baala mazaameen ke saath saath pehle paanch maheenon mein
padhaaye jaane waale mazaameen: dua wa sunnat, aqaaid, namaaz, islaami
malumaat, bayaan wa dua, arabi, urdu.
6
Mazkoora baala mazaameen ke saath saath doosre paanch maheenon mein
padhaaye jaane waale mazaameen hifze hadees, asmaa-e-husna, masaail,
seerat, aasaan deen, urdu.
40. Maahaana sawaalaat
1
Kitaab ke akheer mein har maheene ke sawaalaat tarteeb waar diye gaye hain,
lihaaza jab ek maheene ka nisaab mukammal ho jaaye to daur karaane ke baad
usi maheene ke sawaalaat talaba se poochh lein.
41. Taarget aur dastkhat
1
Har sabaq ke liye maheene aur dinon ko ek khaane mein zaahir kar diya gaya hai.
In dinon ki riaayat karte huwe tukde kar ke sabaq ko mukammal karein. masalan
sura-e-fatiha ke liye 40 din diye gaye hain. mukammal soorat ko in dinon mein ek
ek, do do aayat taqseem kar ke padhaayein.
2
Har sabq ke liye Maheene aur din muta'yyan kiye gaye hain taake asaatiza ,
talaba, walidain, zimmedaar aur nigraan hazraat ke saamne taaleem ki miqdaar
ka hadaf (target) rahe.
3
Har maheene ke khatam par patti mein asaatiza aur waalidain ke dastkhat ke liye
khaane diye gaye hain.
4
Asaatiza ke saath waalidain bhi fikr mand raheinge aur bachchon ki taaleemi
taraqqi hoti rahegi.
42. Namaaz ki amali mshq aur namaaz chart
1
2
3
4
5
6
7
8
Kitaab ke aakhir mein namaaz ki
nigraani ke liye naqsha diya
gaya hai. Bataaye gaye tareeqe
ke mutaabiq diye gaye khaanon
mein nishaanaat lagaana hai.
Agar namaaz jamaat se ada ki
hai to yeh ü saheeh ka nishaan
lagaayein.
Agar Bagair jamaat ke namaaz
ada ki hai to yeh ¡ nishaan
lagaayein.
Aur agar qaza karli hai to yeh û
nishaan lagaayein.
Aur agar qaza bhi na ki ho to koi
nishaan na lagaayein
Namaaz aur haazri ke naqshon
mein maheena mukammal ho
j a an e ke ba a d k h u d bh i
dastakhat karein aur talaba ko
paaband banaayein ke woh
a p n e s ar p a r a s t on s e b h i
dastakhat karaayein.
Bachpan hi se talaba ke dil mein namaaz ki ehmiyat paida karne ke liye namaaz
ka naqsha diya gaya hai.
Namaaz ka naqsha pur karne ki wajah se jahaan bachche namaaz ki paabandi
karne lagein ge, wahein waalidain bhi namaaz ka ehtimaam karne lagein ge.
Bachchon ko targheeb dein ke Namaaz ka waqt hote hi school mein Namaaz
padh liya karein, warna ghar aate hi padh lein.
Chhutti ke ayyaam se pehle bachchon ko apne apne maqaam par Namaaz
padhne ki targheeb dein aur maktab mein aane ke baad Namaaz chart check kar
lein.
Shuru mein kuchh roz tak muallim Namaaz cahrt par nishaan lagaaye taake
bachche ko maaloom ho ke nishaan kaise lagaana hai. Phir bachche ke
waalidain se pur karaayein taake Namaaz chart waalidain ke liye ek khaamoosh
daawat ho.
Tamaam kalimaate namaaz (sana, tashhud, ruku aur sajde ki tasbeehaat
wagaira) ijtimaai taur par zabaani yaad karaane ke saath saath masnoon
tareeqe ke mutaabiq "wuzu aur namaaz ke tareeqe" ko saamne rakh kar talaba
ko wuzu aur namaaz ki amali mashq hafte mein ek martaba karaayi jaaye.
9
Wuzu ki amali mashq ijtimaai karaayein, us ki soorat yeh hogi ke pehle hafte mein
ek martaba amali taur par khud kar ke bataayein aur phir har hafte talaba se is ki
mashq karaate rahein. Talaba se wuzu ki amali mashq is taur par karaayi jaaye ke
tamaam talaba ko wuzu khaane par le ja kar ek taalib e ilm se wuzu karwaaya
jaaye aur "wuzu ke tareeqe" ke mutaabiq taalib e ilm tamaam sunan wa faraaiz ko
mukammal kar raha hai ya nahein iski nigraani ki jaaye. (munh, haath, per
baraabar dho raha hai ya nahein aur sar ka masah saheeh kar raha hai ya
nahein) aur doosre talaba ko iski taraf mutawajjeh kiya jaaye, jo bachche wuzu ka
tareeqa seekh lein, unko phir har hafte ke bajaaye maheene ya do maheene
mein amali mashq karaayein.
10
Namaaz ki amali mashq ijtimaai karaayein, ustaaz pahle talaba ko Namaaz ka
tareeqa bataaye, iske baad amali mashq karaaye, neez yeh bhi bata dein ki
infiraadi Namaaz padhte waqt kya kya padhenge aur jamaat ke saath kya
padhenge.
11
Talaba se Namaaz ki amali mashq is taur paer karaai jaaye ke unko safon mein
ru-ba-ru khada kar diya jaaye aur ustaaz buland aawaaz se poori Namaaz safon
ke darmiyaan chalte huwe padhaaye aur talaba ki nigraani bhi karta rahe. Yaani
unke khade hone, ruku aur sajda karne ke tareeqe ko dekhta rahe, aur unki
ghalatiyon ko durust karta rahe. Ustaaz ke saath talaba bhi buland aawaaz se
padhein. Jaise ustaaz ‘Allahu akbar’kahe to talaba bhi ‘Allahu akbar’ kahein. Jab
ustaaz ‘Sana’ padhein to talaba bhi ‘Sana’ padhein. Jaise ustaaz padhe
‘Subhaanak Allahumma’ to talaba padhein ‘Subhaanak Allahumma’ ustaaz
padhe ‘Wa bihamdika’ to talaba padhein ‘Wa bihamdika’ aakhir tak. Isi tarah
ustaaz tamaam kalimaat ko padhaata rahe aur talaba unko dohraate rahe aur
padhaane ke andaaz mein mashq karaai jaaye.
12
Jab talaba Namaaz padhna seekh lein to kisi taalibe ilm ko imaam bana kar
Namaaz padhwaayi jaaye. Isi tarteeb se baari baari har taalibe ilm ko Namaaz
padhaane ka mauqa diya jaaye aur khud paabandi se nigraani karta rahe ke
talaba sunnat tareeqe ke mautaabiq Namaaz padh rahe hain ya nahin? Ruku,
Sajda, wagaira sahi kar rahe hain ya nahin? Is tarah amali mashq karaane se har
taalibe ilm sahi tareeqe se Namaaz seekh lega. Agar koi taalibe ilm darmiyaan
saal mein aaye to usko bhi Namaaz ki mashq mein shaamil kar liya jaaye.
13
Maktab mein agar mukhtalif maslak ke talaba hon to un ki alag alag jamaat bana
kar Namaaz sikhaayein.
14
‘Namaaz ka masnoon tareeqa’ ke zimn mein Namaaz ka jo tareeqa diya gaya
hai, woh mu’allima aur talaba ki rehnumaayi ke liye hai.
43. Haazri gair haazri aur fees chart
1
Talaba ki maahaana haazri wa gair haazri aur fees ke liye bhi ek naqsha diya
gaya hai, har maheene ke khatam par ayyaame taaleem, ayyaame haazri wa
gair haazri aur fees ki tafseelaat likh dein.
2
Us se waalidain aur sarparast bachche ki gair haazri maaloom kar ke paabandi
se un ko maktab bhejne ki fikr kareinge.
3
Bachche ki gair haazri maaloom kar ke us maheene ke asbaaq ki kamzoori door
ki ja sakegi.
4
Fees ke column se yeh baat saamne rahegi ke taalibe ilm ne fees ada ki hai ya
nahin? is se maktab ke intizaami umoor mein madad milegi.
Note : Gair haazir talba ke asbaaq ki kamzoori is tarah door ki ja sakti hai ke jis
sabaq mein taalibe ilm gair haazir raha hai agar woh sabaq aage aa raha hai to
thheek hai, aur agar aage nahein aa raha hai aur woh sabaq aisa hai ke us ke
bagair aage ka sabaq samajh mein nahein aa sakta to us ko infiraadi taur par
padha lein ya kisi zaheen taalibe ilm ke supurd kar dein jaise Nooraani Qaaide ka
sabaq ya Urdu ka sabaq aur agar aisa sabaq hai ke us ke bagair bhi aage ka
sabaq samajh mein aa jaayega to us ko chhod dein taake ijtimaaiyyat baaqi rahe
aur us chhode huwe sabaq ko agar waqt aur mauqa ho to daur ke dinon mein
yaad karaane ki koshish karein.
44. Qur’an padhne waale talaba ki jamaat bandi
1
2
3
4
5
6
7
8
Pahle se Qur’an padhne waale
talaba ka sabaq no roka jaaye
balke deeniyat ke saath saath
qur'an padhaaya jaaye.
Agar kisi jamaat mein chand
talaba ke qur'an ka sabaq alag
alag ho masalan ek taalibe ilm
12 paare mein ho aur doosra 14
paare mein ho aur teesra 16
paare mein, to un talaba ko
muallim pehle 15 minute mein
nooraani qaaida padhaakar jald
az jald khatam karaaye, aur
baqiya 15 minute mein qur'an
16 paare se thoda thoda ijtimaai
taur par makhaarij ki mukammal
riaayat ke saath padhaaye, aur
muallim talaba ko chhute huwe
paare apne ghar par padhne ki
targeeb de.
Sabaq padhaane ke baad
talaba se sabaq is taur par suna
jaaye ke ek taalibe ilm sunaaye
aur tamaam talaba sabaq gaur se sunein taake har ek ka sabaq sun ne se woh
sabaq yaad ho jaaye.
Qur'an shuru hone par ustaaz tukde kar ke talaba ko hijje ke saath padhaaye aur
talaba padhe tamaam talaba ek saath qur'an mein dekh kar padhein.
Qur'an ka sabaq sun ne ki tarteeb is tarah ho ke ek taalibe ilm sabaq sunaaye aur
tamaam talaba us ko sune aur agar galat padhe to oopar haath ko uthaaye aur
phir ustaaz un se poochh kar us ki tasheeh kare is tarah tamaam talaba sabaq
sunaayein.
Rawaani se talaba qur'ane kareem padhna na seekh lein jab tak talaba se sabaq
na padhaaya jaaye balke ustaaz khud padhaaye taake bachcha achchhe se
achchha seekhe.
Bachche agar rawaani mein kamzoor hain to sabaq ko 3 dafa padhaaye aur agar
bachche achchha rawa padhna seekh lein to lambi aayaat padhi jaaye.
Jab talaba ko rawaani ke saath qur'an padhna aa gaya aur sab bachche achchha
padhna seekh gaye to sirf talaba sabaq sunaayeinge us ki tarteeb is tarah ho ke
ek taalibe ilm 4 line sabaq sunaaye doosra taalibe ilm us ke aage 4 line sunaaye
is tarah tamaam bachche alag alag 4, 4 line sabaq sunaaye aur talaba hi galati ki
nishaandahi karein, ustaaz sirf nigraani kare aur galati ki islaah karega.
45. Ziyaada waqt dene waale talaba ki tarteeb
1
Ek ghante se ziyaada waqt dene waale talaba ki agar mukammal jamaat ho to un
ka ek saal ka nisaab jald khatam kara ke doosre saal ka nisaab shuru kar sakte
hain.
2
Ek maheene ka nisaab kisi mazmoon mein agar jald khatam ho jaaye to uska
baqiya waqt doosre mazaameen ke liye istimaal kare taake har maheene ka
nisaab tamaam mazaameen mein ek saath rahe aur kitaab bhi ek saath khatam
ho.
3
Agar kisi maheene mein tamaam mazaameen mein nisaab jald mukammal ho
jaaye to qur'an aur zabaan ke mazmoon par mehnat karein.
4
Agar bade bachchon ki jamaat ho aur nisaab jald khatam ho jaaye to agle saal ka
nisaab shuru kar dein.
46. Waalidain se raabta
1
Waalidain se raabte ke liye calendar ka istimaal kare.
2
Ru-ba-ru mulaaqaat ya phone wa sms ke zariye un ko apne bachchon ki taaleem
wa tarbiyat ki fikr dilaayein.
47. Pyaar wa muhabbat se taaleem
1
Muallim talaba ki taaleem wa tarbiyat mein un ki nafsiyaat ka khayaal rakhte
huwe shafqat se padhaaye, neez maar peet aur daant phatkaar se bache.
2
Jis tarah bachchon ki salaahiyat ki taameer kam umri mein ki jaati hai, isi tarah us
ki nafsiyaat ki taameer bhi kam umri mein hoti hai. Yahaan nafsiyaat ki taameer
ke chand usool pesh kiye gaye hain, jo ek shakhsiyat ke kirdaar ko banaane ke
zarrein usool hain.
3
Jis bachche ki har waqt hosla afzaai ki jaati hai us mein khud etimaadi paida hoti
hai.
4
Jis bachche se shafqat ka muaamla kiya jaata hai woh farmaan bardaar ban
jaata hai.
5
Jis bachche se sachchaai ka muaamla kiya jaata hai woh insaaf pasand ho jaata
hai.
6
Jis bachche ko tambeeh ke liye Allah Ta'ala se daraaya jaata hai woh muttaqi ban
jaata hai.
7
Jis bachche ki hamesha maar peet ki jaati hai woh baagi ho jaata hai.
8
Jis bachche ki maang israar karne aur rone ke baad poori ki jaati hai woh ziddi
ho jaata hai.
9
Jis bachche par bharosa nahein kiya jaata woh dhoka baaz ban jaata hai. Jis
bachche par shafqat nahein ki jaati woh mujrim ban jaata hai.
10
Jis bachche ka har waqt mazaaq udaaya jaata hai woh ehsaase kamtari mein
mubtala ho jaata hai.
11
Jis bachche par har waqt tanqeed ki jaati hai woh naafarmaan ho jaata hai.
12
Jis bachche ko mauhoom cheezon se daraaya jaata hai woh buzdil ho jaata hai.
13
Jis bachche par har waqt gussa aur daant phatkaar ki jaati hai woh ladaaku ban
jaata hai.
14
Jis bachche par har waqt gussa aur daant phitkaar ki jaati hai us ke zahen mein
tension paida hota hai, jo un ko zara zara si baat par gusse ka aadi banaata hai.
15
Bachche ko maarpeet karne waale murabbi se unsiyat ke bajaaye bo'd (doori)
paida hota hai.
16
Baaz asaatiza maar peet karne mein had se tajaawuz kar jaate hain, jis se talaba
ko jismaani nuqsaan pahonchta hai. Basa auqaat aisa ustaaz shariat mein
zaalim qaraar paata hai, lekin woh maar peet ko apna haq aur sawaab ka
haqdaar samajta hai.
17
Maar peet ki wajah se baaz talaba taaleem tark kar dete hain, ya un ke waalidain
hi maar peet ki wajah se taaleem tark karwa dete hain.
18
Baaz martaba maar peet ki wajah se bachche ghar se bhag jaate hain jis ki wajah
se woh bure logon ke haath chadh jaate hain, aur un ki zindagi barbaad ho jaati
hai, station par aksar aise bachche milte hain.
Note : Idara-e-deeniyat ne muallim aur zimmedaar ki nafsiyaat * par alag alag
kitaab tayyaar ki hai us ka mutaala kare.
48. Mu’allim Bachchon ko sunnaton ki targeeb
dein aur nigraani karein.
1
Ustaaz ko padhi huwi baaton par amal karne ki targeeb de aur uski nigraani bhi
kare. masalan bachchon ko izaar takhnon se ooncha rakhne ki taakeed kare,
masjid aur maktab mein daakhil hote waqt ki sunnat par amal, paani peete waqt
sunnat ka ehtimaam wagaira wagaira.
49. Sachchi kahaaniyaan aur tarbiyati baatein*
1
Bachche waaqiaat se dilchaspi lete hain aur un se milne waala sabaq dilon par
naqsh ho jaata hai, isi garz se idara-e-deeniyat ne bachchon ke liye sachchi
kahaaniyaan aur tarbiyati baatein naami kitaab tayyaar ki hai, jise muallim
rozaana talaba ko dilchasp andaaz mein padh kar sunaaein taake talaba mein
ilm ka shauq aur amal ki targeeb paida ho.
2
Is kitaab ke 5 hisse hain, jinhein ibtidaai nisaab ki paanchon kitaabon ke saath
darja waar padhaaya jaaye, yaani pehle saal ki kitaab padhne waale talaba ko
kahaani ki pehli kitaab padh kar sunaaein, isi tarah doosri kitaabein.......
50. Baaligaan ko padhaane ki tarteeb
1
Baaligaan wa mastooraat ko un ki nafsiyaat ka khayaal karte huwe padhaayein
aur bachchon waala tarz ikhtiyaar na karein, masalan qur'ane kareem ki tasheeh
aur huroof ki adaaigi itni karaadein ke lahne jali se bach kar tilaawat kar sakein,
un ki aamad wa raft aur haazri mein kotaahi par daant dapat na karein, balke
hikmat se paabandi aur haazri par aamada kiya jaaye.
2
Baaligaan wa mastooraat ko qur'ane kareem aur hadeese nabwi se qareeb
karne aur amal ka shauq wa ragbat paida karne ke liye sabaq khatm hone ke
baad akheer mein rozaana "Sirf 5 minute ka madrasa" * naami kitaab padh kar
sunaaein.
Nigraani
Supervise
Deeniyat centre ki hidaayaat ke mutaabiq maktab ka nizaam aur bataaye huwe
tareeqa-e-taaleem ke mutaabiq nisaab jaari hai ya nahi? is ki dekh rekh aur is mein
muaawanat ko maktab ki nigraani kehte hain.
Rasoolullah r ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, aap un ki nigraani bhi
kiya karte, agar sab kuch thik paate, to un ka hosla badhaate aur un ko mazeed targeeb
diya karte the, Hazrat Abu Saeed khudree t kehte hain ek martaba sahaaba-e-kiram ek
jagah bethh kar qur'ane kareem padh rahe the aur duaaein kar rahe the, itne mein
Rasoolullah r tashreef laaye, jab hum ne aap ko dekha to hum log khaamoosh ho gaye,
aap ne farmaaya; kya tum log falaan falaan kaam nahein kar rahe the? hum ne kaha;
haan. aap ne farmaaya; jaisa tum kar rahe the, waisa hi karte raho, phir aap hamaare
saath beth gaye aur farmaaya; khushkhabri ho gareeb muhaajireen ko, tum jannat mein
maaldaaron ke muqaable mein 500 saal pehle jannat mein jaaoge.
[Musnade Ahmed : 11915]
Aur agar kuch kami paate to us par rok tok bhi kiya karte the. Hazrat Abu Huraira t
kehte hain ke rasoolullah r hamaare paas aaye, us waqt hum log taqdeer ke baare mein
jhagad rahe the, yeh dekh kar aap gussa ho gaye, hatta ke aap ka chehra surkh ho gaya,
aisa lagta tha ke aap ke chehre par anaar nichod diya gaya ho, phir farmaaya; kya
tumhein iska hukm diya gaya hai, ya farmaaya; kya mujhe isi ke liye bheja gaya hai?
yaqeenan tum se pehli qaumein isi baat mein jhagadne ki wajah se halaak ho gayi,
tumhe mein qasam deta hoon ke is muaamle mein kabhi jhagda na karo.
[Tirmizi : 2133]
Us ke alawa rasoolullah r ne mulki paimane par bhi taaleem ki nigraani ka
intizaam farmaaya tha, ulma-e-kiraam ne likha hai ke Huzoor r ne sube waar
darsgaahon ka me'yaare taaleem buland karne ke liye suba-e-yemen mein ek sadar
naazime taaleeemaat muqarrar kiya tha, jo mukhtalif azlaa aur taaluqa mein daura karke
wahaan ki taaleem aur darsgaahon ki nigraani karta tha.
[Taareekhe Tabri, bahawaala-e-Ohde nabwi mein nizaame taaleem : 70]
51 Maktab ki nigraani
1
Maqaami zimmedaar maktab ki nigraani kare aur jin makaatib mein sadar
mudarris ya mohtamim ho to un ke zariye nigraani ki tarteeb banaayi jaaye.
2
Maktab ki nigraani ka maqsad maktab ke taaleemi me’yaar ko buland karna aur
maktab ke deeniyaat nisaab wa nizaam ko sahi tareeqe ke mutaabiq chalaana
hai.
3
Maqaami zimmedaar maktab ki nigraani aasaani se kar sakte hain, kyun ki woh
maktab ke qareeb rehte hain aur maktab mein rozaana aa sakte hain.
4
Maqaami zimmedaar maktab ki nigraaani ziyaada firkmand ho kar kar sakte hain
kyun ke padhne waale aksar talaba un ke ilaaqe aur khaandaan ke honge.
5
Maktab ki nigraani maqaami zimmedaar karta hai to asaatiza ko maktab
me’yaari banaane mein madad milti hai, aur fitri taur par un ko un ki fikr ziyaada
hogi.
6
Maqaami zimmedaar fikr mand ho aur maktab ki nigraani karta ho to phir
asaatiza bhi fikr ke saath taaleem par tawajjoh dete hain.
7
Nigraani se maktab ka taaleemi me’yaar buland hota hai.
8
Nigraani se asaatiza ko taaleemi rehnumayi milti hai, aur is silsile me dar pesh
dushwaariyaan door hoti hain.
9
Nigraani se maktab ka nizaam baraabar chalta hai.
10
Nigraani se maktab ka nisaab mutta'yyan waqt par poora hota hai.
11
Nigraani se Idare ke tamaam afraad; muallim, sadar mudarris, mohtamim aur
trustee Hazraat fikrmand rehte hain.
12
Nigraani se kamiyon aur Khaamiyon ka pata chalta hai aur inhe aasaani se door
kiya ja sakta hai.
13
Maqaami zimmedaar maktab mein chand baaton ko zaroor dekhe.
14
Ustaaz ka tareeqa-e-taaleem ijtimai hai ya nahi?
15
Maheene waar nisaab mukammal huwa he ya nahi?
16
Kitaab ke akheer mein diye gaye sawaalaat mein se maheene ke eitbaar se
sawaalaat kar ke dekh le ke bachchon ko mazaameen yaad hain ya nahi?
17
Talaba ka namaaz chart pur hai ya nahi? namaz ki amli mashq karaai ja rahi hai
ya nahi?
18
Talaba se padhi huwi baaton par amal karne ke baare mein maaloom karein,
agar amal nahein kar rahein hain to targeeb de kar unhein amal par khada karne
ki koshish karein.
19
Baaligaan course padhne waale talaba ko qaza-e-umri ka chart dilwaaye aur un
ko qaza Namaaz padhne ki targeeb de.
20
Maktab ka maahaul barqaraar rakhne ki asal zimmedaari to maqaami
zimmedaar ki hai, aur ustaaz is mein zimmedaaron ki muaawanat karein.
21
Maktab mein safaai ki aur us ke lawazimaat ki nigraani karein aur dekhein ke
bachchon ko baithne ke liye chataai/ qaaleen, tipaayi, blackboard aur tamaam
cheezein hein ya nahien aur agar nahien hain to us ke intizaam ki fikr karein.
22
Maktab ka Jaaiza lete waqt is ki bhi fikr karein ke har bachcha uniform pehan kar
aa raha hai ya nahien aur agar nahi aa raha hai to us ke uniform ka nazm karein.
23
Maktab ka jaaiza lete waqt is baat ko khaas taur par dekhein ke kitaabein har
bachche ke paas hain ya nahien .
24
Maktab ke kutubkhaane ka jaaiza lete rahein aur jin kitaabon aur saamaan ki
zaroorat ho us ko muhayya karne ki fikr karein.
25
Maktab mein talaba aur muallim ki haazri ke liye haazri register ka intizaam kare
aur us ka jaaiza leta rahe
26
Talaba ki haazri aur gair haazri ke mutaalliq maqaami zimmedaar muallim se
muzaakra kiya kare.
27
Maktab chhod kar chale jaane waale talaba ke baare mein asaatiza se
mashwara kare aur talaba ke waalidain se mulaaqaat kare.
28
Waqt aur haazri ki paabandi karne waale talaba ki hausla afzaai ke liye chocolate
wagaira ka intizaam kare taake un mein maktab aane ka shauq badhe.
29
Jo bachche uniform pahan kar nahein aa rahe hain, maqaami zimmedaar un ko
uniform ki targeeb de.
30
Muallim se maktab ke baare mein muzaakra karta rahe aur pesh aane waale
masaail ko muallim aur maqaami nigraan ke zariye hal kare.
31
Muallim maktab ke maahaul ko barqaraar rakhne ke liye maqaami zimmedaar ka
taawun kare.
32
Muallim maktab ke maahaul ko achchha banaane ke liye bachchon ki zahen
saazi kare masalan uniform pahen kar aane aur maktab me safaai ka khayaal
rakhne ki bachchon ko targeeb de.
33
Maqaami zimmedaar maqaami aalim ya maqaami nigraan ke zariye apne
maujoodgi mein maktab ka har maah ya har do maah mein ek martaba qur'an
shareef aur deeniyat kitaab ka jaiza dilaaye taake maktab ka taaleemi me’yaar
maaloom ho aur un ki muaawanat se maktab ko munazzam kiya ja sake.
*Idara-e-Deeniyat mein Order de kar mangwa
sakte hain.
52. Munazzam makaatib ki mehnat
Maktab
Maktab
Maktab
1
Maktab ka zimmedaar apne maktab ko munazzam karte huwe ilaaqe mein
munazzam makaatib qaaim karne ki fikr kare.
Deeniyat Munazzam Maktab ke Fawaaid
1.
Har bachcha Qur'an Tajweed ke saath padhega, saath saath Hadees, Aqaaid-oMasaail, Seerat, Urdu aur Arabi bhi Seekhega. Insha Allah
2.
Imaaniyaat aur Ibaadaat ke saath saath Insha Allah Muaamalaat, Akhlaaqiyaat
aur Muaasharat bhi bachche seekheinge.
3.
Har insaan farz-e-ain (zaroori ilm-e-deen) seekh kar us par amal karega, is se
Deeni maahol aur roohaani fiza qaaim hogi. insha Allah
4.
Ijtimaai taaleem ke zariye bachchon ko bahot zyaada waqt milega aur bachchon
ki taa'daad mein kai guna izaafa ho jaayega. Insha Allah
5.
“Munazzam Maktab (Organized Maktab)” Fees ke zariye khud kafeel ho kar
hamesha chalta rahega. Insha Allah
6.
Har ilaaqe ke bachche 15 saal tak deen seekheinge aur mardon, auraton ko bhi
deen seekhne ka mauqa milega.
7.
Har maktab mein ziyaada asaatiza ko deeni khidmat ka mauqa milega aur
masjidein aabaad ho jaayegi. Insha Allah
8.
Insha Allah har shakhs ko maaloom hoga ke Islaam aman pasandi
ka mazhab hai.
9.
100% Ummat mein Allah ka hukm aur Rasoolullah (e) ka tareeqa aayega, jis se
woh Insha Allah duniya wa aakhirat mein kaamiyaab hogi.
53. Qur'ane kareem
Qur’ane kareem ki khidmat ko apni sa'adat samjhte huwe aur tilaawat karne waale
afraad ki aasaani ke liye saaf suthre computerized font mein tahseen wa tazyeen ke
saath 13 aur 15 line ka Qur'an shaaye' kiya gaya hai.
54. Qur'an ka paigaam
Is kitab ke zariye ummat ko Qur'an ke paigaam se mukhtasar waqt (10 min) mein waaqif
karaane ki koshish ki gayi hai jis ki tarteeb mein is baat ka lihaaz rakha gaya hai ke
Qur'ane kareem ke har paare ke ek ek pao ko le kar us ke chand mazaameen par roshni
daali gayi hai aur ek safha par ek hi pao ke mazaameen hai taake Ramazan-ul-Mubarak
ki taraaweeh mein jitna Qur'an padha gaya hai Taraaweeh aur witr ke darmiyaan un
mazaameen ko padh kar sunaaya ja sake.
55. 5 Minute ka Madrasa
Ummate muslima ko Allah Ta’ala ki kitaab aur Rasoolullaah r ki sunnat se qareeb karne
aur ummat mein deen ka shu’oor paida karne, us ko seekhne aur us par amal karne ka
shauq wa ragbat paida karne ki garz se is kitaab mein deen ke mash’hoor 5 shobe;
Imaaniyaat, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat se mutaalliq baaton ko
qur’an wa hadees ki roshni mein 10 anaaween ke tahat islaami mahine ki tarteeb par.
jama kiya gaya hai. is mein ikhtalafi baton se parhez kiya gaya hai
56. Khutbaate Juma
Is kitaab me maujooda haalaat ke etibaar se mukhtalif unwaanaat par nihaayat sahal aur
aasaan andaaz mein arabic khutbaat pesh kiye gaye hai, Jin mein ikhtilaafi baaton se
parhez kiya gaya hai taake ummat ka har tabqa us se faaida utha sake, Phir mukhtasar
tashreeh ke saath un ka tarjama urdu zabaan mein kiya gaya hai taake arabic khutba ki
tamaam baatein wazaahat ke saath awaam ke saamne aajaaye.
Electronic Media ke Zariye ilm deen ko ummat
tak pahunchaana
Aaj ke taraqqi yaafta daur mein Eloctrnic media ko bhi taaleem ki isha'at mein ehmiyat ka
darja haasil hai, Us ke zariye bhi Internet ke waaste se jagah jagah smart class qaaim ki
ja sakti hai, digital screen board, computer, laptop, smart phones ko bhi deeni taaleem
hasil karne aur us ki isha'at ka zariya banaaya ja sakta hai, is silsile meim idara koshish
kar raha hai ke shariat ke daaire mein rehte hue is ko istemaal karein.
Aap hamaari web site www.deeniyat.com par hamaari saari kitaabein aur masnooaat
ko dekh sakte hain aur use mangwa kar faaida haasil kar sakte hain.
1 Ilme Deen
Ilme Deen ki ahmiyat wa zaroorat se koi saahibe Imaan inkaar nahin kar sakta; kyun ke jo
shakhs Allah aur us ke Rasool par Imaan rakhta hai aur marne ke baad dobaara zinda hone, apne
ek ek amal ka hisaab dene aur achchhe amal par Jannat aur bure amal par Jahannam mein jaane
ke "Khudaai faisle" par yaqeen rakhta hai. Yaani aakhirat ki haqeeqat ko tasleem karta hai, to zaahir
hai ke us ka pehla farz yahi hai ke woh yeh maaloom kare ke zindagi guzaarne ke liye woh kaun se
ahkaam wa hidaayaat hain, jo Allah aur us ke Rasool ki taraf se hamein diye gaye hain, jin par amal
karne ke baad hamein duniya aur aakhirat ki bhalaai aur kaamiyaabi mil sakti hai.
Number 1 Allah Ta'ala ko raazi wa khush karne ki buniyaad hi ilme Deen par hai: Jab
Rasoolullah r par pehli wahi utri aur duniya ko ek "naya paigaam" milna shuru huwa, to us pehli
wahi hi mein padhne aur qalam ka tazkira kiya gaya.
Allah Ta'ala irshaad farmaate hain: "(Aye Nabi!) Padho apne parwardigaar ka naam le kar jis ne
sab kuchh paida kiya, us ne insaan ko jame huwe khoon se paida kiya hai, padho aur tumhaara
Parwardigaar sab se ziyaada karam waala hai, jis ne qalam se taaleem di, insaanon ko us baat ki
taaleem di jo woh nahin jaanta tha.
[Sura-e-Alaq: 1- 5]
Is pehli wahi mein hi taaleem aur qalam ka tazkira kar ke goya duniya ko is se yeh paigaam
dena tha ke shareeat ke mutaabiq zindagi guzaarne aur Allah ko raazi wa khush karne ki buniyaad
hi ilme Deen padhne aur padhaane, seekhne aur sikhaane par hai.
Number2 Ilme Deen haasil karna har musalmaan mard wa aurat par farz hai: Jo shariat ke
mutaabiq zindagi nahin guzaarega, zaahir hai ke Allah Ta'ala ki raza use haasil nahin ho sakti aur
woh duniya wa aakhirat mein kaamiyaab nahin ho sakta. Isi wajah se Rasoolullah r ne bhi saaf taur
par ilme Deen haasil karne ko ummat par farz qaraar diya hai. Aur is ke liye umr ki koi qaid nahin
lagaayi hai. Is liye insaan chaahe umr ke jis marhale mein ho us ke liye buniyaadi ilme Deen ka
seekhna farz hai. Aap r ka irshaad hai: Ilme Deen ka haasil karna har musalmaan par farz hai.
[Ibne Maajah: 224, Anas t]
Number 3 Sahaaba-e-Kiraam y ilme Deen haasil karne ka bahot ehtimaam karte the:
Makkah Mukarramah mein jin logon ne Islam qubool kiya tha woh "Daare Arqam" mein jama hote
aur Huzoor r se "Islami ahkaam" seekhte the. Nubuwwat ke doosre saal jab Madeenah
Munawwarah se 12 shakhs aaye aur Aap r se Islam ki bai'at ki, to waapsi ke waqt unhon ne Huzoor
r se yeh bhi kaha tha ke aye Allah ke Rasool! Hamaare saath kisi ek muallim ko bhej deejiye, jo
hamein Islami ahkaam sikhaaye, Rasoolullah r un ke saath Hazrat Mus'ab bin Umair t ko bheja
tha. Bukhari Sahreef ki riwaayat hai ke Hazrat Umar t farmaate hain: Main aur mera Ansaari
padosi awaali-e-Madeenah ke ek gaaon Banu Umaiya bin zaid mein rahte the, ham donon baari
baari Rasoolullah r ki khidmat mein haazir hote the. Ek din woh aata aur ek din main aata. Jis din
main aata us din ki wahi ki aur doosri baaton ki us ko ittila deta tha, aur jab woh aata, to woh bhi isi
tarah karta.
[Bukhaari: 89, Umar t]
Isi tarah ke aur bhi bahot saare waaqiaat hain, jin se ilme Deen haasil karne ke taalluq se
Hazraat Sahaaba y ke be-intiha ehtimaam aur fikr ka pata chalta hai.
Number 4 Ummat par 2 zimmedaariyaan hain, khud ilme Deen seekhna aur doosron ko
bhi sikhaana: Is ummat ke liye jahaan yeh zaroori hai ke woh khud Deen seekhe aur Deen ki
samajh haasil kare, wahin us ke liye yeh bhi zaroori hai ke doosron ko bhi Deen sikhaaye aur un
mein Deeni shuoor paida kare.
Rasoolullah r ne farmaaya: Tum log Qur'aan seekho aur logon ko sikhaao, tum log ilm seekho
aur logon ko sikhaao aur Faraaiz (meeraas ka ilm) seekho aur logon ko sikaao, is liye ke main
duniya se utha liya jaaunga aur ilm bhi anqareeb utha liya jaayega; yahaan tak ke 2 aadmi ek farz
hukm ke baare mein jhagdenge, lekin un ko bataane waala koi nahin milega.
[Shobul Imaan: 1668, Abdullah bin Masood t]
Waaqia: Madeenah Munawwarah mein ek qabeela aabaad tha, jin ko "Ash'ariyyeen" kaha
jaata tha, yeh log to ilme Deen se waaqif the magar unheen ke pados mein kuchh dehaati log aa kar
aabaad ho gaye the, jo ilme Deen se naawaaqif the, aur is se badh kar woh ilme Deen seekhne ki
fikr bhi nahin kar rahe the aur na hi woh padhe likhe qabeele waale un par koi tawajjoh de rahe the,
Rasoolullah r ko jab un logon ki is kotaahi aur gaflat ka ilm huwa, to Aap r ne un ko sakht tambeeh
farmaayi, aur Deen ki baatein jaanne waale aur na jaanne waale donon qism ke logon ki alag alag
zimmedaariyon ko saaf aur waazeh taur par bayaan kiya aur farmaaya: Yaad rakho! Jo log ilme
Deen se waaqif hain aur is ki samajh boojh rakhte hain, un ki yeh zimmedaari hai ke na jaanne
waalon ko Deen sikhaayein aur waaz-o-naseehat ke zariye un ki islaah wa tarbiyat ki koshish karte
rahein. Aur jo log Deen se naawaaqif hain un ki yeh zimmedaari hai ke woh jaanne waalon se Deeni
ahkaam seekhein aur apne andar Deen ki samajh paida karein, warna ham donon qism ke logon ko
isi duniya mein saza denge. Chunaanche qabeela-e-Ash'ariyyeen ke logon ne Huzoor r se ek saal
ki mohlat maangi, Aap r ne un ko mohlat de di, phir yeh log ek saal tak apne pados ke un
dehaatiyon ki taaleem wa tarbiyat mein lag gaye.
[Kanzul Ummaal: 8457, Abza Khuzaa'ee t, Mafhoom]
Number 5 Jo ilme Deen jaante hain aur jo nahin jaante baraabar nahin ho sakte: Ilme
Deen duniya ki sab se qeemti daulat hai ise haasil karna badi khushnaseebi aur sa'aadat ki baat
hai, is liye ke ilme Deen haasil karne ki Qur'aan wa Hadees mein beshumaar fazeelatein bayaan ki
gayi hain.
Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaate hain: (Aye Nabi!) Aap (logon se) keh deejiye kya woh jo
jaante hain aur jo nahin jaante, sab baraabar hain? (Hargiz sab baraabar nahin hain).
[Sura-e-Zumar: 9]
Number 6 Taalibe ilm ke liye farishte apne paron ko bichha dete hain: Abu Daaood
Shareef ki ek Hadees mein Aap r ne irshaad farmaaya: Jo banda (Deen ka) ilm haasil karne ke liye
kisi raaste par chalta hai to Allah Ta'ala is ke badle mein us ko Jannat ke raaston mein se ek raaste
par chalaate hain. Aur beshak Allah ke farishte ilme Deen haasil karne waalon ki razaamandi aur
khushnoodi ke liye apne paron ko bichha dete hain, aur bila shubah aalim ke liye aasmaan wa
zameen ki saari makhlooq magfiraqt ki dua karti hai, yahaan tak ke paani ke andar rahne waali
machhliyaan bhi (un ke liye duaa e magfirat karti hain). Aur beshak ek aalim ko ibaadatguzaar
bande par aisi hi fazeelat haasil hai jaisa ke chaudhween raat ke chaand ko baaqi sitaaron par aur
yaqeenan Ulama Ambiya
ke waaris hain aur Ambiya
ne apne tarke mein dirham wa deenaar
(rupiye paise) nahin chhoda hai, balke unhon ne apne tarke mein sirf ilm chhoda hai, is liye jis ne is
ilm ko haasil kar liya us ne bahot badi kaamiyaabi haasil kar li.
[Abu Daaood: 3641, Abu Darda t]
Ek Hadees mein Aap r ka irshaad hai: Jo banda ilm haasil karne ke liye nikla woh waapas aane
tak Allah ke raaste mein hai.
[Tirmizi: 2647, Anas t]
Number 7 Behtareen insaan woh hai jo Qur'aan seekhe aur sikhaaye: Bukhaari Shareef ki
riwaayat hai ke Huzoor r ne irshaad farmaaya: Tum mein behtareen woh hai jo Qur'aan seekhe aur
[Bukhaari: 5027, Usman t]
sikhaaye.
Ek Hadees mein hai ke Aap r ne Hazrat Abu Zar t se farmaaya ke aye Abu Zar! Tum subah ja
kar Qur'aane Kareem ki ek aayat seekh lo yeh tumhaare liye 100 rakat padhne se afzal hai aur tum
subah ja kar ilm ka ek mazmoon seekh lo yeh tumhaare liye 1000 rakat padhne se afzal hai.
[Ibne Maajah: 219, Abu Zar t]
Number 8 Islam ko zinda karne ke maqsad se ilme Deen haasil karna chaahiye: Ilme
Deen ek roshni hai, jis se insaan bhalaai aur buraai ki tameez karta hai, haq aur baatil ko
pehchaanta hai aur is roshni mein insaan seedhe raaste par chalta hai, is liye ilme Deen ko isi
maqsad se haasil karna chaahiye, yaani niyyat yeh honi chaahiye ke is ilm ko haasil kar ke ek
paakeeza zindagi guzaarenge, haq ke raaste par chalenge aur baatil se door rahenge, aur is ilm ki
roshni mein doosron ko rehnumaai karenge, aur un ke zariye apne Khaaliq ko raazi aur khsuh
karne ki koshish karenge. Rasoolullah r ne farmaaya: Jis shakhs ko is haal mein maut aa jaaye ke
woh ilm haasil kar raha ho aur is se us ka maqsad Islam ko zinda karna ho, to Jannat mein us ke aur
Ambiya ke darmiyaan sirf ek darje ka farq hoga.
[Sunane Daarmi: 362, Hasan t]
Abu Daaood Shareef ki ek riwaayt hai: Rasoolullah r ne farmaaya: Woh ilm jis se Allah Ta'ala ki
razamandi chaahi jaati hai, agar us ko koi duniya ki daulat kamaane ke liye haasil karega to woh
qayaamat mein Jannat ki khushbu se bhi mahroom rahega.
[Abu Daaood: 3664, Abu Hurairah t]
Aap r ne yeh jo farmaaya ke "Woh ilm jis se Allah ki razaamandi chaahi jaati hai" us se muraad
Qur'aan wa Hadees ka ilm hai; kyun ke yahi woh ilm hai jis ko haasil kar ke aur jis par amal kar ke
insaan Allah ko raazi kar sakta hai.
Number 9 Qur'aan seekhne aur ilme deen haasil karne ke liye maktab behtareen zariya
hai: Oopar di gayi ahaadees mein qur'aan seekhne aur ilme deen haasil karne ki fazeelat bayaan ki
gayi, is fazeealt ko haasil karne ke liye maktab behtareen zariya hai, maktab ke zariye bachchon ke
deen wa imaan ki hifaazat hoti hai, maktab mein unhein achchhe akhlaaq ki taaleem di jaati hai aur
islaami tahzeeb aur saleeqa mandi sikhaayi jaati hai, agar maktab nahein hoga, to bachche qur'aan
seekhne aur ilme deen se mahroom reh jaayeinge aur qayaamat ke din ham se us ke baare mein
poochha jaayega, lihaaza hamaari zimmedaari hai ke ham maktab qaaim karein aur us mein apne
bachcon ko qur'aan aur ilme deen sikhaayein.
Number 10
Maktab shuru karne ke baad use munazzam tareeqe se chalaayein:
Ilaaqe ke fikr mand hazraat ka yeh kaam hai ke woh maktab shuru hone ke baad use munazzam
tareeqe se chalaayein, us ki wajah se bachche saheeh tareeqe se taaleem haasil kar sakeinge,
tajweed ke saath qur'aan padhna seekheinge aur deen ki bahot saari baatein bhi jaan leinge, agar
munazzam tareeqe se maktab nahein chalaaya gaya, to is se bachchon ko khaatir khwaah faaida
nahein hoga, un ka qur'aan bhi saheeh na hoga aur woh deen ki baatein bhi mukammal taur par
nahein seekh sakeinge, jis ki wajah se un ke seekhne ki zindagi ka yeh qeemati waqt zaaye ho
jaayega, is liye fikr mand hazraat maktab ko saheeh dhang se chalaayein aur bachchon ke in
qeemati auqaat ka saheeh istemaal karein.
Qur’aan wa Hadees ki roshni mein diye gaye khutbe ka khulaasa
Aaj ke is khutbe se pehli baat hamein yeh maaloom huwi ke Allah Ta'ala ko raazi aur khush
karne ki buniyaad hi ilme deen par hai. Doosra paigaam yeh mila ke ilme Deen haasil karna har
musalmaan mard wa aurat par farz hai. Teesri baat yeh maaloom huwi ke sahaaba-e-kiraam y
ilme Deen haasil karne ka bahot ehtimaam karte the. Chauthi baat yeh maaloom huwi ke ummat
par 2 zimmedaariyaan hain: Khud ilme Deen seekhna aur doosron ko bhi sikhaana.
Paanchween baat yeh maaloom huwi ke jo ilme Deen jaante hain aur jo nahin jaante baraabar
nahin ho sakte. Chhati baat taalibe ilm ki fazeelat ke baare mein yeh maaloom huwi ke farishte
us ke liye apne paron ko bichha dete hain. Saatwein baat yeh maaloom huwi ke behtareen
insaan woh hai jo Qur'aan seekhe aur sikhaaye. Aathhwaan ahem paigaam yeh mila ke Islam
ko zinda karne ke maqsad se ilme Deen haasil karna chaahiye. Naween baat yeh maaloom huwi
ke qur'aan seekhne aur ilme deen ke haasil karne ka behtareen zariya maktab hai. Dasween
baat yeh maaloom huwi ke maktab shuru hone ke baad use munazzam tareeqe se chalaana
zaroori hai, warna bachchon ko khaatir khwaah faaida nahein hoga. Bahar haal ilme deen se
mutaalliq ek momin ki kayi zimmedaariyaan hain. (1) Ilme deen seekhna (2) Saheeh niyyat se
(Allah ki raza ke liye) seekhna (3) Khud amal karna (4) Doosron ko sikhaana (5) Saheeh niyyat se
(Allah ki raza ke liye) sikhaana.
Bade khushnaseeb aur bade maqaam wa martaba waale hain woh log jo ilme Deen ke in
tamaam taqaazon ko poora karte hain aur is ke huqooq wa aadaab ki poori riaayat karte hain.
Lihaaza hamein chaahiye ke ham apne mohallon aur apni masjidon mein bachchon ke saath
saath baaligaan ke liye bhi Munazzam Makaatib qaaim karein aur buniyaadi ilme Deen haasil
karein.
Lihaaza aaj ke is khutbe mein ilm ki ahmiyat aur fazeelat ke mut'alliq jo baatein Qur'aan wa
Hadees ki roshni mein bayaan ki gayi hain, ham in ko apne saamne rakhein aur hamesha in ke
mutaabiq amal karne ki koshish karein.
Allah Ta'ala se dua karte rahein ke woh hamein zaroori buniyaadi ilm haasil karne ki taufeeq
ata farmaaye aur hamaari khidmaat ko qubool farmaaye. (Aameen)
2 Deeni Taaleem aur Makaatib
Deeni taaleem hamaari buniyaadi zaroorat hai, is ko haasil kiye bagair ham Islami tareeqe ke
mutaabiq zindagi nahin guzaar sakte; kyun ke hamaari rohaani zindagi nek amal par qaaim hai aur
bagair ilme Deen ke nek amal naamumkin hai, ilme Deen ki isi ahmiyat ki wajah se jab Aap r par
pehli wahi naazil huwi, to us mein padhne padhaane aur qalam ka tazkira kiya gaya, jo husoole ilm
ka ek ahem zariya hai. Balke Aap r ki besat ka ek azeem maqsad aur Aap ki zimmedaariyon mein
se ek ahem tareen zimmedaari kitaab wa hikmat ki taaleem qaraar di gayi. Qur'aane Kareem mein
Allah Ta'ala ka irshaad hai: Wahi (Allah) hai jis ne anpadh logon mein unhi mein se ek Rasool bheja,
jo un ke saamne is (Qur'aane Kareem) ki aayaton ki tilaawat karein aur unhein kitaab wa hikmat ki
taaleem dein.
[Sura-e-Juma : 2]
Number 1
Masjid mein ja kar ilme Deen haasil karne se mukammal haj ka sawaab:
Shuru Islam mein taaleem aam taur par masjid mein huwa karti thi, log masjid mein jama hote aur
padhaane waale un ko Qur'aane Kareem, Masaail wa Ahkaam wagaira ki taaleem diya karte the,
Aap r logon ko taaleem ki garaz se masjid aane ki targeeb bhi dete aur is ki fazeelat bhi bataate
the. Ek Hadees mein Aap r ne irshaad farmaaya: Jo aadmi masjid aaye aur us ka iraada sirf kisi bhi
bhali baat ko seekhna ya sikhaana ho, to us ko aise haaji ka sawaab milega, jis ka haj kaamil wa
mukammal ho.
[Tabraani Kabeer: 7473, Abu Umaama t]
Number 2
Qur'aane Kareem padhne padhaane waalon par Allah ki rahmat barasti hai:
Sahi Muslim ki riwaayat hai: Aap r farmaate hain: Jo log bhi Allah ke gharon mein se kisi ghar mein
jama ho kar Qur'aan ki tilaawat karte hain aur us ka daur karte hain, to un par sakeena naazil hoti
hai, Allah ki rahmat un ko dhaanp leti hai aur farishte un ko gher lete hain aur Allah Ta'ala farishton ki
majlis mein un ka tazkira farmaate hain.
[Muslim: 7028, Abu Hurairah t]
Shaariheene Hadees ne likha hai ke "Allah ke gharon mein se kisi ghar" se muraad har woh
jagah hai jis ko Allah ki raza haasil karne aur sawaab ki niyyat se banaaya jaaye, jaise masjid,
madrasa wagaira.
[Mirqaatul Mafaateeh: 2/104]
Number 3 Ilme Deen ke silsile mein Sahaaba-e-Kiraam y ka be-intiha shauq: Huzoor
r ne Deeni taaleem haasil karne ki aisi fiza aur aisa maahol banaaya tha ke har shakhs is ko
haasil karne ki dhun mein laga rehta, kisi ko yeh gawaara na tha ke woh Aap r ki majlis se gair
haazir rahe, taake ilm ka koi hissa reh na jaaye, agar koi rozaana haazir nahin reh paata, to 2
aadmi mil kar baari muqarrar kar lete. Bukhari Shareef ki riwaayat hai ke Hazrat Umar t
farmaate hain ke: Main aur mera Ansaar padosi donon Madeenah ke qareeb hi ek gaaon Banu
Umaiya bin Zaid mein rehte the, ham donon baari baari Rasoolullah r ki khidmat mein haazir
hote the. Ek din woh aata aur ek din main aata. Jis din main aata, to us din ki wahi ki aur doosri
baaton ki us ko ittila deta tha, aur jab woh aata, to woh bhi isi tarah karta.
[Bukhari: 89, Abdullah bin Abbaas
Number 4
]
Masjide Nabawi mein seekhne sikhaane ka nazm: Masjide Nabawi sirf
ibaadat ki jagah hi nahin thi; balke taaleem wa ta'allum yaani seekhne sikhaane ki ek darsgaah
bhi thi, jis mein log jama hote aur Deen ki baatein ek doosre se seekha karte, Hazrat Abdullah
bin Amr
farmaate hain ke masjide Nabawi mein 2 majlisein lagi huwi theen, Aap r ka guzar un
donon majlison ke paas se huwa to Aap ne irshaad farmaaya ke donon majlisein achchhi hain,
albatta un mein se ek ka darja doosre se badha huwa hai.
Phir Aap ne (ek majlis ki taraf ishaara karte huwe) farmaaya: Yeh log duaaon mein lage huwe
hain, aur Allah ki taraf mutawajjah hain, Allah chaahenge, to ata krenge aur chaahenge, to nahin
denge, aur (doosri majlis ki taraf ishaara karte huwe) irshaad farmaaya: Yeh log Deen ki samajh
haasil karne aur ilme Deen seekhne mein lage huwe hain aur na jaanne waalon ko sikhaane
mein mashgool hain, lihaaza in ka darja badha huwa hai, aur main to muallim hi bana kar bhejha
gaya hoon, phir Aap un hi (seekhne sikhaane waalon) mein baith gaye.
[Sunane Daarmi: 357]
Number 5 Suffa ilme Deen haasil karne waalon ki darsgaah thi: Suffa Masjide Nabawi
mein ek chabootra tha, jahaan kuchh Sahaaba-e-Kiraam y duniyawi jhamelon se alag ho kar har
waqt ilme Deen haasil karne mein lage rahte, un mein har umar ke log huwa karte the, unhin mein
Hazrat Abu Hurairah t bhi the, jin ka poori ummat par bada ehsaan hai, sab se ziyaada Hadeesein
unhin se manqool hain, woh khud farmaate hain ke main ek miskeen shakhs tha, Rasoolullah r ki
khidmat karta tha, Aap hi ke ghar se kuchh khaane ko mil jaata tha, hijrat karne waale sahaaba
tijaarat mein mashgool rehte aur Ansaar Sahaaba apne baagaat mein (isi wajah se mujhe Aap r ki
hadeesein sunne aur yaad karne ka ziyaada mauqa mila) .
[Muslim: 6552]
In Ashaab-e-Suffa mein kuchh to woh log the, jin ka qayaam wahin rehta aur kuchh woh log the
jo baahar se ilm haasil karne aaya karte the, kabhi kabhi sab ki majmooi taadaad 400 tak ho jaaya
karti thi.
[Ahde Nabawi mein Nizaame Taaleem: 53,54, Mulakhkhasan]
Number 6 Islami daur mein Makaatib ka Nizaam: Madeenah Munawwarah mein Huzoor r ki
aamad se pehle hi 3 darsgaahein qaaim theen, pehli darsgaah beech shahar mein Masjide Bani
Zuraiq mein thi, jis mein Hazrat Raafe' bin Maalik t taaleem diya karte the, doosri darsgaah Masjide
Quba mein thi, jis mein Hazrat Saalim t imaamat ke saath logon ko ilme Deen sikhaaya karte the aur
teesri darsgaah Asa’d bin Zuraara ke makaan mein thi, jis mein Hazrat Mus’ab bin Umair t taaleem
diya karte the, jab Aap r Madeenah Munawwarah tashreef laaye aur Masjide Nabawi ki taameer
farmaayi, to yeh Deeni taaleem ka ek markaz ban gayi, aur aage chal kar yeh silsila badhta hi chala
gaya, Ulama-e-Kiraam ne likha hai ke Madeenah Munawwarah ke 9 masaajid ke aas paas bachchon
ke liye taaleemi darsgaahein theen, jin mein Qur'aane Kareem ki taaleem ke saath likhne ki mashq bhi
karaai jaati thi.
[Ahde Nabawi mein Nizaame Taaleem: 79]
Allaama Ibne Hazm u ne likha hai ke Rasoolullah r is duniya se chale gaye, aur poore
Jazeeratul Arab mein Islam phail gaya, is Jazeere mein beshumaar gaaon aur shahar (city) the,
wahaan ke tamaam logon ne Islam qabool kiya aur masjidein banaayeen, is Jazeere ke har shahar,
har gaaon aur har dehaat mein Qur'aane Kareem ko namaazon mein padha jaata, aur mard wa
aurtein aur bachche Qur'aan padhna seekhte the, phir Hazrat Abu Bakr t ka intiqaal huwa aur
Hazrat Umar t musalmaanon ke doosre khaleefa bane, aap ke zamaane mein Faaras, Shaam,
Jazeera aur Misr ke ilaaqe fatah huwe, un tamaam ilaaqon ke shahar mein masjidein banaai
gayeen, Qur'aane Kareem ko likha gaya, imaamon ne us ko padha aur bachche har jagah
Makaatib mein us ko padhna seekhte the.
[Al-Inaayah bil Qur'aanil Kareem wa Uloomihi: 1/4]
Number 7 Bachchon ki taaleem wa tarbiyat: Aap r ne bachchon ki taaleem wa tarbiyat par
bharpoor tawajjoh farmaayi, chunaanche jab Badr ke qaidi Madeenah Munawwarah laaye gaye,
jism mein se baaz ke paas fidya mein dene ke liye kuchh na tha, to Aap ne un se kaha ke jo tum mein
likhna jaanta ho, woh fidya ke taur par Ansaar ke 10 bachchon ko likhna sikha de, is ke baad use chhod
diya jaayega.
[Tabaqaat Ibne Saad: 2/22]
Sahaaba-e-Kiraam y apne bachchon ki taaleem wa tarbiya ki khaatir bahot fikrmand rahte aur
is ke liye un ko naseehat karte rehte, ek martaba Hazrat Urwa bin Zubair t ne apne bachchon ko
naseehat farmaayi ke tum ilm haasil karo, agar aaj qaum mein sab se chhote ho, to kal doosre
logon mein ilm ki barkat se bade ban jaaoge.
[Uyoonul Akhyaar: 3/302]
Khud Aap r mauqa ba-mauqa bachchon ko Deen ki baatein sikhaate rehte, Bukhari Shareef ki
riwaayat hai ke ek martaba bachpan mein Hazrat Umar bin Abi Salma t Huzoor r ke saath khaana
kha rahe the, un ke khaane ka tareeqa sunnat ke khilaaf tha, Aap r ne un ko naseehat karte huwe
farmaaya: Aye ladke! Allah ka naam le kar khaao, apne daahine haath se khaao aur apne saamne
se khaao.
[Bukhari: 5376, Abu Hurairah t ]
Number 8 Aap r ko aurton ki taaleem ka bahot khayaal tha: Aap r aurton ki taaleem ka
khusoosi ehtimaam farmaate the, ek martaba eid ke mauqa par Aap r ne logon ko waaz wa
naseehat farmaayi, isi mauqe par kuchh aurtein bhi theen, jo mardon se peechhe theen, "Aap r ko
mehsoos huwa ke meri aawaaz aurton tak nahin pahonch rahi hai, to Aap r Hazrat Bilaal t ke
saath nikle aur un aurton ke qareeb gaye aur un ko waaz wa naseehat farmaayi aur sadqa karne ki
targeeb di".
[Bukhari: 98, Ibne Abbaas ]
Number 9 Aurton ki taaleem ke liye Aap r ne ek din mutaiyan farma diya tha: Huzoor r
ke zamaane mein khud aurton ke andar bhi Deen ki baatein seekhne ka bahot shauq aur jazba tha;
chunaanche Bukhari Shareef ki riwaayat hai ke ek martaba ek khaatoon Huzoor r ki khidmat mein
haazir huween aur kahne lageen: Ya Rasoolallah! Mard hazraat Deen ki baatein seekhne mein
aage badh gaye, (kyun ke woh to har waqt Aap ki khidmat mein haazir rehte hain aur Deen ki
baatein seekhte hain; lekin ham aurton ko to aisa mauqa nahin milta) is liye hamaare liye bhi koi ek
din muqarrar farma dijiye jis mein ham log Aap ke paas aayein aur Aap hamein woh baatein
sikhaayein, jo Allah ne Aap ko bataai hain, Aap r ne farmaaya: Tum log falaan falaan din falaan
falaan jagah mein aa jaaya karo; chunaanche arutein ek jagah jama ho jaati theen, aur Aap un ke
paas ja kar un ko woh baatein bataate, jo Allah ne Aap ko bataayi thein. (Deen ki baatein bataate
the).
[Bukhari: 7310, Abu Saeed t]
Islam sirf aazaad aur shareef gharaanon ki aurton ki taaleem-o-tarbiyat hi par zor nahin deta;
balke woh ghar mein kaam karne waali khaadimaaon aur baandiyon ki taaleem-o-tarbiyat aur un ki
haisiyat buland karne ko ahmiyat deta hai. Ek Hadees mein Allah ke Rasool r ne irshaad farmaaya: 3
Aadmi ke liye dohra ajr-o-sawaab hai, ek woh aadmi jo pehle se kisi aasmaani kitaab par Imaan rakhta
ho aur woh phir Hazrat Muhammad r par bhi Imaan laaye, doosra woh gulaam jo Allah ka haq bhi ada
kare aur apne maalik ka bhi haq ada kare aur teesra woh aadmi jis ke paas baandi ho aur woh us ki
tarbiyat kare aur achchhi tarbiyat kare aur us ko taaleem de aur achchhi taaleem de, phir us ko aazaad
kar ke us ke saath nikaah kar le, to us ke liye dohra ajr hai.
[Bukhari: 97, Abu Barda t]
Number10 Islam ghar ki khaadima ki taaleem-o-tarbiyat ki bhi targeeb deta hai: Oopar di
gayi hadeeson se maaloom huwa ke taaleem wa tarbiyat ki islaam mein bahot ehmiyat hai, lihaaza
ilaaqe ke fikr mand hazraat ko chaahiye ke munazzam makaatib qaaim karne ke liye 4 cheezon ka
hona zaroori hai : 1) Nizaam 2) Nisaab 3) Tareeqa e Taaleem 4) Nigraani yaani bachchon aur
badon ke liye munazzam makaatib qaaim karein, maktab aisa ho ke us mein qur'aan tajweed ke
saath sikhaaya jaata ho, behtareen taaleem di jaati ho aur umda tarbiyat ki jaati ho, maktab ka
maahaul bhi saaf suthra ho, is ke liye munaasib intizaamaat kiye gaye hoon, bachchon ki taaleemi
wa akhlaaqi taraqqi ke liye intizaamiya, asaatiza aur waalidain ke darmiyaan raabta ho aur saal
bhar taalibe ilm ki deeni wa akhlaaqi taraqqi ke liye koshishein ki jaati hoon aur maktab mein jahaan
nau umar bachchon ki taaleem wa tarbiyat ka nazm ho, wahein mardon ke liye un ki sahoolat ke
auqaat mein aur khawaateen ke liye shareeat ke daaire mein reh kar taaleem ka nazm ho, maktab
ke munazzam hone par bachche, mard aur aurtein sabhi is mein aakar taaleem haasil kareinge.
Haqeeqat yeh hai ke ilme Deen ham musalmaano ke liye qeemti sarmaaya hai, jis se duniya
wa aakhirat ki kaamiyaabi milti hai; is liye woh jab mile, jahaan se mile aur jis qadar mile us ko haasil
kar lena chaahiye.
Qur’aan wa Hadees ki roshni mein diye gaye khutbe ka khulaasa
Aaj ke khutbe mein sab se pehli baat yeh bataayi gayi ke masjid mein ja kar ilme Deen haasil
karne se ek kaamil haj ka sawaab milta hai. Doosri baat yeh bataayi gayi ke jo log ek jagah jama
ho kar Qur'aan padhte hain, to un par Allah ki rahmat utarti hai aur farishte un ko gher lete hain.
Teesra paigaam yeh mila ke Sahaaba-e-Kiraam y mein jo Sahaabi rozaana Aap r ki majlis
mein haazir nahin ho sakte the, to woh kisi ke saath baari muqarrar kar lete the, taake koi baat
choot na jaaye. Chauthi baat yeh maaloom huwi ke Masjide Nabawi mein jahaan ibaadat aur
duaaein huwa karti theen, wahin us mein seekhne aur sikhaane ka nazm bhi tha. Paanchween
baat yeh bataayi gayi ke Masjide Nabawi mein Suffa naam ka ek chabootra tha, jis mein kuchh
Sahaaba y duniyawi jhamelon se alag ho kar har waqt ilme Deen seekhne mein mashgool rehte
the. Chhata paigaam yeh mila ke Madeenah mein Aap r ki aamad se pehle ilmi darsgaahein
qaaim theen, baad mein yeh mazeed phailti chali gayeen. Saatween baat yeh bataayi gayi ke
Aap r aur Sahaaba-e-Kiraam y bachchon ki taaleem wa tarbiyat ka bahot khayaal rakhte the.
Aathhween baat yeh bataayi gayi ke Aap r ko aurton ki taaleem wa tarbiyat ki bhi badi fikr rehti
thi. Naween baat yeh bataayi gayi ke Aap r ne aurton ki taaleem ki ahmiyat ke peshe nazar un
ko sikhaane ke liye ek din muqarrar kar diya tha aur Aap r ne aazaad aur shareef aurton ke
alaawa ghar ki khaadimaaon ki taaleem wa tarbiyat ki bhi targeeb di hai aur us ki fazeelat bayaan
farmaayi. Daswaan ahem paigaam yeh diya gaya ke islaam mein taaleem wa tarbiyat ki
ehmiyat ke peshe nazar ilaaqe ke fikr mand hazraat ko munazzam makaatib qaaim karne
chaahiye, jin mein bachchon, mardon aur aurton ki taaleem ka nazm ho.
Lihaaza aaj ke is khutbe mein Deeni taaleem ki zaroorat aur makaatib ke qayaam ke silsile
mein jo baatein Qur'aan wa Hadees ki roshni mein bayaan ki gayi hain, ham in ko apne saamne
rakhein aur in par amal karne ki koshish karein. Allah hamein in baaton par amal karne ki taufeeq
ata farmaaye aur hamaari khidmaat ko qubool farmaaye. (Aameen)
3 Deeniyat nisaab ki khusoosiyaat
Guzishta 2 juma mein aap hazraat ke saamne ilme deen ki ehmiyat wa zaroorat aur munazzam
maktab ke fawaaid par roshni daali gayi thi aur bataaya gaya tha ke munazzam makaatib qaaim
karne ke liye 4 cheezon ka hona zaroori hai. 1) Nizaam 2) Nisaab 3) Tareeqa e Taaleem 4) Nigraani
aaj aap hazraat ke saamne maktab mein padhaaye jaane waale nisaab ke baare mein tafseel se
bataaya jaayega, nisaab har taaleemi mein reedh ki haisiyat rakhta hai, us ke bagair koi bhi
taaleemi idara qaaim nahein reh sakta, nisaab ki isi ehmiyat ke peshe nazar idara e deeniyat ne 15
saal par mushtamil ek nisaab tayyaar kiya hai.
1) Deeniyat nisaab ki khusoosiyaat : Deeniyat nisaab zarooriyaate deen par mushtamil hai,
is mein haalaat wa taqaazon ko peshe nazar rakh kar mawaad ka intikhaab kiya gaya hai, is nisaab
ko ulama-e-kiraam ki ek jamaat ne mukhtalif nisaabon aur akaabir ki muta'addad kitaabon ke
mutaale aur un se mawaad lene ke baad buzurgaane deen aur asaatiza-e-kiraam ke mashware se
tayyaar kiya gaya hai. Nisaab mein saheeh aur mustanad baaton ko musbat andaaz mein pesh
kiya gaya hai. Nisaab ke tamaam mawaad ko qur'aan wa hadees aur mo'tabar kitaabon ke
hawaalon ke saath pesh kiya gaya hai. Bachchon ki umr ka lihaaz karte hwe mawaad ko bahot
aasaan aur dilchasp andaaz mein pesh karne ka ehtimaam kiya gaya hai. Deeniyat nisaab mein
taaleem ke saath saath tarbiyat ka bhi khaas khayaal rakha gaya hai; taake talaba bachpan hi se
Aap r ki sunnaton ke aadi ho jaayein. Deeni taaleem haasil karne mein zabaan rukaawat na ho aur
ziyaada se ziyaada log nisaab se faaida utha sakein; is maqsad se nisaab ka mukhtalif zabaanon
jaise : English, Hindi, Gujrati, Malayalam, Tamil, Telugu, Bangla, Manipuri, Aasaami, Swahili,
Arabic, aur brail wagaira mein tarjama kiya gaya hai.
2) Deeniyat nisaab ka ta'aruf :Bachchon ke is 15 saala nisaab ko 3 hisson mein taqseem
kiya gaya hai : 5 saala ibtidaayi (primar) 5 saala saanwi (secondary) aur 5 saala izaafi (advance). In
tamaam saalon mein taalibe ilm 5 buniyaadi anaaween; 1) Qur'aan 2) Hadees 3) Aqaaid wa
Masaail 4) Islaami tarbiyat 5) Zabaan. Ke tahat mukhtalif mazaameen padhega.
Ibtidaayi nisaab mein 5 buniyaadi anaaween ke tahat 14 zaili mazaameen hain.
Qur'aan ke tahat 2 zaili mazmoon hain : 1) Nooraani qaaida aur naazra-e-qur'aan 2) Hifze
soorah.
Qur'aane kareem ko sihate huroof aur tajweed se padhna zaroori hai, warna basa auqaat
namaaz faasid ho jaati hai, chunaanche qur'aane kareem ko saheeh adaaigi ke saath padhna
sikhaane ke liye noraani qaaida diya gaya hai, jo ek saal aur aath maah (1.8 month) mein
mukammal hoga aur naazira-e-qur'aan teen saal aur do maah (3.2 saal) mein mukammal hoga.
Namaaz mein qur'aane kareem padhna farz hai, is liye hifze soorah ka mazmoon diya gaya
hai, in 5 saalon mien taalibe ilm sura e faatiha, sura e zuha se sura e naas tak 21 sooratein aur
aayatul kursi zabaani yaad kar lega.
Hadees ke tahat 2 zaili mazmoon hain : (1) Dua wa sunnat (2) Hifze hadees.
Huzoor r ke tareeqon aur sunnaton ke mutaabiq zindagi guzaarne mein har insaan ki
kaamiyaabi hai, isi liye roz marra pesh aane waale aamaal ki duaaein aur sunnatein di gayi hain, in
5 saalon mein taalibe ilm dua wa sunnat ke tahat 38 aamaal ki duaaein aur 13 aamaal ki sunnatein
seekh lega.
40 Hadeesein yaad karne par Huzoor r ne Jannat ki bashaarat di hai, is fazeelat ko haasil
karne ke liye hifze hadees ke tahat chhooti aur aasaan 40 ahaadees di gayi hain.
Aqaaid wa Masaail ke tahat 4 zaili mazaameen hain : 1) Aqaaid 2) Namaaz 3) Asma e husna 4)
Masaail.
Aqeeda deene islaam ki buniyaad hai aur aamaal usi waqt maqbool honge, jab ke aqaaid
durust hoon, isi liye aqaaid ke tahat islaam ke 5 kalime aur imaane mufassal mein aayi huwi baatein
sawaal wa jawaab ke andaaz mein di gayi hain.
Namaaz ka islaam mein bahot bada darja hai, is ke bagair deen naamukammal hai, lihaaza
ibtida hi se wuzu aur namaaz sikhaane ke saath saath un ki amali mashq bhi karaayi gayi hai,
namaaz ke tahat mukammal namaaz aur us ki duaaein aur mazeed 6 namaazon jaise : witr ki
namaaz, beemaar ki namaaz, namaaze juma, musaafir ki namaaz wagaira ke padhne padhaane
ka tareeqa diya gaya hai.
Allah Ta'ala ke sifaati naamon mein zabardast taaqat wa taasir hai aur un ko yaad karne par
hadees mein jannat ki bashaarat bhi di gayi hai, is liye in 5 saalon mein bachchon ko Allah Ta'ala ke
99 sifaati naam yaad karwaaye jaayeinge.
Zindagi ko shareeat ke mutaabiq guzaarne ke liye masaail ka jaanna bahot zaroori hai, masaail
ke zariye hi amal ka saheeh aur galat hona maaloom hota hai, is liye in 5 saalon mein bachcha
masaail ke tahat namaaz aur tahaarat ke zaroori masaail aur namaaz ke faraaiz wa waajibaat
seekh lega aur usi ke saath saath zakaat, roza aur haj ke mukhtasar taaruf se bhi waaqif ho
jaayega.
Islaami tarbiyat ke tahat 4 zaili mazaameen hain : 1) Islaami maaloomaat 2) Bayaan wa dua 3)
Seerat 4) Aasaan deen.
Islaami maaloomaat ke tahat bachchon ki maaloomaat mein izaafe ke liye in 5 saalon mein
islaam, islaami shakhsiyaat aur islaami maqaamaat se mutaalliq 110 sawaalaat wa jawaabaat diye
gaye hain.
Bachche bachpan hi se deen ki baatein logon tak pahonchaayein aur un ke saamne bila jhijhak
bayaan kar sakein, is garz se in 5 saalon mein mukhtasar aur aasaan 5 bayaanaat diye gaye hain
aur bachchon ke andar Allah Ta'ala se maangne ki aadat daalne ke liye har bayaan ke baad ek
qur'aani dua bhi di gayi hai.
Seerat padhne se bachchon ke andar Rasoolullah r se muhabbat aur aap ke paakeeza
tareeqe ke mutaabiq zindagi guzaarne ka shauq wa jazba paida hoga, isi garz se in 5 saalon mien
Huzoor
aur khulfa e raashideen ki seerat bachchon ke andaaz mein di gayi hai.
Aasaan deen ke tahat hifze hadees mein di huwi ahaadees ko saamne rakh kar deen ke
mash'hoor 5 sho'be : Imaaniyaat, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat par
bachchon ki deeni wa akhlaaqi tarbiyat ke liye aasaan andaaz mein 40 asbaaq diye gaye hain.
Zabaan ke tahat 2 zaili mazmoon hain : 1) Arabi 2) Urdu
Qur'aan wa hadees ki zabaan arabi hai, Huzoor r aur jannat ki zabaan arabi hai, is liye
bachchon ke andar arabi zabaan se dilchaspi paida karne ke liye in 5 saalon mein arabi ke tahat
ginti, roz marra istemaal hone waali cheezon ke naam, islaami maheenon, dinon aur jism ke a'aza
ke naam diye gaye hain.
Hamaare akaabir ki aksar kitaabein urdu zabaan mein hain, un se bharpoor faaida uthaane ke
liye urdu zabaan ka seekhna zaroori hai, isi garz se urdu zabaan di gayi hai, in 5 saalon mien
bachhca alif , ba, ta se lekar urdu likhna padhna seekh jaayega.
Yeh to tha 5 saala ibtidaai nisaab ka taaruf, chun ke bachchon ne ilme deen ki ibtidaayi
maaloomaat haasil kar li, ab school ki taaleem ke saath mazeed ilme deen sikhaane ke liye idara e
deeniyat ne 5 saala ibtidaai nisaab ki tarah 5 saala saanwi nisaab aur 5 saala izaafi nisaab bhi
tayyaar kiya hai, jise padh kar taalibe ilm qur'aane kareem ki kuchh sooraton ki mukhtasar tafseer
wa paigaam, zindagi guzaarne ke aadaab, fazeelaton ki roshni mein duaaein, kuchh ahaadees ki
tashreehaat, islaami aqaaid, mukhtalif namaazon ke tareeqe aur apni zindagi mein pesh aane
waale zaroori ahkaam wa masaail se waaqif ho jaayega aur hamaare Nabi r ki seerat, khulafa e
raashideen, sahaaba e kiraam, sahaabiyaat y aur taabein wa taabi'aat u aur akhaabir wa
auliya ki zindagi ke haalaat un ke deeni, hukumati, samaaji aur tamadduni kaarnaame aur deen ke
mash'hoor 5 sho'bon : Imaaniyaat, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat se
mutaalliq qar'aan wa hadees ki roshni mein islaahi wa tarbiyati mazaameen padh kar ek behtareen
insaan aur achchha muslamaan ban kar zindagi guzaarega aur arabi zabaan bhi bolna, likhna aur
padhna seekh lega.
Jab yeh nisaab behtareen nizaam, umda tareeqa e taaleem aur mukammal nigraani ke saath
padhaaya jaayega, to is se bachchon ko taaleemi faaida hone ke saath saath maktab ka me'yaar
bhi buland hoga.
Allah Ta'ala hamein jagah jagah munazzam makaatib qaaim karne ki taufeeq ata farmaaye aur
deeni khidmaat ke liye qabool farmaaye. (Aameen)

Similar documents

Nigraani - Deeniyat

Nigraani - Deeniyat shakhs Allah aur us ke Rasool par Imaan rakhta hai aur marne ke baad dobaara zinda hone, apne ek ek amal ka hisaab dene aur achchhe amal par Jannat aur bure amal par Jahannam mein jaane ke "Khudaai...

More information

(Musalmaanon) Tum woh behtareen ummat ho jo logon

(Musalmaanon) Tum woh behtareen ummat ho jo logon Munazzam (Organized) Maktab us jagah ko kehte hain jahaan Naazra-e-qur’an padhaane ke saath saath buniyaadi ilme deen sikhaaya jaata ho, jis ka nizaam umda ho, jis mein mustanad wa mo’tabar nisaab ...

More information